Khaak E Madina Hoti Mai N Khaaksaar Hota Lyrics

ख़ाक-ए-मदीना होती, मैं ख़ाकसार होता / Khaak-e-Madina Hoti, Main Khaaksaar Hota

ख़ाक-ए-मदीना होती, मैं ख़ाकसार होता
होती रह-ए-मदीना मेरा ग़ुबार होता

आक़ा अगर करम से तयबा मुझे बुलाते
रौज़े पर सदक़े होता, उन पर निसार होता

वो बेकसों के आक़ा, बेकस को गर बुलाते
क्यूँ सब की ठोकरों पर पड़ कर वो ख़्वार होता

तयबा में गर मुयस्सर दो-गज़ ज़मीन होती
उन के क़रीब बसता, दिल को क़रार होता

मर मिट के ख़ूब लगती मिट्टी मेरी ठिकाने
गर उन की रह-गुज़र पर मेरा मज़ार होता

ये आरज़ू है दिल की होता वो सब्ज़-गुम्बद
और मैं ग़ुबार बन कर उस पर निसार होता

बे-चैन दिल को अब तक समझा बुझा के रखा
मगर अब तो इस से, आक़ा ! नहीं इंतिज़ार होता

सालिक ! हुए हम उन के, वो भी हुए हमारे
दिल-ए-मुज़्तरिब को लेकिन नहीं ए’तिबार होता

शायर:
मुफ़्ती अहमद यार ख़ान नईमी

ना’त-ख़्वाँ:
क़ारी ख़लील अत्तारी

 

KHaak-e-madina hoti, mai.n KHaaksaar hota
hoti rahe madina mera Gubaar hota

aaqa agar karam se tayba mujhe bulaate
rauze par sadqe hota, un par nisaar hota

wo bekaso.n ke aaqa, bekas ko gar bulaate
kyu.n sab ki Thokro.n par pa.D kar wo KHwaar hota

tayba me.n gar muyassar do-gaz zameen hoti
un ke qareeb basta, dil ko qaraar hota

mar miT ke KHoob lagti miTTi meri Thikaane
gar un ki rah-guzar par mera mazaar hota

ye aarzoo hai dil ki hota wo sabz-gumbad
aur mai.n Gubaar ban kar us par nisaar hota

be-chain dil ko ab tak samjha bujha ke rakha
magar ab to is se, aaqa ! nahi.n intizaar hota

Saalik ! hue ham un ke, wo bhi hue hamaare
dil-e-muztarib ko lekin nahi.n e’tibaar hota

Poet:
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi

Naat-Khwaan:
Qari Khalil Attari

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...67 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...55 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...55 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...36 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...29 views

Leave a Comment