Hazrat Ameer -e- Muawiya Sahaba Wa Ahle Bait Ki Nazar Mein

Hazrat Ameer -e- Muawiya Sahaba Wa Ahle Bait Ki Nazar Mein

Hazrat Ali Bin Abu Talib Radiallaho Ta’ala Anho Ne Jung -e- Siffeen Se Waapsi Par Farmaya Ki,
Hazrat Ameer -e- Muawiya Ki Hukumat Ko Bura Na Samjho, Allah Ki Qasam! Jab Wo Nahin Honge To Sar Kat Kat Kar Andraayin Ke Phoolo Ki Tarah Zameen Par Girenge

(دلائل النبوہ للبیھقی، ج6، ص466)
(طبقات ابن سعد، ج6، ص20)
(سیر اعلام النبلاء، ج4، ص302)
(البدایہ والنھایہ، ج5، ص634)
(تاریخ ابن عساکر، ج59، ص152)

Hazrat Saad Bin Abi Waqas Farmate Hain Ki,
Maine Hazrat Usman Ghani Ke Baad Haque Ke Saath Faisla Karne Waala Hazrat Ameer -e- Muawiya Se Behtar Nahin Dekha

(تاریخ ابن عساکر، ج59، ص161)

Hazrat Abdullah Bin Umar Farmate Hain Ki,
Maine Rasoolullah Ke Baad Hazrat Ameer -e- Muawiya Jaisa Koi Sardaar Nahin Dekha

(معجم کبیر، ج12، ص387، حديث13432)

Ek Riwayat Bukhari Shareef Mein Hai Ke Hazrat Abdullah Bin Abbas Ne Farmaya Ki,
Hazrat Ameer -e- Muawiya Faqeeh Hain

(بخاری، ج2، ص550)

Hazrat Abu Darda Farmate Hain Ki,
Maine Hazrat Ameer -e- Muawiya Ke Ilawa Koi Aisa Shakhs Nahin Dekha Jiski Namaz Nabi Ki Namaz Se Zyada Mushabahat Rakhti Ho

(مجمع الزوائد، ج9، ص595، حديث15920)

Hazrat Abdullah Bin Amr Farmate Hain Ki,
Hazrat Ameer -e- Muawiya Nabi Ke Samne Baith Kar Likha Karte The

(مجمع الزوائد، ج9، ص594، حديث15924)

Hazrat Kaab Bin Maalik Farmate Hain Ki,
Jaisi Hukmarani Hazrat Ameer -e- Muawiya Ne Ki Hai Waisi Hukumat Is Ummat Ka Koi Bhi Fard Nahin Karega

(طبقات ابن سعد، ج6، ص20)
(سیر اعلام النبلاء، ج4، ص308)

Hazrat Umair Bin Saad Farmate Hain Ki,
Hazrat Ameer -e- Muawiya Ka Zikr Sirf Khairo Bhalayi Se Hi Karo

(ترمذی، ج5، ص455، حديث3869)
(تاریخ کبیر، ج7، ص204، رقم1405)

popular posts

Leave a Comment