Tu Hi Malik E Behrobar Hai Lyrics

Tu Hi Malik E Behrobar Hai Lyrics

 

 

Tu Hi Malik e Bahro Bar hai

Tu Hi Malik e Bahro Bar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….
Tu Hi Khalik e Jinno Bashar Hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Tu Abadi hai Tu Azali hai
Tera Naam Alim o Ali hai
Zaat Teri sab se bartar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Vasf baya karte hai saare
Sang o shajar aur chand sitare
Tasbeeh e har khushk o tar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Tera charcha har ghar angan
Sehra Sehra gulshan gulshan
Vasif har fool aur samar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Khalkat jab paani ko tarse
RimZim Rim Zim barkha barse
Har ek par rehmat ki nazar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Raat ne jab sar apna chhupaya
Chidiyon ne ye zikr sunaya
Nagma baar naseem e sahar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Bakhsh de tu Attar ko maula
Vasta tuj ko us pyare ka
Jo sab nabiyon ka sarvar hai
Ya Allah Hu Ya Allah ……….

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,616 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,770 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,640 views

Leave a Comment