Mere Sarkar Ka Chehra
Khuda Ki Nazron Mein Rehta
Mere Sarkar Ka Chehra
Voh Noor E Haq Ka Hai Jalwa
Mere Sarkar Ka Chehra
Yahi Hai Rashk E Mehruma
Yahi To Hai Shahe Khuban
Hasinon Se Hasin Chehra
Mere Sarkar Ka Chehra
Hue Ummat Mein Voh A’la
Sahaba Ban Gaye Voh Log
Jinhon Ne Ankhon Se Dekha
Mere Sarkar Ka Chehra
Hazaron Parde The Haaye
Magar Fir Bhi Chamak Esi
Ke Jaise Chand Ka Tukda
Mere Sarkar Ka Chehra
Kadam To Chand Se Thehre
Bhala Chehre Ko Kya Dekhun
Harr Ik Tashbeeh Se Baala
Mere Sarkar Ka Chehra
Qasam Hai Husne Yusuf Ki
Jahan Bhar Mein Nahi Koi
Misal Aisi Jawab Aisa
Mere Sarkar Ka Chehra
Bilal E Habshi Hai Kaba Ki
Chat Per Rukh Kahan Karte
Azan Dene Ka Ab Qibla
Mere Sarkar Ka Chehra
Nakeeron Ne Jo Pucha
Qabr Mein Yeh Kis Ka Jalwa Hai
Ujagar Jhoom Kar Bola
Mere Sarkar Ka Chehra