क्या है किसी से काम तुम्हें देखने के बाद | Kya Hai Kisi Se Kaam Tujhe Dekhne Ke Baad Lyrics

क्या है किसी से काम तुम्हें देखने के बाद
सब को मेरा सलाम तुम्हें देखने के बाद

कोई तबीब भी मेरा करता सदा इलाज
बस आ गया आराम तुम्हें देखने के बाद

जलवा किसी का हो या तजल्ली किसी की हो
है देखना हराम तुम्हें देखने के बाद

जिसको भी तूने जाम-ए-मोहब्बत पिला दिया
वो क्या करेगा जाम तुम्हें देखने के बाद

मेरी राह-ए-हयात के दुश्वार मरहले
हल हो गए तमाम तुम्हें देखने के बाद

सजदा करूँ तो कुफ़्र है ना सजदा करूँ तो कुफ़्र
आया है वो मक़ाम तुम्हें देखने के बाद

सजदा करूँ कि नक़्शे क़दम चूमता रहूँ
घर काबा बन गया है तुम्हें देखने के बाद

हम आ के तेरे शहर से वापस ना जायेंगे
यह फ़ैसला किया है तुम्हें देखने के बाद

लाखों हसीं सामने आये निगाह ना की
आँखों को सी लिया है तुम्हें देखने के बाद

सजदा था संगे दर पे तेरे सर था अर्श पर
ऐसी पढ़ी नमाज़ तुम्हें देखने के बाद

सजदा करूँगा तो मुझे काफ़िर कहेंगे लोग
यह कौन सोचता है तुम्हें देखने के बाद

महमूद का अयाज़ तो बस एक ही रहा
लाखों बने अयाज़ तुम्हें देखने के बाद

खोयी हुई सी रहती है हर वक़्त अब ही ना
यह हाल हो गया है तुम्हें देखने के बाद

संस्करण २ (कैसे सुकूँ पाऊँ तुझे देखने के बाद)

कैसे सुकूँ पाऊँ तुझे देखने के बाद
अब क्या ग़ज़ल सुनाऊँ तुझे देखने के बाद

आवाज़ दे रही है मेरी ज़िन्दगी मुझे
मैं जाऊँ या ना जाऊँ तुझे देखने के बाद

काबे का एहतराम भी मेरी नज़र में है
सर किस तरफ झुकाऊँ तुझे देखने के बाद

तेरी निगाहे मस्त ने मख़मूर कर दिया
क्या मयकदे को जाऊँ तुझे देखने के बाद

नज़रों में ताबे दीद ही बाक़ी नहीं रही
किस से नज़र मिलाऊँ तुझे देखने के बाद

 

 

Kya Hai Kisi Se Kaam Tujhe Dekhne Ke Baad Qawwali Lyrics

Kya Hai Kisi Se Kaam Tumhein Dekhne Ke Baad

Sab Ko Mera Salaam Tumhein Dekhne Ke Baad

Koi Tabeeb Bhi Mera Karta Sada Ilaaj

Bas Aa Gaya Araam Tumhein Dekhne Ke Baad

Jalwa Kisi Ka Ho Ya Tajalli Kisi Ki Ho

Hai Dekhna Haraam Tumhein Dekhne Ke Baad

Jisko Bhi Tune Jaam E Muhabbat Pila Diya

Wo Kya Karega Jaam Tumhein Dekhne Ke Baad

Meri Raah E Hayaat Ke Dushwaar Marhale

Hal Ho Gaye Tamaam Tumhein Dekhne Ke Baad

Sajda Karun Toh Kufr Hai Na Sajda Karun Toh Kufr

Aaya Hai Woh Makaam Tumhein Dekhne Ke Baad

Sajda Jarun Ke Nakshe Kadam Choomta Rahun

Ghar Kaaba Bann Gaya Hai Tumhein Dekhne Ke Baad

Ham Aa Ke Tere Shehar Se Waapis Na Jaayenge

Yeh Faisla Kiya Hai Tumhein Dekhne Ke Baad

Lakhon Haseen Saamne Aaye Nigah Na Ki

Ankhon Ko See Liya Hai Tumhein Dekhne Ke Baad

Sajda Tha Sang E Dar Pe Tere Sar Tha Arsh Par

Aisi Padi Namaaz Tumhein Dekhne Ke Baad

Sajda Karunga Toh Mujhe Kaafir Kahenge Log

Yeh Kaun Sochta Hai Tumhein Dekhne Ke Baad

Mehmood Ka Ayaz Toh Bas Ek Hi Raha

Lakhon Banein Ayaz Tumhein Dekhne Ke Baad

Khoyi Hui Si Rehti Hai Har Waqt Ab Hi Na

Yeh Haal Ho Gaya Hai Tumhein Dekhne Ke Baad

*******************************************

************ Other Version ****************

Kese Sukoon Paon Tujhe Dekhne Ke Baad.

Ab Kia Ghazal Sunaon Tujhe Dekhne Ke Baad.

Awaaz De Rahi Hai Meri Zindagi Mujhe.

Main Jaon Ya Na Jaon Tujhe Dekhne Ke Baad.

Kaabay Ka Ehtaraam Bhi Meri Nazar Main Hai.

Sar Kis Taraf Jhukaon Tujhe Dekhne Ke Baad.

Teri Nigah-e-mast Ne Makhmor Kar Dia.

Kia Mai-kaday Ko Jaon Tujhe Dekhne Ke Baad.

Nazron Main Tab-e-deed Hi Baqi Nahi Rahi.

Kis Se Nazar Milaon Tujhe Dekhne Ke Baad.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,551 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,724 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,146 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,893 views

Leave a Comment