Khak-e-Karbal Par Ali Ka Ladla Sajde Mein Hai

Karbala ki pakiza mitti par Hazrat Imam Hussain alayhis salam ka aakhiri sajda poori kainaat ke liye hayaat e nau hai.
Yeh nihayat hi dil-soz aur imaan-afza manqabat ‘Khak-e-Karbal Par Ali Ka Ladla Sajde Mein Hai’ sarkar e Karbala ke is azeem aur tareekhi sajde ki radd o qabooliat ko bayan karti hai.
Aaiye is muqaddas aur aqeedat se bharpoor kalam ko nihayat hi adab aur ehtiraam ke sath padhein.

Naat InformationDetails
Naat TitleKhak-e-Karbal Par Ali Ka Ladla Sajde Mein Hai
Poet / WriterMuhammad Shauqeen Nawaz Shauq Fareedi
CategoryManqabat Lyrics
Naatkhawan / ReciterSyed Abdul Qadir Al-Qadri

Naat Lyrics in Roman

KHaak-e-karbal par ‘ali ka laaDla sajde me.n hai
naujawaanaan-e-jinaa.n ka baadshaah sajde me.n hai

jo kabhi tha aap ke kaandhe pe baiTha, ya nabi !
karbala me.n aap ka wo laaDla sajde me.n hai

jis ke bose lete the sultaan-e-‘aalam baaraha
wo sar-e-ibn-e-‘ali tan se juda sajde me.n hai

zindagi de kar habeeb-e-kibriya ke deen ko
sar kaTa kar faateh-e-karb-o-bala sajde me.n hai

jis ka, ai Shauq-e-Fareedi ! deen par ehsaan hai
haa.n wahi chashmaan-e-zahra ki ziya sajde me.n hai

Naat Lyrics in Hindi

ख़ाक-ए-कर्बल पर ‘अली का लाडला सज्दे में है
नौजवानान-ए-जिनाँ का बादशाह सज्दे में है

जो कभी था आप के काँधे पे बैठा, या नबी !
कर्बला में आप का वो लाडला सज्दे में है

जिस के बोसे लेते थे सुल्तान-ए-‘आलम बारहा
वो सर-ए-इब्न-ए-‘अली तन से जुदा सज्दे में है

ज़िंदगी दे कर हबीब-ए-किब्रिया के दीन को
सर कटा कर फ़ातेह-ए-कर्ब-ओ-बला सज्दे में है

जिस का, ऐ शौक़-ए-फ़रीदी ! दीन पर एहसान है
हाँ वही चश्मान-ए-ज़हरा की ज़िया सज्दे में है

Naat Lyrics in Urdu

خاکِ کربل پر علیؑ کا لاڈلا سجدے میں ہے
نوجوانانِ جناں کا بادشاہ سجدے میں ہے

جو کبھی تھا آپؐ کے کاندھے پہ بیٹھا، یا نبیؐ!
کربلا میں آپؐ کا وہ لاڈلا سجدے میں ہے

جس کے بوسے لیتے تھے سلطانِ عالمؐ بارہا
وہ سرِ ابنِ علیؑ تن سے جدا سجدے میں ہے

زندگی دے کر حبیبِ کبریاؐ کے دین کو
سر کٹا کر فاتحِ کرب و بلا سجدے میں ہے

جس کا، اے شوقِ فریدی! دین پر احسان ہے
ہاں وہی چشمانِ زہراؑ کی ضیا سجدے میں ہے

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...9,079 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,851 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,898 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,667 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,424 views

Leave a Comment