Ya Nabi Salaam Alaika Lyrics
Ya Nabi Salaam Alaika(urdu)
Sehar Ka Waqt Hai, Masoom Kaliyaan Muskurati Hain,
Hawwaein Khair E Maqtam Kay Taranay Gungunati Hain,
Farishtoon Ki Salami Denay Wali Fauj Gati Thi,
Janab E Amina Sunti Thein, Yeh Awaz Aati Thi,
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawaa Tullah Alaika
Baksh Do Jo Cheez Chaho
Kiu(n) Kay Mehboob-e-khuda Ho
Mustafa Ho Mujtaba Ho
Jo Kahuu(n) Ussay Siwa Ho
Jaa(n) Kani Ke Waqt Aana
Kalima – E – Tayyab Perhana
Makr E Shaitaa(n) Se Bachana
Apne Daaman Mai(n) Chhupaana
Waasta E Aale Aba Ka
Sadqa Hazrat Fatimah Ka
Aur Shaheed – E – Karbala Ka
Gham Na Ho Roz – E – Jaza Ka
Rehmatow(n) Ke Taj Waalay
Do Jahaan Ke Raaj Waalay
Arsh Ki Miraaj Waalay
Aansioo(n) Ke Laaj Waalay
Jaan Ker Kaafi Sahaara
Le Liya Hai Der Tumhara
Khalq Ke Waris Khudaraa
Low Salaam Ab To Hamara
Aye Shehenshah – E – Zamaana
Apka Ye Aastana
Rehmatow(n) Ka Hai Khazana
Ho Nigah – E – Meherbana
Aye Shehenshah – E – Madina
Noor Say Mamoor Sina
Mushk Say Behtar Pasina
Dekhlay(n) Hum Sub Madina
Aap Ka Tashreef Lana
Waqt Bhi Kitna Suhana
Jagmagaa Utha Zamana
Hoore Gaatihi Tarana
Itna Karam Shahe Zaman Ho
Khali Rooh Se Badan Ho
Aap Ke Shahr Ka Kafan
Aur Madine Mein Dafan Ho
Kab Woh Aeyga Mahina
Jab Chale Apna Safina
Su’ey Gulzare Madinah
Ya Mujhe Bas Saelina
Mustafa Khir Ul Wara Ho,
Sarware Har Do Sara Ho,
Apnay Achoon Ka Tasaduk,
Hum Badoon Ko Bhi Niba Ho
Ho Mubarak Ahle Imaan,
Ho Gayi Subhay Baharaan,
Ho Gaya Har Ghar Charaghan,
Swalawatullah Alaika.
Amina Bibi Ka Jaya,
Baharwi Tareekh Aaya,
Subhe Saadiq Nay Sunaya,
Swalawatullah Alaika
Hai Ye Hasrath Dar Pe Aye
Asqh Ke Darya Bahayen
Daag Seene Ke Dhikaayen
Saamne Ho Kar Sunaayen
Noori Jah Rab Ye Dua Kar
Ham Dare Maula Se Jaa Kar
Pehle Kuch Naate Suna Kar
Ye Padhen Sarko Juka Kar
Ranjo Gham Khaye Hue Hain
Door Se Aye Hue Hain
Tum Pe Itraye Hue Hain
Haat Payla Hue Hain
Waqth Ka Chamke Sitaara
Haazreen Ka Ishara
Dekh Kar Roza Pyara
Pir Padhen Khadim Thumhara
Jaan Kar Kafi Sahara
Leliya Hai Dar Thumara
Khalq Ke Wari Khudara
Yun Salam Ab Tho Hamara
Aap Shahe Insoja Hain
Bayishe Kounon Maqam Hai
Rahnuma Yeh Do Jahan Hain
Pesh Waye Mursila Hain
Noore Rabbul Aalameen Ho
Jalwa Haqqul Yaqeen Ho
Sarware Duniya Deen Ho
Dil Men Aankhon Men Makeen Ho
Baadshahe Anbiya Ho
Noore Zaathe Kibriya Ho
Haamiye Rouze Jaga Ho
Khalq Ke Mushqil Kusha Ho
Arshe Azam Par Thumeen Ho
Khalq Ke Rahbar Thumeen Ho
Saaqiye Kausar Thumeen Ho
Shafaye Mahshar Thumeen Ho
Teri Aarzoo Men Jeena
Teri Justju Men Marna
Yehi Meri Zindagi Hai
Yehi Meri Bandagi Hai
Door Rahe Gham Ka Kinaara
Sarware Aalam Khudara
Deejiye Jaldi Sahara
Paar Ho Beda Hamaara
Mere Maula Mere Sarwar
Hai Yahi Armaane Akbar
Pehle Qadmon Par Rakhen Sar
Pir Kahen Yeh Sar Utha Kar
Akbare Shahzad Thumara
Pir Raha Hai Mara Mara
Jabaja Thumko Pukhara
Iski Ab Sunlo Khudara
Asiqhe Mayil Ki Sunlo
Baaniye Mahfil Ki Sunlo
Samayeen Ke Dil Ki Sunlo
Akbare Bismil Ki Sunlo
Chor Kar Daaman Tumhaara
Aur Le Kis Ka Sahaara
Kaun Hai Daata Hamaara
Kis Ke Dar Pe Ho Guzaara
Aap Ke Dar Ki Faqiri
Do Jahaa(n) Ki Hai Amiri
Ab Aa Gaya Waqte Piri
Kijiyo Lillaah Dastgiri
Puri Ya Rabb, Yeh Dua Kar
Ham Dare Maula Pe Jaakar
Pehle Kuch Na’atei(n) Suna Kar
Phir Parhei(n) Sar Ko Jhuka Kar
Laaein Jo Imaan Tum Par
Kyun Na Dein Woh Jaan Tum Par
Maherbaan Rehmaan Tum Par
Khalq Sab Qurbaan Tum Par
Hijr Mein Mushkil Hai Jina
Dil Hua Chaak Aur Sina
Thaamiye Mera Safina
Ya Shaafi Al Muznabina
Kaash Haasil Ho Huzoori
Door Ho Jaaey Yeh Duri
Dil Ki Yeh Hasrat Ho Puri
Dekh Loon Woh Shakle Noori
Dil Mein Tum Masnad Nasheen Ho
Is Makaan Ke Tumhi Makeen Ho
Ham Marein To Woh Zameen Ho
Aur Sirhaane Bhi Tum Hi Ho
Nooh Ke Tum Naakhuda Ho
Khalq Ke Mushkil Kusha Ho
Sab Ke Tum Haajat Rawa Ho
Jo Kahoon Us Se Siwa Ho
Bakhsh Do Meri Khataaein
Door Ho Gham Ki Ghataaein
Bhej Do Apni Ataaein
Wajd Mein Ham Yoon Sunaaein
Hashr Mein Tum Bakhswaana
Jab Kaheen Na Ho Thikaana
Apne Daaman Mein Chupaana
Har Musibat Se Bachaana
Jaan Kani Ke Waqt Aana
Kalimaaey Tayyab Padhana
Chehraaey Anwar Dikhaana
Ham Ko Imaan Par Uthaana
Aey Shafi-aey Roze Mehshar
Hai Siyaah Isyaan Se Daftar
Ghaus Ka Sad’qah Karam Kar
Chash’me Dil Ko Kar Ke Munawwar
Aey Saba Roze Pe Jaana
Daste Basta Yeh Keh Sunaana
Ya Nabi Dar Pe Bulaana
Aur Jalwaae Zeba Dikhaana
Fakhre Adam Fakhre Hawwa
Fakhre Nooho Fakhre Yahya
Fakhre Ibrahimo Musa
Fakhre Ismailo Isa
Aey Shahenshaahe Risaalat
Hai Yahaan Jo Ahl-e Sunnat
Daaey-mi Sab Par Ho Rehmat
Baaniye Mehfil Pe Barkat
Assalaam Aey Jaane Aa’lam
Assalaam Imaane Aa’lam
Shaahe Dee(n) Sultaane Aa’lam
Tum Se Hai Samaane Aa’lam
Assalaam Aey Shaahe Aa’lam
Assalaam Ummat Ke Waali
Jholi Reh Jaaey Na Khaali
Arz Karte Hain Sawaali
Katra Katra Darya Darya
Dharra Dharra Tara Tara
Jab Hue Sarkar Paida
Sara Aalam Kah Raha Tha
Hashr Main Sab Ik Kinare
Ummati Thay Dam Ko Maare
Agaye Jab Wo To Saare
Dekh Kar Un Ko Pukarein
Ik Jhalak Jo Dekh Paon
Jaan Mein Tum Par Lutaon
Raah Main Ankhein Bichaon
Dast Basta Pir Sunaon
Naib-e-ashaab-o-sarwar
Pehle Hein Siddiq-e-akbar
Pir Umr Uthman-o-haider
Beyjiyay Salaam In Par
Deen-e-haq Ki Dhaal Donon
Hein Yeh Be Missal Donon
Fatimah Kay Laal Donon
Mustafa Kee Aal Donon
Is Jahan Se Jab Safar Ho
Roo-e-pak Par Nazar Ho
Yeh Karam Naseer Par Ho
Us Ka Sar Ho Tera Dar Ho
As Salaam Aye Sabz Gumbad Ke Makeeen
As Salaam Ya Rahmatallil Aalameen
As Salaam Aye Sub Rasulown Ke Rasul
Ye Salaam – E – Aajizana Ho Qubool
Ya Illahi Waasta
Aalay Rasul
Ye Salaam – E – Aajizana
Ho Qubool
Ya Nabi Salaam Alaika (Banda E Bedaam Hoon Mai)
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
Salawatullah Alaika
Banda E Bedaam Hoon Mai
Behunar Badnam Hoon Mai
Markaz E Alaam Hoon Mai
Paikar E Nakaam Hoon Mai
Ranj O Gham Ka Ek Samaa(n) Hai
Ashk Ka Dariya Rawaa(n) Hai
Roz O Shab Lab Par Fughaa(n) Hai
Raah Taiba Ki Kaha(n) Hai
Tum Ne Murdo Ko Jilaya
Kalima E Taiyyab Parhaya
Jaam Vehdat Ka Pilaya
Haq E Tala Se Milaya
Khwaab Me Tashreef Lana
Zulf Ki Khushboo Sunghana
Apni Surat Ab Dikhana
Mar Raha Hoon Mai Jilana
Kaash Taiba Me Guzar Ho
Sar Ho Mera Aur Wo Dar Ho
Ankh Meri Bas Udhar Ho
Gumbad E Khizra Jidhar Ho
Ya Muzammil Ya Mudassir
Tum Pe Sadkhe Hai Mera Ghar
Noor E Haq Ke Tum Ho Paikar
Haq E Tala Ke Ho Dilbar
Muflis O Nadaar Hoon Mai
Ya Nabi Lachaar Hoon Mai
Hind Se Bezaar Hoon Mai
Hukm Ho Taiyyaar Hoon Mai
Surmagi Akhon Me Laali
Kandhe Par Kamli Wo Kaali
Dar Tumhara Hai Wo Aali
Sari Duniya Hai Sawaali
Aap Hi Se Deen O Imaan
Aap Hi Se Raah E Yasdaan
Aap Hi Se Shar He Quraan
Aap Hi Se Haq Ka Farmaan
Ankh Me Surat Tumhari
Qalb Me Seerat Tumhari
Dil Me Hai Azmat Tumhari
Lab Pe Hai Mudhat Tumhari
Muttaqui Hai Ek Dewaana
Shaha Is Ko Mat Bhulaana
Ho Chuka Hai Be Thikaana
Apne Khadmon Me Bulaana
Ya Nabi Salaamun Alaika (Apne Girte Ko Sambhalo)
Ya Nabi Salaamun Alaika
Ya Rasool Salaamun Alaika
Ya Habeeb Salaamun Alaika
Salawaatullah Alaika
Apne Girte Ko Sambhalo
Nafs O Shaitaan Se Chhudalo
Apna Hi Banda Banaalo
Naare Dozakh Se Bachaalo
Kufr Ke Pehle The Phere
Shirk Tha Aalam Ko Ghere
Phaile Jab Anwaar Tere
Mit Gaye Saare Andhere
Aap Se Saara Jahaa(n) Hai
Aap Ka Kaun O Makaa(n) Hai
Jo Ayaa(n) Hai Aur Nihaa(n) Hai
Unki Rehmat Ka Nishaa(n) Hai
Daawar E Mehshar Ke Aage
Parda Mera Khul Na Jaaye
Apne Daaman Mein Chupale
Main Teri Rehmat Ke Sadqe
Ne’matur Rehaman E Timmat
Rehmatur Rehmaan E ‘Ammat
Hiqmatur Rehmaan E Jammat
Hain Ye Saa’ate Musarrat
Makhzan E Jood O Sakhawat
Mamba E Rushd O Hidaayat
Marja E Sidq O Adaalat
Maalike Shar’a O Siyaadat
Aap Ka Burhaan Ahkar
Jubba Saa Hai Aastaan Par
Aye Mere Mehboob E Daawar
Ho Nigaah E Lutf Mujh Par
Ya Nabi Salaam Alaika(urdu And Arabic Mix)
Sehar Ka Waqt Hai, Masoom Kaliyaan Muskurati Hain,
Hawwaein Khair E Maqtam Kay Taranay Gungunati Hain,
Farishtoon Ki Salami Denay Wali Fauj Gati Thi,
Janab E Amina Sunti Thein, Yeh Awaz Aati Thi,
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawaatulla Alaika
Tala Al-badru ‘Alayna
Min Thani Aatil Wada’i
Wajaba Sh-shukru ‘Alayna
Mada Aa Lil Lahi Daa’i
Anta Shamsun Anta Badrun
Anta Nurun Fawka Nuri
Anta Iqseer Runw-wa Ghali
Anta Misbah Hus-sudoori
Ya Habibi Ya Muhammad
Ya ‘Arusal Khofiqoini
Ya Muayyad Ya Mumajjad
Ya Imamal Qiblataini
Jaan Ker Kaafi Sahaara
Le Liya Hai Der Tumhara
Khalq Ke Waris Khudaraa
Low Salaam Ab To Hamara
Rehmatow(n) Ke Taj Waalay
Do Jahaan Ke Raaj Waalay
Arsh Ki Miraaj Waalay
Aansioo(n) Ke Laaj Waalay
Waasta E Aale Aba Ka
Sadqa Hazrat Fatimah Ka
Aur Shaheed – E – Karbala Ka
Gham Na Ho Roz – E – Jaza Ka
As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay Faizay Azam,
Sadqaye Imam E Azam,
Door Houn Sabh Hi Kay Ranj O Gham
Mustafa Khir Ul Wara Ho,
Sarware Har Do Sara Ho,
Apnay Achoon Ka Tasaduk,
Hum Badoon Ko Bhi Niba Ho
Ayyuha L-mab’u Thufina
Ji’ta Bi L-amri L-mutaa’i
Ji’ta Sharafat Al-madinah
Marhaban Ya Khayra Da’i
As Salaam Aye Sabz Gumbad Ke Makeeen
As Salaam Ya Rahmatallil Aalameen
As Salaam Aye Sub Rasulown Ke Rasul
Ye Salaam – E – Aajizana Ho Qubool
Ya Illahi Waasta
Aalay Rasul
Ye Salaam – E – Aajizana
Ho Qubool
Ya Nabi Salaam Alaika (Aap Hai Mehboob E Aalam)
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
Salawatullah Alaika
Aap Hai Mehboob E Aalam
Mazhare Rehmat Mujassam
Aap Par Qurbaa(n) Rahe Hum
Wird Rakhte Hai Ye Har Dum
Bakht Gar Bedaar Hota
Khwab Mein Deedaar Hota
Sadqe Main Sau Baar Hota
Mere Oopar Pyaar Hota
Mar Raha Hu Mai Jilaa Do
Shakl Noorani Dikha Do
Ambaree(n) Zulfein Sungha Do
Apna Shaidaayi Bana Do
Hashr Ke Din Kaam Aana
Naare Dozakh Se Bachaana
Rauza E Rizwaa(n) Dikhaana
Saagar E Kausar Pilaana
Ashrafi Shaida Tumhara
Kar Ke Duniya Se Kinaara
Rakhta Hai Tum Se Sahaara
Lo Khabar Jaldi Khudara
Ya Nabi Salaam Alaika (Hashr Mein Sab Ek Kinare)
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
Salawatullah Alaika
Hashr Mein Sab Ek Kinare
Ummati The Dam Ko Maare
Aagaye Jab Woh To Saare
Dekh Kar Unko Pukaare
Ik Jhalak Jo Dekh Paau
Jaan Mai Tum Par Lootau
Raah Mein Ankhein Bichaau
Dasta Basta Phir Sounaau
Naayib-e-ashaab-o-sarwar
Pehle Hain Siddique-e-akbar
Phir Umar Usman-o-haidar
Bhejiye Salaam Un Par
Deene Haq Ki Dhaal Dono
Hain Ye Bemisaal Dono
Fatima Ke Laal Dono
Mustafa Ki Aal Dono
Is Jahaa(n) Se Jab Safar Ho
Roo-e-paak Par Nazar Ho
Ye Karam Naseer Par Ho
Uska Sar Ho Tera Dar Ho
Ya Nabi Salaam Alaika (Mustafa Khairul Wara Ho)
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
Salawaatullah Alaika
Mustafa Khairul Wara Ho
Sarwar E Har Do Sara Ho
Apne Achchon Ka Tasadduq
Hum Bado(n) Ko Bhi Nibaho
Kiske Phir Ho Kar Rahe(n) Hum
Gar Tumhi(n) Hum Ko Na Chaho
Bad Hanse(n) Tum Un Ki Khaatir
Raat Bhar Ro-uo Karaho
Bad Kare(n) Har Dum Burayi
Tum Kaho Unka Bhala Ho
Hum Wohi Nashusta Roo Hai
Tum Wohi Behre Ataa Ho
Hum Wohi Shayaane Rad Hain
Tum Wohi Shaane Sakha Ho
Hum Wohi Besharmo Bad Hai
Tum Wohi Kaane Hayaa Ho
Hum Wohi Nange Jafaa Hain
Tum Wohi Jaane Wafaa Ho
Hum Wohi Qaabil Sazaa Hai
Tum Wohi Rahme Khuda Ho
Charkh Badle Dahr Badle
Tum Badalne Se Wara Ho
Ab Humein Ho(n) Sahw Haashaa
Aisi Bhoolo(n) Se Judaa Ho
Umr Bhar To Yaad Rakkha
Waqt Par Kya Bhoolna Ho
Waqte Paidaaish Na Bhoole
Kaifa Yansa Kyun Saza Ho
Yeh Bhi Maula Arz Kardu
Bhool Agar Jaao To Kya Ho
Woh Jo Ho Tum Par Giraa(n) Hai
Woh Ho Jo Hargiz Na Chaaho
Woh Ho Jis Ka Naam Lete
Dushmano(n) Ka Dil Bura Ho
Woh Ho Jis Ke Rad Ki Khaatir
Raat Din Waqfe Dua Ho
Mar Mite(n) Barbaad Bande
Khana Aabaad Aag Ka Ho
Shaad Ho Iblees Maloo(n)
Gham Kise Is Qahr Ka Ho
Tum Ko Ho Wallah Tum Ko
Jaano Dil Tum Par Fida Ho
Tum Ko Gham Se Haq Bachaye
Gham Adoo Ko Jaa(n) Gaza Ho
Tum Se Gham Ko Kya Ta’alluq
Be Kaso Ke Ghamzada Ho
Haq Durooden Tum Pe Bheje
Tum Mudaam Us Ko Saraaho
Woh Ataa De Tum Ataa Lo
Woh Wohi Chaahe Jo Chaaho
Kyun Raza Mushkil Se Dariye
Jab Nabi Mushkil Kusha Ho
Ya Nabi Salaam Alaika (Tala Al Badru Alaina)
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
Salawaatullah Alaika
Tala ‘Al Badru Alaina
Min Thani Yatil Wada‘i
Wajabash Shukru ‘Alaina
Maa Da’aa Lillahi Daa‘i
Ayyuhal Mab‘oothu Feena
Ji’ta Bil Amril Mutaa‘i
Ji’ta Sharraftal Madina
Marhaban Ya Khaira Daa‘i
Anta Shamsun Anta Badrun
Anta Noorun Fawqa Noori
Anta Iksirul Wujoodi
Anta Misbah Hussudoori
Ashraqal Badru Alaina
Wakhtafat Minhul Budoori
Mithla Husnik Ma Ra’aina
Qattu Ya Wajh As Suroori
Ya Habeebi Ya Muhammad
Ya Aroosal Khaafiqayni
Ya Mu’ayyad Ya Mumajjad
Ya Imaamal Qiblataini
Ya Nabi Salaam Alaika(arabic Maher Zain)
— Turkish —
Gönüllerde Hasretin Var
Yürekler A?k?nla çArpar
Sensiz Dünya Bizlere Dar
Selam Sana Ey Kutlu Yar
English Translation:
You Are Missed For Many Days
The Hearts Beat With Your Love
The Earth Is Narrow Without You
Peace Be Upon You
Oh Holy Love (Or My Beloved)
— English —
Where Submission , Faith And Patience
You Conveyed The Noble Message
Brought This Light Through Your Guidance
Peace Be Upon You My Beloved
— Arabic —
Ya Habibi, Ya Muhammad
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasol Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatu Allah Alaika
English Translation:
Oh My Love, Oh Mohammad
Oh Prophet Peace Be Upon You
Oh Rasool, Peace Be Upon You
Oh My Love, Peave Be Upon You
Praises Of Allah On You
— Urdu —
Teri Muhabbat Ki Mehak Say
Yeh Zameen O Asman Abaad Hai
Rehmat Ki Barsaat Aati Hai
Dil O Jaan Ya Rasul Allah
English Translation:
From The Fragrance Of Your Love,
The Earth And The Skies Have Prospered
And The Rain Of Mercy Have Poured Upon Us
My Heart And Soul Is For You, Ya Rasool-allah
— Arabic —
Ayoha Al Mokhtar Fena
Zadana Al Hobo Hanena
Geetana Bel Khayr Dena
Ya Khetama Al Morsalen
Ya Habebi, Ya Muhammed
English Translation:
Oh The Chosen One Among Us
Love Has Increases Our Longing
You Came To Us With The Best Of Religions
Oh The Seal Of The Messengers
Oh My Love, Oh Mohammad
— Arabic —
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasol Salaam Alaika
Ya Habeb Salaam Alaika
Salawat Allah Alaika
English Translation:
Oh Prophet Peace Be Upon You
Oh Rasool, Peace Be Upon You
Oh My Love, Peave Be Upon You
Praises Of Allah On You
More Arabic Verse:
Anta Nooru Llahi Fajran
Ji’ta Baadal Usri Yusran
Rabbuna A’alaka Qadran
Ya Imam Al Ambiya’i
Anta Fi L-wajdani Hayyun
Anta Li L-‘aynayni Dayyun
Anta ‘Inda L-hawdi Rayyun
Anta Haden Wa Safiyyun
Ayyuha L-mukhtaru Feena
Zadana L-hubbu Haneena
Ji’tana Bi L-khayri Deena
Ya Khatam Al-mursaleena