Karam Allah Farmana Tere Darbar Me Aon Lyrics

Haazir hain tere darbaar me hum,
Allah karam, Allah karam.
Deti hai sadaa ye chashm e nam,
Allah karam, Allah karam.

Hai patse har ek gardan kham hai,
Har aankh nadaamat se nam hai,
Har chehre pe hai ashqon se ratam,
Allah karam, Allah karam.

Haazir hain tere darbaar me hum,
Allah karam, Allah karam.

Jin logon pe hai in’aam tera,
Un logon me likh de naam mera.
Mehshar me mera rehjaaye bharam,
Allah karam, Allah karam.

Har saal talab karna mujhko,
Har saal ye sheher dikhana mujhko.
Har saal karun mai taufe haram,
Allah karam, Allah karam

Meri aane waali sab naslein,
Tere ghar aaye, tera dar dekhe.
Asbaab ho unko aese baham,
Allah karam, Allah karam.

Iss wird me umr kate saari,
Hothon pe sabeeh rahe jaari.
Allah karam, Allah karam,
Allah karam, Allah karam.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,655 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,574 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,292 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,085 views

Leave a Comment