Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics

Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics

Saba ka seena banay safeena
Zara tabiyat rawan dawan ho
Durood ki anjuman sajaoon
Dahn mein Jibrail ki zubaan ho

Khayal ho salsbeel jaisa
Jal’oo mein lafzoon ka karwan ho.

Kahin Qabila ho Auliya ka,
Kahin pay Behlol ki dukaan ho.

Mein apni sochoon ko aab e Kausar mein ghusl de doon to imtihaan ho.
Agar yeh sab kuch milay to madh e Shahenshah e Mashriqain likhoon.

Haya ki takhti pay apni palkoon say,
Phir mein Lafz e Hussain likhoon

——– ————- ——–

Khuloos ki roshnai lay ker, ba deeda e tar Hussain likhna,
Tum aisa karna, kitab e dil kay warq warq per Hussain likhna.

Tumharay tareek manzroon mein, ujalay phootain gay noor ban kar,
Tum aisa karna, kay apnay ghar mein, durood parh ker Hussain likhna.

Hussain likh ker, phir isko likhna, phir isko likh kar tum aisa karna,
Jo aaj tak bhi likha hai tum nay, tum uska mehwar Hussain likhna.

Woh barchiyaan woh chamaktay khanjar, woh tapta sehra pukartay hain,
Tum aisa kerna, tum aisa kerna, ke Karbala ke badan per ja ker Hussain likhna.

Agar kitabat ka shouq ho jo tum ko, kitab e SABR O RAZA mein [Your Name],
Jahan shaheedon ka naam likho, to sab say upper “HUSSAIN” likhna.

Tum aisa karna, Hussain likhna, Hussain likhna!

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,918 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...898 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...705 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...514 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...473 views

Leave a Comment