ARZO-SAMAA BANAY HAIN NAAT LYRICS

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल / Arz-o-Sama Bane Hain Isi Noor Ke Tufail
अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल
गुलशन हरे-भरे हैं इसी नूर के तुफ़ैल
दोनों जहाँ सजे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

इस नूर का अज़ल से अबद तक है सिलसिला
ये नूर वो है जिस का तरफ़-दार है ख़ुदा

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

आया है राह-ए-रास्त दिखाने के वास्ते
बंदों को उन के रब से मिलाने के वास्ते
बुनियाद बुत-कदों की गिराने के वास्ते
रस्म-ओ-रिवाज-ए-कुफ़्र मिटाने के वास्ते
इंसाँ को बंदगी का सलीक़ा सिखाएगा
ये नूर ज़ुल्मतों को उजाले बनाएगा

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

गुफ़्तार ला-जवाब है, किरदार बे-नज़ीर
हामी सितम-ज़दों का, यतीमों का दस्त-गीर
हल्क़ा-ब-गोश उस के हैं क्या शाह क्या फ़क़ीर
इंसान रह सकेगा न इंसान का असीर
भूका रहेगा ख़ुद वो जहाँ को खिलाएगा
वो अपने दुश्मनों को गले से लगाएगा

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

पैग़ाम-ए-हक़ ये सारे जहाँ को सुनाएगा
कीना-ज़दों को रश्क-ए-गुलिस्ताँ बनाएगा
हर-गाम रहमतों के ख़ज़ाने लुटाएगा
इंसान को ये दर्स-ए-उख़ुव्वत सिखाएगा
देगा कुछ इस अदा से पैग़ाम-ए-दोस्ती
ज़हनों से दूर कर देगा सदियों की दुश्मनी

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

ये साहिब-ए-जमाल है, ये साहिब-ए-कमाल
ख़ुश-दिल है, ख़ुश-पसंद है, ख़ुश-ख़ुल्क़, ख़ुश-ख़िसाल
ख़ल्लाक़-ए-दो-जहाँ की है तख़्लीक़-ए-बे-मिसाल
मुम्किन नहीं है इस को किसी दौर में ज़वाल
रौशन करेगा रुश्द-ओ-हिदायत के वो दिए
बन जाएँगे सबक़ जो हर इक दौर के लिए

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

बेशक यही है बा’इस-ए-तख़्लीक़-ए-काइनात
चमकेगा उस के हुस्न से हर गोशा-ए-हयात
रासिख़ है उस का क़ौल तो सच्ची है हर इक बात
दिल में है उस के रहम, नज़र में है इल्तिफ़ात
उस के करम की हद है न कोई हिसाब है
जिस पर निगाह डाल दे वो आफ़ताब है

अर्ज़-ओ-समा बने हैं इसी नूर के तुफ़ैल
तारे चमक रहे हैं इसी नूर के तुफ़ैल

आया है मुफ़्लिसों की हिमायत लिए हुए
मज़्लूमों बेकसों की मोहब्बत लिए हुए
अहल-ए-गुनाह के हक़ में शफ़ा’अत लिए हुए
सारे जहान के लिए रहमत लिए हुए
होगा उसी की ज़ात पे क़ुरआन का नुज़ूल
वो आख़िरी किताब है, ये आख़िरी रसूल


ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
अल्लामा हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी

 


arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail
gulshan hare-bhare hai.n isi noor ke tufail
dono.n jahaa.n saje hai.n isi noor ke tufail

is noor ka azal se abad tak hai silsila
ye noor wo hai jis ka taraf-daar hai KHuda

arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail

aaya hai raah-e-raast dikhaane ke waaste
bando.n ko un ke rab se milaane ke waaste
buniyaad but-kado.n ki giraane ke waaste
rasm-o-riwaaj-e-kufr miTaane ke waaste
insaa.n ko bandagi ka saleeqa sikhaaega
ye noor zulmato.n ko ujaale banaaega

arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail

guftaar laa-jawaab hai, kirdaar be-nazeer
haami sitam-zado.n ka, yateemo.n ka dast-geer
halqa-ba-gosh us ke hai.n kya shaah kya faqeer
insaan reh sakega na insaan ka aseer
bhooka rahega KHud wo jahaa.n ko khilaaega
wo apne dushmano.n ko gale se lagaaega

arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail

paiGaam-e-haq ye saare jahaa.n ko sunaaega
keena-zado.n ko rashk-e-gulistaa.n banaaega
har-gaam rahmato.n ke KHazaane luTaaega
insaan ko ye dars-e-uKHuwwat sikhaaega
dega kuchh is ada se paiGaam-e-dosti
zehno.n se door kar dega sadiyo.n ki dushmani

arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail

ye saahib-e-jamaal hai, ye saahib-e-kamaal
KHush-dil hai, KHush-pasand hai, KHush-KHulq, KHush-KHisaal
KHallaaq-e-do-jahaa.n ki hai taKHleeq-e-be-misaal
mumkin nahi.n hai is ko kisi daur me.n zawaal
raushan karega rushd-o-hidaayat ke wo diye
ban jaaenge sabaq jo har ik daur ke liye

arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail

beshak yahi hai baa’is-e-taKHleeq-e-kaainaat
chamkega us ke husn se har gosha-e-hayaat
raasiKH hai us ka qaul to sachchi hai har ik baat
dil me.n hai us ke rahm, nazar me.n hai iltifaat
us ke karam ki had hai na koi hisaab hai
jis par nigaah Daal de wo aaftaab hai

arz-o-sama bane hai.n isi noor ke tufail
taare chamak rahe hai.n isi noor ke tufail

aaya hai mufliso.n ki himaayat liye hue
mazloomo.n bekaso.n ki mohabbat liye hue
ahl-e-gunaah ke haq me.n shafaa’at liye hue
saare jahaan ke liye rahmat liye hue
hoga usi ki zaat pe qur.aan ka nuzool
wo aaKHiri kitaab hai, ye aaKHiri rasool


Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Allama Hafiz Bilal Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,360 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...818 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment