Piraane Pir Meri Bigri Banaao Naat Lyrics

Piraane Pir Meri Bigri Banaao Naat Lyrics

 

Piraane Pir, Meri Bigri Banaao
Roshan Zamir, Meri Bigri Banaao

Abde Qadir Ho Tum, Dastagir Ho
Waliyo(N) Ke Baadshaah, Piraane Pir Ho

Wasf Bayaa(N) Ho, Kya Roshan Zamir Ho
Aey Dilbar Nabi Ke, Mere Sarkaar Aao

Aaya Hai Dar Pe, Jo Bhi Sawaali
Maange Bina Aaqa Hasrat Nikaali

Khaali Na Lauta, Dar Ka Sawaali
Aey Bhatke Huwo(N) Ko, Aaqa Rabb Se Milaao

Ibne Sakhi, Mera Bhar Dena Kaa’sah
Bhar Dena Kaa’sah, Kab Se Hu(N) Pyaasa

Rukh Se Hataao(N) Ghaus, Pardaah Zara Sa
Aey Man Ke Amir, Mere Sapno(N) Mei(N) Aao

Rehmat Ke Aab Waale, Bhar Do Gagariya
Bhar Do Gagariya, Kar Do Nazariya

Wahedat Ke Rang Waale, Rang Do Chunariya
Aey Jaam Pila Ke, Hame Mast Banaao

Haath Utha Ke Pir Bede Tiraaye
Nazar Jo Daal Di, Murde Jilaaey

Kar Ke Ishaara, Kaam Bigre Banaaei(N)
Aey Ham Bhi Hai(N) Muntazir, Ho(N)Th Hilaao

Jab Tak Hai Saans, Tujh Se Aas Na Tute
Jiteji Mujh Se, Teri Chokhat Na Chute

Yeh Jaan Jaaey, Chaahey Duniya Bhi Chute
Aey Kar Do Karam, Meri Aas Bandhaao

Aasi Hai Aakhir, Chaakar Tumhaara
Thaam Liya Hai Aaqa, Daaman Tumhaara

Tumhi Wasila Aaqa, Tumhi Sahaara
Aey Man Mei(N) Samaao, Kali Dil Ki Khilaao

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views

Leave a Comment