Kafila Lut Chuka Hai Museebat Ki Shaam Hai

Kafila Lut Chuka Hai Museebat Ki Shaam HaiPyasee musifiron ki yeh ghurbat ki shaam hai

Ek dopaher mein Shah ka bhara ghar ujad gayaAllah aaj kaisr qayamat ki shaam hai

Baba Najaf se aaiye imdaad ke liyeZainab bula rahi yeh nusrat ki shaam hai

Zainab pukarti hai Sakina ho kis tarafdhoondoo kahan main tumko yeh zulmat ki shaam hai

Peeto saron ko khaak udaoo HussainioKarbal ke mehmaan se rekhsat ki shaam hai

Ji bhar ke hum Hussain ka maatam na kar sakeYeh shaam Sayeeda se nidamat ki shaam hai

Alam ki Shahzaadiyaan baitheen hain khaak parKaise Fareed* aaj yeh ghurbat ki shaam hai

Pyasee musifiron ki yeh ghurbat ki shaam hai

Leave a Comment