tazmeen-salam-e-raza

Mustafa Jaane Rehmat Tazmeen (Dard E Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam)
Jisne Hum Ko Diya Hai Khuda Ka Payaam

Jiska Aala Hai Rutba Hai Aala Maqaam

Jinke Sadqe Mein Hai Ye Zamee(n) Aasmaan

Jinki Tareef Mein Hai Ye Saara Qur’aan

Saare Nabiyo Mein Aala Hai Jinka Maqaam

Kyun Na Un Par Padhe Jhoom Kar Hum Salaam

Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam

Sham’e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam

Dard E Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam

Isliye Naam Aaqa Ka Lete Hai Hum

Jhoom Kar Likh Raha Hai Raza Ka Kalam

Shehr E Yaar E Iram Taajdaar E Haram

Nau Bahaare Shafa’at Pe Laakhon Salaam

Aaya Saa’il To Muh Ka Niwaala Diya

Nazar Altaf Daali Gani Kar Diya

Anpe Nana Ka Wada Wafaa Kar Diya

Ghar Ka Ghar Sab Supurde Khuda Kar Diya

Us Hussain Ibne Haidar Pe Lakho Salam

Jinki Maa Fatima Aur Hai Nana Rasool

Kitni Pakeeza Hai Unke Qadmo Ki Dhool

Marhaba Marhaba Wo Hai Aale Rasool

Kitne Mehke Huwe Hai Madine Ke Phool

Karbala Teri Qismat Pe Laakhon Salaam

Kitni Arfaa Hai Shaane Habeebe Khuda

Maalike Dosaraa Sarware Ambiya

Muqtadi Jis Ke Sab, Sab Ka Jo Muqtada

Jis Ke Zere Liwa Aadam O Mansiva

Us Sazaa E Siyaadat Pe Laakhon Salaam

Dooba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahi

Koi Misle Yadullah Bhi Dekha Nahi

Jiski Taaqat Ka Koi Thikaana Nahi

Jisko Baare Do Aalam Ki Parvah Nahi

Aise Baazu Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam

Kamli Wale Ki Jisko Rafaaqat Mili

Sab Sahaba Ki Jisko Imamat Mili

Sabse Pahle Jise Hai Khilafat Mili

Baad Nabiyon Ke Jisko Hai Izzat Mili

Uske Taaje Khilafat Pe Laakhon Salaam

Deen O Duniya Diye Maal Aur Zar Diya

Hoor O Ghilman Diye Khuld O Kausar Diya

Daaman E Maqsad E Zindagi Bhar Diya

Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya

Mauje Behre Samaahat Pe Laakhon Salaam

Jinki Azmat Pe Sadqe Waqaare Haram

Jinki Zulfon Pe Sadqe Bahaare Haram

Nau Shaa E Bazme Parwar Digaare Haram

Shahre Yaare Iram Taajdaare Haram

Nau Bahaar E Shafa’at Pe Laakhon Salaam

Jinke Chehre Pe Jalwon Ka Pehra Raha

Najm O Taha Ke Jhurmut Mein Chehra Raha

Husn Jiska Har Ek Shab Me Gehra Raha

Jiske Mathe Shafa’at Ka Sehra Raha

Us Jabeen E Sa’aadat Pe Laakhon Salaam

Laa Makaa(n) Ki Zamee(n) Behre Kaaba Jhuki

Rif’at E Manzil E Arsh E Aala Jhuki

Azmat E Qibla E Deen O Duniya Jhuki

Jinke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki

Un Bhawon Ki Latafat Pe Laakhon Salaam

Pad Gayi Jis Pe Mehshar Mein Bakhsha Gaya

Dekha Jis Samt Abre Karam Chaa Gaya

Rukh Jidhar Ho Gaya Zingadi Pa Gaya

Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya

Us Nigahe Inaayat Pe Laakhon Salaam

Jis Ke Jalwe Zamaane Pe Chaane Lage

Jiski Zou Se Andhere Thikaane Lage

Jis Se Zulmat Kade Noor Paane Lage

Jis Se Tareek Dil Jagmagane Lage

Us Chamak Wali Rangat Pe Laakhon Salaam

Kuljume Husn Ki Jinko Shakhe Kahen

Jin Se Sote Latafat Ke Futa Karen

Jin Se Nahre Tajalli Ki Jaari Rahen

Noor Ke Chashme Lehraaye Dariya Bahen

Ungliyon Ki Karamat Pe Laakhon Salaam

Kaaba E Deen O Din Yaani Naksh E Qadam

Jinki Azmat Nahi Arshe Aazam Se Kam

Har Bulandi Ka Sar Ho Gaya Jis Pe Kham

Khaayi Qur’aa(n) Ne Khake Guzar Ki Qasam

Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakhon Salaam

Main Bhi Hu Ik Gada E Dar E Auliya

Main Bhi Hu Ik Sage Kuye Gousul Wara

Main Bhi Hu Zarra E Kucha E Mustafa

Tere Un Dosto Ke Tufail E Khuda

Bandaye Nange Khalqat Pe Laakhon Salaam

Abre Jood O Ataa Kis Pe Barsa Nahin

Tera Lutf O Karam Kis Pe Dekha Nahin

Kis Jagah Aur Kahan Tera Jalwa Nahin

Ek Mera Hi Rehmat Pe Daawa Nahin

Shah Ki Saari Ummat Pe Lakhon Salaam

Aftaab E Qayamat Ke Badle Hon Taur

Jab Ke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Daur

Jab Kisi Ko Na Ho Fursat O Fikr O Gaur

Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur

Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Laakhon Salaam

Murshidi Shah Ahmad Raza Khan Raza

Faiziyabe Kamaalate Hassan Raza

Saath Akhtar Bhi Ho Zam Zama Khan Raza

Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Ha Raza

Mustafa Jane Rehmat Pe Laakhon Salaam

Shamye Bazme Hidayat Pe Laakhon Salaam

popular posts

Leave a Comment