Mustafa E Zaate Yakta Aap Hain

मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं / Mustafa-e-Zaat-e-Yakta Aap Hain
मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं
यक ने जिस को यक बनाया, आप हैं

आप जैसा कोई हो सकता नहीं
अपनी हर ख़ूबी में तन्हा आप हैं

आब-ओ-गिल में नूर की पहली किरन
जान-ए-आदम, जान-ए-हव्वा आप हैं

हुस्न-ए-अव्वल की नुमूद-ए-अव्वलीं
बज़्म-ए-आख़िर का उजाला आप हैं

ला-मकाँ तक जिस की फैली रौशनी
वो चराग़-ए-‘आलम-आरा आप हैं

नाज़िश-ए-‘अर्श-ओ-वक़ार-ए-‘अशियाँ
साहिब-ए-क़ौसैन-ओ-अदना आप हैं

आप की तल’अत ख़ुदा का आईना
जिस में चमके हक़ का जल्वा, आप हैं

आप को रब ने किया अपना हबीब
सारी ख़ल्क़त का ख़ुलासा आप हैं

आप की ख़ातिर बनाए दो जहाँ
अपनी ख़ातिर जो बनाया, आप हैं

आप से ख़ुद आप का साइल हूँ मैं
जान-ए-जाँ ! मेरी तमन्ना आप हैं

आप की तल’अत को देखा, जान दी
क़ब्र में पहुँचा तो देखा आप हैं

बर दरत आमद गदा बहर-ए-सुवाल
हो भला अख़्तर का, दाता आप हैं

शायर:
अख़्तर रज़ा ख़ान

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
डॉ.निसार अहमद मार्फ़ानी
असद इक़बाल

 

mustafa-e-zaat-e-yakta aap hai.n
yak ne jis ko yak banaaya, aap hai.n

aap jaisa koi ho sakta nahi.n
apni har KHoobi me.n tanha aap hai.n

aab-o-gil me.n noor ki pahli kiran
jaan-e-aadam, jaan-e-hawwa aap hai.n

husn-e-awwal ki numood-e-awwalee.n
bazm-e-aaKHir ka ujaala aap hai.n

laa-makaa.n tak jis ki phaili raushni
wo charaaG-e-‘aalam-aara aap hai.n

naazish-e-‘arsh-o-waqaar-e-‘arshiyaa.n
saahib-e-qausain-o-adna aap hai.n

aap ki tal’at KHuda ka aaina
jis me.n chamke haq ka jalwa, aap hai.n

aap ko rab ne kiya apna habeeb
saari KHalqat ka KHulaasa aap hai.n

aap se KHud aap ka saail hu.n mai.n
jaan-e-jaa.n ! meri tamanna aap hai.n

aap ki tal’at ko dekha, jaan di
qabr me.n pahuncha to dekha aap hai.n

bar darat aamad gadaa bahr-e-suwaal
ho bhala AKHtar ka, daata aap hai.n

Poet:
Akhtar Raza Khan

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Dr. Nisar Ahmad Marfani
Asad Iqbal

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...133 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...54 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...48 views

Leave a Comment