Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics

उन का मँगता हूँ जो मँगता नहीं होने देते / Un Ka Mangta Hun Jo Mangta Nahin Hone Dete
उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते
ये हवाले मुझे रुस्वा नहीं होने देते

उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते

मेरे हर ‘ऐब की करते हैं वो पर्दा-पोशी
मेरे जुर्मों का तमाशा नहीं होने देते

उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते

अपने मँगतों की वो फ़ेहरिस्त में रखते हैं सदा
मुझ को मोहताज किसी का नहीं होने देते

उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते

है ये ईमान कि आएँगे लहद में मेरी
अपने मँगतों को वो तन्हा नहीं होने देते

उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते

ना’त पढ़ता हूँ तो आती है महक तयबा की
मेरे लहजे को वो मैला नहीं होने देते

उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते

आप की याद से रहती है नमी आँखों में
मेरे दरियाओं को सहरा नहीं होने देते

उन का मँगता हूँ, जो मँगता नहीं होने देते

हुक्म करते हैं तो मिलते हैं ये मक़्ते, शाकिर !
आप न चाहें तो मतला’ नहीं होने देते


शायर:
तन्वीरुल्लाह शाकिर

नात-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
क़ारी शाहिद महमूद

 


un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete
ye hawaale mujhe ruswa nahi.n hone dete

un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete

mere har ‘aib ki karte hai.n wo parda-poshi
mere jurmo.n ka tamaasha nahi.n hone dete

un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete

apne mangto.n ki wo fehrist me.n rakhte hai.n sada
mujh ko mohtaaj kisi ka nahi.n hone dete

un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete

hai ye imaan ki aae.nge lahad me.n meri
apne mangto.n ko wo tanha nahi.n hone dete

un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete

naa’t pa.Dhta hu.n to aati hai mahak tayba ki
mere lahje ko wo maila nahi.n hone dete

un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete

aap ki yaad se rahti hai nami aankho.n me.n
mere dariyao.n ko sahra nahi.n hone dete

un ka mangta hu.n, jo mangta nahi.n hone dete

hukm karte hai.n to milte hai.n ye maqte, Shaakir !
aap na chaahe.n to matla’ nahi.n hone dete


Poet:
Tanveerullah Shakir

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Ghulam Mustafa Qadri
Qari Shahid Mahmood
हिन्दी
ENG

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,333 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...926 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...815 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...524 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...502 views

Leave a Comment