Ae Khatme Rusul Makki Madni Naat Lyrics | एय खत्मे रूसूल मक्की मदनी | Barkate Raza

ए ख़त्म-ए-रुसूल मक्की-मदनी कौनैन में तुम सा कोई नहीं / Ai Khatm-e-Rusool Makki-Madani Kaunain Mein Tum Sa Koi Nahin
ए ख़त्म-ए-रुसूल ! मक्की-मदनी ! कौनैन में तुम सा कोई नहीं
ए नूर-ए-मुजस्सम ! तेरे सिवा महबूब ख़ुदा का कोई नहीं

अवसाफ़ तो सब ने पाए हैं, पर हुस्न-ए-सरापा कोई नहीं
आदम से जनाब-ए-ईसा तक सरकार के जैसा कोई नहीं

ये शान तुम्हारी है, आक़ा ! तुम अर्श-ए-बरीं पर पहुँचे हो
ज़ी-शान नबी हैं सब लेकिन मे’राज का दूल्हा कोई नहीं

दिल किस को दिखाएँ चीर के हम, ‘इस्याँ का मदावा कौन करे
ए रहमत-ए-आलम ! तेरे सिवा दुखियों का मसीहा कोई नहीं

ख़ैरात मुहम्मद से पा कर इस नाज़ से कहते हैं मँगते
दुखियों पे करम करने वाला सरकार से अच्छा कोई नहीं

मालिक हैं वो दोनों ‘आलम के, हर ज़र्रा मुनव्वर है उन से
तनवीर-ए-मुजस्सम, सय्यिद-ए-कुल, आक़ा के इलावा कोई नहीं

हो जाए अगर इक चश्म-ए-करम, महशर में फ़ना की लाज रहे
ए शाफ़े’-ए-महशर ! तेरे सिवा बख़्शिश का वसीला कोई नहीं


शायर:
फ़ना बुलंदशहरी

नात-ख़्वाँ:
नुसरत फ़तेह अली ख़ान
अक़्सा अब्दुल हक़
ज़ोहैब अशरफ़ी

 


ai KHatm-e-rusool ! makki-madani !
kaunain me.n tum sa koi nahi.n
ai noor-e-mujassam ! tere siwa
mahboob KHuda ka koi nahi.n

awsaaf to sab ne paae hai.n
par husn-e-saraapa koi nahi.n
aadam se janaab-e-isa tak
sarkaar ke jaisa koi nahi.n

ye shaan tumhari hai, aaqa !
tum arsh-e-baree.n par pahunche ho
zee-shaan nabi hai.n sab lekin
me’raaj ka dulha koi nahi.n

dil kis ko dikhaae.n cheer ke ham
‘isyaa.n ka madaawa kaun kare
ai rahmat-e-‘aalam ! tere siwa
dukhiyo.n ka maseeha koi nahi.n

KHairaat muhammad se pa kar
is naaz se kahte hai.n mangte
dukhiyo.n pe karam karne waala
sarkaar se achchha koi nahi.n

maalik hai.n wo dono.n ‘aalam ke
har zarra munawwar hai un se
tanweer-e-mujassam, sayyid-e-kul
aaqa ke ilaawa koi nahi.n

ho jaae agar ik chashm-e-karam
mahshar me.n Fana ki laaj rahe
ai shaafe’-e-mahshar ! tere siwa
baKHshish ka waseela koi nahi.n


Poet:
Fana Bulandshahri

Naat-Khwaan:
Nusrat Fateh Ali Khan
Aqsa Abdul Haq
Zohaib Ashrafi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,357 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...818 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment