Tere Damane Karam Me Jise Neend Aa Gayi Hai Naat Lyrics
Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai.
Mujhe kya padi kisi se karu arz muddha mai
Meri lau to bas unhi ke darjood se lagi hai.
Wo jahan bhar ke daata mujhe fer denge khaali
Meri tauba ai khuda ye mere nafs ki badi hai.
Mai maru to mere maula ye malaika se keh de
Koi is ko mat jagana abhi aankh lagi hai.
Mai gunahgaar hu aur bade martabon ki khahish
Tu magar Karim hai jo teri banda parwari hai.
Teri yaad thapki dekar mujhe ab shahashala de
Mujhe jaagte hue yoon badi der ho gayi hai.
Tera dile shakta Akhtar isi intezaar me hai
Ki abhi naweede wislat tere dar se aa rahi hai.
Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...17 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views