ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD NAAT LYRICS

ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD NAAT LYRICS

 

Zehe Izzat-O Itlaaye Muhammad Naat Lyrics
Zahe Izzato Aetala-E Muhammad
Ke Hai Arsh E Haq Zere Paa-E Muhammad

Makaa(n) Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimane Sara-E Muhammad

Khuda Ki Raza Chahte Hai Do Aalam
Khuda Chahta Hai Raza-E Muhammad

Ajab Kya Agar Raham Farma Le Hum Par
Khuda-E Muhammad Baraa-E Muhammad

Muhammad Baraa-E Janaab E Ilahi
Janaab e Ilahi Baraa-E Muhammad

Basi Itre Mahboobi-E Kibriya Se
A-baye Muhammad Kabaa-E Muhammad

baham Ahad Bandhe Hai Wasl E Abad Ka
Raza-E Khuda Aur Raza-E Muhammad

Dame Naz’a Jaari Ho Meri Zabaa(n) Par
Muhammad Muhammad khuda-E Muhammad

Asaa-E Kaleem Azdahaye Ghazab Tha
Giro(n) Ka Sahara Asaa-E Muhammad

Main Kurbaan Kya Pyari Pyari Hai Nisbat
Ye Aan-E Khuda Wo Khuda-E Muhammad

Muhammad ka damm Khaas Bahre Khuda Hai
Siwaye Muhammad Bara-E Muhammad

Khuda Unko Kis Pyar Se dekhta Hai
Jo Aankhei(n) Hai Mahve Lika-E Muhammad

Zulu Me Ijabat Khawasi Me Rehmat
Badhi Kis Tuzuk Se Dua-E Muhammad

Izabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya
Badhi Naaz Se Jab Dua-E Muhammad

Izabat Ka Sehra Inayat Ka Joda
Dulhan Banke Nikli Dua-E Muhammad

Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ki Hai Rabbe Sallim Sada-E Muhammad

ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD NAAT LYRICS
ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD NAAT LYRICS

 

 

ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD NAAT LYRICS
ZEHE IZZAT-O ITLAAYE MUHAMMAD NAAT LYRICS

 

 

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,550 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,724 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,134 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,893 views

Leave a Comment