Meraj Ki Shab Ye Dhoom Machi Wo Arsh Pe Aane Wale Hain

मेराज की शब ये धूम मची वो अर्श पे आने वाले हैं / Meraj Ki Shab Ye Dhoom Machi Wo Arsh Pe Aane Wale Hain
मे’राज की शब ये धूम मची, वो ‘अर्श पे आने वाले हैं
मुश्ताक़-ए-ज़ियारत आ जाएँ, वो जल्वा दिखाने वाले हैं

जिब्रील ने हूरों से ये कहा, दम भर में वो आने वाले हैं
जी भर के ज़ियारत कर लेना, हम साथ में लाने वाले हैं

मे’राज की शब ख़ालिक़ ने कहा, जिब्रील अदब से रहना ज़रा
तू शान को उन की क्या जाने, मेहमान जो आने वाले हैं

जब तूर पे मूसा ने अरिनी कहा, तो ‘अर्श से फ़ौरन आई निदा
बेहोश न हो जाना, मूसा ! हम पर्दा उठाने वाले हैं

पर्दे को उठा कर रब ने कहा, महबूब ज़रा अंदर आ जा
उम्मत के लिए अब हम तुम को पैग़ाम सुनाने वाले हैं

क़िस्मत पे, ज़मीर ! अब नाज़ाँ हो, सर सज्दे में रख कर शुक्र करो
सुल्तान-ए-मदीना अब तुम को रौज़े पे बुलाने वाले हैं

ना’त-ख़्वाँ:
शब्बीर अहमद मुज़फ़्फ़रपुरी

 

me’raaj ki shab ye dhoom machi
wo ‘arsh pe aane waale hai.n
mushtaaq-e-ziyaarat aa jaae.n
wo jalwa dikhaane waale hai.n

jibreel ne hooro.n se ye kaha
dam bhar me.n wo aane waale hai.n
jee bhar ke ziyaarat kar lena
ham saath me.n laane waale hai.n

me’raaj ki shab KHaaliq ne kaha
jibreel adab se rehna zara
tu shaan ko un ki kya jaane
mehmaan jo aane waale hai.n

jab toor pe moosa ne arini kaha
to ‘arsh se fauran aai nida
behosh na ho jaana, moosa !
ham parda uThaane waale hai.n

parde ko uTha kar rab ne kaha
mehboob zara andar aa jaa
ummat ke liye ab ham tum ko
paiGaam sunaane waale hai.n

qismat pe, Zameer ! ab naaza.n ho
sar sajde me.n rakh kar shukr karo
sultaan-e-madina ab tum ko
rauze pe bulaane waale hai.n

Naat-Khwaan:
Shabbir Ahmad Muzaffarpuri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...134 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...54 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...50 views

Leave a Comment