PADE MUJH PAR NA KUCH IFTAAD YA GHOUS NAAT LYRICS
Pade mujh par na kuch iftaad Ya Ghous
Madad par ho teri Imdaad Ya Ghous
Mere dil me base jalwe tumhare
Yeh viraana bane Baghdad Ya Ghous
Na bhoolun bhool kar bhi yaad teri
Na yaad aaye kisi ki yaad Ya Ghous
Mureedi La Takhaf farmaan tera woh
Balaon me hai yeh naashad Ya Ghous
Gale tak aa gaya sailaab gum ka
Chala Mann aayiye fariyaad Ya Ghous
Andheri raat jungle mai akela
Madad ka waqt hai fariyaad Ya Ghous
Khila do Ghuncha e Khaatir ke tum ho
Bahar e Gulshan e Ejaad Ya Ghous
Mere gum ki kahani aap sunle
Kahun kisse mai rudaad Ya Ghous
Karoge kab tak acha mujh bure ko
Mere haq me hai kya irshaad Ya Ghous
Gum e Duniya Gum e Qabron Gum e Hashr
Khudara karde mujhko Shaad Ya Ghous
Hasan mangta hai dede bheek daata
Rahe yeh raaj paatha baad Ya Ghous
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,250 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,478 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,548 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,512 views