Ismail Panhor Advocate ka likha aur Allama Hassan Mayari ki behtareen aawaz mein parha gaya ye manqabati kalam ‘Ibn-e-Haidar Fida Hai Karbal Mein’ Hazrat Imam Hussain ki be-misaal qurbani ko bayan karta hai. Is kalam mein shuhada-e-karbala ki azmat, unke lazawal sabr-o-isteqamat aur neze par tilaawat-e-quraan ke mu’jize ka nihayat hi pur-asar zikr milta hai. Aiye is aqeedat-bhare manqabati kalam ko mukammal taur par Roman, Hindi aur Urdu rasm-ul-khat mein nihayat hi adab ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ibn-e-Haidar Fida Hai Karbal Mein |
| Poet / Writer | Ismail Panhor Advocate |
| Category | Manqabat-e-Imam Hussain / Muharram Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Allama Hassan Mayari |
Naat Lyrics in Roman
ibn-e-haidar fida hai karbal me.n
‘ishq ki intiha hai karbal me.n
qudsi takte hai.n aur kehte hai.n
noori ik silsila hai karbal me.n
sabr koi husain se seekhe
sabr ki intiha hai karbal me.n
neze ki nok par pa.Dha qur.aa.n
ye karishma huaa hai karbal me.n
naaz shabbir par zamaane ko
apna sab kuchh diya hai karbal me.n
tere aane se larzaa.n hai dushman
KHauf taari huaa hai karbal me.n
deen-e-haq par fida ho, ai Rizvi !
ye sabaq to mila hai karbal me.n
Naat Lyrics in Hindi
इब्न-ए-हैदर फ़िदा है कर्बल में
‘इश्क़ की इंतिहा है कर्बल में
क़ुदसी तकते हैं और कहते हैं
नूरी इक सिलसिला है कर्बल में
सब्र कोई हुसैन से सीखे
सब्र की इंतिहा है कर्बल में
नेज़े की नोक पर पढ़ा क़ुरआँ
ये करिश्मा हुआ है कर्बल में
नाज़ शब्बीर पर ज़माने को
अपना सब कुछ दिया है कर्बल में
तेरे आने से लर्ज़ां है दुश्मन
ख़ौफ़ तारी हुआ है कर्बल में
दीन-ए-हक़ पर फ़िदा हो, ऐ रिज़वी !
ये सबक़ तो मिला है कर्बल में
Naat Lyrics in Urdu
ابنِ حیدر فدا ہے کربل میں
عشق کی انتہا ہے کربل میں
قدسی تکتے ہیں اور کہتے ہیں
نوری اک سلسلہ ہے کربل میں
صبر کوئی حسین سے سیکھے
صبر کی انتہا ہے کربل میں
نیزے کی نوک پر پڑھا قرآں
یہ کرشمہ ہوا ہے کربل میں
ناز شبیر پر زمانے کو
اپنا سب کچھ دیا ہے کربل میں
تیرے آنے سے لرزاں ہے دشمن
خوف طاری ہوا ہے کربل میں
دینِ حق پر فدا ہو، اے رضوی!
یہ سبق تو ملا ہے کربل میں