Aandhiyon Mein Bhi Jala Hai Maslak E Ahmad Raza Lyrics
Aandhiyon Mein Bhi Jalaa Hai Maslak e Ahmad Raza [Lyrics]
Aandhiyoñ meiñ bhi jalaa hai Maslak e Ahmad Raza.
Woh charaagh e Mustafaa hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Sham’e Deen e Mustafaa hai Maslak e Ahmad Raza,
Ya’ni Ahmad ki Raza hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Kis meiñ hai mehboobiyat aur kis meiñ mardoodiyat,
Door se pehchaanta hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Aashiqaan e Mustafaa ki ungliyaañ pakre huwe,
Soowe Jannat le chala hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Maslak e Ahmad Raza koi nayaa maslak nahiñ,
Khuld waala raasta hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Maslak e Ahmad Raza par harf aa sakta nahiñ,
Bu Haneefa ki ataa hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Hazrat e Noori Miyañ ka qawl e faisal dekhiye,
Mere gharka ka ek diya hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Aap Barkaati gharaane meiñ to chal kar dekhiye,
Bachcha Bachcha bolta hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Woh Dar e Ghawth ul Waraa se Khwaaja e Ajmer se,
Laa ke sab ko jhorta hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Kya mitaayega koi Ahmad Raza ke naam ko,
Ghawth o Khwaja ki raza hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Najdiyoñ ‘ishq e shehenshaah e Madinah ke siwa,
Tum se kya kuch maangta hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.
Nagma e ‘ishq e Risaalat ke waseele se ASAD,
Rooh ko tarpaa raha hai Maslak e Ahmad Raza.
Maslak e Ahmad Raza ho zindaabaad ho zindaabaad.