Pursukoon Zindagi Chahte Ho Agar Badnigahi Na Kar Lyrics

Pursukoon zindagi, chahten hon agar
پرُ سکوں زندگی چاہتے ہو اگر
Rab ki mansha pe chal, Banda-e-Bekhabar
رب کی منشاپہ چل بندہِ بے خبر
Bad nigahi na kar, Bad nigahi na kar
بد نگاہی نہ کر بد نگاہی نہ کر

Aankh purnam na hon
Dil mein kuchh gham na hon
Maqsad-e-zindagi
Ghair mahram na ho
Bekhabar chhor aawargi-e-nazar
Bad nigahi na kar, bad nigahi na kar

Pursukoon zindagi, chahten hon agar
Rab ki mansha pe chal, banda-e-bekhabar
Bad nigahi na kar, Bad nigahi na kar

Masnooi yaar ka
Masnooi pyar hai
Masnooi pyar mein
Dil giraftar hai
Rab ki janib chalo, Tez se tez tar
Bad nigahi na kar, bad nigahi na kar

Pursukoon zindagi, chahten hon agar
Rab ki mansha pe chal, banda-e-bekhabar
Bad nigahi na kar, Bad nigahi na kar

Tujhko degree mili
Dagar-e-maula nahi
Tere honthon pe kyun
Zikr-e-maula nahi
Raah-e-shaitan ko chhor de ae bashar
Bad nigahi na kar, bad nigahi na kar

Pursukoon zindagi, chahten hon agar
Rab ki mansha pe chal, banda-e-bekhabar
Bad nigahi na kar, Bad nigahi na kar

Dil pareshan hai
Masiyat chhor de
Rab meharban hai
Masiyat chhor de
Chahten hon duaon mein hudhud asar
Bad nigahi na kar, bad nigahi na kar

Pursukoon zindagi, chahten hon agar
Rab ki mansha pe chal, banda-e-bekhabar
Bad nigahi na kar, Bad nigahi na kar

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment