Nibhaalo Tum Nibhaalo Tum Nibhaalo Ya Rasool Allah
Bulaalo Ab Madine Mey Bulaalo Ya Rasool Allah
Satate Hain Jo Duniya Wale Is Ka Kuch Nahi Hain Gham
Mujhe Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah
Sunehri Jaaliyon Key Saamne Pohcha Hoon Mey Aaqa
Mujhe Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah
Meri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo
Sanwaaro Meri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah
‘Ataa Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ataa Ho Deed Ki Daulat
Damey Aakhir Madina Bhi ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Shafa’at Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mai Rehmat Ka
Ijaabat Se Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah
Mo’in-e-Raah-e-Taiba Hain Mere Khwaja Mo’inuddeen
Mo’in-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah
Tasadduq Ghaus e A’azam Ka Tawassul A’ala Hazrat Ka
Baqee-e-Paak Ke Qaabil Banaado Ya Rasool Allah
Nigah-e-Mufti-e A’azam Ney Zinda Kardiya Dil Ko
Unhi Ka Saath Mehshar Me ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Tamanna Ye Liye Jaata Hai Aaqa Shakir e Razvi
Ise Izne Madina Phir ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah
Nibhalo Tum Nibhalo Tum Nibhalo Ya Rasoolallah Lyrics
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,656 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,845 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,794 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,273 views