Ae Mola Meray Sun Lyrics

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Ya same’e ad-dua, Ya same’e ad-dua
Ya same’e ad-dua, Ya same’e ad-dua

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Iman ho apna sahaba sa
Kirdar ho roshan Quran sa

Ho noor-e-yaqeen soorat se ‘ayan
Sun meri dua, sun meri sada

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Ya same’e ad-dua, Ya same’e ad-dua
Ya same’e ad-dua, Ya same’e ad-dua

Duniya mein ho ya phir youm-e-hashr
Har lamha teri rahmat ki nazar

Chahat hi nahin mujhe iske siwa
Sun meri dua, sun meri sada

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Haatho ko uthaye hue ghamgeen
Sajdon mein kabhi jhukti hai jabin

Daman hai tere aage hi khula
Sun meri dua, sun meri sada

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Aansu hain jahan in aakhon mein
Ikhlas hai sisakti aahon mein

Har waqt-e-sehar kar maaf khata
Sun meri dua, sun meri sada

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Ya same’e ad-dua, Ya same’e ad-dua
Ya same’e ad-dua, Ya same’e ad-dua

Hai dil mein tamanna meri sada
Shohda ki safon mein ho apni ye jaan

Jannat se mujhe bhi aaye nida
Sun meri dua, sun meri sada

Ae maula mere, Ae mere Ilah
Sun meri dua, sun meri sada

Chaaye na maayusi dil pe kabhi
Hongi yeh duyaen qubool sabhi

Tu hi to hai sabka same’e ad-dua
Sun meri dua, sun meri sada

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment