Jannat Me Le Ke Jaye Gi Chahat Rasool Ki Naat Lyrics

क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की / Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
क्यूँकर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की

चलता हूँ मैं भी, क़ाफ़िले वालो ! रुको ज़रा
मिलने दो बस मुझे भी इजाज़त रसूल की

पूछें जो दीन-ओ-ईमाँ नकीरैन क़ब्र में
उस वक़्त मेरे लब पे हो मिदहत रसूल की

क़ब्र में सरकार आएँ तो मैं क़दमों में गिरूँ
गर फ़रिश्ते भी उठाएँ तो मैं उन से यूँ कहूँ
अब तो पा-ए-नाज़ से मैं, ऐ फ़रिश्तो ! क्यूँ उठूँ ?
मर के पहुँचा हूँ यहाँ इस दिलरुबा के वास्ते

तड़पा के उन के क़दमों में मुझ को गिरा दे शौक़
जिस वक़्त हो लहद में ज़ियारत रसूल की

सरकार ने बुला के मदीना दिखा दिया
होगी मुझे नसीब शफ़ा’अत रसूल की

या रब ! दिखा दे आज की शब जल्वा-ए-हबीब
इक बार तो ‘अता हो ज़ियारत रसूल की

इन आँखों का वर्ना कोई मसरफ़ ही नहीं है
सरकार ! तुम्हारा रुख़-ए-ज़ेबा नज़र आए

या रब ! दिखा दे आज की शब जल्वा-ए-हबीब
इक बार तो ‘अता हो ज़ियारत रसूल की

तू है ग़ुलाम उन का, ‘उबैद-ए-रज़ा ! तेरे
महशर में होगी साथ हिमायत रसूल की

शायर:
ओवैस रज़ा क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
फ़रहान अली क़ादरी
लाइबा फ़ातिमा

 

kyunkar na mere dil me.n ho ulfat rasool ki
jannat me.n le ke jaaegi chaahat rasool ki

chalta hu.n mai.n bhi, qaafile waalo ! ruko zara
milne do bas mujhe bhi ijaazat rasool ki

poochhe.n jo deen-o-imaa.n nakirain qabr me.n
us waqt mere lab pe ho mid.hat rasool ki

qabr me.n sarkaar aae.n to mai.n qadmo.n me.n giru.n
gar farishte bhi uThaaae.n to mai.n un se yu.n kahu.n
ab to paa-e-naaz se mai.n, ai farishto ! kyu.n uThu.n ?
mar ke pahuncha hu.n yaha.n is dilruba ke waaste

ta.Dpa ke un ke qadmo.n me.n mujh ko gira de shauq
jis waqt ho lahad me.n ziyaarat rasool ki

sarkaar ne bula ke madina dikha diya
hogi mujhe naseeb shafaa’at rasool ki

ya rab ! dikha de aaj ki shab jalwa-e-habeeb
ik baar to ‘ata ho ziyaarat rasool ki

in aankho.n ka warna koi masraf hi nahi.n hai
sarkaar ! tumhaara ruKH-e-zeba nazar aae

ya rab ! dikha de aaj ki shab jalwa-e-habeeb
ik baar to ‘ata ho ziyaarat rasool ki

tu hai Gulaam un ka, ‘Ubaid-e-Raza ! tere
mehshar me.n hogi saath himaayat rasool ki

Poet:
Owais Raza Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Farhan Ali Qadri
Laiba Fatima
हिन्दी
ENG

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...90 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...73 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...61 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...47 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...37 views

Leave a Comment