Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics

Dil madinah mera bana Aaqa (SAW),
Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa (SAW).

Ab huzoori ho, dur doori ho,
Phir madinay mujhe bula Aaqa (SAW).

Maut kay baad, bhi suroor aaye,
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa (SAW).

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,
Koi zara Tu (SAW) kar ataa Aaqa (SAW).

Kash roay Khashiyat-e-Rab say,
Behr-e-Farooq (Radi Allah Anhu) dil mera Aaka (SAW).

Behr-e-Usman (Radi Allah Anhu) ba haya mujh ko,
Dijiye dolat-e-haya Aqa (SAW).

Behr-e-Mola Ali (Alaihis Salaam) mujhe ghalba,
Dushmano per tu kar ataa Aaka (SAW).

Az paye Fatima (Radi Allahu Anha) mujhe apnay,
Ishq mein har ghari rula Aaka (SAW).

Behr-e-Hasnain (Radi Allahu Anhu) day panah mujh ko,
Paikar-e-sabr or riza Aaqa (SAW).

Mujh ko sadqay mein Bu-Hanifa (Radi Allah Anhu) kay,
Aalim-e-baa amal bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam (Radi Allah Anhu) ka,
Naik seerat mujhe bana Aaqa (SAW).

Waasta tujh ko Alahazrat (Radi Allah Anho) ka,
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa (SAW).

Mere ahlo-ayaal ore mujh say,
Door ho jaye har bala Aaqa (SAW).

Muskura kar Ubaid say keh do,
Tu mera banda mein tera Aaqa (SAW).

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...71 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...60 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...56 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...40 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...32 views

Leave a Comment