Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain Lyrics

Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai – Mir Hasan Mir

 

 

Aaj bhi Zainab ki aati hai sada bhai Hussain (x2).
Tera chehra teri aankhein bhool kab paayi Hussain.

Aaj bhi Zainab ki aati hai sada bhai Hussain.

1. Chaltay naaqay se giraya khud ko jalti rayt par (x2).
Ghutniyo ke bal main teri laash tak aayi Hussain.

2. Bas main ghabrayi thi khanjar tujh pe chalta dekh kar (x2).
Phir kisi mushkil mein ghir kar main na ghabrayi Hussain.

3. Kaun tha jo marnay waloan mein nahi tha khubaru (x2).
Bhoolnay baithi to kis kis ki na yaad aayi Hussain.

4. Beh rahay thay aankh se aansu teri rukhsat ke waqt.
Phir koi aansu na tapka aankh pathrayi Hussain.

5. Haath mein koozay liye sab aasman taktay rahay (x2).
Abr ne ek boondh pani ki na barsayi Hussain.

6. Duur uftada safar se laut kar maine naved.
Thanda pani jab piya bas teri yaad aayi Hussain (x2).

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,211 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,609 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,067 views

Leave a Comment