Khaak Me Khaak E Bashar Phir Se Mila De Zahra

Khak Mein Khak e Bashar Phir Se Mila De Zahra Lyrics 2023
Khak Mein Khak e Bashar Phir Se Mila De Zahra.
Apni Chakki Ko Agar Ulta Chala De Zahra.

Koi Mosa Koi Salman Bana De Zahra.
Raz-e-Tauheed Jisay Jitna Bata De Zahra.

Chahe Tu Hur Ko Woh Romal Se Nori Kar De.
Chahe Tu Khak Se Hawa Ko Bana De Zahra.

Khak Se Hawa Banana Bhi Koi Mojza Hai.
Yeh Hunar Chahe Tu Fizza Ko Sikha De Zahra.

Sar-e-Mehshar Ho Ajab Lutf Ali Samne Hoon.
Our ALLAH Ko Ali(JJH) Keh Ke Sada De Zahra.

Kali Kamli Se Bhi Jab Zoaf-e-Badan Baqi Hai.
Apne Baba Ko Zara Apni Rida De Zahra.

Keh Diya Zahra Ne Ja Chain Se So Ja Ke Bilal.
Ab Agar Niklay Tu Soraj Ko Bhuja De Zahra.

Murtajiz Ke Liye Aayat Na Utrein Kyun Kar.
Apni Chadar Mein Ossay Roz Giza De Zahra.

Abu Talib Ki Baho Our Ali Ki Zojah.
Haq Hai Kabay Pe Agar Tala Laga De Zahra.

Roz Kehte Hain Ali Rizq Ki Taqseem Ke Waqt.
Rizq Dena Hai Kisay Kitna Bata De Zahra.

Dekh Kar Bibi Ko Tasbeeh Mein Kehti Thi Namaz.
Panjgana Mujhe Jeene Ki Dua De Zahra.

Arsh Ban Jaye Khuda Aa Ke Wahan Bas Jaye.
Tu Jahan Apne Qabiley Ko Basa De Zahra.

Farsh-e-Matam Pe Dua Mangi Hai Main Ne :AKBAR:.
Aansoon Ki Mujhe Aanso Hi Jaza De Zahra

Poet: :Hasnain Akbar:

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,656 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,845 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,794 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,273 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,912 views

Leave a Comment