KHUDA NE MUJHKO DIYA MAA TERI DUAAON SE NAAT LYRICS

KHUDA NE MUJHKO DIYA MAA TERI DUAAON SE NAAT LYRICS

 

Khuda Ne Mujhko Diya Maa Teri Duaaon Se
Mila Hein Jab Hi Mila Maa Teri Duaaon Se

Jahan Jahan Bhi Gaya Log Dil Bichaane Lagey
Ye Ehteraam Mila Maa Teri Duaaon Se

Maa Ki Duah Jannat Ki Hawa Maa Ki Duah Jannat Ki Hawa

Ye Kamiyaabiyan Shohrat Qadam Qadam Pe Milee
Naseeb Eysaa Mila Maa Teri Duaaon Se

Tawaaf Main Ne Kiya Kee Sa’ai-E-Marwaa Bhi
Jo Main Ne Umra Kiya Maa Teri Duaaon Se

Mujhe Giraane Pe Haasid Toule Huwe The Magar
Main Dushmanon Se Bachaa Maa Teri Duaaon Se

Qasam Hain Iss Mein UJAAGAR Ka Kuch Kamal Nahin
Uruj Isko Mila Maa Teri Duaaon Se

Maa Ki Duah Jannat Ki Hawa Maa Ki Duha Jannat Ki Hawa

 

Hazrat Sayyed Shaah Hamza Barkaati rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Asad-ul-Aarifeen, Qutb-ul-Kaamileen.

****************
Aap ki wilaadat 14 Rabi’ us saani 1131 Hijri (March 1719 A.D.) ko Marehra me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Abul Barkaat Aale Muhammad bin Sayyed Shaah Barkaatullāh Marehrwi rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Ghanimat Faatima binte Sayyed Shaah Azmatullāh hai.

Aap Husaini saadaat hai.
Aur Hazrat Sayyed Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen radiy-Allāhu anhu ki nasl se hain.

****************
Aap ne apne waalid se taaleem haasil ki.
Aap ne Shams ul Ulama Hazrat Maulana Muhammad Baaqir aur Shaikh Dhadhaa Lahori se bhi taaleem haasil ki.
Hakeem Ata’ullāh Saahib se Ilm e Tab ki taaleem haasil ki.

****************
Aap ne 10 saal ki umr me namaaz e Tahajjud shuru ki aur puri zindagi tahajjud ada karte rahe.

*****************
Ek martaba Hazrat Maulwi Muhammad Mukarram Peshawari naami ek buzurg ne aap ko ek Durood shreef ka hadiya diya. Aap ne use qubool farmaaya aur ek maqaam par sambhalkar rakh diya.
Raat ko khwaab me Huzoor Sarware kaa’inaat Rasoal-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur farmaaya ‘Aye laadle farzand! Utho aur Durood shreef padho.’ Aap foran uthe aur ghusl kiya aur itr lagaaya aur durood shreef padhna shuru kiya. Aap ne abhi durood shreef mukammal bhi nahi kiya tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap ke saamne jalwa afroz hue. Aap ba-adab khade ho gaye aur durood shareef mukammal kiya aur aap jab tak durood shareef padhte rahe tab tak Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap ke saamne jalwa farma rahe. Aap ne chand na’at ke ash’aar bhi pesh kiya. Huzoor bahot khush hue aur aap ko kaunain ke faiz se sarfaraaz farmaaya.
Is durood shreef ka naam ‘Salaatul Khataam’ hai.

****************
34 saal ki umr me aap ko Khirqa e khilaafat ata farmaaya gaya.

****************
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Kaashif ul Astaar Shareef
(2) Faiz ul Kalimaat
(3. Masnawi Itifaaqiya
(4) Qasida Gohar Baar
(5) Risaala Aqaa’id.

****************
Aap ka nikaah Bibi Diyaanat Faatima binte Hazrat Sayyid Muhammad Hasan Bilgiraami bin Sayyid Muhammad Sa’eed Khairullāh se hua.

Aap ke 4 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.

Saahabzaade :
(1) Shaah Aale Ahmad urfe Achhe Miya,
(2) Shaah Aale Barkaat urfe Suthre Miya,
(3) Shaah Aale Husain urfe Sache Miya,
(4) Sayyed A’ala (Jin ka bachpan hi me inteqaal ho gaya).

Saahabzaadi :
Waafi Bibi.

****************
Aap Hazrat Sayyed Shaah Abul Barkaat Aale Muhammad Marehrwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Qaadri Barkaati’ silsila ke shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Abul Fazl Sayyed Aale Ahmad urfe Achhe Mia,
(2) Hazrat Shah Maseehullah,
(3) Hazrat Shah Ainul Haq,
(4) Hazrat Shaah Ali Sher,
(5) Hazrat Shaah Hafeezullāh,
(6) Hazrat Shaah Raheemullāh,
(7) Hazrat Shaah Saifullāh Sahawi,
(8) Hazrat Shaah Ramazaanullāh,
(9) Hazrat Shaah Molwi Ghulaam Muhiy-ud-deen,
(10) Hazrat Shaah Deedaar Ali,
(11) Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Ghaus Gawaliori,
(12) Hazrat Shaah Shaamil,
(13) Hazrat Shaah Khairaat Ali,
(14) Hazrat Shaah Rasooli,
(15) Hazrat Shaah Aabid,
(16) Hazrat Shaah Maajid,
(17) Hazrat Shaah Izzatullāh,
(18) Hazrat Shaah Noorullāh,
(19) Hazrat Shaah Karam Ali,
(20) Hazrat Shaah Abdur Rasheed,
(21) Hazrat Shaah Mahfooz,
(22) Hazrat Shaah Ghulaam Rasool,
(23) Hazrat Shaah Meer Husain,
(24) Hazrat Shaah Abdul Ghani,
(25) Hazrat Shaah Abdul Hakeem,
(26) Hazrat Shaah Tahqeeq,
(27) Hazrat Shaah Naseer-ud-een,
(28) Hazrat Shaah Zaahid,
(29) Hazrat Shaah Makan,
(30) Hazrat Shaah Buzurgh.

****************
Aap ka wisaal 14 Moharram 1198 Hijri ko namaaze maghrib ke baad hua.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Shaah Hamza Barkaati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

 

popular posts

Leave a Comment