Aaqa Ka Badan Noorani Badan Naat Lyrics

Aaqa Ka Badan Noorani Badan Naat Lyrics

 

 

Aaqa Ka Badan Noorani Badan,
Noorani Badan Lasani Badan.

Nabi Hain Noori Dahan Wale,
Nabi Hain Noori Sukhan Wale,
Nabi Hain Noori Zaqan Wale,

Aaqa Ka Badan Noorani Badan,
Noorani Badan Lasani Badan.

Anmol Nagina Kehte Hain,
Rehmat Ka Dafeena Kehte Hain,
Aalam Ka Khazeena Kehte Hain,
Jise Log Madina Kehte Hain,
Wo Shehre Nabi Hai Shehre Nabi,
Rehmat Ka Jahan Barse Saawan.

Dil Ka Guldaan Mehakta Hai,
Har Waqt Har Aan Mehakta Hai,
Tu Maane Na Maan Mehakta Hai,
Jis Se Imaan Mehakta Hai.
Aisa Hai Paseena Aaqa Ka,
Paaye To Mehak Jaati Hai Dulhan.

Har Sunni Ki Shaan Raza,
Hai Ahle Sunan Ki Jaan Raza,
Hai Imaani Chattan Raza,
Marehra Ki Pehchan Raza,
Un Pyare Nabi Ke Aashiq Pe,
Qurban Hai Apna Tan-Man-Dhan.

Aaqa Ka Badan Noorani Badan,
Noorani Badan Lasani Badan.

~Asad Iqbal Calcutta

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,142 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,945 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,927 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,586 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,034 views

Leave a Comment