Yaad Aate Hain Manzar Haram Ke Lyrics

याद आते हैं मंज़र हरम के | जब भी आता है हज का महीना / Yaad Aate Hain Manzar Haram Ke | Jab Bhi Aata Hai Hajj Ka Mahina
कभी तो दूँगा मैं जा कर सदाएँ ख़ान-ए-का’बा में
करूँगा मैं भी, फ़ारूक़ी ! दु’आएँ ख़ान-ए-का’बा में

लब्बैक लब्बैक अल्लाहुम्म लब्बैक
लब्बैक लब्बैक अल्लाहुम्म लब्बैक
लब्बैक लब्बैक अल्लाहुम्म लब्बैक

याद आते हैं मंज़र हरम के, जब भी आता है हज का महीना
रूह का’बे के जल्वों को तरसे, दिल पुकारे मदीना मदीना

याद आते हैं मंज़र हरम के, जब भी आता है हज का महीना

मैं भी देखूँ सफ़ा और मरवा, मैं भी या मौला ! घर तेरे आऊँ
बीबी ज़हरा के बच्चों का सदक़ा, पार हो अब मेरा भी सफ़ीना

याद आते हैं मंज़र हरम के, जब भी आता है हज का महीना

हाजिओ ! उन के दर पर भी जाओ, जिन को मालिक ने मालिक बनाया
जो हैं सुलतान दोनों जहाँ के, जिन के क़दमों में है हर ख़ज़ीना

याद आते हैं मंज़र हरम के, जब भी आता है हज का महीना

बे-मज़ा है ज़माने की रौनक़, सारी रा’नाइयाँ बे-असर हैं
मैं मदीने की यादों में गुम हूँ, हिज्र-ए-तयबा में ज़ख़्मी है सीना

याद आते हैं मंज़र हरम के, जब भी आता है हज का महीना

दूर, फ़ारूक़ी ! आक़ा के दर से, दूर फ़ारूक़ी ! तयबा नगर से
मुझ को बे-रंग लगती है दुनिया, मुझ को बे-कार लगता है जीना

याद आते हैं मंज़र हरम के, जब भी आता है हज का महीना

शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी

ना’त-ख़्वाँ:
उमैर ज़ुबैर

 

kabhi to doonga mai.n jaa kar sadaae.n KHaan-e-kaa’ba me.n
karunga mai.n bhi, Faarooqi ! du’aae.n KHaan-e-kaa’ba me.n

labbaik labbaik allahumma labbaik
labbaik labbaik allahumma labbaik
labbaik labbaik allahumma labbaik

yaad aate hain manzar haram ke
jab bhi aata hai haj ka mahina
rooh kaa’be ke jalwo.n ko tarse
dil pukaare madina madina

yaad aate hain manzar haram ke
jab bhi aata hai haj ka mahina

mai.n bhi dekhu.n safa aur marwa
mai.n bhi, ya maula ! ghar tere aau.n
bibi zahra ke bachcho.n ka sadqa
paar ho ab mera bhi safeena

yaad aate hain manzar haram ke
jab bhi aata hai haj ka mahina

haajiyo ! un ke dar par bhi jaao
jin ko maalik ne maalik banaaya
jo hai.n sultaan dono.n jahaa.n ke
jin ke qadmo.n me.n hai har KHazeena

yaad aate hain manzar haram ke
jab bhi aata hai haj ka mahina

be-maza hai zamaane ki raunaq
saari raa’naaiyaa.n be-asar hai.n
mai.n madine ki yaado.n me.n gum hu.n
hijr-e-tayba me.n zaKHmi hai seena

yaad aate hain manzar haram ke
jab bhi aata hai haj ka mahina

door, Faarooqi ! aaqa ke dar se
door, Faarooqi ! tayba nagar se
mujh ko be-rang lagti hai duniya
mujh ko be-kaar lagta hai jeena

yaad aate hain manzar haram ke
jab bhi aata hai haj ka mahina

Poet:
Sohail Kaleem Farooqi

Naat-Khwaan:
Umair Zubair

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...134 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...54 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...48 views

Leave a Comment