Ya Rabbana Irhamlana Tere ghar ke fere lagata rahu main Naat Lyrics

Ya Rabbana Irhamlana Tere ghar ke fere lagata rahu main Naat Lyrics

 

Ya Rabbana Irhamlana Tere ghar ke fere lagata rahu main
Sadaa shehre Makkah me aata rahu main

Haram main mai haazir huwa banke mujrim
Yeh labbaik naraa lagata rahu main

Main leta rahu bosa-e-sangey aswad
Ke dil ki siyaahi mitata rahu main

Illahi main phirta rahu girde kaaba yoon
qismat ki gardish mitaata rahu main

Main peeta rahu har ghadi aabe zam zam
Lagi apne dil ki bujhata rahu main

Safaa aur marwah ke maa bain daudu
Sa’ee karke tujh ko manaata rahu main

Rami kar ke jamraat ki main
Mina mein Tere dushmano ko beechata rahu main

Muzdalifa me waqte seher muskura kar
Yeh sunnat Nabi ki bataata rahu main

Jhuki jin ke sajde ko meh’rabe kaaba
Wahi dil adab se jhukata rahu main

Illahi tu aisa muqaddar banaade
Humeshaa hi Makkey main aata rahu mai

Tere ghar ke peyrey lagaah taa rahu main
Sadaa shehre makkah me aata rahu main.

Hai Sayyed ki khwaish Madine mein mar kar
Humesha hi jannat ko paata rahu main

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...70 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...58 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...55 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...40 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...32 views

Leave a Comment