Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye
Mehboob Ke Dar Par Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye
Qismat Apni Chamkau Wo Waqt E Mubarak Aaye

Jab Pesh E Nazar Ho Mere Minar O Ghumbad Tere
Main Ghash Kha-kar Gir Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Fir Tere Ghumbad E Khazra Pe Rookar Dast-ba-dasta
Sab Haal Main Tumko Sunau Wo Waqt E Mubarak Aaye

Dilko Apne Samjhakar Deedar Ki Aas Dila Kar
Ro-Ro Kar Main So Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Wo Khwab ME Jalwa Dikhaye Ay Kaash Karam Farmaye
Main Qadmo Mein Gir Jau(n) Wo Waqt E Mubarak Aaye

Hai Dil Ka Ubaid Ye Armaa(n) Fir Banke Unka Mehmaa(n)
Darbaar Mein Naat Sunau Wo Waqt E Mubarak Aaye

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,618 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,771 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,640 views

Leave a Comment