Mere Maula Mere Yawar Mere Mushkil Kusha Khwaja

मेरे मौला मेरे यावर मेरे मुश्किल-कुशा ख़्वाजा / Mere Maula Mere Yawar Mere Mushkil Kusha Khwaja
मेरे मौला मेरे यावर मेरे मुश्किल-कुशा ख़्वाजा !
ग़रीबों का दो ‘आलम में तुम्ही हो आसरा, ख़्वाजा !

मेरी औक़ात ही क्या है लिखूँ तेरी सना, ख़्वाजा !
लिखूँ जो भी तेरा रुत्बा है उस से मा-वरा, ख़्वाजा !

रसूलुल्लाह ने तुम को हुकूमत हिन्द की बख़्शी
रहोगे तुम क़यामत तक यहाँ फ़रमाँ-रवा, ख़्वाजा !

सदाक़त में, ‘अदालत में, सख़ावत में, शुजा’अत में
नबी के चार यारों का हैं रौशन आईना ख़्वाजा

हुसैन इब्न-ए-‘अली हैं दीं, बिना-ए-दीं, पनाह-ए-दीं
खुले हम पर तेरे अश’आर से असरार, या ख़्वाजा !

सलातीन-ए-जहाँ दर पर भिकारी बन के आते हैं
हुकूमत ले के फिरते हैं तेरे दर के गदा, ख़्वाजा !

तेरे दरबार-ए-आली में दु’आएँ रद नहीं होती
इमाम अहमद रज़ा ने अपने फ़तवे में लिखा, ख़्वाजा !

इमाम अहमद रज़ा ने ये ब-ख़त्त-ए-नूर लिक्खा है
निशान-ए-ख़ुल्द है तेरा मुबारक ज़ाविया, ख़्वाजा !

इमाम अहमद रज़ा ने सुन्नियों को ये बताया है
दिलेरी दबदबा शौकत तेरे औसाफ़, या ख़्वाजा !

वहाबी लाख फ़तवे शिर्क के बक लें मगर सुन्नी
मदद के वास्ते तुम को पुकारेंगे सदा, ख़्वाजा !

मुसलमानो ! न घबराओ हुकूमत के मज़ालिम से
तुम्हारी ज़िंदगी है और दुश्मन की क़ज़ा ख़्वाजा

सबूर-ए-क़ादरी रज़वी भला क्यूँ कर फिरे ख़ाली
तेरे दरबार में इस का वसीला है रज़ा, ख़्वाजा !

ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद कैफ़ी अली रज़वी
साबिर रज़ा अज़हरी सुरत

 

mere maula mere yaawar mere mushkil-kusha KHwaja !
Gareebo.n ka do ‘aalam me.n tumhi ho aasra, KHwaja !

meri auqaat hi kya hai likhu.n teri sana, KHwaja !
likhu.n jo bhi tera rutba hai us se maa-wara, KHwaja !

rasoolullah ne tum ko hukoomat hind ki baKHshi
rahoge tum qayaamat tak yahaa.n farmaa.n-rawa, KHwaja !

sadaaqat me.n ‘adaalat me.n, saKHaawat me.n, shujaa’at me.n
nabi ke chaar yaaro.n ka hai.n raushan aaina KHwaja

husain ibn-e-‘ali hai.n dee.n, bina-e-dee.n, panaah-e-dee.n
khule ham par tere ash’aar se asraar, ya KHwaja !

salaateen-e-jahaa.n dar par bhikaari ban ke aate hai.n
hukoomat le ke phirte hai.n tere dar ke gada, KHwaja !

tere darbaar-e-aali me.n du’aae.n rad nahi.n hoti
imaam ahmad raza ne apne fatwe me.n likha, KHwaja !

imaam ahmad raza ne ye ba-KHatt-e-noor likkha hai
nishaan-e-KHuld hai tera mubaarak zaawiya, KHwaja !

imaam ahmad raza ne sunniyo.n ko ye bataaya hai
dileri dabdaba shaukat tere ausaaf, ya KHwaja !

wahaabi laakh fatwe shirk ke bak le.n magar sunni
madad ke waaste tum ko pukaarenge sada, KHwaja !

musalmaano ! na ghabraao hukoomat ke mazaalim se
tumhaari zindagi hai aur dushman ki qaza KHwaja !

Saboor-e-Qaadri Razvi bhala kyu.n kar phire KHaali
tere darbaar me.n is ka waseela hai raza, KHwaja !

Naat-Khwaan:
Sayyed Kaifi Ali Razavi
Sabir Raza Azhari Surat

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...134 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...54 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...48 views

Leave a Comment