zara sa pani lyrics

Haaye
Hussain Jab Key Chaley Aye Baad-e-Dopahar Ran Ko
Na Tha Koi Key Jo Thaamey Rakab-e-Tousan Ko

Sakina Thaam Rahi Thee Abaa Key Daaman Ko
Hussain Chup Ke Khadey Hain

(Wa Ghurbata Wa Museebata) ..(2)

1. Hussain Chup Ke Khadey Hue Hain
Wa Ghurbata Wa Museebata
Hussain Chup Ke Khadey hui Hain
Nazar Alam Per Gadi Hui Hai
(Sakina Thaamey Abaa Ka Daaman) ..(2)
(Ye Apne Baba Se Keh Rahi Hay) ..(2)
Aye Pyare Baba Qasam Tumhari
Main Tishna Lab Hoon
Zara Sa Paani
(Wa Ghurbata Wa Museebata) ..(2)

2. Chacha Se Aye Baba Jaan Keh Dein
Sakina Pyasi Hai Teen Din Se
(Zabaa’n Pe Kaa’nte Pade Hue Hain) ..(2)
(Key Mashk Khali Hai Teen Din Se) ..(2)
Lo Baba Dekho, Ye Mashk Khali
Main Tishna Lab Hoon
Zara Sa Paani
(Wa Ghurbata Wa Museebata) ..(2)

3. Mujhe Hai Ehsaas Mere Baba
Key Ham Se Pyase Ho Tum Ziyada
(Karungi Tum Se Na Phir Taqaza) ..(2)
(Hai Baba Beti Ka Tum Se Wada) ..(2)
Main Tum Pe Sadqey, Main Tum Pe Wari
Main Tishna Lab Hoon
Zara Sa Paani
(Wa Ghurbata Wa Museebata)..(3)
Zara Sa Paani

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,587 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

Leave a Comment