Millat Ke Rehnuma Hain Hazrat Imam Jafar Lyrics

मिल्लत के रहनुमा हैं हज़रत इमाम जाफ़र | सरदार-ए-औलिया हैं हज़रत इमाम जाफ़र / Millat Ke Rehnuma Hain Hazrat Imam Jafar | Sardar-e-Auliya Hain Hazrat Imam Jafar

 

मिल्लत के रहनुमा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र
सरदार-ए-औलिया हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

किरदार में झलक है अनवार-ए-मुस्तफ़ा की
नूरानी आईना हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

इन को वसीला कर लो, सब कुछ तुम्हें मिलेगा
अल्लाह की रिज़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

सीना-ब-सीना पहुँची हसनैन की विरासत
फ़रज़ंद-ए-मुर्तज़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

इन से हुई दो-बाला सादात की तजल्ली
इक नय्यर-ए-सफ़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

कौनैन की बुलंदी है इन के नक़्श-ए-पा में
महबूब-ए-मुस्तफ़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

सिद्दीक़ के करम से इन का लक़ब है सादिक़
फ़ारूक़ की ‘अता हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

कूँडे का ये तबर्रुक दिल-ताब-ओ-जाँ-फ़िज़ा है
ईमान की ज़िया हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

जो कुछ भी इन से माँगा, हम को मिला, फ़रीदी !
‘उस्मान की सख़ा हैं हज़रत इमाम जा’फ़र

शायर:
सलमान रज़ा फ़रीदी

ना’त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी

Millat Ke Rehnuma Hain Hazrat Imam Jafar Lyrics

Millat Ke Rahnuma Hain Hazrat Imaam Jaa’far
Sardaar-E-Auliya Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Kirdaar Men Jhalak Hai Anwaar-E-Mustafa Ki
Nooraani Aaina Hain Hazrat Imaam Jaa’far

In Ko Waseela Kar Lo, Sab Kuchh Tumhen Milega
Allah Ki Riza Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Seena-Ba-Seena Pahunchi Hasnain Ki Wiraasat
Farzand-E-Murtaza Hain Hazrat Imaam Jaa’far

In Se Hui Do-Baala Saadaat Ki Tajalli
Ik Nayyar-E-Safa Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Kaunain Ki Bulandi Hai In Ke Naqsh-E-Paa Men
Mahboob-E-Mustafa Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Siddiq Ke Karam Se In Ka Laqab Hai Saadiq
Faarooq Ki ‘Ata Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Kunde Ka Ye Tabarruk Dil-Taab-O-Jaan-Fiza Hai
Imaan Ki Ziya Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Jo Kuchh Bhi In Se Maanga, Ham Ko Mila, Fareedi !
‘Usmaan Ki Sakha Hain Hazrat Imaam Jaa’far

Poet:
Salman Raza Fareedi

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
हिन्दी
ENG

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,333 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...926 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...815 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...524 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...502 views

Leave a Comment