SULTANE JAHAN MEHBOOBE KHUDA TERI SHAANO SHAUKAT KYA KEHNA NAAT LYRICS

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna

Hai Sar Par Taaj Nabuwwatka, Jora Hai Tan Pe Karamat Ka
Sehra Hai Jabin Par Shafa’aat Ka, Ummat Pe Hai Rehmat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna

Mairaj Hui Ta Arsh Gaye, Haqq Tum Se Mila Tum Haqq Se Miley
Sab Razey Fa Awha Dil Pe Khuley, Yeh Izzato Hashmat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna

Sab Misle Hatheli Peshe Nazar, Har Ghaib Ayan Hain Sine Par
Yeh Noore Nazar Yeh Chashm-O-Basar, Yeh Ilmo Hikmat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna

Siddique-O-Umar, Usman-O-Ali Aur Unke Siva Ashabey Nabi
Qurban Rahey Aqa Pe Sabhi, Ki Khub Rifaqat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna

Ankhon Se Kiya Dariya Jari Aur Lab Pe Dua Pyari, Pyari
Ro-Ro Ke Guzari Shab Sari, Aey Hamiye Ummat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna

Shohrat Hai Jamil Itni Teri, Yeh Sab Hai Karamat Murshid Ki
Kehte Hain Tujhe Madda-Hey Nabi, Sab Ahley Sunnat Kya Kehna

Sultane Jahan Mehboobe Khuda, Teri Shaano Shaukat Kya Kehna
Har Shay Pe Likha Hai Naam Tera, Tere Zikr Ki Rafa’aat Kya Kehna.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,950 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,099 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...967 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...754 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...737 views

Leave a Comment