WO MERI JAAN BHI JAAN KI JAAN BHI NAAT LYRICS

WO MERI JAAN BHI JAAN KI JAAN BHI NAAT LYRICS

 

Wo Meri Jaan bhi Jaan ki Jaan bhi
Wo Iman bhi Ruhe Iman bhi
Mahbate wahi-E-Aayate Quraan bhi
Aur Quraan bhi Ruhe Quraan bhi

Kya Bataoon Qayamat ka main majra
Rehmato- Ghaflato ka hai ik marka
Dil ko unki Shafa’at pe Iman bhi
Aqal apne kiye par pashemana bhi

Ik Din Naz pe Aapne Yun kaha
Tu bata Ta-ire Sidaratul Muntaha
Hai tere samne Aalame kun-faka
Tune payi kisi main meri Shan bhi

Bole Yoon Hazrate Jibril bhi
Aiy Nigahe Masiyat ke zohra jabi
Ho tera Misal koi, kabhi aur kahi
Rab ne Rakhkha nahi iska imkan bhi

Unki Rehmat pe “Akhtar” Dilo Jaa fida
Jinko kahta hai Sara Jaha mustafa
Go Meri zindagi unse gafil Rahi
Wo Na gafil Rahe Mujhse Aik aan bhi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,187 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,933 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,596 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,054 views

Leave a Comment