Me Lab Kusha Nahi Hun Aur Mahwe Iitijaa Hun Lyrics

मैं लब-कुशा नहीं हूँ और महव-ए-इल्तिजा हूँ / Main Lab Kusha Nahin Hun Aur Mahw-e-Iltija Hun
बाब-ए-जिब्रील के पहलू में ज़रा धीरे से
फ़ख़्र कहते हुए जिब्रील को यूँ पाया गया

अपनी पलकों से दर-ए-यार पे दस्तक देना
ऊँची आवाज़ हुई ‘उम्र का सरमाया गया

मैं लब-कुशा नहीं हूँ और महव-ए-इल्तिजा हूँ
मैं महफ़िल-ए-हरम के आदाब जानता हूँ

ये रौशनी सी क्या है ? ख़ुश्बू कहाँ से आई ?
शायद मैं चलते चलते रौज़े तक आ गया हूँ

तयबा के सब गदागर पहचानते हैं मुझ को
मुझ को ख़बर नहीं थी मैं इस-क़दर बड़ा हूँ

कोई तो आँख वाला गुज़रेगा इस तरफ़ से
तयबा के रास्ते में, मैं मुंतज़िर खड़ा हूँ

दूरी-ओ-हाज़िरी में इक बात मुश्तरक है
कुछ ख़्वाब देखता था, कुछ ख़्वाब देखता हूँ

उन को अगर न चाहूँ तो और किस को चाहूँ
जो हैं ख़ुदा के प्यारे, मैं उन को चाहता हूँ

ऐसा कोई मुसाफ़िर शायद कहीं न होगा
देखे बग़ैर अपनी मंज़िल से आशना हूँ

इक़बाल ! मुझ को अब भी महसूस हो रहा है
रौज़े के सामने हूँ और ना’त पढ़ रहा हूँ

शायर:
इक़बाल अज़ीम

ना’त-ख़्वाँ:
ख़ालिद हसनैन ख़ालिद
ओवैस रज़ा क़ादरी

 

baab-e-jibreel ke pehlu me.n zara dheere se
faKHr kehte hue jibreel ko yu.n paaya gaya

apni palko.n se dar-e-yaar pe dastak dena
unchi aawaaz hui ‘umr ka sarmaaya gaya

mai.n lab-kusha nahi.n hu.n aur mahw-e-iltija hu.n
mai.n mehfil-e-haram ke aadaab jaanta hu.n

ye raushani si kya hai ? KHushboo kahaa.n se aai ?
shaayad mai.n chalte chalte rauze tak aa gaya hu.n

tayba ke sab gadaagar pehchaante hai.n mujh ko
mujh ko KHabar nahi.n thi mai.n is-qadar ba.Da hu.n

koi to aankh waala guzrega is taraf se
tayba ke raaste me.n, mai.n muntazir kha.Da hu.n

doori-o-haaziri me.n ik baat mushtarak hai
kuchh KHwaab dekhta tha, kuchh KHwaab dekhta hu.n

un ko agar na chaahu.n to aur kis ko chaahu.n
jo hai.n KHuda ke pyaare, mai.n un ko chaahta hu.n

aisa koi musaafir shaayad kahi.n na hoga
dekhe baGair apni manzil se aashna hu.n

Iqbal ! mujh ko ab bhi mahsoos ho raha hai
rauze ke saamne hu.n aur naa’t pa.Dh raha hu.n

Poet:
Iqbal Azeem

Naat-Khwaan:
Khalid Hasnain Khalid
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment