Ye Dil Bhi Hussaini Hai Manqabat Lyrics

ये दिल भी हुसैनी है, ये जाँ भी हुसैनी है / Ye Dil Bhi Husaini Hai, Ye Jaan Bhi Husaini Hai
ये दिल भी हुसैनी है, ये जाँ भी हुसैनी है
सद-शुक्र कि अपना तो ईमाँ भी हुसैनी है

तू माने या न माने, अपना तो अक़ीदा है
हर क़ारी के होंटों पर क़ुरआँ भी हुसैनी है

रौनक़ है मसाजिद में शब्बीर के सदक़े से
मिम्बर भी हुसैनी है, आज़ाँ भी हुसैनी है

जिब्रील झुलाता है हसनैन के झूले को
लगता है कि आक़ा का दरबाँ भी हुसैनी है

गिरने नहीं देता है काँधों से नवासों को
क्या ख़ूब कि नबियों का सुल्ताँ भी हुसैनी है

धड़कन की नगरिया में देखा तो नज़र आया
हसरत भी हुसैनी है, अरमाँ भी हुसैनी है

तुम समझो या न समझो, ए अहल-ए-जहाँ ! लेकिन
है लब पे जो हाकिम के ये बयाँ भी हुसैनी है

शायर:
अहमद अली हाकिम

नात-ख़्वाँ:
मीलाद रज़ा क़ादरी
अहमद अली हाकिम
हसन बिन ख़ुर्शीद

 

ye dil bhi husaini hai, ye jaa.n bhi husaini hai
sad-shukr ki apna to imaa.n bhi husaini hai

tu maane ya na maane, apna to aqeeda hai
har qaari ke honto.n par qur.aa.n bhi husaini hai

raunaq hai masaajid me.n shabbir ke sadqe se
mimbar bhi husaini hai, aazaa.n bhi husaini hai

jibreel jhulaata hai hasnain ke jhoole ko
lagta hai ki aaqa ka darbaa.n bhi husaini hai

girne nahi.n deta hai kaandho.n se nawaaso.n ko
kya KHoob ki nabiyo.n ka sultaa.n bhi husaini hai

dha.Dkan ki nagariya me.n dekha to nazar aaya
hasrat bhi husaini hai, armaa.n bhi husaini hai

tum samjho ya na samjho, ai ahl-e-jahaa.n ! lekin
hai lab pe jo Haakim ke ye bayaa.n bhi husaini hai

Poet:
Ahmed Ali Hakim

Naat-Khwaan:
Milad Raza Qadri
Ahmed Ali Hakim
Hasan bin Khurshid

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...275 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...160 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...124 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...121 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...111 views

Leave a Comment