जाम उल्फ़त का पिला दो, या रसूल ! / Jaam Ulfat Ka Pila Do, Ya Rasool !

JAAM ULFAT KA PILA DO YA RASOOL NAAT LYRICS

 

Jaam ulfat ka
Pila do ya rasool
Apna deewana banado
Ya rasool

Meri kismet ko jagah do
Ya rasool
Ek jhalak apni dikhado
Ya rasool

Khwaab me tashrif lakar
Ek baar
Deed ka sharbat pila do
Ya rasool
Meri kismet ko jagah do
Ya rasool
Ek jhalak apni dikhado
Ya rasool

Aa gaya bimaar
Aye mere tabib
Do shifa e kamila do
Ya rasool

Jaam ulfat ka pila do
Ya rasool
Apna deewana banado
Ya rasool

Umr bhar teri
Sana khani karu
Har rukawat ko hata do
Ya rasool

Apna deewana banado
Ya rasool
Wo kabhi bhi
Uth nahi sakta jise
Tum nigaho se giro do
Ya rasool

Meri kismet ko jagah do
Ya rasool
Ek jhalak apni dikhado
Ya rasool

Baksh dega har khata
Meri khuda
Tum zara lab ko hila do
Ya rasool

Chand ko ungli se
Mahde paak me
Jis tarah chaho jhuka do
Ya rasool

Sui mil jaye
Andhera bhi ho gar
Tum jo aakar muskura do
Ya rasool

Karne nahi sakta
Sana teri ubaid
Do salika e sana do
Ya rasool

Jaam ulfat ka pila do
Ya rasool
Apna deewana banado
Ya rasool

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,210 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,609 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,067 views

Leave a Comment