HADAAIQ E BAKHSHISH LYRICS
Waah Kya Jood o Karam He Shah e Bat’ha Tera
Waah! Kya Jood o Karam Hai Shah e Bat’ha Tera
‘Nahiñ’ Sunta Hee Nahiñ Maangne Waala Tera
Dhaare Chalte Haiñ Ataa Ke Wo Hai Qatrah Tera
Taare Khilte Haiñ Sakha Ke Wo Hai Zar’rah Tera
Faiz Hai Ya Shah e Tasneem Niraala Tera
Aap Pyaasoñ Ke Tajas’sus Me Hai Darya Tera
Aghniya Palte Haiñ Dar Se Wo Hai Baara Tera
Asfiyah Chalte Haiñ Sar Se Wo Hai Rasta Tera
Farsh Waale Teri Shaukat Ka ‘Uloo Kya Jaaneñ
Khusrawa Arsh Pe Ur’ta Hai Pharera Tera
Aasmaañ Khwaan, Zameeñ Khwaan, Zamaana Mehmaan
Saahib e Khaana Laqab Kis Ka Hai? Tera, Tera
Me To Maalik Hee Kahunga Ke Ho Maalik Ke Habeeb
Yaani Mahboob O Muhib Me Nahiñ Mera Tera
Tere Qadmoñ Me Jo Haiñ Ghair Ka Munh Kya Dekheñ
Kaun Nazroñ Pe Cha’rhe Dekh Ke Talwa Tera
Behr e Saa-il Ka Huñ Saa-il Na Kunweñ Ka Pyaasa
Khud Bujha Jaaye Kaleja Mera Cheenta Tera
Chor Haakim Se Chupa Karte Haiñ Yaañ Uske Khilaaf,
Tere Daaman Me Chupay Chor Anowkha Tera
Aankheñ Thandi Hoñ Jigar Taaze Hoñ Jaaneñ Seyraab
Sach’che Sooraj Wo Dil Aara Hai Ujaala Tera
Dil ‘Abas Khauf Se Pat’ta Sa Ura Jaata Hai
Pal’lah Halka Sahi Bhaari Hai Bharosa Tera
Ek Me Kya Mere Isyaañ Ki Haqeeqat Kitni
Mujh Se Sau Laakh Ko Kaafi Hai Ishaara Tera
Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Pa’ree
Ab ‘Amal Poochte Haiñ Haa-e Nikam’ma Tera
Tere Tukroñ Se Palay Ghayr Ki Thokar Pe Na Daal
Jhirkiyaañ Khaa-eñ Kahaañ Ch’hor Ke Sadqa Tera
Khwaar O Bimaar O Khatawaar O Gunahgaar Huñ Me
Raafe O Naafe O Shaafe Laqab Aaqa Tera
Meri Taqdeer Buri Ho To Bhali Kar De Ke Hai
Mahw e Isbaat Ke Daftar Pe Karora Tera
Tu Jo Chaahe To Abhi Meyl Mere Dil Ke Dhuleñ
Kis Ka Munh Takiye Kahaañ Jaaiye Kis Se Kahiye
Tere Hee Qadmoñ Me Mit’t Jaaye Ye Paala Tera
Tu Ne Islam Diya Tu Ne Jama’at Me Liya
Tu Kareem Ab Ko-ee Phirta He ‘Atiy’yah Tera
Maut Sunta Huñ Sitam Talkh Hai Zahra Ba Naab,
Kaun Laa De Mujhe Talwoñ Ka Ghasaalah Tera
Door Kya Jaaiye Badkaar Pe Kaisi Guzre
Tere Hee Dar Pe Maray Be-kas O Tanha Tera
Tere Sadqe Mujhe Ek Boond Bahut He Teri
Jis Din Ach’choñ Ko Milay Jaam Chalakta Tera
Haram O Taiba O Baghdad Jidhar Kije Nigaah
Jowt Parti He Teri Noor Hai Chanta Tera
Teri Sarkaar Me Laata He RAZA Us Ko Shafee’
Jo Mera Ghaus He Awr Laadla Beta Tera
Waah! Kya Martaba Ay Ghaus He Baala Tera
Waah! Kya Martaba Ay Ghaus Hai Baala Tera
Oonche Oonchoñ Ke Saroñ Se Qadam Aa’la Tera
Sar Bhala Kya Ko-ee Jaane Ke He Kaisa Tera
Awliya Maltay Haiñ Aankheñ Wo He Talwa Tera
Kya Dabay Jis Pe Himaayat Ka Ho Panjah Tera
Sher Ko Khatre Me Laata Nahiñ Kut’ta Tera
Tu Husaini Hasani Kyuñ Na Muhiy’yud’deeñ Ho
Ay Khidhr Majma’ e Bahrain Hai Chashma Tera
Qasmeñ De-De Ke Khilaata Hai Pilaata Hai Tujhe
Pyaara Allah Tera Chaahane Waala Tera
Mustafa Ke Tan e Be Saaye Ka Saaya Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan Jalwa e Zaiba Tera
Ibn e Zahra Ko Mubaarak Ho ‘Aroos e Qudrat
Qaadiri Paa-eñ Tasad’duq Mere Dulha Tera
Kyuñ Na Qaasim Ho Ke Tu Ibn e Abil Qaasim Hai
Kyuñ Na Qaadir Ho Ke Mukhtaar Hai Baba Tera
Nabawi Meenh ‘Alawi Fasl Batooli Gulshan
Hasani Phool Husaini Hai Mahakna Tera
Nabawi Zil Alawi Burj Batooli Manzil
Hasani Chaand Husaini Hai Ujaala Tera
Nabawi Khur ‘Alawi Koh Batooli Ma’dan
Hasani La’al Husaini He Tajal’la Tera
Bahr O Bar Shahr O Qura Sahl O Hazan Dasht O Chaman
Kaun Se Chak Pe Pahunchta Nahiñ Da’wa Tera
Husn e Niyyat Ho Khata Phir Kabhi Karta Hee Nahiñ
Aazmaaya Hai Yagaana Hai Dogaana Tera
‘Arz e Ahwaal Ki Pyaasoñ Me Kahaañ Taab Magar
Aankheñ Ay Abr e Karam Takti Haiñ Rasta Tera
Maut Nazdeek Gunaahoñ Ki Taheñ Meyl Ke Khowl
Aa Baras Jaa Ke Naha Dho Le Ye Pyaasa Tera
Aab Aamad Wo Kahe Awr Me Tayam’mum Bar Khaast
Musht Khaak Apni Ho Awr Noor Ka Ahla Tera
Jaan To Jaate Hee Jaayegi Qiyaamat Ye Hai
Ke Yahaañ Marne Pe T’ehra Hai Nazaara Tera
Tujh Se Dar, Dar Se Sag, Awr Sag Se Hai Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Me Bhi Hai Door Ka Dawra Tera
Is Nishaani Ke Jo Sag Haiñ Nahiñ Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Pat’ta Tera
Meri Qismat Ki Qasam Khaa-eñ Sagaan e Baghdad
Hind Me Bhi Huñ To Deta Rahuñ Pehra Tera
Teri Izzat Ke Nisaar Ay Mere Ghayrat Waale
Aah! Sad Aah Ke Yuñ Khwaar Ho Barda Tera
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujrim O Naakaara Sahi
Ay Wo Kaisa Hee Sahi Hai To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Ko-ee Kahega To Yuñhi
Ke Wohi Na, Wo RAZA Banda e Ruswa Tera
Haiñ RAZA! Yuñ Na Bilak Tu Nahiñ Jay’yid To Na Ho
Sayyid e Jay’yid e Har Dahr Hai Maula Tera
Fakhr e Aaqa Me RAZA Awr Bhi Ik Nazm e Rafee’
Chal Likha Laa-eñ Thana Khwaanoñ Me Chehra Tera
Tu He Wo Ghaus Ke Har Ghaus He Shaida Tera
Tu He Wo Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera
Tu He Wo Ghays Ke Har Ghays Hai Pyaasa Tera
Sooraj Agloñ Ke Chamakte Thay Chamak Kar Doobe
Ufuq e Noor Pe Hai Mahr Hamesha Tera
Murgh Sab Bolte Haiñ Bol Ke Chup Rehte Haiñ
Haañ Aseel Aik Nawa Sanj Rahega Tera
Jo Wali Qabl Thay Ya Ba’ad Huwe Ya Honge
Sab Adab Rakhte Haiñ Dil Me Mere Aaqa Tera
Ba Qasam Kehte Haiñ Shahaan e Sarifeen o Hareem
Ke Huwa Hai Na Wali Ho Ko-ee Hamta Tera
Tujh Se Awr Dahar Ke Aqtaab Se Nisbat Kaisi
Qutb Khud Kaun He, Khaadim Tera Chela Tera
Saare Aqtaab Jahaañ Karte Haiñ Kaa’be Ka Tawaaf
Kaa’ba Karta Hai Tawaaf e Dar e Waala Tera
Awr Parwaane Haiñ Jo Hote Haiñ Kaa’be Pe Nisaar
Sham’a Ek Tu Hai Ke Parwaana Hai Kaa’ba Tera
Shajr e Sarw Sahi Kis Ke Ugaa-e Tere
Ma’rifat Phool Sahi Kis Ka Khilaaya Tera
Tu Hai Nausha Baraati Hai Ye Saara Gulzaar
Laayi Hai Fasl e Saman Goondh Ke Sehra Tera
Daaliyañ Jhoomti Haiñ Raqs e Khushi Josh Pe Hai
Bulbuleñ Jhoolti Haiñ Gaati Haiñ Sehra Tera
Geet Kaliyoñ Ki Chatak Ghazleñ Hazaaroñ Ki Chehak
Baagh Ke Saazoñ Me Bajta Hai Taraana Tera
Saf e Har Shajrah Me Hoti Hai Salaami Teri
Shaakheñ Jhuk-Jhuk Ke Baja Laati Haiñ Mujra Tera
Kis Gulistaañ Ko Nahiñ Fasl e Bahaari Se Niyaz
Kaun Se Silsile Me Faiz Na Aaya Tera
Nahiñ Kis Chaand Ki Manzil Me Tera Jalwa e Noor
Nahiñ Kis Aa-ine Ke Ghar Me Ujaala Tera
Raaj Kis Shehr Me Karte Nahiñ Tere Khud’daam
Baaj Kis Nahr Se Leta Nahiñ Darya Tera
Mazra e Chisht O Bukhara O Iraq O Ajmer
Kaun Se Kisht Pe Barsa Nahiñ Jhaala Tera
Awr Mahboob Haiñ Haañ, Par Sabhi Yaksaañ To Nahiñ
Yuñ To Mahboob He Har Chaahane Waala Tera
Is Ko Sau Fard Sarapa Ba Faraghat Orheñ
Tang Ho Kar Jo Utarne Ko Ho Neema Tera
Gardaneñ Jhuk Ga-eeñ Sar Bich Gaye Dil Laut Gaye
Kashf e Saaq Aaj Kahaañ Ye To Qadam Tha Tera
Taaj e Firq e ‘Urafa Kis Ke Qadam Ko Kahiye
Sar Jisay Baaj Deñ Wo Paa-oñ Hai Kiska Tera
Sukr Ke Josh Me Jo Haiñ Wo Tujhe Kya Jaaneñ
Khidhr Ke Hosh Se Pooche Ko-ee Rutba Tera
Aadami Apne Hee Ahwaal Pe Karta Hai Qiyaas
Nashay Waaloñ Ne Bhula Sukr Nikaala Tera
Wo To Chota Hee Kaha Chaahen, Ke Haiñ Zer e Hazeez
Awr Har Awj Se Ooncha Hai Sitaara Tera
Dil e Aa’da Ko Raza Tez Namak Ki Dhun Hai
Ek Zara Awr Chirakta Rahe Khaamah Tera
Al Amaan Qahr Hai Ay Ghaus Wo Teekha Tera
Al Amaañ Qahr Hai Ay Ghaus Wo Teekha Tera
Mar Ke Bhi Chain Se Sota Nahiñ Maara Tera
Baadaloñ Se Kahiñ Rukti Hai Karakti Bijli
Dhaaleñ Chant Jaati Haiñ Uth’tha Hai Jo Teygha Tera
‘Aks Ka Dekh Ke Munh Awr Biphar Jaata Hai
Chaar Aa-ina Ke Bal Ka Nahiñ Neza Tera
Koh Sarmukh Ho To Ek Waar Me Do Par Kaale
Haath Par’ta Hee ‘Nahiñ Bhool Ke’ Awcha Tera
Is Pe Ye Qahr Ke Ab Chand Mukhaalif Tere
Chaahate Haiñ Ke Ghata Deñ Kahiñ Paaya Tera
‘Aql Hoti To Khuda Se Na Lara-ee Lete
Ye Ghata-eñ Usay Manzoor Barhaana Tera
W Rafana laka Zikrak Ka Hai Saaya Tujh Par
Bol Baala He Tera Zikr Hai Ooncha Tera
Mit’t Gaye Mit’te Haiñ Mit’t Jaa-enge A’da Tere
Na Mita Hai Na Mit’ega Kabhi Charcha Tera
Tu Ghataaye Se Kisi Ke Na Ghata Hai Na Ghatay
Jab Barhaa-e Tujhe Allah Ta’aala Tera
Sam’m e Qaatil Hai Khuda Ki Qasam Unka Inkaar
Munkir e Fadl e Huzoor Aah! Ye Lik’kha Tera
Mere Say’yaaf Ke Khanjar Se Tujhe Baak Nahiñ
Cheer Kar Dekhe Ko-ee Aah Kaleja Tera
Ibn e Zahra Se Tere Dil Me Haiñ Ye Zahr Bharay
Bal Be Aw Munkir e Be-Baak Ye Zuhra Tera
Baaz e Ash-hab Ki Ghulaami Se Ye Aankheñ Phirni
Dekh Ur Jaa-ega Imaan Ka Tota Tera
Shaakh Par Bay’th Ke Jar Kaatne Ki Fikr Me Haiñ
Kahiñ Neecha Na Dikhaaye Tujhe Shajra Tera
Haq Se Bud Ho Ke Zamaane Ka Bhala Banta Hai
Aray Maiñ Khoob Samajhta Huñ Mua’m’ma Tera
Sag e Dar Qahr Se Dekhe To Bikharta Hai Abhi
Band, Band e Badan Ay Roobah e Duniya Tera
Gharz Aaqa Se Karuñ Arz Ke Teri Hai Panaah
Banda Majboor Hai Khaatir Pe Hai Qabza Tera
Hukm Naafiz Hai Tera Khaamah Tera Saif Teri
Dam Me Jo Chaahe Kare Daur Hai Shaha Tera
Jis Ko Lalkaar De Aata To Ulta Phir Jaaye
Jis Ko Chamkaar Le Har Phir Ke Wo Tera, Tera
Kunjiyañ Dil Ki Khuda Ne Tujhe Deeñ Aisi Kar
Ke Ye Seena Ho Muhabbat Ka Khazeena Tera
Dil Pe Kundah Ho Tera Naam Ke Wo Duzd e Rajeem
Ultay Hee Paa-oñ Phiray Dekh Ke Tughra Tera
Naz’a Me, Gor Me, Meezaan Pe, Sar e Pul Pe Kahiñ
Na Ch’hutay Haath Se Daamaan e Mu’alla Tera
Dhoop Mahshar Ki Wo Jaañ Soz Qiyaamat Hai Magar
Mutma-in Huñ Ke Mere Sar Pe Hai Pal’lah Tera
Bahjat Is Sir’r Ki Hai Jo Bahjat ul Asraar Me Hai
Ke Falak Waar Mureedoñ Pe Hai Saaya Tera
Ay RAZA Cheest e Gham Ar Jumlah Jahaañ Dushman e Tust
Kardah Umm Maa Man e Khud Qibla e Haajaat e Raa
Ham Khaak Haiñ Awr Khaak Hee Maawa He Hamaara
Ham Khaak Haiñ Awr Khaak Hee Maawa Hai Hamaara
Khaaki To Wo Aadam Jade Aa’la Hai Hamaara
Allah Hamay Khaak Kare Apni Talab Me
Ye Khaak To Sarkaar Se Tamgha He Hamaara
Jis Khaak Pe Rakhte Thay Qadam Sayyid e ‘Aalam
Us Khaak Pe Qurbaañ Dil e Shaida Hai Hamaara
Kham Ho Gayi Pusht e Falak Is Ta’ane Zameeñ Se
Sun! Ham Pe Madina Hai Wo Rutba Hai Hamaara
Us Ne Laqab e Khaak Shahanshah Se Paaya
Jo Haidar e Qar’raar Ke Maula Hai Hamaara
Ay Mud-da’iyo! Khaak Ko Tum Khaak Na Samjhe
Is Khaak Me Madfooñ Shah e Batha Hai Hamaara
Hai Khaak Se Ta’meer Mazaar e Shah e Kaunain
Ma’mur Isi Khaak Se Qiblah Hai Hamaara
Ham Khaak U’raa-en Ge Jo Wo Khaak Na Paayi
Aabaad RAZA Jis Pe Madina He Hamaara
Gham Ho Gaye Be-Shumaar Aaqa
Gham Ho Gaye Be-Shumaar Aaqa
Banda Tere Nisaar Aaqa
Bigr’a Jaata Hai Khel Mera
Aaqa! Aaqa! Sanwaar Aaqa
Manjdhaar Pe Aa, Ke Naaw Tooti
De Haath Ke Huñ Maiñ Paar Aaqa
Tooti Jaati Hai Peet’h Meri
Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa
Halka Hai Agar Hamaara Pal’lah
Bhaari Hai Tera Waqaar Aaqa
Majboor Haiñ Ham To Fikr Kya Hai
Tum Ko To Hai Ikhtiyaar Aaqa
Me Door Huñ Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa
Mujh Sa Ko-ee Ghamzada Na Hoga
Tum Sa Nahiñ Gham Gusaar Aaqa
Girdaab Me Par Ga-ee Hai Kashti
Dooba, Dooba Utaar Aaqa
Tum Wo, Ke Karam Ko Naaz Tum Se
Me Wo Ke Badee Ko ‘Aar Aaqa
Phir Munh Na Pare Kabhi Khizaañ Ka
De-De Aisi Bahaar Aaqa
Jis Ki Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Naam-Daar Aaqa
He Mulk e Khuda Pe Jis Ka Qabza
Mera Hai Wo Kaam-Gaar Aaqa
Soya Kiye Naa-Bakaar Bande
Roya Kiye Zaar, Zaar Aaqa
Kya Bhool Hai Un Ke Hote Kehlaa-eñ
Duniya Ke Ye Taajedaar Aaqa
Unke ‘Adna Gada Pe Mit’t Jaa-eñ
Aise, Aise Hazaar Aaqa
Be Abr e Karam Ke Mere Dhab’bay
‘Laa Tagh-Siluhal Bihaar’ Aaqa
Itni Rahmat RAZA Pe Kar Lo
‘La Yaqrabuhul Bawaar’ Aaqa
Muhammad Mazhar E Kaamil
Muhammad Mazhar e Kaamil Haiñ Haq Ki Shaan e Izzat Ka
Nazar Aata Hai Is Kasrat Me Kuch Andaaz Wahdat Ka
Yahi Hai Asl e Aalam, Maadaah e Ijaad e Khalqat Ka
Yahaañ Wahdat Me Barpa Hai Ajab Hangaama Kasrat Ka
Gada Bhi Muntazir Hai Khuld Me Neykoñ Ki Da’wat Ka
Khuda Din Khayr Se Laaye Sakhi Ke Ghar Ziyaafat Ka
Gunah Maghfur, Dil Roshan, Khunuk Aankheñ, Jigar Thanda
Ta’aal-Allah Maah e Taiba Aalam Teri Tal’at Ka
Na Rakhi Gul Ke Josh e Husn Ne Gulshan Me Jaa Baaqi
Chatakta Phir Kahaañ Ghuncha Ko-ee Baagh e Risaalat Ka
Barha Ye Silsila Rahmat Ka, Daur e Zulf e Waala Me
Tasalsul Kaale Kowsoñ Reh Gaya Isyaañ Ki Zulmat Ka
Saf e Maatam Uthay Khaali Ho Zindaañ Tooteñ Zanjeereñ
Gunahgaaroñ Chalo Mawla Ne Dar Khola Hai Jannat Ka
Sikhaaya Hai Ye Kis Gustaakh Ne Aa-ina Ko Ya Rab’b
Nazaara Roo e Jaanaañ Ka Bahaana Kar Ke Hayrat Ka
Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaaliq Ki Rahmat Par
Niraala Tawr Hoga Gardish e Chashm e Shafa’at Ka
Barheñ Is Darja Mawjeñ Kasrat e Afdaal e Waala Ki
Kinaara Mil Gaya Is Nahr Se Darya e Wahdat Ka
Kham Zulf e Nabi Saajid Hai Mehraab e Do Abru Me
Ke Ya Rab’b Tu Hee Waali Hai Siyaah-kaaraan e Ummat Ka
Madad Ay Joshish e Girya Baha De Koh Awr Sehra
Nazar Aa Jaaye Jalwa Be Hijaab Us Paak Turbat Ka
Huwe Kam Khwaabi e Hijraañ Me Saatoñ Parde Kam Khwaabi
Tasaw’wur Khoob Baandha Aankhoñ Ne Astaar e Turbat Ka
Yaqeeñ He Waqt e Jalwa Lagh-zisheñ Paa-e Nigaah Paaye
Milay Josh e Safa e Jism Se Paa Bos Hazrat Ka
Yahaañ Chir’ka Namak, Waañ Marham e Kafoor Haath Aaya
Dil e Zakhmi Namak Parwarda Hai Kis Ki Malaahat Ka
Ilaahi Muntazir Huñ Wo Khiraam e Naaz Farma-eñ
Bicha Rakha He Farsh Aankhoñ Ne Kam-Khwaab e Basaarat Ka
Na Ho Aaqa Ko Sajdah Adam o Yusuf Ko Sajdah Ho
Magar Sad Zaraa-e’ Daab Hai Apni Shari’at Ka
Zabaan e Khaar Kis-Kis Dard Se Un Ko Sunaati Hai
Tarapna Dasht e Taiba Me Jigar Afgaar Furqat Ka
Sirhaane Un Ke Bismil Ke Ye Betaabi Ka Maatam Hai
Shah e Kawsar Tarah’hum Tishna Jaata Hai Ziyaarat Ka
Jinheñ Marqad Me Taa Hashr Ummati Keh Kar Pukaaroge
Hameñ Bhi Yaad Kar Lo Un Me Sadqa Apni Rahmat Ka
Wo Chamke Bijliyaañ Ya Rab’b Tajal’li-Haa-e Jaanaañ Se
Ke Chashm e Toor Surma Ho Dil e Musthaq Rooyat Ka
RAZA e Khasta Josh e Bahr e ’Isiyaañ Se Na Ghabraana
Kabhi To Haath Aa Jaayega Daaman Unki Rahmat Ka
Lutf Unka Aam Ho Hee Jaayega
Lutf Unka ‘Aam Ho Hee Jaayega
Shaad Har Naa Kaam Ho Hee Jaayega
Jaan De Do Wa’da e Deedar Par
Naqd Apna Daam Ho Hee Jaayega
Shaad Hai Firdaus Yaa’ni Aik Din
Qismat e Khud’daam Ho Hee Jaayega
Yaad Reh Jaayengi Ye Be-Baakiyaañ
Nafs Tu To Raam Ho Hee Jaayega
Be Nishaano Ka Nishaañ Mit’t-ta Nahiñ
Mit’t-te, Mit’t-te, Naam Ho Hee Jaayega
Yaad e Gaisoo Zikr e Haq Hai Aah Kar
Dil Me Paida Laam Ho Hee Jaayega
Aik Din Aawaaz Badlenge Ye Saaz
Cheh-chaha Kohraam Ho Hee Jaayega
al
Saa-ilo Daaman Sakhi Ka Thaam Lo
Kuch Na Kuch In’aam Ho Hee Jaayega
Yaad e Abru Kar Ke Tar’po Bulbulo!
Tukre-Tukre Daam Ho Hee Jaayega
Mufliso Unki Gali Me Jaa Paro
Baagh e Khuld Ikraam Ho Hee Jaayega
Gar Yuñhi Rahmat Ki Taaweeleñ Raheñ
Madh Har Ilzaam Ho Hee Jaayega
Baadah Khwaari Ka Samaañ Bandhne To Do
Shaykh e Durd Aashaam Ho Hee Jaayega
Gham To Unko Bhool Kar Lipta Haiñ Yuñ
Jaise Apna Kaam Ho Hee Jaayega
Mit’t Ke Gar Yuñhi Raha Qarz e Hayaat
Jaan Ka Neelaam Ho Hee Jaayega
Aaqilo! Unki Nazar Seedhi Rahe
Bawroñ Ka Bhi Kaam Ho Hee Jaayega
Ab To Laa-ee He Shafa’at Afw Par
Barhte-Barhte Aam Ho Hee Jaayega
Ay RAZA Har Kaam Ka Aik Waqt Hai
Dil Ko Bhi Aaraam Ho Hee Jaayega
Lam Yaati Nazeeruka Fee Nazarin
Lam Yaati Nazeeruka Fee Nazarin Misle To Na Shud Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Tore Sarso Hai Tujh Ko Shah e Do Saraa Jaana
Al Bahru ‘Alaa Wal Mawju Taghaa Man Be-Kas o Toofaañ Hosh Ruba
Manjhdhaar Me Huñ, Bigri Hai Hawa Mori Nay’ya Paar Laga Jaana
Ya Shamsu Nazarti Ilaa Laylee Chu Ba Taiba Rasi ‘Arz e Ba Kuni,
Tori Jowt Ki Jhal-Jhal Jag Me Rachi Mori Shab Ne Na Din Hona Jaana
Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal Khat Haala e Mah, Zulf Abr e Ajal
Tore Chandan Chandr Paro Kundal Rahmat Ki Bharan Barsa Jaana
Ana Fee Atashin-Wa Sakha Ka Atam Ay Gaisoo e Paak Ay Abr e Karam
Barsan Haare Ram-Jham, Ram-Jham, Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana
Ya Qaafilatee Zeedee Ajalak Rahm e Bar Hasrat Tishna Labak
Mora Jiyaara Larje Darak-Darak, Taiba Se Abhi Na Suna Jaana
Waahan Lisuwiy’aatin Dhahabat Aañ ‘Ahad e Huzoor Baar e Gahat
Jab Yaad Aawat Mohe Kar Na Parat Darda Wo Madina Ka Jaana
Al-Qalbu Shajuw Wal Ham’mu Shujooñ Dil Zaar Chunaañ Jaañ Zer e Chunooñ
Pat Apni Bipat Maiñ Ka Se Kahuñ Mera Kaun Hai Tere Siwa Jaana
Ar-Roohu Fidaaka Fa-Zid Harqaa Yak Sho’la Digar Barzan ‘Ishqaa
Mora Tan Man Dhan Sab Phoonk Diya Ye Jaan Bhi Pyaare Jalaa Jaana
Bas Khaama e Khaam e Nawa e RAZA Na Ye Tarz Meri Na Ye Rang Mera
Irshaad e Ahib’ba Naatiq Tha Na-Chaar Is Raah Par’raa Jaana
Na Aasmaañ Ko Yuñ Sar Kasheedah Hona Tha
Na Aasmaañ Ko Yuñ Sar Kasheedah Hona Tha
Huzoor e Khaak e Madina Khameedah Hona Tha
Agar Guloñ Ko Khizaañ Na Raseedah Hona Tha
Kinaar e Khaar e Madina Dameedah Hona Tha
Huzoor Un Ke Khilaaf e Adab Thee Betaabi
Meri Ummeed Tujhe Aar Meedah Hona Tha
Nazaara Khaak e Madina Ka Awr Teri Aankh
Na Is Qadar Bhi Qamar Shawkh Deedah Hona Tha
Kinaar e Khaak e Madina Me Raahateñ Milti
Dil e Hazeeñ Tujhe Ashk Chakeedah Hona Tha
Panaah e Daaman e Dasht e Haram Me Chain Aata
Na Sabr e Dil Ko Ghazaal e Rameedah Hona Tha
Ye Kaise Khulta Ke Unke Siwa Shafee’ Nahiñ
‘Abath Na Awroñ Ke Aage Tapeedah Hona Tha
Hilaal Kaise Na Banta Ke Maah e Kaamil Ko
Salaam e Abru e Shah Me Khameedah Hona Tha
لأ Tha Wa’da e Azali
Na Munkiroñ Ka ‘Abath Bad ‘Aqeedah Hona Tha
Naseem Kyuñ Na Shameem Un Ki Taiba Se Laati
Ke Subh e Gul Ko Girebaan Dareedah Hona Tha
Tapakta Rang e Junoon ‘Ishq e Shah Me Har Gul Se
Rag e Bahaar Ko Nishtar Raseedah Hona Tha
Baja Tha ‘Arsh Pe Khaak e Mazaar e Paak Ko Naaz
Ke Tujh Sa Arsh Nasheeñ Aafreedah Hona Tha
Guzarte Jaan Se Ek Shor e Ya Habeeb Ke Saath
Fughaan Ko Naala e Halq e Bureedah Hona Tha
Mere Kareem Gunah Zehr Hai Magar Aakhir
Ko-ee To Shahd e Shafa’at Chasheedah Hona Tha
Jo Sang e Dar Pe Jabeeñ Saa-iyoñ Me Tha Mit’t-na
To Meri Jaan Sharaar e Jaheedah Hona Tha
Teri Quba Ke Na Kyuñ Neeche, Neeche Daaman Hoñ
Ke Khaak-Saaroñ Se Yaañ Kab Kasheedah Hona Tha
RAZA Jo Dil Ko Banaana Tha Jalwa-Gaah e Habeeb
Tu Pyaare Qaid e Khudi Se Raheedah Hona Tha
Shor e Mah e Nau Sun Kar Tujh Tak Me Dawaañ Aaya
Shor e Mah e Nau Sun Kar Tujh Tuk Maiñ Dawaañ Aaya
Saaqi Me Tere Sadqe, May De, Ramadaañ Aaya
Is Gul Ke Siwa Har Gul Ba Gosh e Giraañ Aaya
Dekhe Hee Gi Ay Bulbul Jub Waqt e Fughaañ Aaya
Jab Baam e Tajal’li Par Wo Nay’yar e Jaañ Aaya
Sar Tha Jo Gira Jhuk Kar Dil Tha Jo Tapaañ Aaya
Jannat Ko Haram Samjha Aate To Yahaañ Aaya
Ab Tak Ke Har Ek Ka Munh Kehta Huñ Kahaañ Aaya
Taiba Ke Siwa Sub Baagh Paamaal Fana Honge
Dekhoge Chaman Waalo Jab ‘Ahd e Khizaañ Aaya
Sar Awr Wo Sang e Dar Aankh Awr Wo Bazm e Noor
Zaalim Ko Watan Ka Dhiyaan Aaya To Kahaañ Aaya
Kuch Na’at Ke Tabqay Ka ‘Aalam Hee Niraala He
Sakte Me Pari Hai ‘Aql Chak’kar Me Gumaañ Aaya
Jalti Thee Zameeñ Kaisi Thee Dhoop Kar’i Kaisi
Lo Wo Qad e Be Saaya Ab Saaya Kinaañ Aaya
Taiba Se Ham Aate Haiñ Kahiye To Jinaañ Waalo
Kya Dekh Ke Jeeta Hai Jo Waañ Se Yahaañ Aaya
Le Towq e Alam Se Ab Azaad Ho Ay Qumri
Chit’thi Liye Bakhshish Ki Wo Sarw e Rawaañ Aaya
Naama Se RAZA Ke Ab Mit’t Jaawo Buray Kaamo
Dekho Mere Pal’lay Par Wo Ach’che Miyañ Aaya
Badkaar RAZA Khush Ho Bad-Kaam Bhalay Honge
Wo Ach’che Miyañ Pyaara Ach’choñ Ka Miyañ Aaya
Kharaab Haal Kiya Dil Ko Pur Malaal Kiya
Kharaab Haal Kiya Dil Ko Pur Malaal Kiya,
Tumhaare Kooche Se Rukhsat Kiya Nihaal Kiya
Na Roo e Gul Abhi Dekha Na Boo e Gul Soonghi
Qaza Ne Laa Ke Qafas Me Shikasta Baal Kiya
Wo Dil Ke Khooñ Shuda Armaan Thay Jis Me Mal Daala
Fughaan Ke Gor e Shaheedaañ Ko Paaye Maal Kiya
Ye Raay Kya Thee Wahaañ Se Palat’ne Ki Ay Nafs
Sitamgar! Ulti Ch’huri Se Hameñ Halaal Kiya
Ye Kab Ki Mujh Se Adaawat Thee Tujh Ko Ay Zaalim
Chura Ke Sang e Dar e Paak Sar Wabaal Kiya
Chaman Se Phenk Diya Aashiyaana e Bulbul
Ujaar’a Khaana e Be-kas Bara Kamaal Kiya
Tera Sitam Zada Aankhoñ Ne Kya Bigaara Tha
Ye Kya Sama-i Ke Door Un Se Wo Jamaal Kiya
Huzoor Un Ke Khayaal e Watan Mitaana Tha
Ham Aap Mit’t Gaye Ach’che Faraagh Baal Kiya
Na Ghar Ka Rakha Na Is Dar Ka Haa-e Naa Kaami
Hamaari Be-basi Par Bhi Na Kuch Khayaal Kiya
Jo Dil Ne Mar Ke Jalaaya Tha Man’natoñ Ka Chiraagh
Sitam Ke Arz Rah Sarsar Zawaal Kiya
Madina Chor Ke Weeraana Hind Ka Bhaaya
Ye Kaisa Haa-e Hawaasoñ Ne Ikhtilaal Kiya
Tu Jis Ke Waaste Chor Aaya Taiba Saa Mahboob
Bata To Is Sitam Aara Ne Kya Nihaal Kiya
Abhi-Abhi To Chaman Me Thay Chehchahe Naa-gaah
Ye Dard Kaisa Ut’ha Jis Ne Jee Nid’haal Kiya
Ilaahi Sun Le RAZA Jeete Jee Ke Mawla Ne
Sagaan e Koocha Me Chehra Mera Bahaal Kiya
Banda Milne Ko Qareeb e Hazrat e Qaadir Gaya
Banda Milne Ko Qareeb e Hazrat e Qaadir Gaya
Lam’ah e Baatin Me Gumne Jalwa e Zaahir Gaya
Teri Marzi Paa Gaya Sooraj Phira Ultay Qadam
Teri Ungli Ut’th Gayi Mah Ka Kaleja Chir Gaya
Bar’h Chali Teri Zia Andheyr Aalam Se Ghataa
Khul Gaya Gaisoo Tera Rahmat Ka Baadal Ghir Gaya
Bandh Ga-ee Teri Hawa Saawah Me Khaak Ur’ne Lagi
Bar’h Chali Teri Zia Aatish Pe Paani Phir Gaya
Teri Rahmat Se Safi-ullah Ka Bera Paar Tha
Tere Sadqe Se Naji-ullah Ka Bajra Tir Gaya
Teri Aamad Thee Ke Bait-ullah Mujre Ko Jhuka
Teri Haybat Thee Ke Har But Thar-thara Kar Gir Gaya
Momin Un Ka Kya Huwa Allah Uska Ho Gaya,
Kaafir Un Se Kya Phira, Allah Hee Se Phir Gaya.
Wo Ke Us Dar Ka Huwa Khalq e Khuda Us Ki Huwi
Wo Ke Us Dar Se Phira, Allah Hee Se Phir Gaya
Mujh Ko Diwaana Bataate Ho Me Wo Hoshiyaar Huñ
Paa-oñ Jab Tof e Haram Me Thak Gaye Sar Phir Gaya
Rahmatul Lil ’Aalameen Aafat Me Huñ Kaisi Karuñ
Mere Mawla Me To Is Dil Se Bala Me Ghir Gaya
Maiñ Tere Haathoñ Ke Sadqe, Kaisi Kankariyaañ Thee Wo
Jin Se Itne Kaafiroñ Ka Daf’atan Munh Phir Gaya
Kyuñ Janaab e Bu Hurairah Tha Wo Kaisa Jaam e Sheer
Jis Se Sat’tar Saahiboñ Ka Doodh Se Munh Phir Gaya
Waasta Pyaare Ka Aisa Ho Ke Jo Sunni Mare
Yuñ Na Farma-eñ Tere Shaahid Ke Wo Faajir Gaya
Arsh Par Dhoomeñ Macheñ Wo Momin e Saleh Mila
Farsh Se Maatam Uth’ay Wo Tayyib o Taahir Gaya
Allah-Allah Ye ‘Uloo e Khaas ‘Abdiyat RAZA
Banda Milne Ko Qareeb e Hazrat e Qaadir Gaya
Thokareñ Khaate Phiroge Unke Dar Par, Par Raho
Qaafila To Ay Raza Aw’wal Gaya Aakhir Gaya
Ne’mateñ Baant’ta Jis Samt Wo Zee-Shaan Gaya
Ne’mateñ Baant’ta Jis Samt Wo Zee-Shaan Gaya
Saath Hee Munshi e Rahmat Ka Qalam-Daan Gaya
Le Khabar Jald Ke Ghayroñ Ki Taraf Dhiyaan Gaya
Mere Mawla, Mere Aaqa Tere Qurbaan Gaya
Aah! Wo Aankh Ke Naa-Kaam e Taman’na Hee Rahi
Haa-e Wo Dil Jo Tere Dar Se Pur Armaan Gaya
Dil Hai Wo Dil Jo Teri Yaad Se Ma’moor Raha
Sar Hai Wo Sar Jo Tere Qadmoñ Pe Qurbaan Gaya
Unheñ Jaana Unheñ Maana Na Rakha Ghayr Se Kaam
Lil’laahil Hamd Maiñ Dunya Se Musalmaan Gaya
Awr Tum Par Mere Aaqa Ki ‘Inaayat Na Sahi
Najdiyoñ Kalma Parhaane Ka Bhi Ehsaan Gaya
Aaj Le Unki Panaah Aaj Madad Maang Un Se
Phir Na Maanenge Qiyaamat Me Agar Maan Gaya
Uf Re Munkir Ye Barha Josh e Ta’as’sub Aakhir
Bheer Me Haath Se Kam Bakht Ke Imaan Gaya
Jaan o Dil Hosh o Khirad Sub To Madine Pahunche
Tum Nahiñ Chalte RAZA Saara To Saamaan Gaya
Taab e Miraat e Sahr Gard e Bayabaan e Arab
Taab e Miraat e Sahr Gard e Bayabaan e Arab
Ghaazah e Roo e Qamar Dood e Chiraghaan e Arab
Allah-Allah Bahaar e Chamanistaan e Arab
Paak Haiñ Laws e Khizaañ Se Gul o Rehaan e Arab
Joshish e Abr Se Khoon, Gul e Firdaus Kare
Ch’her De Rag Ko Agar Khaar e Bayabaan e Arab
Tishna e Nahr e Jinaañ Har Arabi o Ajami
Lab e Har Nahr e Jinaañ Tishna e Neesaan e Arab
Toq e Gham Aap Hawa-e Par e Qumri Se Giray
Agar Aazad Kare Sarw e Khiraamaan e Arab
Mahr Meezaañ Me Ch’hupa Ho To Hamal Me Chamke
‘Daale Ek Boond Shab e De Me Jo Baaraan e Arab
Arsh Se Muzhdah e Bilqees e Shafa’at Laaya
Taa-ir e Sidra Nasheeñ Murgh e Sulaimaan e Arab
Husn e Yusuf Pe Kateeñ Misr Me Angusht e Zanaañ
Sar Kataate Haiñ Tere Naam Pe Mardaan e Arab
Koocha, Koocha Me Mahakti Hai Yahaañ Boo e Qamees
Yusufistaan Hai Har Ek Gosha e Kan’aan e Arab
Bazm e Qudsi Me Hai Yaad e Lab e Jaañ Bakhsh e Huzoor
Aalam e Noor Me Hai Chashma e Haywaan e Arab
Paaye Jibreel Ne Sarkaar Se Kya, Kya Alqaab
Khusro Khayl e Malak Khaadim e Sultan e Arab
Bulbul o Neel-par o Kabak Bano Parwaano
Mah o Khursheed Pe Hanste Haiñ Chiraghaan e Arab
Hoor Se Kya Kaheñ Moosa Se Magar Arz Kareñ
Ke Hai Khud Husn e Azal Taalib e Jaanaan e Arab
Karam e Na’at Ke Nazdeek To Kuch Door Nahiñ
Ke RAZA e Ajami Ho Sag e Has’saan e Arab
Phir Ut’ha Walwala e Yaad e Mugheelaan e Arab
Phir Utha Walwala e Yaad e Mugheelaan e Arab,
Phir Khincha Daaman e Dil Soo-e Bayabaan e Arab
Baagh e Firdaus Ko Jaate Haiñ Hazaaraan e Arab
Haa-e Sahra e Arab Haa-e Bayabaan e Arab
Meethi Baateñ Teri Deen e Ajam Imaan e Arab
Namkeen Husn Tera Jaan e Ajam Shaan e Arab
Ab To Hai Girya e Khooñ Gauhar e Daamaan e Arab,
Jis Me Do La’al Thay Zahra Ke Wo Thee Kaan e Arab
Dil Wohi Dil He Jo Aankhoñ Se Ho Hayraan e Arab
Aankheñ Wo Aankheñ Haiñ Jo Dil Se Hoñ Qurbaan e Arab
Haa-e Kis Waqt Lagi Phaans Alam Ki Dil Me
Ke Bahut Door Rahe Khaar e Mugheelaan e Arab
Fasl e Gul Laakh Na Ho Wasl Ki Rakh Aas Hazaar
Phoolte Phalte Haiñ Be Fasl Gulistaan e Arab
Sadqe Hone Ko Chale Aate Haiñ Laakhoñ Gulzaar
Kuch Ajab Rang Se Phoola Hai Gulistaan e Arab
‘Andaleebi Pe Jagharte Haiñ Katay Marte Haiñ
Gul o Bulbul Ko Laraata Hai Gulistaan e Arab
Sadqe Rahmat Ke Kahaañ Phool Kahaañ Khaar Ka Kaam
Khud Hai Daaman Kash e Bulbul Gul e Khandaan e Arab
Shaadi e Hashr He Sadqe Me Chut’enge Qaidi
Arsh Par Dhoom Se He Daawat e Mehmaan e Arab
Charchay Hote Haiñ Ye Kumlaa-e Huwe Phooloñ Me
Kyuñ Ye Din Dekhte, Paate Jo Bayabaan e Arab
Tere Be Daam Ke Bande Haiñ Ra-eesaan e Ajam
Tere Be Daam Ke Bandi Haiñ Hazaaraan e Arab
Hasht e Khuld Aa-eñ Wahaañ Kasb e Lataafat Ko RAZA
Chaar Din Barse Jahaañ Abr e Bahaaraan e Arab
Jobanoñ Par He Bahaar e Chaman Aara-ee e Dost
Jobanoñ Par He Bahaar e Chaman Aara-ee e Dost
Khuld Ka Naam Na Le Bulbul e Shaida-ee e Dost
Thak Ke Baythe To Dar e Dil Pe Taman’na-ee e Dost
Kaun Se Ghar Ka Ujaala Nahiñ Zaiba-ee e Dost
‘Arsa e Hashr Kuja Mawqaf e Mahmood Kuja
Saaz Hangaamoñ Se Rakhti Nahiñ Yakta-ee e Dost
Mahr Kis Munh Se Jalu-daari e Jaanaañ Karta
Saaya Ke Naam Se Bezaar He Yakta-ee e Dost
Marne Waaloñ Ko Yahaañ Milti He Umr e Javed
Zinda Choregi Kisi Ko Na Maseeha-ee e Dost
Unko Yakta Kiya Awr Khalq Banaa-ee Ya’ani
Anjuman Kar Ke Tamaasha Kareñ Tanha-i e Dost
Kaa’ba o Arsh Me Kohraam Hai Na-Kaami Ka
Aah Kis Bazm Me Hai Jalwa e Yakta-ee e Dost
Husn e Be Parda Ke Parde Ne Mitaa Rakha Hai
Dhoondne Jaa-eñ Kahaañ Jalwa e Har Jaa-ee e Dost
Shawq Rokay Na Rukay Paa-oñ Uthaaye Na Uthay
Kaisi Mushkil Me Haiñ Allah Taman’na-ee e Dost
Sharm Se Jhukti Haiñ Mehraab Ke Saajid Haiñ Huzoor
Sajda Karwaati Hai Kaa’ba Se Jabeeñ Saa-ee e Dost
Taaj Waalo Ka Yahaañ Khaak Pe Maatha Dekha
Saare Daara-oñ Ki Daara Huwi Daara-ee e Dost
Toor Par Ko-ee, Ko-ee Charkh Pe, Ye Arsh Se Paar
Saare Baala-oñ Pe Baala Rahi Baala-ee e Dost
Anta Fee-Him Ne ‘Adoo Ko Bhi Liya Daaman Me
Aish e Jaaved Mubaarak Tujhe Shaida-ee e Dost
Ranj e ‘Aada Ka RAZA Chaarah Hee Kya He Ke Unheñ
Aap Gustaakh Rakhe Hilm o Shakeeba-ee e Dost
Tooba Me Jo Sab Se Oonchi Naazuk Seedhi Nikli Shaakh
Tooba Me Jo Sab Se Oonchi Naazuk Seedhi Nikli Shaakh
Maanguñ Na’at e Nabi Likhne Ko Rooh e Quds Se Aisi Shaakh
Mawla Gulbun e Rahmat, Zahra Sibtain Uski Kaliyañ Phool
Siddique o Farooq o Usman o Haidar Har Ek Uski Shaakh
Shaakh e Qaamat e Shah Me Zulf o Chashm o Rukhsaar o Lab Me
Sumbul, Nargis, Gul, Pankhur’iyañ Qudrat Ki Kya Phooli Shaakh
Apne In Baaghoñ Ka Sadqa Wo Rahmat Ka Paani De
Jis Se Nakhl e Dil Me Ho Paida Pyaare Teri Wilaa Ki Shaakh
Yaad e Rukh Me Aaheñ Kar Ke Ban Me Roya, Aayi Bahaar
Jhoome Naseeme Neesaañ Barsa Kaliyaañ Chat’keñ Mahki Shaakh
Zaahir o Baatin, Aw’wal o Aakhir, Zayb e Furoo’ o Zain e Usool
Baagh e Risaalat Me Hai Tu Hee Gul Ghuncha Jar Pat’ti Shaakh
Aal e Ahmad Khuz Bi Yadi Ya Sayyid e Hamza Kun Madadi
Waqt e Khizaañ e Umr e RAZA Ho Barg e Huda Se Na Aari Shaakh
Zahe Izzat o E’tila e Muhammad (Sall Allahu Alaihi Wa Sallam)
Zahe Izzat o E’tila e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Ke Hai Arsh e Haq Zer e Paa e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Makaañ Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimaan e Sara e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Khuda Ki Raza Chaahate Haiñ Do Aalam
Khuda Chahata Hai Raza e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Ajab Kya Agar Rahm Farma-eñ Ham Par
Khuda e Muhammad Baraa e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Muhammad Baraa e Janaab e Ilaahi
Janaab e Ilaahi Bara e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Basi Itr e Mahboobi e Kibriya Se
‘Ibaa e Muhammad Qubaa e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Baham Ahd Baandhe Haiñ Wasl e Abad Ka
Raza e Khuda Awr Raza e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Dam e Naz’a Jaari Ho Meri Zubaañ Par
Muhammad, Muhammad Khuda e Muhammadصلى الله عليه وسلم
‘Asaa e Kaleem Azhdaha e Ghazab Tha
Giroñ Ka Sahaara Asaa e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Me Qurbaan Kya Pyaari, Pyaari Hai Nisbat
Ye Aane Khuda Wo Khuda e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Muhammad Ka Dam Khaas Bahr e Khuda Hai
Siwa e Muhammad Bara e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Khuda Unko Kis Pyaar Se Dekhta Hai
Jo Aankheñ Haiñ Mahw e Liqa e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Jilaw Me Ijaabat Khawaasi Me Rahmat
Bar’hi Kis Tuzak Se Dua e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Ijaabat Ne Jhuk Kar Galay Se Lagaaya
Bar’hi Naaz Se Jab Dua e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Ijaabat Ka Sahra Inaayat Ka Jor’a
Dulhan Ban Ke Nikli Dua e Muhammadصلى الله عليه وسلم
RAZA Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ke Hai Rab’b e Sal’lim Sada e Muhammadصلى الله عليه وسلم
Ay Shaafa’ e Umam Shah e Zee-Jaah Le Khabar
Ay Shaafa’ e Umam Shah e Zee-Jaah Le Khabar
Lillah Le Khabar Meri Lillah Le Khabar
Darya Ka Josh Naaw Na Bera Na Na-Khuda
Me Dooba Tu Kahaañ Hai Mere Shah Le Khabar
Manzil Kar’i Hai Raat Andheri Me Naa Balad
Ay Khidr Le Khabar Meri Ay Maah Le Khabar
Pahunche Pahunchne Waale To Manzil Magar Shaha
Un Ki Jo Thak Ke Baythe Sar e Raah Le Khabar
Jangal Darindoñ Ka Hai Maiñ Be Yaar Shab Qareeb
Gheray Haiñ Chaar Samt Se Badhkhwaa Le Khabar
Manzil Nayi Azeez Juda Log Na Shanaas
Toota Hai Koh e Gham Me Paray Kaah Le Khabar
Wo Sakhtiyaañ Sawaal Ki Wo Soorateñ Muheeb
Ay Ghamzadoñ Ke Haal Se Aagah Le Khabar
Mujrim Ko Baargaah e ‘Adaalat Me Laaye Haiñ
Takta Hai Be Kasi Me Teri Raah Le Khabar
Ahl e ‘Amal Ko Unke ‘Amal Kaam Aa-enge
Mera Hai Kaun Tere Siwa Aah Le Khabar
Pur Khaar Raah Barhana Paa Tishna Aab Door
Maula Pari Hai Aafat e Jaankah Le Khabar
Baahar Zubaaneñ Pyaas Se Haiñ Aaftaab Garam
Kawsar Ke Shah Kathrahullah Le Khabar
Maana Ke Sakht Mujrim o Naakaara Hai RAZA
Tera Hee To Hai Banda e Dargaah Le Khabar
Banda Qaadir Ka Bhi Qaadir Bhi He Abdul Qaadir
Banda Qaadir Ka Bhi Qaadir Bhi Hai Abdul Qaadir
Sir’r e Baatin Bhi Hai Zaahir Bhi Hai Abdul Qaadir
Mufti e Shar’a Bhi Hai Qaazi e Millat Bhi Hai
Ilm e Asraar Se Maahir Bhi Hai Abdul Qaadir
Mamba’ e Faiz Bhi Hai Majma’e Afdaal Bhi Hai
Mahr e Irfaañ Ka Munaw’wir Bhi Hai Abdul Qaadir
Qutb e Abdaal Bhi Hai Mahwar e Irshaad Bhi Hai
Markaz e Daa-irah e Sir’r Bhi Hai Abdul Qaadir
Silk e Irfaañ Ki Zia Hai Yahi Durr e Mukhtar
Fakhr e Ashbah Wa Naza’ir Bhi Hai Abdul Qaadir
Us Ke Farmaan Haiñ Sab Shareh Hukm e Shaare’
Mazhar e Naahi o Aamir Bhi Hai Abdul Qaadir
Zee Tasar’ruf Bhi Hai Maazoon Bhi Mukhtar Bhi Hai
Kaar e Aalam Ka Mudab’bir Bhi Hai Abdul Qaadir
Rashk e Bulbul He RAZA Laala e Sad Daagh Bhi Hai
Aap Ka Waasif o Zaakir Bhi Hai Abdul Qaadir
Guzre Jis Raah Se Wo Sayyid e Waala Ho Kar
Guzre Jis Raah Se Wo Sayyid e Waala Ho Kar
Reh Gayi Saari Zameeñ Ambar e Saara Ho Kar
Rukh e Anwar Ki Tajal’li Jo Qamar Ne Dekhi
Rah Gaya Bosa Dah e Naqsh e Kaf e Paa Ho Kar
Waa-e Mahroomi e Qismat Ke Maiñ Phir Ab Ki Baras
Rah Gaya Hamra e Zaw’waar e Madina Ho Kar
Chaman e Taiba Hai Wo Baagh Ke Murgh e Sidrah
Barsoñ Chehke Haiñ Jahaañ Bulbul e Shaida Ho Kar
Sar-Sar e Dasht e Madina Ka Magar Aaya Khayaal
Rashk e Gulshan Jo Bana Ghuncha e Dil Waa Ho Kar
Gosh e Shah Kehte Haiñ Faryaad Rasi Ko Ham Me
Wa’da e Chashm Hai Bakhsha-enge Goya Ho Kar
Paaye Shah Par Giray Ya Rab’b Tapish e Mahr Se Jab
Dil e Betaab Uray Hashr Me Paara Ho Kar
Hai Ye Ummeed RAZA Ko Teri Rahmat Se Shaha
Na Ho Zandaani e Dozakh Tera Banda Ho Kar
Naar e Dozakh Ko Chaman Kar De Bahaar e Aariz
Naar e Dozakh Ko Chaman Kar De Bahaar e Aariz
Zulmat e Hashr Ko Din Kar De Nahaar e Aariz
Me To Kya Cheez Huñ Khud Saahib e Qur’añ Ko Shaha
Laakh Mushaf Se Pasand Aayi Bahaar e Aariz
Jaise Qur’an Hai Wird Is Gul e Mahboobi Ka
Yuñhi Qur’añ Ka Wazifa Hai Waqaar e Aariz
Gar Che Qur’añ Hai Na Qur’añ Ki Baraabar Lekin
Kuch To Hai Jis Pe Hai Wo Madh e Nigaar e Aariz
Toor Kya Arsh Jalay Dekh Ke Wo Jalwa e Garam
Aap Aariz Ho Magar Aa-ina Daar e Aariz
Turfa Aalam He Wo Qur’an Idhar Dekheñ Udhar
Mushaf e Paak Ho Hayraan Bahaar e Aariz
Tarjama Hai Ye Sifat Ka Wo Khud Aai-na e Zaat
Kyuñ Na Mushaf Se Zyaada Ho Waqaar e Aariz
Jalwa Farma-eñ Rukh e Dil Ki Siyaahi Mit’t Jaaye
Subh Ho Jaaye Ilaahi Shab e Taar e Aariz
Naam e Haq Par Kare Mahboob Dil o Jaañ Qurbaañ
Haq Kare Arsh Se Taa Farsh Nisaar e Aariz
Mushkbu Zulf Se Rukh Chehra Se Baaloñ Me Shu’aa’
Muj’iza He Halab e Zulf o Tataar e Aariz
Haq Ne Bakhsha Hai Karam Nazr e Gadayaañ Ho Qubool
Pyaare Ek Dil He Wo Karte Hai Nisaar e Aariz
Aah Be Maa-egi Dil Ke RAZA e Mohtaaj
Le Kar Ek Jaan Chala Behr Nisaar e Aariz
Tumhaare Zar’re Ke Parto Sitaar Haa-e Falak
Tumhaare Zar’re Ke Parto Sitaar Haa-e Falak
Tumhaare Na’al Ki Naaqis Misl Zia e Falak
Agar Che Ch’haale Sitaaroñ Se Par Gaye Laakhoñ
Magar Tumhaari Talab Me Thakay Na Paa-e Falak
Sar e Falak Na Kabhi Taaba Aastaañ Pahuncha
Ke Ibtida e Bulandi Thee Intihaa e Falak
Ye Mit’t Ke Un Ki Rawish Par Huwa Khud Unki Rawish,
Ke Naqsh e Paa Hai Zameeñ Par Na Sawt e Paa e Falak
Tumhaari Yaad Me Guzri Thee Jaagte Shab Bhar
Chali Naseem Huwe Band Deed Haa e Falak
Na Jaag Ut’heñ Kahiñ Ahl e Baqi’ Kach’chi Neend
Chala Ye Narm Na Nikli Sada e Paa e Falak
Ye Un Ke Jalwe Ne Keeñ Garmiyaañ Shab e Asra
Ke Jab Se Charkh Me Haiñ Naqra o Talaa e Falak
Mere Ghani Ne Jawaahir Se Bhar Diya Daaman
Gaya Jo Kaasa e Mah Le Ke Shab Gada e Falak
Raha Jo Qaane’ Yak Naan e Sokhta Din Bhar
Mili Huzoor Se Kaan e Gohar Jazaa e Falak
Tajam’mul e Shab e Asra Abhi Simat’ Na Chuka
Ke Jub Se Waisi Hee Kotal He Sabz Haa e Falak
Khitaab e Haq Bhi Hai Dar Baab e Khalq ‘Min Ajlik’
Agar Idhar Se Dam e Hamd Hai Sadaa e Falak
Ye Ahl e Bayt Ki Chak’ki Se Chaal Seekhi Hai
Rawaañ Hai Be Madad e Dast Aasiya e Falak
RAZA Ye Na’at e Nabi Ne Bulandiyaañ Bakhsheeñ
Laqab Zameen e Falak Ka Huwa Samaa e Falak
Kya Theek Ho Rukh e Nabawi Par Misaal e Gul
Kya Theek Ho Rukh e Nabawi Par Misaal e Gul
Paamaal Jalwa e Kaf e Paa Hai Jamaal e Gul
Jannat Hai Unke Jalwa Se Jooya e Rang o Boo
Ay Gul Hamaare Gul Se Hai Gul Ko Sawaal e Gul
Un Ke Qadam Se Sil’a e Ghaali Huwi Jinaañ
Wal’laah Mere Gul Se Hai Jaah o Jalaal e Gul
Sunta Huñ Ishq e Shah Me Dil Hoga Khooñ Fishaañ
Ya Rab’b Ye Muzhdah Sach Ho Mubaarak Ho Faal e Gul
Bulbul Haram Ko Chal Gham e Faani Se Faa’ida
Kab Tak Kahegi Haa-e Wo Ghuncha o Laal e Gul
Ghamgeen Hai Shawq e Ghaazah e Khaak e Madina Me
Shabnam Se Dhul Sakegi Na Gard e Malaal e Gul
Bulbul Ye Kya Kaha, Maiñ Kahaañ Fasl e Gul Kahaañ?
Ummeed Rakh Ke Aam Hai Jood o Nawaal e Gul
Bulbul Ghira Hai Abr e Wilaa Muzhdah Ho Ke Ab
Girti Hai Aashiyaana Pe Barq e Jamaal e Gul
Ya Rab’b Hara Bhara Rahe Daagh e Jigar Ka Baagh
Har Mah, Mah e Bahaar Ho Har Saal, Saal e Gul
Rang e Mizh’ah Se Kar Ke Khajil Yaad e Shah Me
Kheencha Hai Ham Ne Kaantoñ Pe Itr e Jamaal e Gul
Me Yaad e Shah Me Rowooñ ‘Anaadil Kareñ Hujoom
Har Ashk e Laala e Faam Pe Ho Ehtimaal e Gul
Haiñ Aks e Chehra Se Lab e Gulgoñ Me Surkhiyaañ
Dooba Hai Badr e Gul Se Shafaq Me Hilaal e Gul
Na’at e Huzoor Me Mutaran’nim Hai Andaleeb,
Shaakhoñ Ke Jhoomne Se ‘Ayaañ Wajd o Haal e Gul
Bulbul Gul e Madina Hamesha Bahaar Hai
Do Din Ki Hai Bahaar Fanaa Hai Ma-aal e Gul
Shaykhain Idhar Nisaar, Ghani o Ali Udhar
Ghuncha Hai Bulbuloñ Ka Yameen o Shimaal e Gul
Chaahe Khuda To Paa-enge Ishq e Nabi Me Khuld
Nikli Hai Naama e Dil e Pur Khooñ Me Faal e Gul
Kar Us Ki Yaad Jis Se Milay Chain, Andaleeb
Dekha Nahiñ Ke Khaar e Alam Hai Khayaal e Gul
Dekha Tha Khwaab e Khaar e Haram Andaleeb Ne
Khat’ka Kiya Hai Aankh Me Shab Bhar Khayaal e Gul
Un Do Ka Sadqa Jin Ko Kaha Mere Phool Haiñ
Kijiye RAZA Ko Hashr Me Khanda Misaal e Gul
Sar Ta Ba Qadam Hai Tan e Sultaan e Zaman Phool
Sar Ta Ba Qadam Hai Tan e Sultaan e Zaman Phool
Lab Phool, Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool
Sadqe Me Tere Baagh To Kya Laaye Haiñ Ban Phool
Is Ghuncha e Dil Ko Bhi To Imaa Ho Ke Ban Phool
Tinka Bhi Hamaare To Hilaaye Nahiñ Hilta
Tum Chaaho To Ho Jaaye Abhi Koh e Mihan Phool
Wal’laah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maange Na Kabhi Itr Na Phir Chaahe Dulhan Phool
Dil Basta o Khooñ Gushta Na Khushboo Na Lataafat
Kyuñ Ghuncha Kahuñ Hai Mere Aaqa Ka Dahan Phool
Shab Yaad Thee Kin Daantoñ Ki Shabnam Ke Dam e Subh
Shawkhaan e Bahaari Ke Jur’aa-o Haiñ Kiran Phool
Dandaan o Lab o Zulf o Rukh e Shah Ke Fida-ee
Haiñ Durr e ‘Adan La’al e Yaman Mushk e Khutan Phool
Boo Ho Ke Nihaañ Hogaye Taab e Rukh e Shah Me
Loo Ban Gaye Haiñ Ab To Haseenoñ Ka Dahan Phool
Hoñ Baar e Gunaah Se Na Khajil Dosh e Azeezaañ
Lil’laah Meri Na’ash Kar Ay Jaan e Chaman Phool
Dil Apna Bhi Shaida-ee Hai Us Naakhun e Paa Ka
Itna Bhi Mah e Nau Pe Na Ay Charkh e Kohan Phool
Dil Khol Ke Khooñ Role Gham e Aariz e Shah Me
Nikle To Kahiñ Hasrat e Khooñ Naaba Shudan Phool
Kya Ghaazah Mila Gard e Madina Ka Jo Hai Aaj
Nikhray Huwe Jo Ban Me Qiyaamat Ki Phaban Phool
Garmi Ye Qiyaamat Hai Ke Kaante Haiñ Zubaan Par
Bulbul Ko Bhi Ay Saaqi e Sahba o Laban Phool
Hai Kaun Ke Girya Kare Ya Faateha Ko Aaye
Be-kas Ke Uthaaye Teri Rahmat Ki Bharan Phool
Dil Gham Tujhe Gheray Haiñ Khuda Tujh Ko Wo Chamkaa-e
Sooraj Tere Khirman Ko, Banay Teri Kiran Phool
Kya Baat RAZA Is Chamanistaan e Karam Ki
Zahra Hai Kali Jis Me Husain Awr Hasan Phool
He Kalaam e Ilaahi Me Shams o Duha Tere Chehra e Noor Fiza Ki Qasam
He Kalaam e Ilaahi Me Shams o Duha
Tere Chehra e Noor Faza Ki Qasam
Qasam e Shab e Taar Me Raaz Ye Tha
Ke Habeeb Ki Zulf e Dotaa Ki Qasam
In The Divine Word Of Allah, Are Mentioned The Sun And Daylight,
While Proclaiming The Oath Of Your Sacred Face, So Bright
The Secret In Proclaiming The Oath Of The Dark Night,
Was To Proclaim An Oath Of The Most Beloved’s Hair, So Bright
Tere Khulq Ko Haq Ne Azeem Kaha
Teri Khalq Ko Haq Ne Jameel Kiya
Ko-ee Tujh Sa Huwa Hai Na Hoga Shaha
Tere Khaaliq e Husn o Ada Ki Qasam
Allah Exalted Your Character To The Greatest Height
In Creation, Allah Made You The Most Beautiful Sight
Like You My King, There Is None, And None Will Ever Be So Bright
This Is The Oath Of The Creator Of Your Beauty & Charisma, So Bright
Wo Khuda Ne Hai Martaba Tujh Ko Diya
Na Kisi Ko Milay Na Kisi Ko Mila
Ke Kalaam e Majeed Ne Kha-ee Shaha
Tere Shahr o Kalaam o Baqa Ki Qasam
Allah Has Granted You Such A Peerless & Exalted Height
None Other Will Attain or Has Attained Such A Great Height
For The Word Of Almighty Allah, Has Proclaimed Outright
The Oath Of Your Holy City And Your Sacred Word, So Bright
115
Tera Masnad e Naaz Hai Arsh Bareeñ
Tera Mahram e Raaz Hai Rooh e Ameeñ
Tu Hee Sarwar e Har Do Jahaañ Hai Shaha
Tera Misl Nahiñ Hai Khuda Ki Qasam
Your Seat Of Honour Is The Arsh, In Heaven’s Majestic Height
Your Devoted Confidant, Is Hazrat Jibreel, The Spirit Of Light
O My King! Of Both Worlds, You Are The Master, So Bright
By Allah! Like You There Is None Other, So Bright
Yahi Arz Hai Khaaliq e Arz e Samaa
Wo Rasool Haiñ Tere Me Banda Tera
Mujhe Unke Jawaar Me De Wo Jagah
Ke Hai Khuld Ko Jis Ki Safa Ki Qasam
My Only Request, O Creator Of The Earth & Sky So Bright
While I Am Your Humble Servant, He Is Your Rasool, Most Bright
Grant Me Such A Place, In His Sacred Vicinity Of Light
To Which Heaven Proclaims An Oath, On Its Pure Light
Tu Hee Bandoñ Pe Karta He Lutf o Ataa
He Tujhi Pe Bharosa Tujhi Se Dua
Mujhe Jalwa e Paak Rasool Dikha
Tujhe Apne Hee Izz o Ulaa Ki Qasam
It Is You Alone Who Showers Your Servants With His Merciful Divine Sight
Upon You We Have Complete Trust, We Invoke You, In Our Plight
Bless Me With Seeing The Countenance, Of My Rasool, Full Of Light
I Give You The Oath Of Your Divine Honour And Your Divine Might
Mere Gar Che Gunaah Haiñ Had Se Siwa
Magar Un Se Ummeed Hai Tujh Se Raja
Tu Rahim Hai Unka Karam He Gawaah
Wo Kareem Haiñ Teri Ataa Ki Qasam
Even Though All My Sins, Are Far Beyond My Sight
But In Him I Have Faith, Towards Your Mercy I Turn My Sight
You Are The Most Merciful, Witnessing It, Is His Merciful Sight
He Is Indeed My Generous Master, Through Your Divine Sight
116
Yahi Kehti Hai Bulbul e Baagh e Jinaañ
Ke Raza Ki Tarah Ko-ee Sehr Bayaañ
Nahiñ Hind Me Waasif e Shaah e Huda
Mujhe Shawkhi e Tab’ e RAZA Ki Qasam
In Paradise The Nightingales Are Chirping In Delight,
Like Raza, A Magical Poet With Such Eloquent Insight
In India There Is None Who Praises The Nabi With Such Delight,
I Pronounce An Oath By Raza’s, Heartfelt Enthusiasm And Delight
Paat’ Wo Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Ham
Paat’ Wo Kuch Dhaar Ye Kuch Zaar Ham
Ya Ilaahi Kyuñ Kar Utreñ Paar Ham
While The River Is So Rough & Wide, We Are So Weak & Exhausted
O Allah! How Will We Cross Over To The Other Side, Unobstructed
Kis Bala Ki May Se Haiñ Sarshaar Ham
Din Dhala Hote Nahiñ Hoshiyaar Ham
By Which Strong Drink Have We Been So Heavily Intoxicated
The Day Is Setting Over Us, But Still To Our Senses We Have Not Reverted
Tum Karam Se Mushtari Har Aib Ke
Jins e Na-Maqbool Har Bazaar Ham
By Your Generosity, All The Imperfect Ones You Have Purchased
Otherwise In Every Market, We Are The Items Most Unwanted
Dushmanoñ Ki Aankh Me Bhi Phool Tum
Dostoñ Ki Bhi Nazr Me Khaar Ham
Even Your Enemies See You, As A Flower Beautifully Scented
While Even In The Sights Of Friends, We Are Thorns, Rejected
Laghzish e Paa Ka Sahara Aik Tum
Girne Waale Laakhoñ Na Hanjaar Ham
As Our Feet Slip, By You Alone We Are Instantly Supported
Else We Are Of The Millions, Who Deserved To Fall, Unsupported
118
Sadqa Apne Baazu-oñ Ka Al-Madad
Kaise Toreñ Ye But e Pindaar Ham
By The Blessings Of Your Strong Shoulders, May We Be Aided
How Else Will We Break Free, From This Fixation, Conceited
Dam Qadam Ki Khayr Ay Jaan e Maseeh
Dar Pe Laaye Haiñ Dil e Bimaar Ham
O Soul Of The Messiah! Through Your Spirit & Strength May We Be Blessed
We Have Brought Our Ailing Hearts To Your Court, So Exalted
Apni Rahmat Ki Taraf Dekheñ Huzoor
Jaante Haiñ Jaise Haiñ Badkaar Ham
Towards Your Mercy, Please Allow Your Sight To Be Directed,
We Already Know That We Are Immensely Sinful & Degraded
Apne Mehmaano Ka Sadqa Aik Boond
Mar Mit’ay Pyaase Idhar Sarkaar Ham
Through The Blessings Of Your Guests, A Single Drop May We Be Afforded
Ya Rasool’Allah! We Are Dying On This Side, Thirsty & Exhausted
Apne Koocha Se Nikaala To Na Do
Haiñ To Had Bhar Ke Khuda-ee Khwaar Ham
From Your Sacred Court, Please Do Not Have Us Ejected
For We Are Already Despised & Extremely Wretched
Haath Ut’haa Kar Aik Tukr’a Ay Kareem
Haiñ Sakhi Ke Maal Me Haqdaar Ham
O My Generous Master! Grant Us A Single Morsel, With Your Hands Raised
We Too Have A Share, In The Riches, Of Our Master Who Is Openhearted
119
Chaandni Chatki Hai Unke Noor Ki
Aawo Dekheñ Seyr e Toor o Naar Ham
By The Radiating Glow Of His Light, Everything Was Illuminated
Let’s Observe The Expedition To Mount Toor, When It Was Incinerated
Himmat Ay Zo’af Unke Dar Par Gir Ke Hoñ
Be Takal’luf Saaya e Deewaar Ham
O Weak One! Just Try To Reach His Court, While Remaining Highly Spirited
Then Painlessly, As The Shadow Of His Wall, You Will Rest Contented
Ba Ataa Tum, Shah Tum, Mukhtar Tum
Be Nawa Ham, Zaar Ham, Naa Chaar Ham
You Are The Patron, You Are The King, You Are The Legislator, Selected
While We Are Destitute, Afflicted And Helplessly Incapacitated
Tum Ne To Laakhoñ Ko Jaaneñ Pheyr Deeñ
Aisa Kitna Rakhte Haiñ Aazaar Ham
To Millions, Their Souls, You Have Comfortably Returned,
Whereas We Are Not So Severely Inflicted
Apni Sat’taari Ka Ya Rab’b Waasta
Huñ Na Ruswa Bar-sar e Darbaar Ham
O Allah! In The Name Of Being ‘The One Who Veils’, I Beg You, Humbled
In Your Exalted Court, Do Not Let Us Be Publicly Humiliated
Itni Arz e Aakhri Keh Do Ko-ee
Naaw Tooti Aa Paray Manjhdhaar Ham
To Our Nabi, Could Someone Have Our Final Plea Presented,
Please Aid Us! In The Stormy Ocean, We Are Shipwrecked
120
Munh Bhi Dekha Hai Kisi Ke Afw Ka
Dekh Aw ‘Isiyaañ Nahiñ Be Yaar Ham
Me Nisaar Aisa Musalmaañ Kijiye
Tor Daaleñ Nafs Ka Zun’naar Ham
Kab Se Phelaaye Hai Daaman Teygh e Ishq
Ab To Paa-eñ Zakhm Daaman Daar Ham
Sunniyat Se Khat’ke Sab Ki Aankh Me
Phool Ho Kar Ban Gaye Kya Khaar Ham
Naa-tawaani Ka Bhala Ho Ban Gaye
Naqsh e Paa e Taalibaan e Yaar Ham
Dil Ke Tuk’re Nazr Haazir Laaye Haiñ
Ay Sagaan e Koocha e Dildaar Ham
Qismat e Thawr o Hira Ki Hirs Hai
Chaahate Hai Dil Me Gehra Ghaar Ham
Chashm Poshi o Karam Shaan e Shuma
Kaar e Maa, Be-Baaki o Israar Ham
Fasl Gul Sabza Saba Masti Shabaab
Ch’horeñ Kis Dil Se Dar e Khumaar Ham
Maikadah Chit-ta Hai Lil’laah Saaqiya
Ab Ke Saaghar Se Na Hoñ Hoshiyaar Ham
Saaqi e Tasneem Jab Tak Aa Na Jaayeñ
Ay Siyaah Masti Na Hoñ Hoshiyaar Ham
Naazisheñ Karte Haiñ Aapas Me Malak
Haiñ Ghulamaan e Shah e Abraar Ham
Lutf Az Khud Raftagi Ya Rab’b Naseeb
Hoñ Shaheed e Jalwa e Raftaar Ham
Un Ke Aage Daawa e Hasti RAZA
Kya Bakay Jaata Hai Ye Har Baar Ham
Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Haiñ Anwar Ay’riyaañ
Aariz e Shams o Qamar Se Bhi Haiñ Anwar Ay’riyaañ
Arsh Ki Aankhoñ Ke Taare Haiñ Wo Khushtar Ay’riyaañ
Jaa Baja Parto Figan Haiñ Aasmaañ Par Ay’riyaañ
Din Ko Haiñ Khursheed Shab Ko Maah o Akhtar Ay’riyaañ
Najm Garduñ To Nazar Aate Haiñ Ch’hotay Awr Wo Paa-oñ
Arsh Par Phir Kyuñ Na Hoñ Mahsoos Laaghar Ay’riyaañ
Dab Ke Zer e Paa Na Gunja-ish Samaane Ko Rahi
Ban Gaya Jalwa Kaf e Paa Ka Ub’har Kar Ay’riyaañ
Un Ka Mangta Paa-oñ Se Thukra De Wo Dunya Ka Taaj
Jis Ki Khaatir Mar Gaye Mun’im Ragar Kar Ay’riyaañ
Do Qamar Do Panja e Khur Do Sitaare Das Hilaal
Un Ke Talwe, Panje, Naakhuñ, Paa-e At’har Ay’riyaañ
Haa-e Us Pat’thar Se Is Seene Ki Qismat Ph’oriye
Be Takal’luf Jis Ke Dil Me Yuñ Kareñ Ghar Ay’riyaañ
Taaj e Roohul Quds Ke Moti Jisay Sajdah Kareñ
Rakhti Haiñ Wal’laah Wo Paakiza Gauhar Ay’riyaañ
Aik Thokar Me Uhad Ka Zalzala Jaata Raha
Rakhti Haiñ Kitna Waqaar Allahu Akbar Ay’riyaañ
Charkh Par Charhte Hee Chaandi Me Siyaahi Aagayi
Kar Chuki Haiñ Badr Ko Taksaal Baahar Ay’riyaañ
Ay RAZA Toofaan e Mahshar Ke Talaatum Se Na Dar
Shaad Hoñ Haiñ Kashti e Ummat Ko Langar Ay’riyaañ
Ishq e Maula Me Huñ Khooñ-Baar Kinaar e Daaman
Ishq e Maula Me Huñ Khooñ-Baar Kinaar e Daaman
Ya Khuda Jald Kahiñ Aaye Bahaar e Daaman
Beh Chali Aankh Bhi Ashkoñ Ki Tarah Daaman Par
Ke Nahiñ Taar e Nazar Juz Dosah Taar e Daaman
Ashk Barsa-oñ Chale Koocha e Jaanañ Se Naseem
Ya Khuda Jald Kahiñ Nikle Bukhaar e Daaman
Dil Shuduñ Ka Ye Huwa Daaman e At’har Pe Hujoom
Be Dil Aabaad Huwa Naam Dayaar e Daaman
Mushk Sa Zulf Shah o Noor Fishaañ Roo e Huzoor
Allah, Allah! Halb e Jayb o Tataar e Daaman
Tujh Se Ay Gul Me Sitam Deedah e Dasht e Hirmaañ
Khalish e Dil Ki Kahuñ Ya Gham e Khaar e Daaman
Aks e Afgan Hai Hilaal e Lab e Shah Habeeb Nahiñ
Mahr Aariz Ki Shu’aa-eñ Haiñ Na Taar e Daaman
Ashk Kehte Haiñ Ye Shaida-ee Ki Aankheñ Dho Kar
Ay Adab Gard e Nazar Ho Na Ghubaar e Daaman
Ay RAZA! Aah, Wo Bulbul Ke Nazar Me Jis Ki
Jalwa e Habeeb Gul Aaye Na Bahaar e Daaman
Rashk e Qamar Huñ
Rashk e Qamar Huñ Rang e Rukh e Aaftaab Huñ
Zar’ra Tera Jo Ay Shah e Garduñ Janaab Huñ
Durr e Najaf Huñ Gauhar e Paak e Khushaab Huñ
Yaa’ni Turaab e Rahguzar e Bu Turaab Huñ
Gar Aankh Huñ To Abr Ki Chashm e Pur Aab Huñ
Dil Huñ To Barq Ka Dil e Pur Iztiraab Huñ
Khooneñ Jigar Huñ Taa-ir e Be Aashiyaañ Shaha
Rang e Pareeda e Rukh e Gul Ka Jawaab Huñ
Be Asl o Be Thabaat Huñ Bahr e Karam Madad
Par-warda e Kinaar e Saraab o Hubaab Huñ
Ibrat Faza Hai Sharm e Gunah Se Mera Sukoot
Goya Lab e Khamush e Lahad Ka Jawaab Huñ
Kyuñ Naala Soz Se Karuñ Kyuñ Khoon e Dil Piyooñ
Seekh e Kabaab Huñ Na Me Jaam e Sharaab Huñ
Dil Basta, Be-Karaar, Jigar e Chaak, Ashk-baar
Ghuncha Huñ Gul Huñ Barq e Tapaañ Huñ Sahaab Huñ
Daawa Hai Sab Se Teri Shafa’at Pe Beshtar
Daftar Me Aasiyoñ Ke Shaha Intikhaab Huñ
Maula Duha-ee, Nazroñ Se Gir Kar Jalaa Ghulam
Ashk e Mizha Raseedah e Chashm e Kabaab Huñ
Mit’t Jaaye Ye Khudi To Wo Jalwa Kahaañ Nahiñ
Darda Me Aap Apni Nazar Ka Hijaab Huñ
Sadqe Hoñ Us Pe, Naar Se Dega Jo Mukhlisi
Bulbul Nahiñ Ke Aatish e Gul Par Kabaab Huñ
Qaalib Tahi Kiye Hama Aa-ghosh Hai Hilaal
Ay Shahsawaar e Taiba Maiñ Teri Rikaab Huñ
Kya, Kya Hai Tujhse Naaz Tere Qasr Ko, Ke Maiñ
Kaa’be Ki Jaan Arsh e Bareeñ Ka Jawaab Huñ
Shaaha Bujhe Saqar Mere Ashkoñ Se, Taana Me
Aab e Abas Chakeedah e Chashm e Kabaab Huñ
Maiñ To Kaha Hee Chaahuñ Ke Banda Huñ Shah Ka
Pur Lutf Jub Hai Keh Deñ Agar Wo Janaab Huñ
Hasrat Me Khaak Bosi e Taiba Ki Ay RAZA
Tap’ka Jo Chashm e Mahr Se, Wo Khoon e Naab Huñ
Poochte Kya Ho Arsh Par Yuñ Gaye Mustafa Ke Yuñ
Poochte Kya Ho Arsh Par Yuñ Gaye Mustafa Ke Yuñ
Kaif Ke Par Jahaañ Jalay Ko-ee Bataaye Kya Ke Yuñ
Qasr e Dana Ke Raaz Me Aqlaiñ To Gum Hai Jaisi Hai
Rooh e Quds Se Poochiye Tum Ne Bhi Kuch Suna Ke Yuñ
Maiñ Ne Kaha Ke Jalwa e Asl Me Kis Tarah Mageeñ
Subh Ne Noor e Mahr Me Mit’t Ke Dikha Diya, Ke Yuñ
Haa-e Re, Zawq e Bekhudi Dil Jo Sambhalne Sa Laga
Ch’ak Ke Mahak Me Phool Ki Girnay Lagi Saba, Ke Yuñ
Dil Ko De Noor o Daagh e Ishq Phir Maiñ Fida Do Neem Kar
Maana Hai Sun Ke Shaq e Maah Aankhoñ Se Ab Dikha, Ke Yuñ
Dil Ko Hai Fikr Kis Tarah Murde Jilaate Haiñ Huzoor
Ay Maiñ Fida Laga Kar Ek Thokar Usay Bata Ke Yuñ
Baagh Me Shukr e Wasl Tha Hijr Me Haai, Haai, Gul
Kaam Hai Un Ke Zikr Se Khayr Wo Yuñ Huwa Ke Yuñ
Jo Kahe She’r o Paas Shar’a Dono Ka Husn Kyuñ Kar Aaye
Laa Usay Pesh e Jalwa e Zam-Zama e RAZA, Ke Yuñ
Phir Ke Gali-Gali Tabaah Thokareñ Sab Ki Khaa-eñ Kyuñ
Phir Ke Gali-Gali Tabaah Thokareñ Sab Ki Khaa-eñ Kyuñ
Dil Ko Jo Aql De Khuda Teri Gali Se Jaaye Kyuñ
Rukhsat e Qaafila Ka Shor Ghash Se Hameñ Uthaaye Kyuñ
Sote Haiñ Unke Saaye Me Ko-ee Hameñ Jagaaye Kyuñ
Baar Na Thay Habeeb Ko Paalte Hee Ghareeb Ko
Royeñ Jo Ab Naseeb Ko Chain Kahaañ Ganwaaye Kyuñ
Yaad e Huzoor Ki Qasam Ghaflat e Aish Hai Sitam
Khoob Hai Qaid e Gham Me Ham Ko-ee Hameñ Churaaye Kyuñ
Dekh Ke Hazrat e Ghani Phayl Paray Faqeer Bhi
Chaayi Hai Ab To Chaawoni Hashr Hee Aa Na Jaaye Kyuñ
Jaan He Ishq e Mustafa Roz Fazooñ Kare Khuda
Jis Ko Ho Dard Ka Mazaa Naaz e Dawa Ut’haaye Kyuñ
Ham To Haiñ Aap Dil Figaar Gham Me Hansi Hai Na Gawaar
Ch’her Ke Gul Ko Nau Bahaar Khoon Hameñ Rulaaye Kyuñ
Ya To Yuñhi Tar’ap Ke Jaayeñ Ya Wahi Daam Se Churaayeñ
Mannat e Ghair Kyuñ Ut’haa-eñ Ko-ee Taras Jataaye Kyuñ
Un Ke Jalaal Ka Asar Dil Se Lagaaye He Qamar
Jo Ke Ho Laut Zakhm Par Daagh e Jigar Mit’aaye Kyuñ
The Sign Of His Grand & Eminent Magnificence,
The Moon Has Embraced With All Its Heart
Why Would It Erase The Spot In Its Heart,
When It Is Truly In Love With This Abrasion?
Khush Rahe Gul Se Andaleeb Khaar e Haram Mujhe Naseeb
Meri Balaa Bhi Zikr Par Phool Ke Khaar Khaaye Kyuñ
Gard e Malaal Agar Dhulay Dil Ki Kali Agar Khilay
Barq Se Aankh Kyuñ Jalay Rone Pe Muskuraaye Kyuñ
Jaan e Safar Naseeb Ko Kis Ne Kaha Mazay Se So
Khat’ka Agar Sehar Ka Ho Shaam Se Maut Aaye Kyuñ
Ab To Na Rok Ay Ghani Aadat e Sag Bigar Gayi
Mere Kareem Pehle Hee Luqma e Tar Khilaaye Kyuñ
Raah e Nabi Me Kya Kami Farsh Biyaad e Deedah Ki,
Chaadar e Zil Hai Malgaji Zer e Qadam Bichaaye Kyuñ
Sang e Dar e Huzoor Se Ham Ko Khuda Na Sabr De
Jaana Hai Sar Ko Jaa Chukay Dil Ko Qaraar Aaye Kyuñ
He To RAZA Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaayeñ Ham
Ko-ee Bajaaye Soz e Gham Saaz e Tarab Bajaaye Kyuñ
Yaad e Watan Sitam Kiya Dasht e Haram Se Laa-ee Kyuñ
Yaad e Watan Sitam Kiya Dasht e Haram Se Laa-ee Kyuñ
Baythe Bithaaye Bad-Naseeb Sar Pe Bala Uthaa-ee Kyuñ
Dil Me To Chowt’ Thee Dabee Haa-e Ghazab Ub’har Ga-ee
Poocho To Aah e Sard Se Thandi Hawa Chalaa-ee Kyuñ
Ch’hor Ke Us Haram Ko Aap Ban Me Thagoñ Ke Aa Baso
Phir Kaho Sar Pe Dhar Ke Haath Lut Ga-ee Sab Kamaa-ee Kyuñ
Baagh e Arab Ka Sarw e Naaz Dekh Liya Hai Warna Aaj
Qumri e Jaan e Ghamzada Goonj Ke Chehchaha-ee Kyuñ
Naam e Madina Le Liya Chalne Lagi Naseem e Khuld
Sozish e Gham Ko Ham Ne Bhi Kaisi Hawa Bataa-ee Kyuñ
Kis Ki Nigaah Ki Haya Phirti Hai Meri Aankh Me
Nargis e Mast e Naaz Ne Mujh Se Nazar Churaa-ee Kyuñ
Tu Ne To Kar Diya Tabeeb Aatish e Seena Ka Ilaaj
Aaj Ke Dood e Aah Me Boo e Kabaab Aa-ee Kyuñ
Fikr e Ma’aash Bad Bala Hol e Ma’aad Jaañ Gazaa
Laakhoñ Bala Me Phansne Ko Rooh Badan Me Aa-ee Kyuñ
Ho Na Ho Aaj Kuch Mera Zikr Huzoor Me Huwa
Warna Meri Taraf Khushi Dekh Ke Muskuraa-ee Kyuñ
Hoor e Jinaañ Sitam Kiya Taiba Nazar Me Phir Gaya
Ch’her Ke Parda e Hijaaz, Des Ki Cheez Gaa-ee Kyuñ
Ghaflat e Shaykh o Shaab Par Hanste Haiñ Tifl e Sheer Khwaar
Karne Ko Gud-Gudi ‘Abas, Aane Lagi Bihaa-ee Kyuñ
Arz Karuñ Huzoor Se, Dil Ki To Mere Khayr He
Peet-ti Sar Ko Aarzu, Dasht e Haram Se Aa-ee Kyuñ
Hasrat e Nau Ka Saaniha Sunte Hee Dil Bigar Gaya
Aise Mareez Ko RAZA Marg e Jawaañ Suna-ee Kyuñ
Ahle Siraat Rooh e Ameeñ Ko Khabar Kareñ
Ahle Siraat Rooh e Ameeñ Ko Khabar Kareñ
Jaati Hai Ummat e Nabawi, Farsh Par Kareñ
In Fitna Haa-e Hashr Se Kehdo Hazar Kareñ
Naazoñ Ke Paale Aate Hai Rah Se Guzar Kareñ
Bad Hai To Aap Ke Hai Bhalay Hai To Aapke
Tukroñ Se To Yahaañ Ke Palay Rukh Kidhar Kareñ
Sarkaar Ham Kameenoñ Ke Atwaar Par Na Jaa-eñ
Aaqa Huzoor Apne Karam Par Nazar Kareñ
Unki Haram Ke Khaar Kasheedah Hai Kis Liye
Aankhoñ Me Aaye Sar Pe Rahe Dil Me Ghar Kareñ
Jaalo Pe Jaal Par Gaye Lil’laah Waqt Hai
Mushkil Kusha-ee Aap Ke Naakhun Agar Kareñ
Manzil Karee Hai Shaan e Tabas’sum Karam Kare
Taaroñ Ki Chaa-oñ Noor Ke Tar’ke Safar Kareñ
Kilk e RAZA Hai Khanjar e Khun-Khwaar Barq Baar
Aa’da Se Kehdo Khayr Manaa-eñ Na Shar Kareñ
Wo Soo e Laalah Zaar Phirte Haiñ
Wo Soo e Laalah Zaar Phirte Haiñ
Tere Din Ay Bahaar Phirte Haiñ
Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Haiñ,
Dar Ba Dar Yuñhi Khwaar Phirte Haiñ
Aah Kal ‘Aish To Kiye Ham Ne
Aaj Wo Be Qaraar Phirte Haiñ
Un Ke Eemaa Se Donoñ Baaghoñ Par
Kheel e Layl o Nahaar Phirte Haiñ
Har Charaagh e Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwaana Waar Phirte Haiñ
Us Gali Ka Gada Huñ Maiñ Jis Me
Maangte Taajedaar Phirte Haiñ
Jaan Haiñ Jaan Kya Nazar Aaye
Kyuñ `Adu Gird e Ghaar Phirte Haiñ
Phool Kya Dekhuñ Meri Aankhoñ Me
Dasht e Taiba Ke Khaar Phirte Haiñ
Laakhoñ Qudsi Haiñ Kaam e Khidmat Par
Laakhoñ Gird e Mazaar Phirte Haiñ
Wardiyaañ Bolte Haiñ Harkaare
Pehra Dete Sawaar Phirte Haiñ
Rakhiye Jaise Haiñ Khaana Zaad Haiñ Ham
Mol Ke `Ayb Daar Phirte Haiñ
Haa-e Ghaafil Wo Kya Jagah Hai Jahaañ
Paanch Jaate Haiñ Chaar Phirte Haiñ
Ba-eeñ Raste Na Jaa Musafir Sun
Maal Hai Raah-maar Phirte Haiñ
Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aa-ee
Gurg Behr e Shikaar Phirte Haiñ
Nafs Ye Ko-ee Chaal Hai Zaalim
Jaise Khaasay Bijaar Phirte Haiñ
Ko-ee Kyuñ Pooche Teri Baat RAZA
Tujh Se Kut’te Hazaar Phirte Haiñ
Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche Khila Diye Haiñ
Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche Khila Diye Haiñ
Jis Raah Chal Gaye Haiñ Kooche Basa Diye Haiñ
Jab Aa Ga-ee Hai Josh e Rahmat Pe Unki Aankheñ
Jalte Bujha Diye Haiñ, Rote Hañsa Diye Haiñ
Ek Dil Hamaara Kya Hai, Aazaar Uska Kitna
Tum Ne To Chalte Phirte, Murde Jila Diye Haiñ
Unke Nisaar Ko-ee Kaise Hee Ranj Me Ho
Jab Yaad Aa Gaye Haiñ, Sab Gham Bhula Diye Haiñ
Ham Se Faqeer Bhi Ab Pheri Ko Uth’te Honge
Ab To Ghani Ke Dar Par, Bistar Jama Diye Haiñ
Asra Me Guzre Jis Dam Ber’ay Pe Qudsiyoñ Ke
Hone Lagi Salaami, Parcham Jhuka Diye Haiñ
Aane Do Ya ‘Dubo Do Ab To Tumhaari Jaanib
Kashti Tumhee Pe Chori, Langar Utha Diye Haiñ
Dulha Se Itna Kehdo Pyaare Sawaari Roko
Mushkil Me Haiñ Baraati, Pur-Khaar Baa Diye Haiñ
Allah! Kya Jahannam Ab Bhi Na Sard Hoga
Ro, Ro Ke Mustafa Ne, Darya Baha Diye Haiñ
Mere Kareem Se Gar Qatra Kisi Ne Maanga
Darya Baha Diye Haiñ, Durr Be Baha Diye Haiñ
Mulk e Sukhan Ki Shaahi Tum Ko RAZA Musal’lam
Jis Simt Aa Gaye Ho, Sik’kay Bitha Diye Haiñ
He Lab e Esa Se Jaañ Bakhshi Niraali Haath Me
He Lab e Esa Se Jaañ Bakhshi Niraali Haath Me
Sang Reze Paate Haiñ Shireeñ Maqaali Haath Me
Be Nawa-oñ Ki Nigaaheñ Haiñ Kahaañ, Tahreer e Dast
Rah Ga-eeñ Jo Paa Ke Jood e Laa Yazaali Haath Me
Kya Lakeeroñ Me Yadul’laah Khat e Sarw Aasa Likha
Raah Yuñ Is Raaz Likhne Ki Nikaali Haath Me
Jooya Apne Pyaasoñ Ka Jood e Shah e Kawsar Hai Aap
Kya Ajab Ur’ Kar Jo Aap Aaye Pyaali Haath Me
Abr e Naisaañ Momino Ko Taigh ‘Uryaañ Kufr Par
Jama’ Haiñ Shaan e Jamaali o Jalaali Haath Me
Maalik e Kaunain Haiñ Go Paas Kuch Rakhte Nahiñ
Do Jahaañ Ki Ne’mateñ Haiñ Un Ke Khaali Haath Me
Saaya Afgan Sar Pe Ho Parcham Ilaahi Jhoom Kar
Jab Liwa ul Hamd Le Ummat Ka Waali Haath Me
Har Khat e Kaf Hai Yahaañ Ay Dast e Baiza e Kaleem
Mawjzan Darya e Noor e Be Misaali Haath Me
Wo Giraañ Sangi e Qadr e Mas, Wo Arzaani e Jood
Naw’iya Badla Kiye Sang o La-aali Haath Me
Dastageer e Har Do Aalam Kar Diya Sibtain Ko
Ay Maiñ Qurbaañ Jaan e Jaañ Angusht Kya Lee Haath Me
Aah! Wo Aalam Ke, Aankheñ Band Awr Lab Par Durood
Waqf Sang e Dar Jabeeñ Rauza Ki Jaali Haath Me
Jis Ne Bay’at Ki Bahaar e Husn Par Qurbaañ Raha
He Lakeereñ Naqsh e Taskheer e Jamaali Haath Me
Kaash Ho Jaa-uñ Lab e Kawsar Me Yuñ Waarafta Hosh
Le Kar Us Jaan e Karam Ka Zayl Aali Haath Me
Aankh Mahw e Jalwa e Deedaar e Dil Pur Josh e Wajd
Lab Pe Shukr e Bakhshish e Saaqi, Pyaali Haath Me
Hashr Me Kya, Kya Mazay Waaraftagi Ke Luñ RAZA
Laut’ Jaa-uñ Paa Ke Wo Daamaan e Aali Haath Me
Raah e Irfaan Se Jo Ham Na Deedah Ru Mahram Nahiñ
Raah e Irfaan Se Jo Ham Na Deedah Ru Mahram Nahiñ
Mustafa Hai Masnad e Irshaad Par Kuch Gham Nahiñ
Huñ Musalmaañ Gar Che Naaqis Hee Sahi Ay Kaamilo
Maahiyat Paani Ki Aakhir Yam Se Nam Me Kam Nahiñ
Ghunche ‘Maa Awha’ Ke Jo Chat’ke ‘Dana’ Ke Baagh Me
Bulbul e Sidrah Tak Unki Bu Se Bhi Mahram Nahiñ
Us Me Zam-Zam Hai Ke Tham-Tham Is Me Jam-Jam Hai Ke Besh
Kasrat e Kawsar Me Zam-Zam Ki Tarah Kam-Kam Nahiñ
Panjah e Mahr e Arab Hai Jis Se Darya Bah Gaye
Chashma e Khursheed Me To Naam Ko Bhi Nam Nahiñ
Aisa Ummi Kis Liye Minnat Kash e Ustaad Ho
Kya Kifaayat Is Ko ‘Iqra Rab’bukal Akram’ Nahiñ
Aws Mahr e Hashr Par, Par’ Jaaye Pyaaso To Sahi
Us Gul e Khandaañ Ka Rona Girya e Shabnam Nahiñ
Hai Unheeñ Ke Dam Qadam Ki Baagh e Aalam Me Bahaar
Wo Na Thay Aalam Na Tha, Gar Wo Na Hoñ Aalam Nahiñ
Saaya e Deewaar o Khaak e Dar Ho Rab’b, Awr RAZA
Khwaahish e Dayheem e Qaisar, Shawq e Takht e Jam Nahiñ
Wo Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahaañ Nahiñ
Wo Kamaal e Husn e Huzoor Hai Ke Gumaan e Naqs Jahaañ Nahiñ
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Sham’a Hai Ki Dhuwa Nahiñ
Do Jahaañ Ki Behtariyaañ Nahiñ Ke Amani e Dil o Jaañ Nahiñ
Kaho Kya Hai Wo Jo Yahaañ Nahiñ Magar Ek ‘Nahiñ’ Ke Wo Haañ Nahiñ
Maiñ Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yuñ To Kis Ko Zabaañ Nahiñ
Wo Sukhan He Jis Me Sukhan Na Ho Wo Bayaañ Hai Jiska Bayaañ Nahiñ
Ba-Khuda, Khuda Ka Yahi Hai Dar Nahiñ Awr Ko-ee Mafar Maqar
Jo Wahaañ Se Ho Yahiñ Aa Ke Ho Jo Yahaañ Nahiñ To Wahaañ Nahiñ
Kare Mustafa Ki Ihaanateñ Khule Bandoñ Us Pe Ye Jur’ateñ
Ke Maiñ Kya Nahiñ Huñ Muhammadi? Aray Haañ Nahiñ, Aray Haañ Nahiñ
Tere Aage Yuñ Haiñ Dabay Lache Fusaha Arab Ke Baray, Baray
Ko-ee Jaane Munh Me Zubaañ Nahiñ, Nahiñ Balke Jism Me Jaañ Nahiñ
Wo Sharaf Ke Qat’a Haiñ Nisbateñ Wo Karam Ke Sab Se Qareeb Haiñ
Ko-ee Keh Do Yaas o Ummeed Se Wo Kaheeñ Nahiñ Wo Kahaañ Nahiñ
Ye Nahiñ Ke Khuld Na Ho Niko Wo Niko-ee Ki Bhi Hai Aabru
Magar Ay Madina Ki Aarzu Jisay Chaahe To Wo Samaañ Nahiñ
Hai Unheeñ Ke Noor Se Sab ‘Ayaan Hai Unheeñ Ke Jalwa Me Sab Nihaañ
Banay Subh Taabish e Mahr Se Rahe Pesh e Mahr Ye Jaañ Nahiñ
Wahi Noor e Haq Wahi Zil’le Rab’b Hai Unheeñ Se Sab Hai Unheeñ Ka Sab
Nahiñ Unki Milk Me Aasmaañ Ke Zameeñ Nahiñ Ke Zamaañ Nahiñ
Wahi La Makaañ Ke Makeeñ Huwe Sar e Arsh Takht Nasheen Huwe
Wo Nabi Hai Jiske Haiñ Ye Makaañ Wo Khuda Hai Jiska Makaañ Nahiñ
Sare Arsh Par Hai Teri Guzar Dil e Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot o Mulk Me Ko-ee Shay Nahiñ Wo Jo Tujh Pe Ayaañ Nahiñ
Karuñ Tere Naam Pe Jaañ Fida Na Bas Aik Jaañ Do Jahaañ Fida
Do Jahaañ Se Bhi Nahiñ Jee Bhara Karuñ Kya Karoroñ Jahaañ Nahiñ
Tera Qad To Naadir e Dahr Hai Ko-ee Misl Ho To Misaal De
Nahiñ Gul Ke Pawdoñ Me Daaliyañ Ke Chaman Me Sarw e Chama Nahiñ
Nahiñ Jis Ke Rang Ka Dusra Na To Ho Ko-ee Na Kabhi Huwa
Kaho Us Ko Gul Kahe Kya Ko-ee Ke Guloñ Ke Dheyr Kahaañ Nahiñ
Karuñ Madh e Ahl e Duwal RAZA Paray Is Bala Me Meri Bala
Maiñ Gada Huñ Apne Kareem Ka Mera Deen Paara e Naañ Nahiñ
Rukh Din Hai Ya Mahr e Sama, Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Rukh Din Hai Ya Mahr e Sama, Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Shab Zulf Ya Mushk e Khuta, Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Mumkin Me Ye Qudrat Kahaañ, Waajib Me ‘Abdiyat Kahaañ
Hayraañ Huñ Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Haq Ye Ke Hai ‘Abd e Ilaah Awr ‘Aalam e Imkaañ Ke Shaah
Barzakh Haiñ Wo Sir’r e Khuda, Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Bulbul Ne Gul Unko Kaha, Qumri Ne Sarw e Jaañ Faza
Hayrat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Khursheed Tha Kis Zor Par Kya Bar’h Ke Chamka Tha Qamar
Be Parda Jab Wo Rukh Huwa Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Dar Tha Ke Isyaañ Ki Saza Ab Hogi Ya Roz e Jaza
Dee Unki Rahmat Ne Sada Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Ko-ee Hai Naazañ Zuhd Par Ya Husn e Tauba Hai Sipar
Yaañ Hai Faqat Teri ‘Ataa Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Din Lahw Me Khona Tujhe, Shab Subh Tak Sona Tujhe
Sharm e Nabi Khauf e Khuda Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Rizq e Khuda Khaaya Kiya, Farmaan e Haq ‘Taala Kiya
Shukr e Karam Tars e Saza Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Hai Bulbul e Rangeeñ RAZA Ya Tooti e Naghma Sara
Haq Ye Ke Waasif Hai Tera Ye Bhi Nahiñ Wo Bhi Nahiñ
Wasf e Rukh Unka Kiya Karte Haiñ
Wasf e Rukh Unka Kiya Karte Haiñ Sharh e Wash-Shams O Duha Karte Haiñ
Unki Ham Madh O Thana Karte Haiñ Jinko Mahmood Kaha Karte Haiñ
Maah e Shaq Gashta Ki Soorat Dekho Kaañp Kar Mahr Ki Raj’at Dekho
Mustafa Pyaare Ki Qudrat Dekho Kaise E’jaaz Huwa Karte Haiñ
Tu He Khursheed e Risaalat Pyaare Ch’hup Gaye Teri Zia Me Taare
Ambia Awr Hai Sab Mah-Paare Tujhse Hee Noor Liya Karte Haiñ
Ay Balaa Be Khiradi e Kuf’faar Rakhte Haiñ Aise Ke Haq Me Inkaar
Ke Gawaahi Ho Gar Usko Darkaar Be Zabaañ Bol Ut’ha Karte Haiñ
Apne Maula Ki Hai Bas Shaan e Azeem Jaanwar Bhi Kare Jinki Ta’zeem
Sang Karte Haiñ Adab Se Tasleem Peyr Sajde Me Gira Karte Haiñ
Rif’at e Zikr Hai Tera His’sa Dono ‘Aalam Me Hai Tera Charcha
Murgh e Firdaus Pas Az Hamd e Khuda Teri Hee Madh o Thana Karte Haiñ
Ungliyaañ Paa-ee Wo Pyaari, Pyaari, Jin Se Darya e Karam Hai Jaari
Josh Par Aati Hai Jab Gham Khwaari Tishne Seyraab Huwa Karte Haiñ
Haañ Yahiñ Karti Haiñ Chiryañ Faryaad Haañ Yahiñ Chaahati Hai Hirni Daad
Isi Dar Par Shutraan e Naashaad Gila e Ranj O ‘Ana Karte Haiñ
Aasteeñ Rahmat e ‘Aalam Ultay Kamar e Paak Pe Daaman Baandhe
Girne Waalo Ko Koocha e Dozakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Haiñ
Jab Saba Aati Hai Taiba Se Idhar Khil-Khila Parti He Kaliyaañ Yaksar
Phool Jaamah Se Nikal Kar Baahar Rukh e Rangeeñ Ki Thana Karte Haiñ
Tu Hai Wo Baadsha e Kaun o Makaañ Ki Malak e Haft Falak Ke Har Aañ
Tere Maula Se Shah e Arsh e ‘Aywaañ Teri Daulat Ki Dua Karte Haiñ
Jiske Jalwe Se Uhad Hai Taabaañ Ma’dan e Noor Hai Uska Daamaañ
Ham Bhi Us Chaand Pe Ho Kar Qurbaañ Dil e Sangeeñ Ki Jila Karte Haiñ
Kyuñ Na Zaiba Ho Tujhe Taajewari Tere Hee Dam Ki Hai Sab Jalwa Gari
Malak o Jinn o Bashar Hoor o Pari Jaan Sab Tujh Pe Fida Karte Haiñ
‘Toot Parti Haiñ Balaa-eñ Jin Par, Jinko Milta Nahiñ Ko-ee Yaawar
Har Taraf Se Wo Pur Armaañ Phir Kar Unke Daaman Me Chupa Karte Haiñ
Lab Par Aa Jaata Hai Jab Naame Janaab Munh Me Ghul Jaata He Shahd e Nayaab
Wajd Me Ho Ke Ham Ay Jaañ Betaab Apne Lab Choom Liya Karte Haiñ
Lab Pe Kis Munh Se Gham e Ulfat Laa-eñ Kya Bala Dil Hai Alam Jiska Suna-eñ
Ham To Unke Kafay Paa Par Mit’t Jaaye Unke Dar Par Jo Mita Karte Haiñ
Apne Dil Ka Hai Unheeñ Se Aaraam Sawñpe Hai Apne Unheeñ Ko Sab Kaam
Lau Lagi Hai Ke Ab Us Dar Ke Ghulaam Chaara e Dard e RAZA Karte Haiñ
Bar-Tar Qiyaas Se Hai Maqaam e Abul Husain
Bar-tar Qiyaas Se Hai Maqaam e Abul Husain
Sidra Se Poocho Rif’at e Baam e Abul Husain
Waarasta Paaye Basta e Daam e Abul Husain
Aazad Naar Se Hai Ghulaam e Abul Husain
Khat e Siyaah Me Noor e Ilaahi Ki Taabisheñ
Kya Subh e Noor Baar Hai Shaam e Abul Husain
Saaqi Suna De Sheesha e Baghdad Ki Tapak
Mahki Hai Boo e Gul Se Madaam e Abul Husain
Boo e Kabaab Sokhta Aati Hai Mai-kasho
Ch’halka Sharaab e Chisht Se Jaam e Abul Husain
Gulgoñ Sahar Ko Hai Sahar Soz e Dil Se Aankh
Sultaan e Suharward Hai Naam e Abul Husain
Kursi Nasheeñ He Naqsh e Muraad Un Ke Faiz Se
Maula e Naqshband Hai Naam e Abul Husain
Jis Nakhl e Paak Me Haiñ Ch’hiyaalis Daaliyaañ
Ek Shaakh Un Me Se Hai Ba-Naam e Abul Husain
Mastoñ Ko Ay Kareem Bacha-e Khumaar Se
Taa Daur e Hashr Daura e Jaam e Abul Husain
Un Ke Bhalay Se Laakhoñ Ghareeboñ Ka Hai Bhala
Ya Rab’b Zamaana Baad Ba-Kaam e Abul Husain
Mela Laga Hai Shaan e Maseeha Ki Deed He
Murde Jila Raha Hai Khiraam e Abul Husain
Sar Gashta Mahr o Mah Haiñ Par Ab Tak Khula Nahiñ
Kis Charkh Par Hai Maah Tamaam e Abul Husain
Itna Pata Mila Hai Ke Ye Charkh Chambari
Hai Haft Paaya Zeena e Baam e Abul Husain
Zar’rah Ko Mahr Qatra Ko Darya Kare Abhi
Gar Josh Zan Ho Bakhshish ‘Aam e Abul Husain
Yahya Ka Sadqa Waaris Iqbaal Mand Paaye
Sajjadah e Shuyookh Kiraam e Abul Husain
In’aam Leñ Bahaar e Jinaañ Tahniyat Likheñ
Phoole Phalay To Nakhl e Maraam e Abul Husain
Allah Ham Bhi Dekh Leñ Shahzada Ki Bahaar
Soonghe Gul e Muraad Mashaam e Abul Husain
Aaqa Se Mere Suthre Miyañ Ka Huwa He Naam
Us Ach’che Suthre Se Rahe Naam e Abul Husain
Ya Rab’b Wo Chaand Jo Falak e Iz’z o Jaah Par
Har Seyr Me Ho Gaam Ba Gaam e Abul Husain
Aawo Tumheñ Hilaal Siphar Sharf Dikha-eñ
Gardan Jhuka-eñ Behr Salaam e Abul Husain
Qudrat Khuda Ki Hai Ke Talaatum Kunaañ Uth’ee
Bahr e Fana Se Mauj e Dawaam e Abul Husain
Ya Rab’b Hameñ Bhi Chaashni Us Apni Yaad Ki
Jis Se Hai Shak’kareeñ Lab o Kaam e Abul Husain
Haañ Taali’ e RAZA Teri Allah Re Yaawari
Ay Banda e Jadood Kiraam e Abul Husain
Zaairo Paas e Adab Rakho Hawas Jaane Do
Zaairo Paas e Adab Rakho Hawas Jaane Do
Aankheñ Andhi Huwi Haiñ? Unko Taras Jaane Do
Sookhi Jaati Hai Ummeed e Ghurba Ki Kheyti
Boondiyaañ Lak’kah e Rahmat Ki Baras Jaane Do
Palt’i Aati Hai Abhi Wajd Me Jaan e Shireeñ
Naghma e Qum Ka Zara Kaanoñ Me Ras Jaane Do
Ham Bhi Chalte Hai Zara Qaafile Waalo! Thehro
Gat’hriyaañ Tosha e Ummeed Ki Kas Jaane Do
Deed e Gul Awr Bhi Karti Hai Qiyaamat Dil Par
Ham-Safeero Hameñ Phir Soo e Qafas Jaane Do
Aatish e Dil Bhi To Bharkaawo Adab Daañ Naalo
Kaun Kehta Hai Ke Tum Zabt e Nafas Jaane Do
Yuñ Tan e Zaar Ke Dar Pe Huwe Dil Ke Sho’lo
Shewa e Khaana Bar Andazi e Khas Jaane Do
Ay RAZA! Aah, Ki Yuñ Sahl Kateñ Jurm Ke Saal
Do Ghari Ki Bhi Ibaadat To Baras Jaane Do
Chaman e Taiba Me Sumbul Jo Sanwaare Gaisoo
Chaman e Taiba Me Sumbul Jo Sanwaare Gaisoo
Hoor Bar’h Kar Shikan e Naaz Pe Waare Gaisoo
Ki Jo Baaloñ Se Tere Rauza Ki Jaaroob Kashi
Shab Ko Shabnam Ne Tabarruk Ko Hai Dhaare Gaisoo
Ham Siyaah-Kaaroñ Pe Ya Rab’b Tapish e Mahshar Me
Saaya Afghan Ho Tere Pyaare Ke Pyaare Gaisoo
Charche Hooroñ Me Haiñ Dekho To Zara Baal e Buraaq
Sumbul e Khuld Ke Qurbaan Utaare Gaisoo
Aakhir e Hajj Gham e Ummat Me Pareshaañ Ho Kar
Teerah Bakhtoñ Ki Shafa’at Ko Sudhaare Gaisoo
Gosh Tak Sunte Thay Faryaad Ab Aaye Taa Dosh
Ke Banay Khaana Badoshoñ Ko Sahaare Gaisoo
Sookhe Dhaanoñ Pe Hamaare Bhi Karam Ho Jaaye
Chaa-e Rahmat Ki Ghata Ban Ke Tumhaare Gaisoo
Kaa’ba e Jaañ Ko Pehnaaya He Ghilaaf e Mushkeeñ
Ur’ Kar Aaye Haiñ Jo Abru Pe Tumhaare Gaisoo
Silsila Paake Shafa’at Ka Jhukay Parte Haiñ
Sajda e Shukr Ke Karte Haiñ Ishaare Gaisoo
Mushk-Bu Koocha Ye Kis Phool Ka Jhaara In Se
Huriyo Ambar e Saara Huwe Saare Gaisoo
Dekho Qur’añ Me Shab e Qadr Hai Taa Matla e Fajr
Ya’ani Nazdeek Hai Aariz Ke Wo Pyaare Gaisoo
Bheeni Khushboo Se Mahak Jaati Haiñ Galiyaañ Wal’laah
Kaise Phooloñ Me Basaa-e Haiñ Tumhaare Gaisoo
Shaan e Rahmat Hai Ke Shaana Na Juda Ho Dam Bhar
Seena Chaakoñ Pe Kuch Is Darja Haiñ Pyaare Gaisoo
Shaana Hai Panja e Qudrat Tere Baaloñ Ke Liye
Kaise Haathoñ Ne Shaha Tere Sanwaare Gaisoo
Uhad e Paak Ki Chot’i Se Ulaj Le Shab Bhar
Subh Hone Do Shab e Eid Ne Haare Gaisoo
Muzhda Ho Qibla Se Ghanghoor Ghataa-eñ Undeñ
Abroo-oñ Par Wo Jhukay Jhoom Ke Haare Gaisoo
Taar e Shiraaza e Majmua e Kaunain Hai Ye
Haal Khul Jaaye Jo Ek Dam Hoñ Kinaar e Gaisoo
Tel Ki Boondeñ Tapakti Nahiñ Baaloñ Se RAZA
Subh e Aariz Pe Lutaate Haiñ Sitaare Gaisoo
Zamaana Hajj Ka Hai Jalwa Diya He Shaahid e Gul Ko
Zamaana Hajj Ka He Jalwa Diya Hai Shaahid e Gul Ko
Ilaahi Taaqat e Parwaaz De Par Haa-e Bulbul Ko
Bahaareñ Aa-eeñ Joban Par Ghira Hai Abr Rahmat Ka
Lab e Mushtaaq Bheegeñ De Ijaazat Saaqiyaañ Mul Ko
Milay Lab Se Wo Mushkeeñ Mohr Waali Dam Me Dam Aaye
Tapak Sun Kar Qum e Esa Kahuñ Masti Me Qulqul Ko
Machal Jaa-uñ Sawaal e Mud-da’a Par Thaam Kar Daaman
Bahakne Ka Bahaana Paa-uñ Qasd e Be Ta’ammul Ko
Dua Kar Bakht e Khufta Jaag Hangaam e Ijaabat Hai
Hat’aaya Subh e Rukh Se Shaah Ne Shabha-e Kaakul Ko
Zabaan e Falsafi Se Amn Khark o Iltiyaam, Asra
Panaah e Daur e Rahmat Haa-e Yak Saa’at Tasalsul Ko
Do-Shamba Mustafa Ka Jum’uah e Aadam Se Behtar Hai
Sikhaana Kya Lihaaz e Haisiyat Khoo e Ta’ammul Ko
Wafur e Shaan e Rahmat Ke Sabab Jur’at Hai Ay Pyaare
Na Rakh Behr e Khuda Sharminda Arz e Be Ta’ammul Ko
Pareshaani Me Naam Unka Dil e Sad Chaak Se Nikla
Ijaabat Shaana Karne Aayi Gaisoo e Tawassul Ko
RAZA Ye Sabza e Gardooñ Haiñ Kotal Jis Ke Maukib Ke
Ko-ee Kya Likh Sakay Uski Sawaari Ke Tajam’mul Ko
Yaad Me Jiski Nahiñ Hosh e Tan o Jaañ Ham Ko
Yaad Me Jiski Nahiñ Hosh e Tan o Jaañ Ham Ko
Phir Dikha De Wo Rukh e Mahr e Farozaañ Ham Ko
Deyr Se Aap Me Aana Nahiñ Milta Hai Hamaiñ
Kya Hee Khud Rafta Kiya Jalwa e Jaanaañ Ham Ko
Jis Tabas’sum Ne Gulistaañ Pe Giraayi Bijli
Phir Dikha De Wo Adaa e Gul e Khandaañ Ham Ko
Kaash Aawezaah Qindeel e Madina Ho Wo Dil,
Jiski Sozish Ne Kiya Rashk e Charaghaañ Ham Ko
‘Arsh Jis Khoobi e Raftaar Ka Paamaal Huwa
Do Qadam Chal Ke Dikha Sarw e Khiraamaañ Ham Ko
Sham’e Taiba Se Me Parwaana Rahuñ Kab Tak Door
Haañ Jala De Sharar e Aatish e Pinhaañ Ham Ko
Khauf Hai Sam’e Kharaashi e Sag e Taiba Ka
Warna Kya Yaad Nahiñ Naala o Afghaañ Ham Ko
Khaak Ho Jaa-eñ Dar e Paak Pe Hasrat Mit’t Jaaye
Ya Ilaahi Na Phira Be Sar o Saamaañ Ham Ko
Khaar e Sehra e Madina Na Nikal Jaaye Kahiñ
Wahshat e Dil Na Phira Koh o Bayaabañ Ham Ko
Tang Aaye Haiñ Do Aalam Teri Be-taabi Se
Chain Lene De Tap’p e Seena e Sowzaañ Ham Ko
Paa-oñ Ghirbaal Huwe Raah e Madina Na Mili
Ay Junooñ! Ab To Milay Rukhsat e Zindaañ Ham Ko
Mere Har Zakhm e Jigar Se Ye Nikalti Hai Sada
Ay Maleeh e Arabi Kar De Namak Daañ Ham Ko
Seyr e Gulshan Se Aseeraan e Qafas Ko Kiya Kaam
Na Deñ Takleef e Chaman Bulbul e Bustaañ Ham Ko
Jab Se Aankhoñ Me Sama-ee He Madine Ki Bahaar
Nazar Aate Haiñ Khazaañ Deedah e Gulistaañ Ham Ko
Gar Lab e Paak Se Iqraar e Shafa’at Ho Jaaye
Yuñ Na Be-Chain Rakh’he Joshish e ‘Isyaañ Ham Ko
Nay’yar e Hashr Ne Ek Aag Laga Rakh’hi Hai
Teyz Hai Dhoop Milay Saaya e Daamaañ Ham Ko
Rahm Farmaaiye Ya Shah Ke Ab Taab Nahiñ
Taa-Bakay Khoon Rulaa-e Gham e Hijraañ Ham Ko
Chaake Daamaañ Me Na Thak Jaa-iyo Ay Dast e Junooñ
Purzay Karna Hai Abhi Jayb o Garibaañ Ham Ko
Parda Us Chehra e Anwar Se Ut’ha Kar Aik Baar
Apna Aa-ina Bana Ay Mah e Taabaañ Ham Ko
Ay RAZA Wasf e Rukh e Paak Sunaane Ke Liye
Nazr Dete Haiñ Chaman, Murgh e Ghazal Khwaañ Ham Ko
Haajiyo! Aawo Shahanshah Ka Rauza Dekho
Haajiyo! Aawo Shahanshah Ka Rauza Dekho,
Kaa’ba To Dekh Chukay Kaa’be Ka Kaa’ba Dekho
Rukn e Shaami Se Mitee Wahshat e Shaam e Ghurbat
Ab Madine Ko Chalo Subh e Dil-Aaraa Dekho
Aab e Zam-Zam To Piya Khoob Bujha-eeñ Pyaaseñ
Aawo Jood e Shah e Kawthar Ka Bhi Darya Dekho
Zer e Mizaab Milay Khoob Karam Ke Cheente
Abr e Rahmat Ka Yahaañ Zor Barasna Dekho
Dhoom Dekhi Hai Dar e Kaa’ba Pe Be-Taaboñ Ki
Unke Mushtaaqoñ Me Hasrat Ka Tarapna Dekho
Misl e Parwaana Phira Karte Thay Jis Sham’a Ke Gird
Apni Us Sham’a Ko Parwaana Yahaañ Ka Dekho
Khoob Aankhoñ Se Lagaaya Hai Ghilaaf e Kaa’ba
Qasr e Mahboob Ke Parde Ka Bhi Jalwa Dekho
Waañ Mutee’oñ Ka Jigar Khauf Se Paani Paaya
Yaañ Siyaah Kaaroñ Ka Daaman Pe Machalna Dekho
Aw’waleeñ Khaana e Haq Ki To Zia-eñ Dekheeñ,
Aakhireeñ Bait e Nabi Ka Bhi Tajal’la Dekho
Zeenat e Kaa’ba Me Tha Laakh Uroosoñ Ka Banaaw
Jalwa Farma Yahaañ Kaunain Ka Dulha Dekho
Aiman e Toor Ka Tha Rukn e Yamaani Me Farogh
Sho’la e Toor Yahaañ Anjuman Aara Dekho
Mehr e Maadar Ka Maza Deti Hai Aaghosh e Hateem
Jin Pe Maañ Baap Fida Yaañ Karam Unka Dekho
Arz e Haajat Me Raha Kaa’ba Kafeel ul Huj’jaaj
Aawo Ab Daad Rasi e Shah e Taiba Dekho
Dho Chuka Zulmat e Dil Bosa e Sang e Aswad
Khaak Bosi e Madina Ka Bhi Rutba Dekho
Kar Chuki Rif’at e Kaa’ba Pe Nazar Parwaazeñ
Topi Ab Thaam Ke Khaak e Dar e Waala Dekho
Be Niyaazi Se Wahaañ Kaañpti Pa-ee Taa’at
Josh e Rahmat Pe Yahaañ Naaz Gunah Ka Dekho
Jum’uah e Makkah Tha Eid Ahl e Ibaadat Ke Liye
Mujrimo! Aawo Yahaañ Eid e Do-Shamba Dekho
Multazam Se To Galay Lag Ke Nikaale Armaañ
Adab o Shawq Ka Yahaañ Baaham Ulajhna Dekho
Khoob Mas’a Me Ba-Ummeed e Safa Daur Liye
Rah e Jaanaañ Ki Safa Ka Bhi Tamaasha Dekho
Raqs e Bismil Ki Bahaareñ To Mina Me Dekheeñ
Dil e Khoon Naaba Fishaañ Ka Bhi Tarapna Dekho
Ghaur Se Sun To RAZA Kaa’be Se Aati He Sada
Meri Aankhoñ Se Mere Pyaare Ka Rauza Dekho
Pul Se Utaaro Raah Guzar Ko Khabar Na Ho
Pul Se Utaaro Raah Guzar Ko Khabar Na Ho,
Jibreel Par Bicha-eñ To Par Ko Khabar Na Ho
Kaanta Mere Jigar Se Gham e Rozgaar Ka
Yuñ Kheench Lijiye Ke Jigar Ko Khabar Na Ho
Faryaad Ummati Jo Kare Haal e Zaar Me
Mumkin Nahiñ Ke Khayr e Bashar Ko Khabar Na Ho
Kehti Thee Ye Buraaq Se Uski Subuk Rawi
Yuñ Jaaiye Ke Gard e Safar Ko Khabar Na Ho
Farmaate Haiñ Ye Donoñ Haiñ Sardaar e Do Jahaañ
Ay Murtaza! Ateeq o Umar Ko Khabar Na Ho
Aisa Guma De Unki Wilaa Me Khuda Hameñ
Dhoondha Kare Par Apni Khabar Ko Khabar Na Ho
Aa Dil! Haram Ko Rokne Waaloñ Se Ch’hup Ke Aaj
Yuñ Ut’th Chaleñ Ke Pehlu o Bar Ko Khabar Na Ho
Tayr e Haram Haiñ Ye Kaheeñ Rishta Bapa Na Hoñ
Yuñ Dekhiye Ke Taar e Nazar Ko Khabar Na Ho
Ay Khaar e Taiba! Dekh Ke Daaman Na Bheeg Jaaye
Yuñ Dil Me Aa Ke Deedah e Tar Ko Khabar Na Ho
Ay Shawq e Dil! Ye Sajdah Gar Unko Rawa Nahiñ
Ach’cha! Wo Sajdah Kijiye Ke Sar Ko Khabar Na Ho
Un Ke Siwa RAZA Ko-ee Haami Nahiñ Jahaañ
Guzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabar Na Ho
Ya Ilaahi Har Jagah Teri ‘Ataa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Har Jagah Teri ‘Ataa Ka Saath Ho
Jab Paray Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Bhool Jaa-uñ Naz’a Ki Takleef Ko
Shaadi e Deedar e Husn e Mustafa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Gor e Teerah Ki Jab Aa-e Sakht Raat
Unke Pyaare Munh Ki Subh e Jaañ Fiza Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jab Pa’ray Mahshar Me Shor e Daar o Geer
Amn Dene Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Zabaaneñ Baahar Aa-en Pyaas Se
Saahib e Kawthar Shah e Jood o ‘Ataa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Sard Mehri Par Ho Jub Khursheed e Hashr
Sayyid e Be Saaya Ke Zil’l e Liwa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Garmi e Mahshar Se Jub Bha’rkeñ Badan
Daaman e Mahboob Ki Thandi Hawa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Naama e A’maal Jab Khulne Lageñ
Ayb Posh e Khalq, Sat’taar e Khata Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jab Baheñ Aankheñ Hisaab e Jurm Me
Un Tabas’sum Reyz Hontoñ Ki Dua Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jab Hisaab e Khanda e Be Jaa Rulaa-e
Chashm e Giryaane Shafi’ e Murtaja Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Rang Laa-eñ Jab Meri Be Baakiyaañ
Unki Neechi-Neechi Nazroñ Ki Haya Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jab Chaluñ Taareek Raah e Pul Siraat
Aaftaab e Haashmi Noor ul Huda Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jab Sar e Shamsheer Par Chalna Pa’ray
Rab’bi Sal’lim Kehne Waale Gham-Zudah Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jo Dua e Neyk Me Tujh Se Karuñ
Qudsiyoñ Ke Lab Se Aameeñ Rab’bana Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub RAZA Khwaab e Giraañ Se Sar Uthaaye
Daulat e Bedaar ‘Ishq e Mustafa Ka Saath Ho
To Rise In The Profound Love Of Nabi Mustafa صلى الله عليه وسلم,
Is The Treasured Gift Which He Will Be Anticipating
Kiya Hee Zauq Afza Shafa’at Hai Tumhaari Waah-Waah
Kiya Hee Zauq Afza Shafa’at Hai Tumhaari Waah-Waah,
Qarz Leti Hai Gunaah Parhez-gaari Waah-Waah
Khaamah e Qudrat Ka Husn e Dast-Kaari Waah-Waah
Kya Hee Tasweer Apne Pyaare Ki Sanwaari Waah-Waah
Ashk Shab Bhar Intezaar e Afw e Ummat Me Baheñ
Me Fida Chaand Awr Yuñ Akhtar Shumaari Waah-Waah
Ungliyaañ Haiñ Faiz Par Toote Haiñ Pyaase Jhoom Kar
Nad’diyaañ Punjaab e Rahmat Ki Hai Jaari Waah-Waah
Noor Ki Khayraat Lene Daurte Haiñ Mahr o Maah
Uth’tee Hai Kis Shaan Se Gard e Sawaari Waah-Waah
Neem Jalwe Ki Na Taab Aaye Qamar Saañ To Sahi,
Mahr Awr Un Talwoñ Ki Aa’ina Daari Waah-Waah
Nafs Ye Kya Zulm Hai Jab Dekho Taaza Jurm Hai
Naatawaañ Ke Sar Pe Itna Bojh Bhaari Waah-Waah
Mujrimoñ Ko Dhoondti Phirti Hai Rahmat Ki Nigaah
Taali’ e Bargashta Teri Saazgaari Waah-Waah
Arz Beygi Hai Shafa’at Afw Ki Sarkaar Me
Ch’hant Rahi Hai Mujrimoñ Ki Fard Saari Waah-Waah
Kya Madina Se Saba Aayi Ke Phooloñ Me Hai Aaj
Kuch Nayi Boo Bheeni-Bheeni Pyaari-Pyaari Waah-Waah
Khud Rahe Parde Me Awr Aa’ina Aks e Khaas Ka
Bhej Kar Anjaanoñ Se Ki Raah-Daari Waah-Waah
Is Taraf Roze Ka Noor Us Simt Mimbar Ki Bahaar
Beech Me Jannat Ki Pyaari-Pyaari Kyaari Waah-Waah
Sadqe Us In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke
Ho Rahi Hai Donoñ ‘Aalam Me Tumhaari Waah-Waah
Paara e Dil Bhi Na Nikla Dil Se Tohfe Me RAZA
Un Sagaan e Koo Se Itni Jaan Pyaari Waah-Waah
Ronaq e Bazm e Jahaañ Hai Aashiqaan E Sokhta
Ronaq e Bazm e Jahaañ Hai Aashiqaan e Sokhta
Keh Rahi Hai Sham’a Ki Goya Zabaan e Sokhta
Jisko Qurs e Mahr Samjha Hai Jahaañ Ay Mun’imo!
Unke Khwaan e Jood Se Hai Aik Naan e Sokhta
Maah e Mann Ye Nay’yar e Mahshar Ki Garmi Ta-Bakay
Aatish e ‘Isyaañ Me Khud Jalti Hai Jaan e Sokhta
Barq e Angusht e Nabi Chamki Thi Us Par Aik Baar
Aaj Tak Hai Seena e Maah Me Nishaan e Sokhta
Mahr e Aalam-Taab Jhukta Hai Pa-e Tasleem Roz
Pesh e Zar’raat e Mazaar e Bedilaan e Sokhta
Koocha e Gaisoo e Jaanaañ Se Chale Thandi Naseem
Baal o Par Afshaañ Ho Ya Rab’b Bulbulaan e Sokhta
Behr e Haq Ay Bahr e Rahmat Ek Nigaah e Lutf-Baar
Taa-Bakay Be Aab Tar’pay Maahiyaan e Sokhta
Ru-Kash e Khursheed e Mahshar Ho Tumhaare Faiz Se
Ek Sharaar e Seena e Shaida-iyaan e Sokhta
Aatish e Tar Daamani Ne Dil Kiye Kya-Kya Kabaab
Khizr Ki Jaañ Ho Jila Do Maahiyaan e Sokhta
Aatish e Gulha e Taiba Par Jalaane Ke Liye
Jaan Ke Taalib Haiñ Pyaare Bulbulaan e Sokhta
Lutf e Barq e Jalwa e Me’raj Laaya Wajd Me
Sho’la e Jaw’waala Saañ Hai Aasmaan e Sokhta
Ay RAZA Mazmoon Soz e Dil Ki Rif’at Ne Kiya
Is Zameen e Sokhta Ko Aasmaan e Sokhta
Sab Se Awla o Aa’la Hamaara Nabi
Sab Se Awla o Aa’la Hamaara Nabi
Sab Se Baala o Waala Hamaara Nabi
Apne Maula Ka Pyaara Hamaara Nabi
Donoñ Aalam Ka Dulha Hamaara Nabi
Bazm e Aakhir Ka Sham’a Farozaañ Huwa
Noor e Awwal Ka Jalwa Hamaara Nabi
Jisko Shaayaañ Hai Arsh e Khuda Par Juloos
He Wo Sultaan e Waala Hamaara Nabi
Bujh Ga-eeñ Jiske Aage Sabhi Mash’aleñ
Sham’a Wo Le Kar Aaya Hamaara Nabi
Jis Ke Talwoñ Ka Dhowan He Aab e Hayaat
Hai Wo Jaan e Maseeha Hamaara Nabi
Arsh o Kursi Ki Theeñ Aa-ina Bandiyaañ
Soo e Haq Jab Sidhaara Hamaara Nabi
Khalq Se Awliya, Awliya Se Rusul
Awr Rasooloñ Se A’laa Hamaara Nabi
Husn Khaata Hai Jis Ke Namak Ki Qasam
Wo Maleeh e Dil Aara Hamaara Nabi
Zikr Sab Pheekay Jab Tak Na Mazkoor Ho
Namkeen Husn Waala Hamaara Nabi
Jis Ki Do Boond Haiñ Kawthar o Salsabeel
Hai Wo Rahmat Ka Darya Hamaara Nabi
Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hee
In Ka Un Ka Tumhaara Hamaara Nabi
Qarnoñ Badli Rasooloñ Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamaara Nabi
Kaun Deta Hai, Dene Ko Munh Chaahiye
Dene Waala Hai Sach’cha Hamaara Nabi
Kya Khabar Kitne Taare Khilay Ch’hup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamaara Nabi
Mulk e Kaunain Me Ambia Taajedaar
Taajedaaroñ Ka Aaqa Hamaara Nabi
Laa-Makaañ Tak Ujaala Hai Jis Ka Wo Hai
Har Makaañ Ka Ujaala Hamaara Nabi
Saare Ach’choñ Me Ach’cha Samajhiye Jisay
Hai Us Ach’che Se Ach’cha Hamaara Nabi
Saare Oonchoñ Me Ooncha Samajhiye Jisay
Hai Us Oonche Se Ooncha Hamaara Nabi
Ambia Se Karuñ Arz Kyuñ Maaliko!
Kya Nabi Hai Tumhaara Hamaara Nabi
Jis Ne Tukray Kiye Haiñ Qamar Ke Wo Hai
Noor e Wahdat Ka Tukra Hamaara Nabi
Sab Chamak Waale Ujloñ Me Chamka Kiye
Andhe Sheeshoñ Me Chamka Hamaara Nabi
Jis Ne Murda Diloñ Ko Di Umr e Abad
Hai Wo Jaan e Maseeha Hamaara Nabi
Ghamzadoñ Ko RAZA Muzhda Dije Ke Hai
Be-Kasoñ Ka Sahaara Hamaara Nabi
Dil Ko Un Se Khuda Juda Na Kare
Dil Ko Un Se Khuda Juda Na Kare
Be-Kasi Loot’ Le Khuda Na Kare
Is Me Rauze Ka Sajdah Ho Ki Tawaaf,
Hosh Me Jo Na Ho Wo Kya Na Kare
Ye Wohi Haiñ Ke Bakhsh Dete Haiñ,
Kaun In Jurmo Par Saza Na Kare
Sab Tabeeboñ Ne De Diya Hai Jawaab
Aah! Esa Agar Dawa Na Kare
Dil Kahaañ Le Chala Haram Se Mujhe
Aray Tera Bura Khuda Na Kare
‘Uzr e Ummeed e Afw Agar Na Sune
Ru Siyaah Awr Kya Bahaana Kare
Dil Me Roshan Hai Sham-e’ ‘Ishq e Huzoor
Kaash Josh e Hawas Hawa Na Kare
Hashr Me Ham Bhi Seyr Dekheñge
Munkir Aaj Un Se Iltija Na Kare
Zo’af Maana Magar Ye Zaalim Dil
Unke Raste Me To Thaka Na Kare
Jab Teri Khoo Hai Sab Ka Jee Rakhna
Wahi Ach’cha Jo Dil Bura Na Kare
Dil Se Ek Zauq e May Ka Taalib Hooñ
Kaun Kehta Hai It’tiqa Na Kare
Le RAZA Sab Chale Madine Ko
Maiñ Na Jaa-uñ Aray Khuda Na Kare
Momin Wo Hai Jo Un Ki Izzat Pe Mare Dil Se
Momin Wo Hai Jo Un Ki Izzat Pe Mare Dil Se
Ta’zeem Bhi Karta Hai Najdi To Mare Dil Se
Wal’laah Wo Sun Lenge Faryaad Ko Pahunchenge
Itna Bhi To Ho Ko-ee Jo Aah Kare Dil Se
Bichri Hai Gali Kaisi Bigri Hai Bani Kaisi
Poocho Ko-ee Ye Sadma Armaan Bharay Dil Se
Kya Usko Gira-e Dahr Jis Par Tu Nazar Rakhe
Khaak Us Ko Ut’haa-e Hashr Jo Tere Giray Dil Se
Behka He Kahaañ Majnu Le Daali Banoñ Ki Khaak
Dam Bhar Na Kiya Kheymah Laila Ne Paray Dil Se
Sonay Ko Tapaa-eñ Jab Kuch Meel Ho Ya Kuch Meyl
Kya Kaam Jahannam Ke Dharay Ko Kharay Dil Se
Aata He Dar e Waala Yuñ Zauq e Tawaaf Aana
Dil Jaan Se Sadqe Ho Sar Gird Phiray Dil Se
Ay Abr e Karam Faryaad, Faryaad Jalaa Daala
Is Sozish e Gham Ko Hai Zid Mere Haray Dil Se
Darya He Charha Tera Kitni Hee Uraa-eñ Khaak
Utrenge Kahaañ Mujrim Ay ‘Afw Tere Dil Se
Kya Jaaneñ Yam e Gham Me Dil Doob Gaya Kaisa
Kis Teh Ko Gaye Armaañ Ab Tak Na Tere Dil Se
Karta Tu Hai Yaad Un Ki Ghaflat Ko Zara Rokay
Lil’laah RAZA Dil Se, Haañ Dil Se, Aray Dil Se
Allah, Allah Ke Nabi Se
Allah, Allah Ke Nabi Se
Faryaad Hai Nafs Ki Badi Se
Din Bhar Kheloñ Me Khaak Uraa-ee
Laaj Aayi Na Zar’roñ Ki Hansi Se
Shab Bhar Sonay Hee Se Gharaz Thee
Taaroñ Ne Hazaar Daant Peesay
Imaan Pe Maut Behtar Aw Nafs
Teri Naa-Paak Zindagi Se
Aw Shahad Numa e Zehar Dar Jaam
Gum Jaa-uñ Kidhar Teri Badi Se
Gahre Pyaare Puraane Dil Soz
Guzra Maiñ Teri Dosti Se
Tujh Se Jo Ut’haa-e Maine Sadme
Aise Na Mile Kabhi Kisi Se
Uff Re Khud-Kaam Be Murawwat
Par’ta Hai Kaam Aadami Se
Tu Ne Hee Kiya Khuda Se Naadim
Tu Ne Hee Kiya Khajil Nabi Se
Kaise Aaqa Ka Hukm T’aala
Ham Mar Mitay Teri Khud-Sari Se
Aati Na Thee Jab Badi Bhi Tujh Ko
Ham Jaante Haiñ Tujhe Jabhi Se
Had Ke Laazim Sitam Ke Kat’tar
Pat’thar Sharma-e Tere Jee Se
Ham Khaak Me Mil Chuke Haiñ Kab Ke
Nikla Na Ghubaar Tere Jee Se
Hai Zaalim! Maiñ Nibahuñ Tujh Se
Allah Bacha-e Us Ghari Se
Jo Tum Ko Na Jaanta Ho, Hazrat!
Chaaleñ Chaliye Us Ajnabi Se
Allah Ke Saamne Wo Gun Thay
Yaaroñ Me Kaise Mut’taqi Se
Rahzan Ne Loot Li Kama-ee
Faryaad Hai Khizr e Haashmi Se
Allah! Kooweñ Me Khud Gira Huñ
Apni Naalish Karuñ Tujhi Se
Haiñ Pusht Panaah Ghaus e Aazam
Kyuñ Darte Ho Tum RAZA Kisi Se
The Blessed Shajrah Shareef
Ya Ilaahi Rahm Farma Mustafa صلى الله عليه وسلم Ke Waaste
Ya Ilaahi Rahm Farma Mustafa صلى الله عليه وسلم Ke Waaste
Ya Rasool’Allahصلى الله عليه وسلم Karam Kijiye Khuda Ke Waaste
Mushkileñ Hal Kar Sha’e Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar Balaa-eñ Rad Shaheed e Karbala Ke Waaste
Sayyid e Saj’jaad Ke Sadqe Me Saajid Rakh Mujhe
‘Ilm e Haq De Baaqir e ‘Ilm e Huda Ke Waaste
Sidq e Saadiq Ka Tasad’duq Saadiq ul Islam Kar
Be Ghazab Raazi Ho Kaazim Awr Raza Ke Waaste
Behr e Ma’ruf o Sari Ma’ruf De Be-Khud-sari
Jund e Haq Me Gin Junaid e Ba Safa Ke Waaste
Behr e Shibli Sher e Haq Duniya Ke Kut’toñ Se Bacha
Aik Ka Rakh Abd e Waahid Be Riya Ke Waaste
Bul Farah Ka Sadqa Kar Gham Ko Farah De Husna o Sa’ad
Bul Hasan Awr Bu Sa’eed e Sa’ad e Za Ke Waaste
Qaadiri Kar Qaadiri Rakh Qaadiriyoñ Me Ut’haa
Qadr e Abdul Qaadir e Qudrat Numa Ke Waaste
ا Se De Rizq e Hasan
Banda e Raz’zaaq Taaj ul Asfiyah Ke Waaste
Nasr Abi Saaleh Ka Sadqa Saaleh o Mansoor Rakh
De Hayaat e Deen Muhiy’y e Jaañ Faza Ke Waaste
Toor e Irfaan O ‘Uloo Hamda O Husn O Baha
De Ali Musa Hasan Ahmad Baha Ke Waaste
Behr e Ibrahim Mujh Par Naar e Gham Gulzaar Kar
Bheek De Daata Bhikaari Baadsha Ke Waaste
Khaana e Dil Ko Zia De Roo e Imaañ Ko Jamaal
Shah Zia Maula Jamaal ul Awliya Ke Waaste
De Muhammad Ke Liye Rozi Kar Ahmad Ke Liye
Khwaan e Fazlul’laah Se His’sa Gada Ke Waaste
Deen O Dunya Ki Mujhe Barkaat De Barkaat Se
Ishq Haq De Ishqi, Ishq Intima Ke Waaste
Hub’be Ahle Bayt De Aal e Muhammad Ke Liye
Kar Shaheed e Ishq Hamza Peshwa Ke Waaste
Dil Ko Ach’cha Tan Ko Sutra Jaan Ko Purnoor Kar
Ach’che Pyaare Shamsud’deeñ Badr Ul ‘Ulaa Ke Waaste
Do Jahaañ Me Khaadim e Aal e Rasoolullah Kar
Hazrat e Aale Rasool e Muqtada Ke Waaste
Sadqa In A’yaañ Ka De Che Ain, ‘Izz ‘Ilm o ‘Amal
‘Afw o ‘Irfaañ, ‘Aafiyat Is Be Nawa Ke Waaste
Noor Jaan o Noor Imaañ Noor Qabr o Hashr De
Bul Husain e Ahmad e Noori Liqa Ke Waaste
Kar ‘Ataa Ahmad Raza e Ahmad e Mursal Mujhe
Mere Maula Hazrat e Ahmad Raza Ke Waaste
Haamid o Mahmud o Ham’mad o Ahmad Kar Mujhe
Mere Maula Hazrat e Haamid Raza Ke Waaste
Saaya e Jumla Masha’ikh Ya Khuda Ham Par Rahe
Rahm Farma Aal e Rahmaañ Mustafa Ke Waaste
Behr e Ibrahim Bhi Lutf o ‘Ataa e Khaas Ho
Noor Ki Sarkaar Se His’sa Gada Ke Waaste
Ay Khuda Sayyidi Akhtar Raza Ko Charkh Par Islam Ke
Rakh Darakhshaañ Har Ghari Apni Raza Ke Waaste
Ya Khuda Asjad Raza Ko Aalam e Islam Me
Rakh Chamakta Har Ghari Apni Raza Ke Waaste
Ay Khuda Farma ‘Ataa Sidq o Safa Majd o Ulaa
Hazrat e Amjad Ali Bul Ulaa Ke Waaste
Bakhsh De Jurm o Khata, Fazl Farma Daa-ima
Haafiz e Millat Azeez ul Awliya Ke Waaste
Kar ‘Ataa Ham Ko Zia e Ilm e Deen e Mustafa
Banda e Miskeeñ Zia ul Mustafa Ke Waaste
Kar ‘Ataa Ham Ko Zia e Ilm e Deen e Mustafa
Qudwat ul Ulama Hazrat Zia ul Mustafa Ke Waaste
Haq Numa o Haq Nigar, Haq Beeñ Turab ul Haq Rahe
Bu Turab e Haq Numa, Sher e Khuda Waasta
Sadqa In A’yaañ Ka De Che Ain, ‘Izz ‘Ilm o ‘Amal
‘Afw o ‘Irfaañ, ‘Aafiyat Is Be Nawa Ke Waaste
Arsh E Haq Hai Masnad e Rif’at Rasoolullah Ki
‘Arsh e Haq Hai Masnad e Rif’at Rasoolullah Ki
Dekhni Hai Hashr Me Izzat Rasoolullah Ki
Qabr Me Lehra-enge Taa Hashr Chashme Noor Ke
Jalwa Farma Hogi Jab Tal’at Rasoolullah Ki
Kaafiroñ Par Taigh e Waala Se Giri Barq e Ghazab
Abr Aasaa Ch’haa Gayi Haybat Rasoolullah Ki
Laa Wa Rab’bil ‘Arsh Jisko Jo Mila Un Se Mila
Bat’-ti Hai Kaunain Me Ne’mat Rasoolullah Ki
Wo Jahannam Me Gaya Jo Un Se Mustaghni Huwa
Hai Khaleelullah Ko Haajat Rasoolullah Ki
Sooraj Ult’e Paa-oñ Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekh Le Qudrat Rasoolullah Ki
Tujh Se Awr Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho
Ham Rasoolullah Ke Jannat Rasoolullah Ki
Zikr Roke Fazl Kaate Naqs Ka Jooyaañ Rahe
Phir Kahe Mardak Ke Huñ Ummat Rasoolullah Ki
Najdi Us Ne Tujh Ko Mohlat Di Ke Is ‘Aalam Me Hai
Kaafir o Murtad Pe Bhi Rahmat Rasoolullah Ki
Ham Bhikaari Wo Kareem Unka Khuda Un Se Fuzuñ
Awr Na Kehna Nahiñ Aadat Rasoolullah Ki
Ahl e Sunnat Ka Hai Bera Paar Ashaab e Huzoor
Najm Hai Awr Naaw Hai ‘Itrat Rasoolullah Ki
Khaak Ho Kar Ishq Me Aaraam Se Sona Mila
Jaan Ki Ikseer Hai Ulfat Rasoolullah Ki
Toot’ Jaa-enge Gunahgaaroñ Ke Fawran Qaid o Band
Hashr Ko Khul Jaayegi Taaqat Rasoolullah Ki
Ya Rab’b Ek Saa’at Me Dhool Jaa-eñ Siyaah-Kaaroñ Ke Jurm
Josh Me Aa Jaaye Ab Rahmat Rasoolullah Ki
Hai Gul e Baagh e Qudus Rukhsaar e Zaiba e Huzoor
Sarw e Gulzaar e Qidam Qaamat Rasoolullah Ki
Ay RAZA Khud Saahib e Qur’an Hai Mad’daah e Huzoor
Tujh Se Kab Mumkin Hai Phir Mid-hat Rasoolullah Ki
Qaafile Ne Soo e Taiba Kamar Aaraa-ee Ki
Qaafile Ne Soo e Taiba Kamar Aara-ee Ki
Mushkil Aasaan Ilaahi Meri Tanha-ee Ki
Laaj Rakh Li Tama’ e ‘Afw Ke Sauda-ee Ki
Ay Maiñ Qurbaañ Mere Aaqa Bari Aaqa-ee Ki
Farsh Taa Arsh Sab Aa-ina Zama-ir Haazir
Bas Qasam Khaaiye Ummi Teri Daana-ee Ki
Shash Jihat Samt Muqaabil Shab o Roz Aik Hee Haal
Dhoom ‘Wan Najm’ Me Hai Aap Ki Beena-ee Ki
Paan-Sau Saal Ki Raah Aisi Hai Jaise Do Gaam
Aas Ham Ko Bhi Lagi Hai Teri Shunwa-ee Ki
Chaand Ishaare Ka Hila Hukm Ka Baandha Sooraj
Waah! Kya Baat Shaha, Teri Tawaana-ee Ki
Tang Tehri Hai RAZA Jis Ke Liye Wus’ate ‘Arsh
Bas Jagah Dil Me Hai Us Jalwa e Har Ja-ee Ki
Pesh e Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunaate Jaaenge Lyrics
Pesh e Haq Muzhda Shafa’at Ka Sunaate Jaa-enge
Aap Rote Jaa-enge Ham Ko Hansaate Jaa-enge
Dil Nikal Jaane Ki Jaa Hai, Aah! Kin Aankhoñ Se Wo
Ham Se Pyaasoñ Ke Liye Darya Bahaate Jaa-enge
Kushtagaan e Garmi e Mahshar Ko Wo Jaan e Maseeh
Aaj Daaman Ki Hawa De Kar Jilaate Jaa-enge
Gul Khilega Aaj Ye Unki Naseem e Faiz Se
Khoon Rote Aa-enge Ham Muskuraate Jaa-enge
Haañ Chalo Hasrat Zado Sunte Haiñ Wo Din Aaj Hai
Thee Khabar Jiski Ke Wo Jalwa Dikhaate Jaa-enge.
Aaj ‘Eid e Aashiqaañ Hai Gar Khuda Chaahe Ke Wo
Abru e Paywasta Ka ‘Aalam Dikhaate Jaa-enge
Kuch Khabar Bhi Hai Faqeeroñ Aaj Wo Din Hai Ke Wo
Ne’mate Khuld Apne Sadqe Me Lutaate Jaa-enge
Khaak Uftaado Bas Un Ke Aane Hee Ki Deyr Hai
Khud Wo Gir Kar Sajde Me Tum Ko Ut’haate Jaa-enge
Wus’ateñ Dee Hai Khuda Ne Daaman e Mahboob Ko
Jurm Khulte Jaa-enge Awr Wo Chupaate Jaa-enge
Lo Wo Aaye Muskuraate Ham Aseeroñ Ki Taraf
Khirman e Isyaañ Pe Ab Bijli Giraate Jaa-enge
Aankh Kholo Ghamzado Dekho Wo Giryaañ Aaye Haiñ
Lauh e Dil Se Naqsh e Gham Ko Ab Mitaate Jaa-enge
Sokhta Jaanoñ Pe Wo Pur Josh e Rahmat Aaye Haiñ
Aab e Kawthar Se Lagi Dil Ki Bujhaate Jaa-enge
Aaftaab Unka Hee Chamkega Jab Awroñ Ke Charaagh
Sarsar e Josh e Bala Se Jhilmilaate Jaa-enge
Paa-e Koobaañ Pul Se Guzreñge Teri Aawaaz Par
‘Rab’bi Sallim’ Ki Sada Par Wajd Laate Jaa-enge
Sarwar e Deeñ Lijiye Apne Na-Tawaanoñ Ki Khabar
Nafs o Shaitaañ Sayyida Kab Tak Dabaate Jaa-enge
Hashr Tak Daalenge Ham Paidaaish e Maula Ki Dhoom
Misl e Faaris Najd Ke Qil’ay Giraate Jaa-enge
Khaak Ho Jaa-eñ ‘Adu Jal Kar Magar Ham To RAZA
Dam Me Jab Tak Dam Hai Zikr Un Ka Sunaate Jaa-enge
Chamak Tujh Se Paate Haiñ Sab Paane Waale
Chamak Tujh Se Paate Haiñ Sab Paane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkaane Waale
Barasta Nahiñ Dekh Kar Abr e Rahmat
Badoñ Par Bhi Barsa De Barsaane Waale
Madine Ke Khit’te Khuda Tujh Ko Rakhe
Ghareeboñ Faqeeroñ Ke Teh’raane Waale
Tu Zinda Hai Wal’laah! Tu Zinda Hai Wal’laah!
Mere Chashm e ‘Aalam Se Ch’hup Jaane Waale
Maiñ Mujrim Huñ Aaqa Mujhe Saath Le Lo
Ke Raste Me Haiñ Ja-Baja Thaane Waale
Haram Ki Zameeñ Awr Qadam Rakh Ke Chalna
Aray Sar Ka Mauqa Hai, Aw Jaane Waale
Chal Ut’th Jab-ha Farsa Ho Saaqi Ke Dar Par
Dar e Jood Ay Mere Mastaane Waale
Tera Khaa-eñ Tere Ghulaamoñ Se Uljheñ
Haiñ Munkir ‘Ajab Khaane Ghur’raane Waale
Rahega Yuñhi Un Ka Charcha Rahega
Paray Khaak Ho Jaa-eñ Jal Jaane Waale
Ab Aayi Shafa’at Ki Saa’at Ab Aayi
Zara Chain Le Mere Ghabraane Waale
RAZA! Nafs Dushman Hai, Dam Me Na Aana
Kahaañ Tum Ne Dekhe Haiñ Chandraane Waale
Aankheñ Ro-Ro Ke Sujaane Waale
Aankheñ Ro-Ro Ke Sujaane Waale
Jaane Waale Nahiñ Aane Waale
O You, Whose Eyes Have Become Swollen Due To Weeping
Those Who Have Departed, Are Never To Be Returning
Ko-ee Din Me Ye Sara Oojar’h Hai
Aray Aw Ch’haawni Ch’haane Waale
The Day When This Transitory World Will Become Desolate, Is Soon Coming,
O You Who Are Erecting Huge Mansions For Your Luxurious Living
Zabah Hote Haiñ Watan Se Bichr’e
Des Kyuñ Gaate Haiñ Gaane Waale
Those Who Are Separated From Their Homeland Are Already Agonising,
O Singers! The Melodies Of Their Homeland, To Them, Why Are You Singing
Aray Bad-Faal Buri Hoti Hai
Des Ka Jangla Sunaane Waale
Oh! You Know Well It Is An Ill-Omen Which Is Cause For Suffering,
The Melodies Of The Homeland, Those Of You Whom Are Singing
Sun Leñ Aa’da Maiñ Bigarne Ka Nahiñ
Wo Salaamat Haiñ Banaane Waale
Listen O’ My Enemies! Neither Will I Be Ruined, Nor Will I Be Failing,
For He Who Grants Me Success, Is In Existence And Indeed Reigning
Aankheñ Kuch Kehti Haiñ Tujh Se Paighaam
Aw Dar e Yaar Ke Jaane Waale
A Very Special Message To You, My Eyes Are Giving
Towards The Court Of My Beloved, O You Who Are Going
226
Phir Na Karwat Li Madine Ki Taraf
Aray Chal! Jhoot’e Bahaane Waale
In The Direction Of Madina, You Were Not Even Turning,
So Be Gone! O You, Who Make False Excuses, While Pretending
Nafs! Maiñ Khaak Huwa, Tu Na Mita
Hai Meri Jaan Ke Khaane Waale
O My Inner-self! Even Though I Have Been Ruined, You Are Still Surviving
Alas! My Soul, You Have Been Ruthlessly Devouring
Jeete Kya Dekh Ke Haiñ Ay Hooro!
Taiba Se Khuld Me Aane Waale
O Heavenly Maidens! What Do They See There Which Keeps Them Living,
Those Who Have Come To Jannat, After From Taiba Departing?
Neem Jalwe Me Do ‘Aalam Gulzaar
Waah! Waa Rang Jamaane Waale
With Only Half Of His Single Ray, All The Worldly Gardens Are Glowing,
Wow! How Splendid Is The One, Whose Colour Beautifies Everything
Husn Tera Saa Na Dekha Na Suna
Kehte Haiñ Agle Zamaane Waale
We Have Neither Seen Nor Heard Of Beauty Like Yours, So Amazing,
This Is What The People Of The Past Have Been Proclaiming
Wahee Dhoom Unki Hai Ma Sha Allah
Mit’t Gaye Aap Mitaane Waale
Until Today, His Excellences & Praises Are Uninterruptedly Flowing,
They Themselves Have Been Annihilated, Who To Harm Him, Were Planning
227
Lab e Seyraab Ka Sadqa Paani
Ay Lagi Dil Ki Bujhaane Waale
Saath Le Lo Mujhe Maiñ Mujrim Huñ
Raah Me Par’te Haiñ Thaane Waale
Ho Gaya Dhak Se Kaleja Mera
Haa-e Rukhsat Ki Sunaane Waale
Khalq To Kya, Ke Haiñ Khaaliq Ko ‘Azeez
Kuch ‘Ajab Bhaate Haiñ Bhaane Waale
Kushtah e Dasht e Haram, Jannat Ki
Khir’kiyaañ Apne Sirhaane Waale
Kyuñ RAZA Aaj Gali Sooni Hai
Ut’th Mere Dhoom Machaane Waale
Kya Mahakte Haiñ Mahakne Waale
Kya Mahakte Haiñ Mahakne Waale
Boo Pe Chalte Haiñ Bhatakne Waale
Jagmagaa Ut’thi Meri Gor Ki Khaak
Tere Qurbaan Chamakne Waale
Mah e Be Daagh Ke Sadqe Jaa-uñ
Yuñ Damakte Haiñ Damakne Waale
‘Arsh Tak Phayli Hai Taab e ‘Aariz
Kya Jhalakte Haiñ Jhalakne Waale
Gul e Taiba Ki Thana Gaate Haiñ
Nakhl e Tooba Pe Chahakne Waale
Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka
Wo Nahiñ Haath Jhatakne Waale
Abr e Rahmat Ke Salaami Rehna
Phalte Haiñ Pawde Lachakne Waale
Aray Ye Jalwa-gaah e Jaanaañ Hai
Kuch Adab Bhi Hai Pharakne Waale
Sunniyo! Un Se Madad Maange Jaawo
Paray Bakte Raheñ Bakne Waale
Sham’e Yaad e Rukh e Jaanaañ Na Bujhe
Khaak Ho Jaa-eñ Bharakne Waale
Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb
Ek Zara So Leñ Bilakne Waale
Ko-ee Un Teyz Rawoñ Se Keh Do
Kis Ke Ho Kar Raheñ Thakne Waale
Dil Sulagta Hee Bhala Hai Ay Zabt
Bujh Bhi Jaate Haiñ Dahakne Waale
Ham Bhi Kumh’laane Se Ghaafil Thay Kabhi
Kya Hañsa Ghunche Ch’hatakne Waale
Nakhl Se Ch’hut Ke Ye Kya Haal Huwa
Aah! Aw Pat’te Kharakne Waale
Jab Gire Munh Soo e Maikhaana Tha
Hosh Me Hai Ye Bahakne Waale
Dekh Aw Zakhm e Dil Aape Ko Sambhaal
Phoot Behte Haiñ Tapakne Waale
May Kahaañ Awr Kahaañ Maiñ Zaahid
Yuñ Chahakte Haiñ Chahakne Waale
Kaf e Darya e Karam Me Haiñ RAZA
Paanch Faw’waare Ch’halakne Waale
Raah Pur Khaar Hai, Kya Hona Hai
Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai
Paa-oñ Afgaar Hai Kya Hona Hai
Khushk Hai Khoon Ke Dushman Zaalim
Sakht Khoon-Khwaar Hai Kya Hona Hai
Ham Ko Bid Kar Wahi Karna Jis Se
Dost Bezaar Hai Kya Hona Hai
Tan Ki Ab Kaun Khabar Le Hai-Hai
Dil Ka Aazaar Hai Kya Hona Hai
Meethe Sharbat De Maseeha Jab Bhi
Zid Hai Inkaar Hai Kya Hona Hai
Dil Ke Timaar Hamaara Karta
Aap Bimaar Hai Kya Hona Hai
Par Katay Tang Qafas Awr Bulbul
Nau-Giraftaar Hai Kya Hona Hai
Ch’hup Ke Logo Se Kiye Jis Ke Gunaah
Wo Khabardaar Hai Kya Hona Hai
Aray Aw Mujrim Be-Parwa Dekh
Sar Pe Talwaar Hai Kya Hona Hai
Tere Bimaar Ko Mere ‘Esa
Ghash Lagaataar Hai Kya Hona Hai
Nafs e Pur Zor Ka Wo Zor Awr Dil
Zer Hai Zaar Hai, Kya Hona Hai
Kaam Zindaañ Ke Kiye Awr Hameñ
Shawq e Gulzaar Hai Kya Hona Hai
Haa-e Re Neend Musaafir Teri
Kooch Tay’yaar Hai Kya Hona Hai
Door Jaana Hai Raha Din Thora
Raah Dushwaar Hai Kya Hona Hai
Ghar Bhi Jaana Hai Musaafir Ke Nahiñ
Mat Pe Kya Maar Hai Kya Hona Hai
Jaan Halkaan Huwi Jaati Hai
Baar Saa Baar Hai Kya Hona Hai
Paar Jaana Hai Nahiñ Milti Naaw
Zor Par Dhaar Hai Kya Hona Hai
Raah To Taigh Par Awr Talwoñ Ko
Gila e Khaar Hai Kya Hona Hai
Roshni Ki Hameñ ‘Aadat Awr Ghar
Teerah o Taar Hai Kya Hona Hai
Beech Me Aag Ka Darya Haa-il
Qasd Us Paar Hai Kya Hona Hai
Us Kar’ee Dhoop Ko Kyuñ-Kar Jheyleñ
Sho’la Zan Naar Hai Kya Hona Hai
Haa-e Bigri Tu Kahaañ Aa Kar Naaw,
‘Ain Manjhdhaar Hai Kya Hona Hai
Kal To Deedar Ka Din Awr Yahaañ
Aankh Be-kaar Hai Kya Hona Hai
Munh Dikhaane Ka Nahiñ, Awr Sahar
‘Aam Darbaar Hai Kya Hona Hai
Un Ko Rahm Aaye To Aaye, Warna
Wo Kar’ee Maar Hai Kya Hona Hai
Le Wo Haakim Ke Sipaahi Aaye
Subh e Izhaar Hai Kya Hona Hai
Waañ Nahiñ Baat Banaane Ki Majaal
Chaarah Iqraar Hai Kya Hona Hai
Saath Waaloñ Ne Yahiñ Ch’hor Diya
Be-Kasi Yaar Hai Kya Hona Hai
Aakhri Deed Hai Aawo Mil Leñ
Ranj Be-kaar Hai Kya Hona Hai
Dil Hameñ Tum Se Lagaana Hee Na Tha
Ab Safar Baar Hai Kya Hona Hai
Jaane Waaloñ Pe Ye Rona Kaisa
Banda Naa-chaar Hai Kya Hona Hai
Naz’a Me Dhiyaan Na Bat’t Jaaye Kaheeñ
Ye ‘Abath Pyaar Hai Kya Hona Hai
Iska Gham Hai Ke Har Ek Ki Soorat
Galay Ka Haar Hai Kya Hona Hai
Baateñ Kuch Awr Bhi Tum Se Karte
Par Kahaañ Waar Hai Kya Hona Hai
Kyuñ RAZA Kur’h-te Ho Hañste Ut’tho
Jab Wo Ghaf’faar Hai Kya Hona Hai
Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujaala Kya Hai
Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujaala Kya Hai
Har Taraf Deedah e Hayrat Zada Takta Kya Hai
Who’s Flash Of Radiance Is This, What Is This Brightness We Are Witnessing?
All Over In Amazement, At What Are All The Eyes Eagerly Looking?
Maang Man Maanti Munh Maangi Muraadeñ Lega
Na Yahaañ ‘Na’ Hai Na Mangta Se Ye Kehna ‘Kya Hai’
Ask What Your Heart Desires, You Will Attain Whatever You Are Requesting,
Here There Is Neither ‘No’, Nor Is The Beggar Told, ‘Why Are You Asking’?
Pand Kar’wi Lage Naaseh Se Na Tursh Ho Ay Nafs
Zehr e ‘Isyaañ Me Sitamgar Tujhe Meetha Kya Hai
Is The Advice Of The Adviser Bitter To You? O Nafs! Stop Sulking
O Tyrant! In The Poison Of Sins, For What Sweetness Are You Searching?
Ham Haiñ Unke Wo Haiñ Tere To Huwe Ham Tere
Is Se Bar’h Kar Teri Samt Awr Wasila Kya Hai
We Are His, He Is Yours, So Yours We Too Are Thereby Becoming,
Towards You, As Mediation, What Greater Wasila Can We Be Presenting?
Un Ki Ummat Me Banaaya Unheñ Rahmat Bheja
Yuñ Na Farma Ke Tera Rahm Me Da’wa Kya Hai
He Created Us In His Ummat, He Sent Him As A Mercy And Blessing,
So Ask Not What Our Claim Is, Or What Share In His Mercy We Are Having?
238
Sadqa Pyaare Ki Haya Ka Ke Na Le Mujh Se Hisaab
Bakhsh Be Pooche Lajaa-e Ko Lajaana Kya Hai
I Beg Of You Through Your Beloved’s Modesty, I Should Not Face Any Reckoning,
Forgive The Ashamed One Without Questioning, Without Any Further Shaming
Zaahid Un Ka Me Gunahgaar Wo Mere Shaafi’
Itni Nisbat Mujhe Kya Kam Hai, Tu Samjha Kya Hai
O Pious Worshipper, I Am A Sinner Before Him, But For Me He Is Interceding
So Is My Connection To Him Any Less, What Are You Thinking?
Be-Basi Ho Jo Mujhe Pursish e A’maal Ke Waqt
Dosto! Kya Kahuñ Us Waqt Tamanna Kya Hai
In My Helpless State, Regarding My Deeds, When There Will Be Questioning,
O My Friends! How Do I Explain To You, At That Time, What I Will Be Feeling
Kaash Faryaad Meri Sun Ke Ye Farmaa-eñ Huzoor
Haañ Ko-ee Dekho Ye Kya Shor Hai Ghogha Kya Hai
Oh How I Wish, After Hearing My Plea, My Beloved Nabi Will Be Saying,
What Is Causing All The Commotion, Someone Investigate What Is Happening
Kaun Aafat Zada Hai Kis Pe Balaa Tooti Hai
Kis Musibat Me Giraftaar Hai Sadma Kya Hai
Go And Investigate Who Is In Distress, And Such Torment Who Is Facing?
In What Misfortune Is He Being Seized, Why Is He Agonising?
Kis Se Kehta Hai Ke Lil’laah Khabar Lijiye Meri
Kyuñ Hai Be-Taab Ye Be-Chaini Ka Rona Kya Hai
By Saying, ‘For Allah’s Sake Come To My Aid’ Who Is He Addressing?
Why Is He So Restless, In Such Distress Why Is He Weeping?
239
Us Ki Be-Chaini Se Hai Khaatir e Aqdas Pe Malaal
Be-Kasi Kaisi Hai Poocho Ko-ee Guzra Kya Hai
Due To His Distress, Uncomfortable Our Beloved Master Is Becoming?
Why Is He So Troubled, Someone Ask The Angels, What Is He Facing?
Yuñ Malaa’ik Kareñ Ma’rooz Ki Ek Mujrim Hai
Us Se Pursish Hai Bata, Tu Ne Kiya Kya, Kya Hai
He Is A Sinful Offender, The Angels Will Say, While Responding,
He Is Now Being Questioned, About All He Was Doing
Saamna Qahr Ka Hai Daftar e A’maal Hai Pesh
Dar Raha Hai Ke Khuda Hukm Sunaata Kya Hai
His Books Of Deeds Have Been Unlocked, The Wrath Of Allah He Is Fearing,
He Is Fearful Of The Judgement, Which Almighty Allah Will Be Declaring
Aap Se Karta Hai Faryaad Ke Ya Shah e Rusul
Banda Be-Kas Hai Shaha Rahm Me Waqfa Kya Hai
O King Of All The Rasools! Your Aid He Is Now Humbly Seeking,
You Servant Is Now Helpless, What Is The Delay In Your Mercy, O My King
Ab Ko-ee Dum Me Gariftaar e Bala Hota Huñ
Aap Aa Jaa-eñ To Kya Khauf Hai Khat’ka Kya Hai
It Is Near That I Will Be Detained, In A Punishment Which Is Frightening,
If You Come, Neither Will I Have Any Fear, Nor Will I Be Stressing
Sun Ke Ye ‘Arz Meri Bahr e Karam Josh Me Aaye
Yuñ Malaa’ik Ko Ho Irshaad Teharna Kya Hai
On Hearing My Plea, He Should Shower Me With His Mercy And Blessing,
To The Angels He Should Then Say, For What Are You Still Waiting
240
Kis Ko Tum Moorid e Aafaat Kiya Chaahate Ho
Ham Bhi To Aa Ke Zara Dekheñ Tamaasha Kya Hai
Into The Abyss Of Torment, Whom Are You Thinking Of Placing,
Let Me Also Come And See, What Is All This, Which Is Happening
Un Ki Aawaaz Pe Kar Ut’thuñ Me Be-Saakhta Shor
Awr Tar’ap Kar Ye Kahuñ Ab Mujhe Parwa Kya Hai
On Hearing His Blessed Voice I Will Immediately Rise, Shouting,
And In Ecstasy I Will Then Say, I Am Now Concerned About Nothing
Lo Wo Aaya Mera Haami Mera Gham-Khwaar e Umam!
Aagayi Jaañ Tan e Be-Jaañ Me Ye Aana Kya Hai
Look Now, My Aid Is Coming, The Consoler Of The Ummah Is Approaching,
In My Lifeless Body, Life Has Entered, As I See My Beloved Approaching
Phir Mujhe Daaman e Aqdas Me Ch’hupa Leñ Sarwar
Awr Farmaa-eñ Hat’ow, Is Pe Taqaaza Kya Hai
In Your Blessed Shade, Then Hide Me Once Again, O My Beloved King,
And Say To The Angels, Move Away! There Will Be No Interrogating
Banda Aazaad Shuda Hai Ye Hamaare Dar Ka
Kaisa Lete Ho Hisaab, Is Pe Tumhaara Kya Hai
This Is My Freed Slave, To My Exalted Court He Is Belonging,
How Dare You Hold Him Liable, What Right Over Him Are You Having?
Ch’hor Kar Mujh Ko Farishte Kahe Mahkoom Haiñ Ham
Hukm e Waala Ki Na Ta’meel Ho, Zuhra Kya Hai
We Are Slaves To Your Command, Releasing Me The Angels Will Be Saying,
How Can We Defy You O Our Master? No Such Right We Are Having
241
Ye Samaañ Dekh Ke Mahshar Me Ut’thay Shor Ke, Waah!
Chashm e Bad Door Ho Kya Shaan Hai Rutbah Kya Hai
On Observing This Scene On Reckoning Day, All Will Be Ecstatically Saying,
May The Evil Eye Stay Away! On Such An Exalted Station He Is Standing
Sadqe Us Rahm Ke Us Saaya e Daaman Pe Nisaar
Apne Bande Ko Musibat Se Bachaaya Kya Hai
I Am Sacrificed Upon His Mercy, And Upon The Shade Of His Blessing,
How Swiftly He Saved His Slave, From Such A Torment, So Devastating
Ay RAZA Jaan e ‘Anaadil Tere Naghmoñ Ke Nisaar
Bulbul e Baagh e Madina Tera Kehna Kya Hai
O Raza! Upon Your Sweet Poetry, Their Lives, The Nightingales Are Sacrificing,
You Are A Nightingale Of The Garden Of Madina, So Fortunate You Are Being
242
Sarwar Kahuñ Ke
Maalik O Maula Kahuñ Tujhe
Sarwar Kahuñ Ke Maalik o Maula Kahuñ Tujhe
Baagh e Khaleel Ka Gul e Zaiba Kahuñ Tujhe
Shall I Refer To You As The Ruler, Or As My Master & King Shall I Refer To You?
As The Most Beautiful Flower Of The Khalil’s Garden, I Shall Refer To You
Hirmaañ Naseeb Huñ, Tujhe Ummeed Gah Kahuñ
Jaan e Muraad o Kaan e Taman’na Kahuñ Tujhe
Vile & Deprived I Am, But As The Foundation Of My Hopes I Shall Refer To You
As The Soul Of All My Wishes & The Cradle Of All My Hopes I Shall Refer To You
Gulzaar e Quds Ka Gul e Rangeeñ Ada Kahuñ
Darmaan e Dard e Bulbul e Shaida Kahuñ Tujhe
As The Most Colourful Flower Of The Most Sacred Garden I Shall Refer To You,
As The Remedy For Agony Of The Yearning Nightingale, I Shall Refer To You
Subh e Watan Pe Shaam e Ghareebaañ Ko Dooñ Sharaf
Be-Kas Nawaaz Gaisoo-oñ Waala Kahuñ Tujhe
Over The Dawn Of My Country, I Will Favour A Travellers Night Journey To You
As The Patron Of The Needy Or As The One With Lovely Hair, Shall I Refer To You
Allah Re Tere Jism e Munawwar Ki Taabisheñ
Ay Jaan e Jaañ Maiñ Jaan e Tajal’la Kahuñ Tujhe
Glory Be To Allah! The One With The Most Radiant And Glowing Body Is You
O Soul Of My Soul! As The Soul Of Every Lively Reflection, I Shall Refer To You
243
Be Daagh Laalah Ya Qamar e Be Kalaf Kahuñ
Be Khaar Gulbun e Chaman Aara Kahuñ Tujhe
As A Spotless Tulip, Or As The Unblemished Moon Shall I Refer To You
Or As The Thorn-less Rose Which Adorns The Garden, Shall I Refer To You
Mujrim Huñ Apne ‘Afw Ka Saamaañ Karuñ Shaha
Yaa’ni Shafi’ Roz e Jaza Ka Kahuñ Tujhe
I Am An Offender, O My King, The Provisions Of My Pardon I Make Through You
Explicitly, As The Intercessor Of The Day Of Reckoning, I Shall Refer To You
Is Murda Dil Ko Muzhdah Hayaat e Abad Ka Duñ
Taab o Tawaan e Jaan e Maseeha Kahuñ Tujhe
While To This Dead Heart, Glad-tidings Of An Eternal Life I Give, Through You
As The Forbearance And The Strength Of The Messiah’s Soul, I Shall Refer To You
Tere To Wasf ‘Ayb e Tanaahi Se Haiñ Baree
Hayraañ Huñ Mere Shaah Maiñ Kya, Kya Kahuñ Tujhe
The One With The Most Splendid Character And Flawless Nature, Is You
Amazed I Am O My King! By Which Sacred Splendour Shall I Refer To You
Keh Leygi Sab Kuch Un Ke Thana-Khwaañ Ki Khamushi
Chup Ho Raha Hai Keh Ke, Maiñ Kya, Kya Kahuñ Tujhe
The Answer To Everything, Is In The Silence Of The One Who Praises You
I Will Remain Silent After Saying, I Do Not Know How Else I Shall Refer To You
Lekin RAZA Ne Khatm e Sukhan Is Pe Kardiya
Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahuñ Tujhe
However, With This, Raza Ends His Poetic Composition While Praising You
As The Servant Of The Creator & The King Of The Creation I Shall Refer To You
244
Muzhdah Baad Ay ‘Aasiyo
Shaafi’ Shah e Abraar Hai
Muzhdah Baad Ay ‘Aasiyo! Shaafi’ Shah e Abraar Hai
Tahniyat Ay Mujrimo! Zaat e Khuda Ghaf’faar Hai
Glad-tidings To You O Sinners! Of The Most Pious, Your Intercessor Is The King
Congratulations To You O Offenders! Allah Almighty Is The Most Forgiving
‘Arsh Saa Farsh e Zameeñ Hai, Farsh e Paa ‘Arsh e Bareeñ
Kya Niraali Tarz Ki Naam e Khuda Raftaar Hai
Like The Arsh Is The Earth’s Floor; Under His Holy Feet, The Arsh Is A Flooring
Glory Be To Almighty Allah! How Exalted And Elegant Is Your Style Of Walking
Chaand Shaq Ho Peyr’ Boleñ Jaanwar Sajde Kareñ
Baarak’Allah Marja’e Aalam Yahi Sarkaar Hai
The Moon Split In Two, Trees Spoke, And Animals Fell Before Him Prostrating
Upon You Is Allah’s Blessing, The Station Of Refuge For The Universe, Is This King
Jin Ko Soo e Aasmaañ Phayla Ke Jal-Thal Bhar Diye
Sadqa Un Haathoñ Ka Pyaare Ham Ko Bhi Darkaar Hai
That Which You Spread Towards The Sky, Causing Rain To Come Down Pouring
The Charity Of Generosity O Beloved, From Those Hands, We Too Are Seeking
Lab Zulaal e Chashma e Kun Me Gundhay Waqt e Khameer
Murde Zinda Karna Ay Jaañ Tum Ko Kya Dushwaar Hai
Your Lips Were Moulded In The Fountain Of ‘Be’, At The Time Of Your Creating
So O Beloved! It Is Not Complex For You, To Transform The Dead Into The Living
245
Goray, Goray Paa-uñ Chamka Do Khuda Ke Waaste
Noor Ka Tar’ka Ho Pyaare Gor Ki Shab Taar Hai
For Allah’s Sake, With Your Fair Sacred Feet, Brighten My Surrounding
May The Darkness Of My Grave, Be Illuminated Like A Bright Morning
Tere Hee Daaman Pe Har ‘Aasi Ki Par’ti Hai Nazar
Ek Jaan e Be-Khata Par Do Jahaañ Ka Baar Hai
Towards Your Mantle Of Mercy, The Eyes Of Every Sinner Is Turning
The Burden Of Both The Worlds, Rests On The Soul Of One Sinless Being
Josh e Toofaañ Bahr e Be Paayaañ Hawa Na Saazgaar
Nooh Ke Maula Karam Kar De To Beyra Paar Hai
The Storm Is Raging, The Vast Sea Is Swelling, Harsh Gusts Of Winds Are Blowing
We Will Reach The Shore Safely, If Nooh’s Master Showers Us With His Blessing
Rahmatul-lil ‘Aalameeñ Teri Duha-ee Dab Gaya
Ab To Maula Be Tarah Sar Par Gunaah Ka Baar Hai
O Mercy Unto The Worlds! I Have Been Crushed, Your Aid I Am Requiring
O My Master! An Unbearable Burden Of Sins, Over My Head Is Now Hanging
Hayrateñ Haiñ Aa-ina Daar e Wafur e Wasf e Gul
Un Ke Bulbul Ki Khamushi Bhi Lab e Izhaar Hai
Mystifications Are Mystified, While Upon His Grand Praises They Are Reflecting
Even From The Silence Of His Nightingale, Eloquent Messages Are Manifesting
Goonj-Goonj Ut’thay Haiñ Naghmaat e RAZA Se Bostaañ
Kyuñ Na Ho, Kis Phool Ki Mid-hat Me Waa Minqaar Hai
Through The Melodious Poems Of Raza, The Gardens Are Reverberating,
And Why Shouldn’t It Be So, When The Exalted Flower’s Praises He Is Chirping?
‘Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Me Aasmaan Hai
‘Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Me Aasmaan Hai
Jaan e Muraad Ab Kidhar Haa-e Tera Makaan Hai
Bazm e Sana e Zulf Me, Meri ‘Uroos e Fikr Ko
Saari Bahaar e Hasht Khuld Ch’hota Sa ‘Itr Daan Hai
Arsh Pe Jaa Ke Murgh e Aql Thak Ke Gira Ghash Aagaya
Awr Abhi Manziloñ Paray Pehla Hee Aastaan Hai
Arsh Pe Taaza Ch’her-Ch’haar Farsh Me Turfa Dhoom Dhaam
Kaan Jidhar Lagaa-iye Teri Hee Daastaan Hai
Ek Tere Rukh Ki Roshni Chain Hai Do Jahaan Ki
Ins Ka Uns Usi Se Hai Jaan Ki Wo Hee Jaan Hai
Wo Jo Na Thay To Kuch Na Tha Wo Jo Na Hoñ To Kuch Na Ho
Jaan Haiñ Wo Jahaan Ki, Jaan Hai To Jahaan Hai
Gowd Me ‘Aalam e Shabaab Haal e Shabaab Kuch Na Pooch
Gulbun e Baagh e Noor Ki Awr Hee Kuch Ut’haan Hai
Tujh Sa Siyaah-kaar Kaun, Un Sa Shafi’ Hai Kahaañ
Phir Wo Tujhi Ko Bhool Jaa-eñ, Dil Ye Tera Gumaan Hai
Pesh e Nazar Wo Nau Bahaar Sajde Ko Dil Hai Be-Qaraar
Rokiye Sar Ko Rokiye Haañ Yahi Imtihaan Hai
Shaan e Khuda, Na Saath De Unke Khiraam Ka, Wo Baaz
Sidra Se Taa Zameeñ Jisay, Narm Si Ek Uraan Hai
Baar e Jalaal Ut’haa Liya Gar Che Kaleja Shaq Huwa
Yuñ To Ye Maah e Sabza Rang, Nazroñ Me Dhaan Paan Hai
Khauf Na Rakh RAZA Zara, Tu To Hai ‘Abd e Mustafa
Tere Liye Amaan Hai! Tere Liye Amaan Hai!
Ut’ha Do Parda Dikha Do Chehra
Ut’ha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noor e Baari Hijaab Me Hai
Zamaana Taareek Ho Raha Hai Ke Mahr Kab Se Niqaab Me Hai
Nahiñ Wo Meethi Nigaah Waala, Khuda Ki Rahmat Hai Jalwa Farma
Ghazab Se Un Ke Khuda Bachaaye Jalaal e Baari ‘Itaab Me Hai
Jali-Jali Bu Se Us Ki Paida, Hai Sozish e Ishq e Chashm Waala
Kabaab e Aahu Me Bhi Na Paaya Maza Jo Dil Ke Kabaab Me Hai
Unheeñ Ki Bu Maaya e Saman Hai, Unheeñ Ka Jalwa Chaman, Chaman Hai
Unheeñ Se Gulshan Mahak Rahe Haiñ, Unheeñ Ki Rangat Gulaab Me Hai
Teri Jilau Me Hai Maah e Taiba, Hilaal Har Marg o Zindagi Ka!
Hayaat Jaañ Ka Rikaab Me Hai, Mamaat e Aa’da Ka ‘Daab Me Hai
Siyaah Libasaan e Daar Dunya Wa Sabz Poshaan e Arsh e A’laa
Har Ek Hai Un Ke Karam Ka Pyaasa Ye Faiz Un Ki Janaab Me Hai
Wo Gul Hai Lab Haa-e Naazuk Un Ke Hazaaroñ Jhar’te Haiñ Phool Jin Se
Gulaab Gulshan Me Dekhe Bulbul Ye Dekh Gulshan Gulaab Me Hai
Jali Hai Soz e Jigar Se Jaañ Tak Hai Taalib e Jalwa e Mubaarak
Dikha Do Wo Lab Ke Aab e Haywaañ Ke Lutf Jin Ke Khitaab Me Hai
Khare He Munkar Nakeer Sar Par, Na Ko-ee Haami, Na Ko-ee Yaawar
Bata Do Aa Kar Mere Payambar, Ke Sakht Mushkil Jawaab Me Hai
Khuda e Qah’haar Hai Ghazab Par, Khule Haiñ Bad-Kaariyoñ Ke Daftar
Bacha Lo Aa Kar Shafi’ e Mahshar, Tumhaara Banda ‘Azaab Me Hai
Kareem Aisa Mila Ke Jis Ke Khule Haiñ Haath Awr Bharay Khazaane
Bataa-o Ay Mufliso! Ke Phir Kyuñ Tumhaara Dil Iztiraab Me Hai
Gunaah Ki Taareekiyaañ Ye Chaa-eeñ Umand Ke Kaali Ghata-eñ Aa-eeñ
Khuda Ke Khursheed Mahr Farma, Ke Zar’ra Bas Iztiraab Me Hai
Kareem Apne Karam Ka Sadqa La-eem e Be Qadr Ko Na Sharma
Tu! Awr RAZA Se Hisaab Lena, RAZA Bhi Ko-ee Hisaab Me Hai
Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata ‘Isyaañ Ki Kaali Hai
Andheri Raat Hai Gham Ki, Ghata ‘Isyaañ Ki Kaali Hai
Dil e Be-Kas Ka Is Aafat Me, Aaqa Tu Hee Waali Hai
Na Ho Maayoos, Aati Hai Sada Gor e Ghareebaañ Se
Nabi Ummat Ka Haami Hai, Khuda Bandoñ Ka Waali Hai
Utarte Chaand Dhalti Chaandni Jo Ho Sakay Kar Le
Andhera Paakh Aata Hai Ye Do Din Ki Ujaali Hai
Aray! Ye Bher’iyoñ Ka Ban Hai Awr Shaam Aagayi Sar Par
Kahaañ Soya Musaafir Haa-e Kitna Laa-Ubaali Hai
Andhera Ghar Akeli Jaan Dam Ghut-ta Dil Uk-taata
Khuda Ko Yaad Kar Pyaare Wo Saa’at Aane Waali Hai
Zameeñ Tapti, Kat’eeli Raah, Bhaari Bojh, Ghaayal Paa-oñ
Musibat Jheylne Waale, Tera Allah Waali Hai
Na Chaunka Din Hai Dhalne Par Teri Manzil Huwi Khot’ee
Aray Aw Jaane Waale Neend Ye Kab Ki Nikaali Hai
RAZA Manzil To Jaisi Hai, Wo Ek Maiñ Kya Sabhi Ko Hai
Tum Us Ko Rote Ho, Ye To Kaho, Yaañ Haath Khaali Hai
Gunahgaaroñ Ko Haatif Se Naweed e Khush Ma-Aali Hai
Gunahgaaroñ Ko Haatif Se Naweed e Khush Ma-aali Hai
Mubaarak Ho Shafa’at Ke Liye Ahmad Saa Waali Hai
Qaza Haq Hai Magar Us Shawq Ka Allah Waali Hai
Jo Un Ki Raah Me Jaaye Wo Jaan Allah Waali Hai
Tera Qad’d e Mubaarak Gulban e Rahmat Ki Daali Hai
Usay Bo Kar Tere Rab’b Ne Bina Rahmat Ki Daali Hai
Tumhaari Sharm Se Shaan e Jalaal e Haq ‘Tapakti Hai
Kham e Gardan Hilaal e Aasmaan e Zul-Jalaali Hai
Zahe Khud-Gum Jo Gum Hone Pe Ye Dhoondhe Ke Kya Paaya
Aray! Jab Tak Ke Paana Hai, Jabhi Tak Haath Khaali Hai
Maiñ Ek Mohtaaj e Be Waq’at Gada Tere Sag e Dar Ka
Teri Sarkaar Waala Hai, Tera Darbaar Aali Hai
Teri Bakhshish Pasandi Uzr Jo-ee Tauba Khwaahi Se
Umoom e Be Gunaahi Jurm Shaan e Laa-Ubaali Hai
Abu Bakr o Umar Usman o Haidar Jis Ke Bulbul Haiñ
Tera Sarw e Sahi Us Gulbun e Khoobi Ki Daali Hai
RAZA Qismat Hee Khul Jaaye Jo Geelaañ Se Khitaab Aaye
Ke Tu Adna Sag e Dargah e Khud’daam e Ma-aali Hai
Soona Jangal Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
Soona Jangal Raat Andheri Chaayi Badli Kaali Hai
Sone Waalo! Jaagte Rahiyo Choroñ Ki Rakhwaali Hai
Aankh Se Kaajal Saaf Ch’hura Leñ Yaañ Wo Chor Bala Ke Haiñ
Teri Gat’hri Taakee Hai Awr Tu Ne Neend Nikaali Hai
Ye Jo Tujh Ko Bulaata Hai, Ye Thag Hai, Maar Hee Rakhega
Haa-e Musaafir Dam Me Na Aana Mat Kaisi Matwaali Hai
Sona Paas Hai, Soona Ban Hai Sona Zehr Hai Ut’th Pyaare
Tu Kehta Hai Neend Hai Meethi Teri Mat Hi Niraali Hai
Aankheñ Malna Jhunjhla Par’na Laakhoñ Jama-ee Angra-ee
Naam Par Ut’thne Ke Lar’ta Hai Ut’thna Bhi Kuch Gaali Hai
Jugnu Chamke Pat’ta Khar’ke Mujh Tanha Ka Dil Dharke
‘Dar Samjha-e Ko-ee Pawan Hai, Ya Agiyaa Be-Taali Hai
Baadal Garje Bijli Tar’pay Dhak Se Kaleja Ho Jaaye
Ban Me Ghata Ki Bhayaanak Soorat Kaisi Kaali, Kaali Hai
Paa-on Ut’tha Awr Thokar Khaa-ee Kuch Sambhla Phir Awndhe Munh
Meenh Ne Phislan Kar Di Hai, Awr Dhur Tak Khaa-ee Naali Hai
Saathi, Saathi Keh Ke Pukarooñ Saathi Ho To Jawaab Aaye,
Phir Jhunjhla Kar Sar De Patkooñ, Chal Re Maula Waali Hai
Phir, Phir Kar Har Jaanib Dekhuñ Ko-ee Aas Na Paas Kaheeñ
Haañ Ek Tooti Aas Ne, Haare Jee Se, Rafaaqat Paali Hai
Tum To Chaand ‘Arab Ke Ho Pyaare Tum To ‘Ajam Ke Sooraj Ho
Dekho Mujh Be-Kas Par Shab Ne, Kaisi Aafat Daali Hai
Dunya Ko Tu Kya Jaane, Ye Bis Ki Gaanth Hai, Har’raafah
Soorat Dekho Zaalim Ki, To Kaisi Bholi Bhaali Hai
Shahd Dikhaaye Zehr Pilaaye, Qaatil, Daa-in Shohar Kush
Is Murdaar Pe Kya Lal-chaaya, Dunya Dekhi Bhaali Hai
Wo To Nihaayat Sasta Sauda Bech Rahe Haiñ Jannat Ka
Ham Muflis Kya Mol Chukaa-eñ, Apna Haath Hee Khaali Hai
Maula Tere Afw o Karam Hoñ, Mere Gawaah Safa-ee Ke
Warna RAZA Se Chor Pe Teri Digri To Iqbaali Hai
Nabi Sarwar e Har Rasool o Wali Hai
Nabi Sarwar e Har Rasool o Wali Hai
Nabi Raaz Daar e Ma’Al-laahi-Lee Hai
Wo Naami Ki Naam e Khuda Naam Tera
Raoof o Raheem o Aleem o ‘Ali Hai
Hai Be-Taab Jis Ke Liye ‘Arsh e Aazam
Wo Us Rahrawe Laa Makaañ Ki Gali Hai
Nakeerain Karte Haiñ Ta’zeem Meri
Fida Ho Kar Tujh Par Ye Izzat Mili Hai
Talaatum Hai Kashti Pe Toofaan e Gham Ka
Ye Kaisi Hawa e Mukhaalif Chali Hai
Na Kyuñ Kar Kahuñ ‘Ya Habeebi Aghithni’
Isi Naam Se Har Musibat ‘Tali Hai
Saba Hai Mujhe Sar-Sar e Dasht e Taiba
Isi Se Kali Mere Dil Ki Khili Hai
Tere Chaaroñ Hamdam Haiñ Yak Jaan Yak Dil
Abu Bakr, Farooq, Usman, Ali Hai
Khuda Ne Kiya Tujh Ko Aagaah Sab Se
Do ‘Aalam Me Jo Kuch Khafi o Jali Hai
Karuñ Arz Kya Tujh Se Ay ‘Aalim us Sirr
Ke Tujh Par Meri Haalat e Dil Khuli Hai
Taman’na Hai Farmaaiye Roz e Mahshar
Ye Teri Riha-ee Ki Chit’thi Mili Hai
Jo Maqsad Ziyaarat Ka Bar Aaye Phir To
Na Kuch Qasd Kije Ye Qasd e Dili Hai
Tere Dar Ka Darbaañ Hai Jibreel e Aazam
Tera Madh Khwaañ Har Nabi o Wali Hai
Shafa’at Kare Hashr Me Jo RAZA Ki
Siwa Tere Kis Ko Ye Qudrat Mili Hai
Na ‘Arsh e Aiman Na Me Mehmaani Hai
Na ‘Arsh Aiman Na Me Mehmaani Hai
Na Lutf e e Naseeb
Hai
Naseeb e Dostaañ Gar Un Ke Dar Par Maut Aani Hai
Khuda Yuñhi Kare Phir To Hamesha Zindagaani Hai
Usee Dar Par Tarapte Haiñ Machalte Haiñ Bilakte Haiñ,
Ut’tha Jaata Nahiñ, Kya Khoob Apni Na-Tawaani Hai
Har Ek Deewaar o Dar Par Mahr Ne Ki Hai Jabeeñ Saa-ee
Nigaar e Masjid e Aqdas Me Kab Sone Ka Paani Hai
Tere Mangta Ki Khamushi Shafa’at Khwaah Hai Us Ki
Zabaan e Be Zabaani Tarjamaan e Khasta Jaani Hai
Your Mendicant’s Silent And Hushed Reaction,
Sharaab e ـَحق ْ
ـَىال
ـَرأ دْ ـَق Zayb e Jaam e ْ
�ـِ�
ـَ
Hai ـَم ْن ـَرأ
How Will The Secrets Of The Beloved & He Who Loves Him, Open
Upon Those Who Are Lost In Their Oblivious Condition
Jahaañ Ki Khaak-Roobi Ne Chaman Aaraa Kiya Tujh Ko
Saba Ham Ne Bhi Un Galiyoñ Ki Kuch Din Khaak Ch’haani Hai
Shaha Kya Zaat Teri Haq Numa Hai Fard e Imkaañ Me
Ke Tujh Se Ko-ee Awwal Hai Na Tera Ko-ee Saani Hai
Kahaañ Us Koshak e Jaan e Jinaañ Me Zar Ki Naq’qaashi
Iram Ke Taa-ir e Rang e Pareeda Ki Nishaani Hai
Lab Pe Kalma Dil Me Gustaakhi
Salaam Islam Mulhid Ko, Ke Tasleem e Zabaani Hai
Ye Aksar Saath Un Ke Shaana o Miswaak Ka Rehna
Bataata Hai Ke Dil Reshoñ Pe Zaa-id Mehrbaani Hai
Isi Sarkaar Se Dunya o Deeñ Milte Haiñ Saa-il Ko
Yahi Darbaar e ‘Aali Kanz e Aamaal o Amaani Hai
Duroodeñ Soorat e Haala Muheet e Maah e Taiba Haiñ
Barasta Ummat e ‘Aasi Pe Ab Rahmat Ka Paani Hai
Ta’aala-Allah Istighna Tere Dar Ke Gadaa-oñ Ka
Ke Unko ‘Aar Far o Shaukat e Saahib Qiraani Hai
Wo Sar Garm e Shafa’at Hai Arq Afshaañ Hai Peshaani
Karam Ka ‘Itr Sandal Ki Zameeñ Rahmat Ki Ghaani Hai
Ye Sar Ho Awr Wo Khaak e Dar, Wo Khaak e Dar Ho Awr Ye Sar
RAZA Wo Bhi Agar Chaaheñ To Ab Dil Me Ye Th’haani Hai
Sunte Haiñ Ke Mahshar Me
Sunte Haiñ Ke Mahshar Me Sirf Unki Rasa-ee Hai
Gar Unki Rasa-ee Hai Lo Jab To Ban Aa-ee Hai
Machla Hai Ke Rahmat Ne Ummeed Bandha-ee Hai
Kya Baat Teri Mujrim Kya Baat Bana-ee Hai
Sab Ne Saf e Mahshar Me Lalkaar Diya Ham Ko
Ay Be-Kasoñ Ke Aaqa Ab Teri Duha-ee Hai
Yuñ To Sab Unheeñ Ka Hai Par Dil Ki Agar Poocho
Ye Toote Huwe Dil Hee Khaas Unki Kama-ee Hai
Zaair Gaye Bhi Kab Ke Din ‘Dhalne Pe Hai Pyaare
Ut’th Mere Akele Chal Kya Deyr Laga-ee Hai
Bazaar e ‘Amal Me To Sauda Na Bana Apna
Sarkaar e Karam, Tujh Me ‘Aibi Ki Sama-ee Hai
Girte Huwoñ Ko Muzhda Sajde Me Gire Maula
Ro-Ro Ke Shafa’at Ki Tamheed Ut’tha-ee Hai
Ay Dil Ye Sulagna Kya Jalna Hai To Jal Bhi Ut’th
Dam Ghutne Laga Zaalim Kya Dhooni Rama-ee Hai
Mujrim Ko Na Sharma-o Ahbaab Kafan Dhak Do
Munh Dekh Ke Kya Hoga Parde Me Bhala-ee Hai
Ab Aap Hee Sambhaaleñ To Kaam Apne Sambhal Jaa-eñ
Ham Ne To Kama-ee Sab Kheloñ Me Gawa-ee Hai
Ay ‘Ishq Tere Sadqe Jalne Se Ch’hutay Saste
Jo Aag Bujha Degi Wo Aag Laga-ee Hai
Hirs o Hawas e Bad Se Dil Tu Bhi Sitam Kar Le
Tu Hee Nahiñ Begaana Dunya Hee Para-ee Hai
Ham Dil Jalay Haiñ Kis Ke Hat’t Fitnoñ Ke Parkaale
Kyuñ Phoonk Dooñ Ek Uff Se Kya Aag Laga-ee Hai
Taiba Na Sahi Afzal Makkah Hee Bara Zaahid
Ham ‘Ishq Ke Bande Haiñ Kyuñ Baat Barha-ee Hai
Matla’ Me Ye Shak Kya Tha Wal’laah RAZA Wal’laah
Sirf Un Ki Rasa-ee Hai, Sirf Un Ki Rasa-ee Hai
Hirz e Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye
Hirz e Jaañ Zikr e Shafa’at Kijiye
Naar Se Bachne Ki Soorat Kijiye
Un Ke Naqsh e Paa Pe Ghayrat Kijiye
Aankh Se Ch’hup Kar Ziyaarat Kijiye
Un Ke Husn e Ba-Malaahat Par Nisaar
Sheera e Jaañ Ki Halaawat Kijiye
Un Ke Dar Par Jaise Ho Mit’t Jaaiye
Na-Tawaano! Kuch To Himmat Kijiye
Pheyr Dije Panja e Deo e La’eeñ
Mustafa Ke Bal Pe Taaqat Kijiye
Doob Kar Yaad e Lab e Shadaab Me
Aab e Kawthar Ki Sabaahat Kijiye
Yaad e Qaamat Karte Ut’thiye Qabr Se
Jaan e Mahshar Par Qiyaamat Kijiye
Un Ke Dar Par Bait’thiye Ban Kar Faqeer
Be-Nawaao Fikr e Sarwat Kijiye
Jis Ka Husn Allah Ko Bhi Bhaa Gaya
Aise Pyaare Se Muhabbat Kijiye
Hay’y Baaqi Jis Ki Karta Hai Thana
Marte Dam Tak Us Ki Midhat Kijiye
Arsh Par Jis Ki Kamaaneñ Charh Ga-eeñ
Sadqe Us Baazu Pe Quw’wat Kijiye
Neem Waa Taiba Ke Phooloñ Par Ho Aankh
Bulbulo! Paas e Nazaakat Kijiye
Sar Se Girta Hai Abhi Baar e Gunaah
Kham Zara Farq e Iraadat Kijiye
Aankh To Ut’thi Nahiñ Kya Deñ Jawaab
Ham Pe Be Pursish Hi Rahmat Kijiye
‘Uzr e Badtar Az Gunaah Ka Zikr Kya
Be Sabab Ham Par ‘Inaayat Kijiye
Naa’ra Kijiye Ya Rasool’Allah Ka
Mufliso! Saamaan e Daulat Kijiye
Ham Tumhaare Ho Ke Kis Ke Paas Jaa-eñ
Sadqa Shahzaadoñ Ka Rahmat Kijiye
ٰ
Kaheñ Jo
Kya Bayaañ Us Ki Haqeeqat Kijiye
‘Aalim e Ilm Do Aalam Haiñ Huzoor
Aap Se Kya ‘Arz Haajat Kijiye
Aap Sultan e Jahaañ Ham Be-Nawa
Yaad Ham Ko Waqt e Ne’mat Kijiye
Tujh Se Kya, Kya Ay Mere Taiba Ke Chaand
Zulmat e Gham Ki Shikaayat Kijiye
Dar Badar Kab Tak Phireñ Khasta Kharaab
Taiba Me Madfan ‘Inaayat Kijiye
Har Baras Wo Qaafiloñ Ka Dhoom Dhaam
Aah! Suniye Awr Ghaflat Kijiye
Phir Palat Kar Munh Na Us Jaanib Kiya
Sach Hai Awr Da’wa e Ulfat Kijiye
Aqriba, Hub’b e Watan, Be Himmati
Aah! Kis, Kis Ki Shikaayat Kijiye
Ab To Aaqa Munh Dikhaane Ka Nahiñ
Kis Tarah Raf’e Nadaamat Kijiye
Apne Haathoñ Khud Lut’a Bait’the Haiñ Ghar
Kis Pe Da’wa e Bizaa’at Kijiye
Kis Se Kahiye, Kya Kiya, Kya Ho Gaya
Khud Hi Apne Par Malaamat Kijiye
‘Arz Ka Bhi Ab To Munh Par’ta Nahiñ
Kya ‘Ilaaj e Dard e Furqat Kijiye
Apni Ek Meethi Nazar Ke Shahd Se
Chaara e Zehr e Musibat Kijiye
De Khuda Himmat Ke Ye Jaan e Hazeeñ
Aap Par Waareñ Wo Soorat Kijiye
Aap Ham Se Bar’h Ke Ham Par Meharbaañ
Ham Kare Jurm, Aap Rahmat Kijiye
Jo Na Bhoola Ham Ghareeboñ Ko RAZA
Yaad Us Ki Apni ‘Aadat Kijiye
Dushman e Ahmad Pe Shiddat Kijiye
Dushman e Ahmad Pe Shiddat Kijiye
Mulhidoñ Ki Kya Murawwat Kijiye
Zikr Un Ka Ch’heriye Har Baat Me
Ch’herna Shaitaañ Ka Aadat Kijiye
Misl e Faaris Zalzale Ho Najd Me
Zikr e Aayat e Wilaadat Kijiye
Ghaiz Me Jal Jaa-eñ Be-Deenoñ Ke Dil
Ya Rasool’Allah Ki Kasrat Kijiye
Kijiye Charcha Unheeñ Ka Subh o Shaam
Jaane Kaafir Par Qiyaamat Kijiye
Aap Dargaah e Khuda Me Hee Wajeeh
Haañ Shafa’at Bil Wajaahat Kijiye
Haq Tumheñ Farma Chuka Apna Habeeb
Ab Shafa’at Bil Muhabbat Kijiye
Izn Kab Ka Mil Chuka, Ab To Huzoor
Ham Ghareeboñ Ki Shafa’at Kijiye
Mulhidoñ Ka Shak Nikal Jaaye Huzoor
Jaanib e Mah Phir Ishaarat Kijiye
Shirk Tehere Jis Me Ta’zeem e Habeeb
Us Bure Mazhab Pe Laa’nat Kijiye
Zaalimo! Mahboob Ka Haq Tha Yahi
‘Ishq Ke Badle ‘Adaawat Kijiye
Wad’duha, Hujuraat, Alam Nashrah, Se Phir
Momino! Itmaam e Hujjat Kijiye
Bait’the Uth’te Huzoor e Paak Se
Iltija o Isti‘aanat Kijiye
Ya Rasool’Allah Duha-ee Aap Ki
Goshmaal e Ahl e Bid’at Kijiye
Ghaus e Aazam Aap Se Faryaad Hai
Zinda Phir Ye Paak Millat Kijiye
Ya Khuda Tujh Tak Hai Sab Ka Muntaha
Awliya Ko Hukm e Nusrat Kijiye
Mere Aaqa Hazrat e Ache Miyañ
Ho RAZA Ach’cha Wo Soorat Kijiye
Shukr e Khuda Ke Aaj Ghari Us Safar Ki Hai
Shukr e Khuda Ke Aaj Ghari Us Safar Ki Hai
Jis Par Nisaar Jaan Falaah o Zafar Ki Hai
Garmi Hai, Tap’p Hai, Dard Hai, Kulfat Safar Ki Hai
Na Shukr Ye To Dekh ‘Azeemat Kidhar Ki Hai
Kis Khaak e Paak Ki Tu Banee Khaak e Paa Shifa
Tujh Ko Qasam Janaab e Maseeha Ke Sar Ki Hai
Aab e Hayaat e Rooh Hai Zarqa Ki Boond, Boond
Ikseer Aazam e Mas e Dil Khaak Dar Ki Hai
Ham Ko To Apne Saaye Me Aaraam Hee Se Laaye
Heele Bahaane Waaloñ Ko Ye Raah Dar Ki Hai
Lut’te Haiñ, Maare Jaate Haiñ, Yuñ Hee Suna Kiye
Har Baar Di Wo Amn, Ke Ghayrat Hazar Ki Hai
Wo Dekho Jagmagaati Hai Shab Awr Qamar Abhi
Pheroñ Nahiñ, Ke Bast o Chaharum Safar Ki Hai
Maah e Madina Apni Tajal’li Ata Kare
Ye Dhalti Chaandni To Pehar Do Pehar Ki Hai
Mann Zaara Turbati Wajabat Lahu Shafa’ati
Un Par Durood Jin Se Naweed In Bushar Ki Hai
Us Ke Tufail Hajj Bhi Khuda Ne Kara Diye
Asl e Muraad Haaziri Is Paak Dar Ki Hai
Kaa’be Ka Naam Tak Na Liya Taiba Hee Kaha
Poocha Tha Ham Se Jis Ne Ke Nahzat Kidhar Ki Hai
Kaa’ba Bhi Hai Inheeñ Ki Tajal’li Ka Aik Zill
Roshan Inheeñ Ke Aks Se Putli Hajar Ki Hai
Hote Kahaañ Khaleel o Bina Kaa’ba o Mina
Lau Laak Waale Saahibi, Sab Tere Ghar Ki Hai
Maula Ali Ne Waari Teri Neend Par Namaaz
Awr Woh Bhi Asr Sab Se Jo Aala Khatar Ki Hai
Siddique Balke Ghaar Me Jaan Us Pe De Chuke
Awr Hifz e Jaañ To Jaan e Furooz e Ghurar Ki Hai
Haañ Tu Ne Un Ko Jaan Unheñ Pheyr Di Namaaz
Par Wo To Kar Chuke Thay Jo Karni Bashar Ki Hai
Saabit Huwa Ke Jumla Faraa’iz Furoo’ Haiñ
Asl ul Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai
Shar Khayr, Shor Soor, Sharar Door, Naar Noor
Bushra, Ke Baargaah Ye Khayr ul Bashar Ki Hai
Mujrim Bulaaye Aaye Haiñ ≈ـَ ـُاؤ ـَج Hai Gawaah
Phir Rad’d Ho Kab Ye Shaan Kareemoñ Ke Dar Ki Hai
Bad Haiñ Magar Unheeñ Ke Haiñ, Baaghi Nahiñ Haiñ Ham
Najdi Na Aaye, Us Ko Ye Manzil Khatar Ki Hai
Tuf’f Najdiyat! Na Kufr, Na Islam, Sab Pe Harf
Kaafir Idhar Ki Hai Na Udhar Ki Adhar Ki Hai
Haakim, Hakeem Daad o Dawa Deñ, Ye Kuch Na Deñ
Mardood Ye Muraad Kis Aayat Khabar Ki Hai
Shakl e Bashar Me Noor e Ilaahi Agar Na Ho
Kya Qadr Us Khamira e Maa o Madar Ki Hai
Noor e Ilaah Kya Hai, Muhabbat Habeeb Ki
Jis Dil Me Ye Na Ho Wo Jagah Khowk o Khar Ki Hai
Zikr e Khuda Jo Un Se Juda Chaaho Najdiyo!
Wal’laah Zikr e Haq Nahiñ, Kunji Saqar Ki Hai
Be Unke Waaste Ke Khuda Kuch ‘Ata Kare
Haasha Ghalat, Ghalat Ye Hawas Be-Basar Ki Hai
Maqsood Ye Haiñ Aadam o Nooh o Khaleel Se
Tukhm e Karam Me Saari Karaamat Samar Ki Hai
Un Ki Nubuw’wat Un Ki Ubuw’wat Hai Sab Ko Aam
Ummul Bashar ‘Aroos Unheeñ Ke Pisar Ki Hai
Zaahir Me Mere Phool Haqeeqat Me Mere Nakhl
Us Gul Ki Yaad Me Ye Sada Bul Bashar Ki Hai
Pehle Ho Un Ki Yaad, Ke Paaye Jila Namaaz
Ye Kehti Hai Azaan, Jo Pichle Pehar Ki Hai
Dunya, Mazaar, Hashr Jahaañ Haiñ Ghafoor Haiñ
Har Manzil Apne Chaand Ki Manzil Ghafar Ki Hai
Un Par Durood Jin Ko Hajar Tak Kareñ Salaam
Un Par Salaam Jin Ko Tahiy’yat Shajar Ki Hai
Un Par Durood Jin Ko Kas e Be-Kasaañ Kaheñ
Un Par Salaam Jin Ko Khabar Be-Khabar Ki Hai
Jinn o Bashar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam,
Ye Bargaah Maalik e Jinn o Bashar Ki Hai
Shams o Qamar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Khoobi Unheeñ Ki Jowt Se Shams o Qamar Ki Hai
Sab Bahr o Bar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Tamleek Inheeñ Ke Naam To Har Bahr o Bar Ki Hai
Sang o Shajar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Kalme Se Tar Zabaan Darakht o Hajar Ki Hai
‘Arz o Athar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Malja Ye Bargaah Dua o Athar Ki Hai
Shorida Sar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam,
Raahat Unheeñ Ke Qadmoñ Me Shorida Sar Ki Hai
Khasta Jigar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Marham Yahiñ Ki Khaak To Khasta Jigar Ki Hai
Sab Khushk o Tar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Ye Jalwa-Gaah Maalik e Har Khushk o Tar Ki Hai
Sab Kar’r o Far Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Topi Yahiñ To Khaak Pe Har Kar’r o Far Ki Hai
Ahle Nazar Salaam Ko Haazir Haiñ As-Salaam
Ye Gard Hee To Surma Sab Ahl e Nazar Ki Hai
Aañsu Baha Ke Beh Gaye Kaale Gunah Ke Dher
Haathi Dubaa-o Jheel Yahaañ Chashm e Tar Ki Hai
Teri Qaza Khalifa e Ahkaam e Zil Jalaal
Teri Raza Haleef Qaza o Qadar Ki Hai
Ye Pyaari, Pyaari Kyaari Tere Khaana Baagh Ki
Sard Us Ki Aab o Taab Se Aatish Saqar Ki Hai
Jannat Me Aa Ke Naar Me Jaata Nahiñ Ko-ee
Shukr e Khuda Naweed Najaat o Zafar Ki Hai
Momin Huñ Mominoñ Pe Raoof o Raheem Ho
Saa-Il Huñ Saa-Iloñ Ko Khushi Laa-Nahar Ki Hai
Daaman Ka Waasta Mujhe Us Dhoop Se Bacha
Mujh Ko To Shaaq Jaar’oñ Me Is Do-Pehr Ki Hai
Maañ, Donoñ Bhai, Bete, Bhateeje, Azeez Dost
Sab Tujh Ko Sawñpe, Milk Hee Sab Tere Ghar Ki Hai
Jin-Jin Muraadoñ Ke Liye Ahbaab Ne Kaha
Pesh e Khabeer Kya Mujhe Haajat Khabar Ki Hai
Fazl e Khuda Se Ghaib e Shahaadat Huwa Unheñ
Is Par Shahaadat Aayat o Wahi o Athar Ki Hai
Kehna Na Kehne Waale Thay Jab Se Tu It’tila
Maula Ko Qawl o Qaail o Har Khushk o Tar Ki Hai
ـُ ـّـِل ـَ��ء Utri Kitaab Par Un
Hai Ki ـَما ـَع�
Aage Rahi Ata Wo Ba-Qadr e Talab To Kya
‘Aadat Yahaañ Ummeed Se Bhi Beshtar Ki Hai
Be Maange Dene Waale Ki Ne’mat Me Gharq Haiñ
Maange Se Jo Mile Kisay Fahm Is Qadar Ki Hai
Ahbaab Is Se Bar’h Ke To Shayad Na Paa-eñ Arz,
Dandaañ Ka Na’at Khwaañ Hooñ Na Paayaab Hogi Aab
Nad’di Galay-Galay Mere Aab e Guhar Ki Hai
Dasht e Haram Me Rehne De Say’yaad Agar Tujhe
Mit’ti Azeez Bulbul e Be-Baal o Par Ki Hai
Ya Rab’b RAZA Na Ahmad Paareena Ho Ke Jaaye
Ye Bargaah Tere Habeeb e Abar Ki Hai
Taufeeq De Ke Aage Na Paida Ho Khoo e Bad
Tabdeel Kar Jo Khaslat e Bad Peshtar Ki Hai
Aa Kuch Suna De Ishq Ke Boloñ Me Ay RAZA
Mushtaaq Taba’ Laz’zat e Soz e Jigar Ki Hai
Bheeni Suhaani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai
Bheeni Suhaani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai
Kaliyaañ Khileeñ Diloñ Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai
Khubti Huwi Nazar Me Ada Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar Me Sada Kis Gajar Ki Hai
Daaleñ Hari-Hari Hai To Baaleñ Bhari-Bhari,
Kisht e Amal Pari Hai Ye Baarish Kidhar Ki Hai
Ham Jaa-eñ Awr Qadam Se Lipat’ Kar Haram Kahe
Sawñpa Khuda Ko Tujh Ko, Ye Azmat Kis Safar Ki Hai
Ham Gird e Kaa’ba Phirte Thay Kal Tak, Awr Aaj Wo
Ham Par Nisaar Hai Ye Iraadat Kidhar Ki Hai
Kaalak Jabeeñ Ki Sajda e Dar Se Chura-oge
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Taman’na Hajar Ki Hai
Dooba Huwa Hai Shawq Me Zam-Zam Awr Aankh Se
Jhaale Baras Rahe Haiñ Ye Hasrat Kidhar Ki Hai
Barsa Ke Jaane Waaloñ Pe Gohar Karuñ Nisaar
Abr e Karam Se Arz Ye Meezaab e Zar Ki Hai
Aaghosh e Shawq Khole Hai Jin Ke Liye Hateem
Wo Phir Ke Dekhte Nahiñ Ye Dhun Kidhar Ki Hai
Haañ-Haañ Rah e Madina Hai Ghaafil Zara Tu Jaag
Aw Paa-oñ Rakhne Waale Ye Jaa Chashm o Sar Ki Hai
Waaruñ Qadam-Qadam Pe Ke Har Dam Hai Jaan e Naw
Ye Raah e Jaañ Faza Mere Maula Ke Dar Ki Hai
Ghar’iyaañ Gini Hai Barso Ke Ye Sub-ghar’i Phiri
Mar-mar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sarki Hai
Allahu Akbar! Apne Qadam Awr Ye Khaak e Paak
Hasrat Mala’ika Ko Jahaañ Waz’ e Sar Ki Hai
Me’raj Ka Samaañ Hai Kahaañ Pahonche Zaairo!
Kursi Se Oonchi Kursi Usi Paak Ghar Ki Hai
Ush’shaaq e Rauza Sajde Me Soo e Haram Jhuke
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai
Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo, Ke Sala Ach’che Ghar Ki Hai
Mahboob e Rab’b e Arsh Hai Is Sabz Qub’ba Me
Pehlu Me Jalwagaah Ateeq o Umar Ki Hai
Chaaye Mala’ika Haiñ, Lagaataar Hai Durood!
Badle Haiñ Pahre Badli Me Baarish Durar Ki Hai
Sa’dain Ka Qiraan Hai Pehlu e Maah Me
Jhurmut’ Kiye Haiñ Taare, Tajal’li Qamar Ki Hai
Sat’tar Hazaar Subh Me Sat’tar Hazaar Shaam
Yuñ Bandagi e Zulf o Rukh Aa-thoñ Pehar Ki Hai
Jo Aik Baar Aaye Do-Baara Na Aa-enge
Rukhsat Hee Baargaah Se Bas Is Qadar Ki Hai
Tarpa Kareñ Badal Ke Phir Aana Kahaañ Naseeb
Be-Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai
Ay Waa-e Be-Kasi e Taman’na Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai
Ye Badliyaañ Na Ho To Karoroñ Ki Aas Jaaye
Awr Bargaah e Marhamat e Aam Tar Ki Hai
Ma’soomoñ Ko Hai ‘Umr Me Sirf Aik-Baar, Baar
Aasi Pare Raheñ To Sala Umr Bhar Ki Hai
Zinda Raheñ To Haaziri e Baargaah Naseeb
Mar Jaa-eñ To Hayaat e Abad Aish Ghar Ki Hai
Muflis Awr Aise Dar Se Phiray Be-Ghani Huwe
Chaandi Har Ek Tarah To Yahaañ Gadiya Gar Ki Hai
Jaanaañ Pe Takiya Khaak Nihaali Hai Dil Nihaal
Haañ Be-Nawa-o Khoob Ye Soorat Guzar Ki Hai
Haiñ Chatr o Takht Saaya e Deewaar o Khaak e Dar
Shaahoñ Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Kar’r o Farr Ki Hai
Is Paak Koo Me Khaak Basar Sar Ba-Khaak Haiñ
Samjhe Haiñ Kuch Yahi Jo Haqeeqat Basar Ki Hai
Kyuñ Taajedaaro! Khwaab Me Dekhi Kabhi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyon Me Gadayaan e Dar Ki Hai
Jaaru-Kashoñ Me Chehre Likhe Haiñ Mulook Ke
Wo Bhi Kahaañ Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai
Taiba Me Mar Ke Thande Chale Jaawo Aankheñ Band
Seedhi Sarak Ye Shahr e Shafa’at Nagar Ki Hai
Aasi Bhi Haiñ Chaheete Ye Taiba Hai Zaahido!
Makkah Nahiñ Ke Jaanch Jahaañ Khayr o Shar Ki Hai
Shaan e Jamaal e Taiba e Jaanaañ Hai Nafa’ Mahz!
Wus’at Jalaal e Makkah Me Sood o Zarar Ki Hai
Kaa’ba Hai Be-Shak Anjuman Aara Dulhan Magar
Saari Bahaar Dhulhanoñ Me Dulha Ke Ghar Ki Hai
Kaa’ba Dulhan Hai Turbat e At’har Nayi Dulhan
Ye Rashk e Aaftaab Wo Ghayrat Qamar Ki Hai
Dono Baneeñ Sajeeli Aneeli Bani Magar
Joopi Ke Paas Hai Wo Suhaagan Kuñwar Ki Hai
Sar Sabz e Wasl Ye Hai Siyaah Posh e Hijr Wo
Chamki Dupat’toñ Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai
Maa o Shuma To Kya Ke Khaleel e Jaleel Ko
Kal Dekhna Ke Un Se Taman’na Nazar Ki Hai
Apna Sharaf Dua Se Hai Baaqi Raha Qubool
Ye Jaaneñ Un Ke Haath Me Kunji Asar Ki Hai
Jo Chaahe Un Se Maang Ke Donoñ Jahaañ Ki Khayr
Zar Na Khareedah Aik Kaneez Un Ke Ghar Ki Hai
Roomi Ghulaam Din Habshi Baandiyaañ Shabeeñ
Ginti Kaneez Zaadoñ Me Shaam o Sahar Ki Hai
Itna Ajab Bulandi e Jannat Pe Kis Liye
Dekha Nahiñ Ke Bheek Ye Kis Oonche Ghar Ki Hai
‘Arsh e Bareeñ Pe Kyuñ Na Ho Firdaus Ka Dimaagh
Utri Huwi Shabeeh Tere Baam o Dar Ki Hai
Wo Khuld Jis Me Utregi Abraar Ki Baraat
Adna Nichaawar Us Mere Dulha Ke Sar Ki Hai
Ambar Zameeñ, ‘Abeer Hawa Mushk e Tar Ghubaar!
Adna Si Ye Shanaakht Teri Rah-Guzar Ki Hai
Sarkaar Ham Gawaaroñ Me Tarz e Adab Kahaañ
Ham Ko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai
Maangenge Maange Jaa-enge Munh Maangi Paa-enge
Sarkaar Me Na ‘Laa’ Hai Na Haajat Agar Ki Hai
Uff Be-Haya-iyaañ Ke Ye Munh Awr Tere Huzoor
Haañ Tu Kareem Hai Teri Khoo Dar Guzar Ki Hai
Tujh Se Chupa-uñ Munh To Karuñ Kis Ke Saamne
Kya Awr Bhi Kisi Se Tawaq’qo Nazar Ki Hai
Jaa-uñ Kahaañ Pukarooñ Kise Kis Ka Munh Takuñ
Kya Pursish Awr Jaa Bhi Sag e Be-Hunar Ki Hai
Baab e Ata To Ye Hai Jo Behka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Us Nighaare Dar Ba-Dar Ki Hai
Aabaad Aik Dar Hai Tera Awr Tere Siwa
Jo Baargaah Dekhiye Ghayrat Khand’ar Ki Hai
Lub Waa Haiñ Aankheñ Band Haiñ Phayli Haiñ Jholiyaañ
Kitne Mazay Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai
Ghera Andheriyoñ Ne Duha-ee Hai Chaand Ki
Tanha Huñ Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai
Qismat Me Laakh Pech Hoñ Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Gut’hi Ek Teri Seedhi Nazar Ki Hai
Aisi Bandhi Naseeb Khule, Mushkileñ Khuleeñ
Donoñ Jahaañ Me Dhoom Tumhaari Kamar Ki Hai
Jannat Na Deñ, Na Deñ, Teri Rooyat Ho Khayr Se
Is Gul Ke Aage Kis Ko Hawas Barg o Bar Ki Hai
Sharbat Na Deñ, Na Deñ, Tu Kare Baat Lutf Se
Ye Shahd Ho To Phir Kisay Parwa Shakar Ki Hai
Maiñ Khaana Zaad Kohna Huñ Soorat Likhi Huwi
Bandoñ Kaneezoñ Me Mere Maadar Pidar Ki Hai
Mangta Ka Haath Ut’the Hee Daata Ki Deyn Thi
Doori Qubool o ‘Arz Me Bas Haath Bhar Ki Hai
Sanki Wo Dekh Baada e Shafa’at Ki De Hawa
Ye Aabru RAZA Tere Daamaan e Tar Ki Hai
Wo Sarwar e Kishwar e Risaalat
Wo Sarwar e Kishwar e Risaalat Jo ‘Arsh Par Jalwah-Gar Huwe Thay
Naye Niraale Tarab Ke Saamaañ Arab Ke Mehmaan Kay Liye Thay
Bahaar Haiñ Shaadiyañ Mubaarak, Chaman Ko Aabadiyañ Mubarak
Malak, Falak, Apni-Apni Le Me, Ye Ghur ‘Anaadil Ka Bolte Thay
Wahaañ Falak Par Yahaañ Zameeñ Me, Rachi Thee Shaadi Machi Thee Dhoomeñ
Udhar Se Anwaar Hañste Aate, Idhar Se Nafhaat Ut’th Rahe Thay
Ye Choot Parti Thee Un Ke Rukh Ki, Ke Arsh Tak Chaandni Thee Chatki
Wo Raat Kya Jagmagaa Rahi Thee, Jagah-Jagah Nasb Aa-ine Thay
Nayi Dulhan Ki Phaban Me Kaa’ba, Nikhar Ke Sañwara Sañwar Ke Nikhra
Hajar Ke Sadqe Kamar Ke Ek Til, Me Rang Laakhoñ Bana-o Ke Thay
Nazar Me Dulha Ke Pyaare Jalwe, Haya Se Mehraab Sar Jhukaa-e
Siyaah Parde Ke Munh Par Aañchal, Tajal’li-e Zaat e Bahat Se Thay
Khushi Ke Baadal Umand Ke Aaye, Diloñ Ke Ta-oos Rang Laaye
Wo Naghma e Na’at Ka Sama Tha, Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe Thay
Ye Jhooma Meezaab e Zar Ka Jhoomar, Ke Aa Raha Kaan Par Dhalak Kar
Phu-haar Barsi, To Moti Jhar-Kar, Hateem Ki Gowd Me Bhare Thay
Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapre, Naseem e Gustakh Aañchaloñ Se
Ghilaaf e Mushkeeñ Jo Ur’h Raha Tha, Ghazaal Naafe Basa Rahe Thay
Pahariyoñ Ka Wo Husn e Taz’eeñ, Wo Oonchi Chowti Wo Naaz o Tamkeeñ
Saba Se Sabza Me Lehre Aayi, Dupat-te Dhaani Chunay Huwe Thay
Naha Ke Nahroñ Ne Wo Chamakta, Libaas Aab e Rawaañ Ka Pehna
Ke Mawje Chariya Thee Dhaar Lachka, Habaab e Taabaañ Ke Thal ‘Tikay Thay
Puraana Pur-Daagh Mal-gaja Tha, Ut’ha Diya Farsh Chaandni Ka
Hujoom e Taar e Nigaah Se Kowsoñ, Qadam-Qadam Farsh Baadle Thay
Ghubaar Ban Kar Nisaar Jaa-eñ, Kahaañ Ab Us Rah-Guzar Ko Paa-e
Hamaare Dil Huriyoñ Ki Aankheñ, Farishtoñ Ke Par Jahaañ Biche Thay
Khuda Hee De Sabr Jaane Pur-Gham, Dikha-o Kyu-Kar Tujhe Wo Aalam
Jab Un Ko Jhurmut Me Le Ke Qudsi, Jinaañ Ka Dulha Bana Rahe Thay
Utaar Kar Un Ke Rukh Ka Sadqa, Ye Noor Ka Bat’t Raha Tha Baara
Ke Chaand Sooraj Machal-Machal Kar, Jabeeñ Ki Khayraat Maangte Thay
Wohi To Ab Tak Chalak Raha He, Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahaane Me Jo Gira Tha Paani, Katore Taaroñ Ne Bhar Liye Thay
Bacha Jo Talwoñ Ka Un Ke Dhowan, Bana Wo Jannat Ka Rang o Roghan
Jinho Ne Dulha Ki Paa-ee Utran, Wo Phool Gulzaar e Noor Ke Thay
Khabar Ye Tahweel e Mahr Ki Thee, Ke Rut Suhaani Ghari Phiregi
Wahaañ Ki Poshaak Zayb e Tan Ki, Yahaañ Ka Jor’a Barha Chuke Thay
Tajal’li e Haq Ka Sahra Sar Par, Salaat o Tasleem Ki Nichaawar
Do Roya Qudsi Paray Jama-e, Khare Salaami Ke Waaste Thay
Jo Ham Bhi Waañ Hote Khaak e Gulshan, Lipat’ Ke Qadmoñ Se Lete Utran
Magar Kare Kya Naseeb Me To, Ye Na-muraadi Ke Din Likhe Thay
Abhi Na Aaye The Pusht e Zeeñ Tak, Ke Sar Huwi Maghfirat Ki Shal-lak
Sada Shafa’at Ne Di Mubaarak, Gunaah Mastaana Jhoomte Thay
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna, Ghazaal e Dam Khurda Sa Bharakna
Shu’aa-eñ Buk-ke Ur’ha Rahi Thee, Tarapte Aankhoñ Pe Saa’iqe Thay
Hujoom e Ummeed He, Ghata-o! Muraade De Kar Inheñ Hata-o!
Adab Ki Baage Liye, Barha-o! Mala’ika Me Ye Ghul-Ghule Thay
Ut’thi Jo Gard e Rahe Munawwar, Wo Noor Barsa Ke Raaste Bhar
Ghiray The Baadal Bharay The Jal-Thal, Umand’ Ke Jangal Ubal Rahe Thay
Sitam Kiya, Kaisi Mat Kati Thee, Qamar! Wo Khaak Un Ke Rah-Guzar Ki
Ut’ha Na Laaya Ke Malte-Malte, Ye Daagh Sab Dekhte Mitay Thay
Buraaq Ke Naqsh e Sum Ke Sadqe, Wo Gul Khila-e Ke Saare Raste
Mahakte Gulban Lahakte Gulshan, Haray Bharay Leh-laha Rahe Thay
Namaaz e Aqsa Me Tha Yahi Sir’r, ‘Ayaañ Ho Ma’ani e Aw’wal Aakhir
Ke Dast Basta He Peeche Haazir, Jo Saltanat Aage Kar Gaye Thay
Ye Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha, Nikhaar Har Shay Ka Ho Raha Tha
Nujoom o Aflaak, Jaam o Meena, Ujaalte Thay, Khangaalte Thay
Niqaab Ul-te Wo Mahr e Anwar, Jalaal e Rukhsaar Garmiyoñ Par
Falak Ko Haybat Se Tap Charhi Thee, Tapakte Anjum Ke Aabale Thay
Ye Joshish e Noor Ka Asar Tha, Ke Aab e Gohar Kamar-Kamar Tha
Safa-e Rah Se Phisal-Phisal Kar, Sitaare Qadmoñ Pe Lawt-te Thay
Barha Ye Lehra Ke Bahr e Wahdat, Ke Dhul Gaya Naam e Raig e Kasrat
Falak Ke Teeloñ Ki Kya Haqeeqat Ye Arsh o Kursi Do Bul-Bule Thay
Wo Zil’l e Rahmat Wo Rukh Ke Jalwe, Ke Taare Ch’hupte Na Khilne Paate
Sunehri Zar-Baft Oodhi At-las, Ye Thaan Sab Dhoop Chaawo Ke Thay
Chala Wo Sarw e Chamaañ Khiraama, Na Ruk Saka Sidra Se Bhi Daamaañ
Palak Jhapakti Rahi, Wo Kab Ke, Sab ‘Eeñ o Aañ’ Se Guzar Chuke Thay
Jhalak Si Ek Qudsiyoñ Par Aa-ee, Hawa Bhi Daaman Ki Phir Na Paa-ee
Sawaari Dulha Ki Door Pahunchi, Baraat Me Hosh Hee Gaye Thay
Thakay Thay Rooh ul Ameeñ Ke Baazu, Ch’huta Wo Daaman Kaha Wo Pehlu
Rikaab Ch’hooti Ummeed T’oot’I, Nigaah e Hasrat Ke Wal-Wale Thay
Rawish Ki Garmi Ko Jis Ne Socha, Dimaagh Se Ek Bhabuka Phoota
Khirad Ke Jungle Me Phool Chamka, Dahr-Dahr Peyr Jal Rahe Thay
Jilau Me Jo Murgh e Aql Uray Thay, Ajab Buray Haaloñ Girte Parte
Wo Sidra Hee Par Rahe The Thak Kar, Charha Tha Dam Tewar Aagaye Thay
Qawi Thay Murgaan e Wahm Ke Par, Uray To Ur’ne Ko Awr Dam Bhar
Utha-ee Seene Ki Aisi Thokar, Ke Khoon e Andesha Thookte Thay
Suna Ye Itne Me Arsh e Haq Ne, Ke Le Mubaarak Ho Taaj Waale
Wohi Qadam Khayr Se Phir Aaye, Jo Pehle Taaj e Sharaf Tere Thay
Ye Sun Ke Be-Khud Pukaar Ut’ha, Nisaar Jaa-uñ Kahaañ He Aaqa
Phir Un Ke Talwoñ Ka Paa-uñ Bosa, Ye Meri Aankhoñ Ke Din Phiray Thay
Jhuka Tha Mujre Ko Arsh e Aa’la, Giray Thay Sajde Me Bazm e Baala
Ye Aankheñ Qadmoñ Se Mal Raha Tha, Wo Gird e Qurbaan Ho Rahe Thay
Zia-eñ Kuch Arsh Par Ye Aa-ee, Ke Saari Qindeeleñ Jhil-mila-eeñ
Huzoor e Khursheed Kya Chamakte, Chiraagh Munh Apna Dekhte Thay
Yahi Samaañ Tha Ke Paik-e Rahmat, Khabar Ye Laaya Ke Chaliye Hazrat
Tumhaari Khaatir Kushaada Hai, Jo Kaleem Par Band Raste Thay
Bar’h Ay Muhammad Qareeñ Ho Ahmad, Qareeb Aa Sarwar e Mumaj’jad
Nisaar Jaa-uñ Ye Kya Nida Thee, Ye Kya Samaañ Tha Ye Kya Mazay Thay
ـَتب Shaan Teri, Tujhi Ko Zaiba He Be-Niyaazi
Kaheeñ To Wo Josh e ـِي�ـَا
ـَتر ـَلن , Kaheeñ Taqaaze Wisaal Ke Thay
Allah! The Possessor Of All Blessings, Is Your Divine Excellence,
Khirad Se Keh Do Sar Jhuka Le, Gumaañ Se Guzre Guzarne Waale
Paray He Yaañ Khud Jihat Ko Laale, Kisay Bata-e Kidhar Gaye Thay
Suraagh e Ain o Mata Kahaañ Tha, Nishaan e Kaif o Ila Kahaañ Tha
Na Ko-ee Raahi Na Ko-ee Saathi, Na Sang e Manzil Na Marhale Thay
Udhar Se Payham Taqaaze Aana, Idhar Se Mushkil Qadam Barhana
Jalaal o Haybat Ka Saamna Tha, Jamaal o Rahmat Ub’haarte Thay
Bar’he To Lekin Jhijakte Darte, Haya Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unheeñ Ki Rawish Pe Rakhte, To Laakhoñ Manzil Ke Faasle Thay
Par Un Ka Bar’hna To Naam Ko Tha, Haqeeqatan Fe’l Tha Udhar Ka
Tanaz’zuloñ Me Taraq’qi Afza, Dana Tadal’la Ke Silsile Thay
Huwa Na Aakhir Ke Aik Bajra, Tamuw’waje Bahr e ‘Hu’ Me Ubhra
Dana Ki Gowdi Me Un Ko Le Kar, Fana Ke Langar Utha Diye Thay
Kisay Milay Ghaat Ka Kinaara, Kidhar Se Guzra Kahaañ Utaara
Bhara Jo Misl e Nazar Taraarah, Wo Apni Aankhoñ Se Khud Chupay Thay
Uth’ay Jo Qasr e Dana Ke Parde, Ko-ee Khabar De to Kya Khabar De
Wahaañ To Jaa Hee Nahiñ Du-ee Ki, Na Keh Ke Wo Bhi Na Thay, Aray Thay
Wo Baagh Kuch Aisa Rang Laaya, Ke Ghuncha o Gul Ka Farq Ut’haaya
Girah Me Kaliyoñ Ki Baagh Phoolay, Guloñ Ke Takme Lagay Huwe Thay
Muheet o Markaz Me Farq Mushkil, Rahe Na Faasil Khutoot e Waasil
Kamaan e Hayrat Me Sar Jhuka-e, Ajeeb Chak-kar Me Daa-iray Thay
Hijaab Ut’hnay Me Laakhoñ Parde, Har Aik Parde Me Laakhoñ Jalwe
‘Ajab Ghari Thee Ke Wasl O Furqat, Janam Ke Bichre Galay Milay Thay
Zubaaneñ Sookhi Dikha Ke Mawjeñ, Tar’ap Rahi Thee Ke Paani Paa-e
Bhañwar Ko Ye Zo’af e Tishnagi Tha, Ke Halqe Aankhoñ Me Par Gaye Thay
Wohi He Aw’wal, Wohi He Aakhir, Wohi He Baatin, Wohi He Zaahir
Usee Ke Jalwe, Usee Se Milne, Usee Se, Us Ki Taraf Gaye Thay
Kamaan e Imkaañ Ke Jhoote Nuqto, Tum Aw’wal Aakhir Ke Pheyr Me Ho
Muheet Ki Chaal Se To Poocho, Kidhar Se Aaye Kidhar Gaye Thay
Idhar Se Thee Nazr e Shah, Namaazeñ, Udhar Se In’aam e Khusrawi Me
Salaam o Rahmat Ke Haar Goondh Kar, Gilu-e Pur Noor Me Paray Thay
Zubaan Ko Intizaar e Guftan, To Gosh Ko Hasrat e Shunidan
Yahaañ Jo Kehna Tha Keh Liya Tha, Jo Baat Sun-ni Thee Sun Chukay Thay
Wo Burj e Batha Ka Mah-Paara, Bahisht Ki Seyr Ko Sidhaara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitaara, Ke Is Qamar Ke Qadam Gaye Thay
Suroor e Maqdam Ki Roshni Thee, Ke Taabishoñ Se Mah e Arab Ki
Jinaañ Ke Gulshan Thay Jhaar Farshi, Jo Phool Thay Sab Kañwal Banay Thay
Tarab Ki Naazish Ke Haañ Lachakiye, Adab Wo Bandish Ke Hil Na Sakiye
Ye Josh e Zid’dain Tha Ke Poday, Kasha-Kash Aara Ke Talay Thay
Khuda Ki Qudrat Ke Chaand Haq Ke, Karoroñ Manzil Me Jalwa Kar Ke
Abhi Na Taaroñ Ki Chaa-o Badli, Ke Noor Ke Tarke Aa Liye Thay
Nabi e Rahmat Shafi’ e Ummat, RAZA Pe Lil’laah Ho Inaayat
Isay Bhi Un Khil’atoñ Se His’sa, Jo Khaas Rahmat Ke Waañ Bat’ay Thay
Thana e Sarkaar Hai Wazifa, Qubool e Sarkaar He Taman’na
Na Shaa’iri Ki Hawas Na Parwa, Rawee Thee Kya, Kaise Kaafiye Thay
Ruba’iyaat – Poetic Quatrains
First Poetic Quatrain
Aate Raheñ Ambia ْ
و Ke Khaatam Huwe Tum
Ya’ani Jo Huwa Daftar یلِ
Tamaam ت
Aakhir Me Huwi Mohr Ke ْ
Second Poetic Quatrain
Shab Lahya O Shaarib Hai Rukh e Roshan Din
Gaisoo Do Shab Qadr O Bara’at e Momin
Mizhgaañ Ki Safeñ Chaar Haiñ Do Abru Haiñ
ـَ ْالفـَ جر
ـَ ٍ ال ـَعْ�ٍ Me Pehlu Ke و
ـَلي
Translator’s Note: The Beard Is Number One, The Moustache Is Number Two, The
Two Locks Are Numbers Three And Four, The Upper Eyelashes Are Numbers Five And
Six The Lower Eyelashes Are Numbers Seven And Eight, The Eyebrows Are Numbers
Nine And Ten. Together They Are The Tafseer Of جر الفـَْ ـَ
ـَ ٍ ال ـَعْ�ٍ And و
ي لـَ Which Is Implying
His صلى الله عليه وسلم Sacred Face Which Is Brighter Than True Dawn, And The Beard, Moustache,
Blessed Locks Of Hair, Eyelashes And Brows, Are Like The Ten Nights, Which Are
Taking The Blessings Of The Bright Face. [End]
Third Poetic Quatrain
Allah Ki Sar Ta Ba-Qadam Shaan Haiñ Ye
In Saa Nahiñ Insaan Wo Insaan Haiñ Ye
Qur’an To Imaan Bataata Hai Inheñ
Imaan Ye Kehta Hai Meri Jaan Haiñ Ye
Fourth Poetic Quatrain
Bosa-Gah e Ashaab Wo Mohr e Saami
Wo Shaana e Chup Me Us Ki Ambar Faami
Ye Turfa Ke Hai Kaa’ba Jaan O Dil Me
Sang e Aswad Naseeb Rukn e Shaami
Fifth Poetic Quatrain
Kaa’be Se Agar Turbat e Shah Faazil Hai
Kyuñ Baa-eeñ Taraf Us Ke Liye Manzil Hai
Is Fikr Me Jo Dil Ki Taraf Dhiyaan Gaya
Samjha Ke Wo Jism Hai, Ye Marqad Dil Hai
Sixth Poetic Quatrain
Tum Chaaho To Qismat Ki Musibat ‘Tal Jaaye
Kyuñ Kar Kahuñ Saa’at Se Qiyaamat ‘Tal Jaaye
Lil’laah Ut’haado Rukh e Roshan Se Niqaab
Maula Meri Aa-ee Huwi Shaamat ‘Tal Jaaye
Seventh Poetic Quatrain
Yaañ Shibh e Shabeeh Ka Guzarna Kaisa!
Be Misl Ki Timsaal Sañwarna Kaisa
Un Ka Muta’al’liq Hai Taraq’qi Pe Madaam
Tasweer Ka Fir Kahiye Utarna Kaisa?
Eighth Poetic Quatrain
Ye Shah Ki Tawaazu’ Ka Taqaaza Hee Nahiñ
Tasweer Khinche Un Ko Gawaara Hee Nahiñ
Maa’na Hai Ye Maani Ke Karam Kya Maane
Khinchna To Yahaañ Kisi Se Tehera Hee Nahiñ
Subh Taiba Me Huwi Bat’ta Hai Baara Noor Ka
Subh Taiba Me Huwi Bat’ta Hai Baara Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hai Taara Noor Ka
Baagh e Taiba Me Suhaana Phool Phoola Noor Ka
Mast e Boo Haiñ Bulbuleñ Parhti Haiñ Kalma Noor Ka
Baarhweeñ Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajdah Noor Ka
Baara Burjoñ Se Jhuka Aik Ek Sitaara Noor Ka
Un Ke Qasr e Qadr Se Khuld Aik Kamra Noor Ka
Sidra Paa-eñ Baagh Me Nan’ha Sa Pawda Noor Ka
Arsh Bhi Firdaus Bhi Us Shaah e Waala Noor Ka
Ye Mutham’man Burj, Wo Mushku e A’laa Noor Ka
Aayi Bid’at Chaayi Zulmat Rang Badla Noor Ka
Maah e Sunnat Mahr e Tal’at Le-Le Badla Noor Ka
Tere Hee Maathe Raha Ay Jaan e Sehra Noor Ka
Bakht Jaaga Noor Ka Chamka Sitaara Noor Ka
Maiñ Gada Tu Baadsha Bhar De Pyaala Noor Ka
Noor Din Doona Tera De ‘Daal Sadqa Noor Ka
Teri Hee Jaanib Hai Paanchoñ Waqt Sajda Noor Ka
Rukh Hai Qibla Noor Ka Abru Hai Kaa’ba Noor Ka
Pusht Par ‘Dhalka Sar e Anwar Se Shamla Noor Ka
Dekheñ Moosa Toor Se Utra Sahifa Noor Ka
Taaj Waale Dekh Kar Tera ‘Imaama Noor Ka
Sar Jhukaate Haiñ Ilaahi Bol Baala Noor Ka
Beeni e Pur Noor Par Rakhshaañ Hai Buk’kah Noor Ka
Hai Liwa ul Hamd Par Ur’ta Pharera Noor Ka
Mushaf e ‘Aariz Pe Hai Khat’t’ e Shafee’ah Noor Ka
Lo Siyaah-Kaaro Mubaarak Ho Qabaalah Noor Ka
Aab e Zar Banta Hai ‘Aariz Par Paseena Noor Ka
Mushaf e E’jaaz Par Charhta Hai Sona Noor Ka
Pech Karta Hai Fida Hone Ko Lam’ah Noor Ka
Gird e Sar Phirne Ko Banta Hai ‘Imaama Noor Ka
Haybat e ’Aariz Se Thar’raata Hai Sho’la Noor Ka
Kafsh e Paa Par Gir Ke Ban Jaata Hai Gup’pha Noor Ka
Sham’a Dil, Mishkaat Tan, Seena Zujaaja Noor Ka
Teri Soorat Ke Liye Aaya Hai Surah Noor Ka
Meyl Se Kis Darja Suthra Hai Wo Putla Noor Ka
Hai Galay Me Aaj Tak Kora Hee Kurta Noor Ka
Tere Aage Khaak Par Jhukta Hai Maatha Noor Ka
Noor Ne Paaya Tere Sajde Se Seema Noor Ka
Tu Hai Saaya Noor Ka Har Uzw Tukra Noor Ka
Saaya Ka Saaya Na Hota Hai Na Saaya Noor Ka
Kya Bana Naam e Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka
Sar Pe Sehra Noor Ka Bar Me Shahaana Noor Ka
Bazm e Wahdat Me Maza Hoga Do-Baala Noor Ka
Milne Sham e Toor Se Jaata Hai Ik’ka Noor Ka
Wasf e Rukh Me Gaati Haiñ Hooreñ Taraana Noor Ka
Qudrati Beenoñ Me Kya Bajta Hai Lehra Noor Ka
Ye Kitaab e Kun Me Aaya Turfa Aayah Noor Ka
Ghair e Qaa-il Kuch Na Samjha Ko-ee Maa’na Noor Ka
Dekhne Waaloñ Ne Kuch Dekha Na Bhaala Noor Ka
‘Man Ra-Aa’ Kaisa Ye Aa-ina Dikhaaya Noor Ka
Subh Kar Di Kufr Ki Sach’cha Tha Muzhda Noor Ka
Shaam Hee Se Tha Shab e Teerah Ko Dhar’ka Noor Ka
Parti Hai Noori Bharan Umdah Hai Darya Noor Ka
Sar Jhuka Ay Kisht e Kufr Aataa Hai Ahla Noor Ka
Naariyoñ Ka Daur Tha Dil Jal Raha Tha Noor Ka
Tum Ko Dekha Ho Gaya Thanda Kaleja Noor Ka
Naskh Adyaañ Kar Ke Khud Qabza Bit’haaya Noor Ka
Taajwar Ne Kar Liya Kach’cha ‘Ilaaqa Noor Ka
Jo Gada Dekho Liye Jaata Hai Tor’a Noor Ka
Noor Ki Sarkaar Hai Kya Is Me Tor’a Noor Ka
Bheek Le Sarkaar Se Laa Jald Kaasah Noor Ka
Maah e Naw Taiba Me Bat’ta Hai Maheena Noor Ka
Dekh Unke Hote Na Zaiba Hai Da’wa Noor Ka
Mahr Likh De Yaañ Ke Zar’roñ Ko Muchalka Noor Ka
Yaañ Bhi Daagh e Sajda e Taiba Hai Tamgha Noor Ka
Ay Qamar Kya Tere Hee Maathe Hai Teeka Noor Ka
Sham’a Shaañ Aik-Aik Parwaana Hai Is Baa-Noor Ka
Noor e Haq Se Lau Lagaaye Dil Me Rishta Noor Ka
Anjuman Waale Haiñ Anjum Bazm e Halqa Noor Ka
Chaand Par Taaroñ Ke Jhurmut Se Hai Haala Noor Ka
Teri Nasl e Paak Me Hai Bach’cha-Bach’cha Noor Ka
Tu Hai ‘Ain e Noor Tera Sab Gharaana Noor Ka
Noor Ki Sarkaar Se Paaya Doshaala Noor Ka
Ho Mubaarak Tum Ko Zun-Noorain Jor’a Noor Ka
Kis Ke Parde Ne Kiya Aa-ina Andha Noor Ka
Maangta Phirta Hai Aankheñ Har Nageena Noor Ka
Ab Kahaañ Wo Taabisheñ Kaisa Wo Tar’ka Noor Ka
Mahr Ne Ch’hup Kar Kiya Khaasa Dhund-Laka Noor Ka
Tum Muqaabil Thay, To Pehroñ Chaand Bar’hta Noor Ka
Tum Se Ch’hut Kar Munh Nikal Aaya Zara Saa Noor Ka
Qabr e Anwar Kahiye Ya Qasr e Mu’alla Noor Ka
Charkh e At-las Ya Ko-ee Saada Sa Qub’ba Noor Ka
Aankh Mil Sakti Nahiñ Dar Par Hai Pehra Noor Ka
Taab Hai Be-Hukm Par Maare Parinda Noor Ka
Naz’a Me Lau’tega Khaak e Dar Pe Shaida Noor Ka
Mar Ke Or’hegi Uroos e Jaañ Dupat’ta Noor Ka
Taab e Mahr e Hashr Se Chaunke Na Kushta Noor Ka
Boondiyaañ Rahmat Ki Dene Aa-eeñ Cheenta Noor Ka
Waz’ e Waaze’ Me Teri Soorat Hai Maa’na Noor Ka
Yuñ Majaazan Chaaheñ Jis Ko Keh Deñ Kalma Noor Ka
Ambia Ajza Haiñ Tu Bilkul Hai Jumla Noor Ka
Is ‘Ilaaqe Se Hai Un Par Naam Sach’cha Noor Ka
Ye Jo Mahr o Mah Pe Itlaaq Aata Noor Ka
Bheek Tere Naam Ki Hai Isti’aarah Noor Ka
Surmageeñ Aankheñ Hareem e Haq Ke Wo Mushkeeñ Ghazaal
Hai Faza e Laa Makaañ Tak Jin Ka Ramna Noor Ka
Taab e Husn e Garm Se Khil Jaayenge Dil Ke Kañwal
Nau Bahaareñ Laayega Garmi Ka Jhalka Noor Ka
Zar’r e Mahr e Quds Tak Tere Tawassut Se Gaye
Had’d e Awsat Ne Kiya Sughra Ko Kubra Noor Ka
Sabza e Gardooñ Jhuka Tha Behr e Paa Bos e Buraaq
Phir Na Seedha Ho Saka Khaaya Wo Kor’a Noor Ka
Taab e Sum Se Chaundhiya Kar Chaand Unheeñ Qadmoñ Phira
Hañs Ke Bijli Ne Kaha Dekha Chalaawa Noor Ka
Deed e Naqsh e Sum Ko Nikli Saat Pardoñ Se Nigaah
Putliyaañ Boleñ Chalo Aaya Tamaasha Noor Ka
Aks e Sum Ne Chaand Sooraj Ko Lagaaye Chaar Chaand
Par Gaya Seem o Zar e Gardooñ Pe Sik’kah Noor Ka
Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Ut’haate Mahd Me
Kya Hee Chalta Tha Ishaaroñ Par Khilona Noor Ka
Aik Seena Tak Mushaabah Ek Wahaañ Se Paa-oñ Tak
Husn e Sibtain Un Ke Jaamoñ Me Hai Neema Noor Ka
Saaf Shakl e Paak Hai Donoñ Ke Milne Se ‘Iyaañ
Khat Taw-am Me Likha Hai Ye Do Warqah Noor Ka
Kaaf Gaisoo, Haa Dahan, Yaa Abru, Aankheñ ‘Ain-Saad
Kaaf Haa Yaa ‘Ain-Saad Unka Hai Chehra Noor Ka
Ay RAZA Ye Ahmad e Noori Ka Faiz e Noor Hai
Ho Gayi Meri Ghazal Bar’h Kar Qasida Noor Ka
Note: The Shamla also called Shimla Is the part Of the Turban which hangs
at the back like a tail.
Tera Zar’rah Mah e Kaamil Hai Ya Ghaus
Tera Zar’rah Mah e Kaamil Hai Ya Ghaus
Tera Qatrah Yam e Saa-il Hai Ya Ghaus
Ko-ee Saalik Hai Ya Waasil Hai Ya Ghaus
Wo Kuch Bhi Ho, Tera Saa-il Hai Ya Ghaus
Qad e Be Saaya Zil’l e Kibriya Hai
Tu Us Be Saaya Zil’l Ka Zil’l Hai Ya Ghaus
Teri Jaageer Me Hai Sharq Taa Gharb
Qalam-rau Me Haram Taa Hil Hai Ya Ghaus
Dil Ishq o Rukh Husn e Aa-ina Haiñ
Awr In Donoñ Me Tera Zil’l Hai Ya Ghaus
Teri Sham’a Dil Aara Ki Tab O Taab
Gul O Bulbul Ki Aab O Gil Hai Ya Ghaus
Tera Majnuñ Tera Sehra Tera Najd
Teri Laila Tera Mahmil Hai Ya Ghaus
Ye Teri Champa-ee Rangat Husaini
Hasan Ke Chaand Subh e Dil Hai Ya Ghaus
Gulistaañ Zaar Teri Pankhuri Hai
Kali Sau Khuld Ka Haasil Hai Ya Ghaus
Ugaal Us Ka Udhaar Abraar Ka Ho
Jisay Teri Ulush Haasil Hai Ya Ghaus
Ishaare Me Kiya Jis Ne Qamar Chaak
Tu Us Mah Ka Mah e Kaamil Hai Ya Ghaus
Jisay ‘Arsh e Dowam Kehte Haiñ Aflaak
Wo Teri Kursi Manzil Hai Ya Ghaus
Tu Apne Waqt Ka Siddique e Akbar
Ghani O Haidar O Aadil Hai Ya Ghaus
Wali Kya Mursal Aa-eñ Khud Huzoor Aa-eñ
Wo Teri Wa’az Ki Mehfil Hai Ya Ghaus
Jisay Maange Na Paa-eñ Jaah Waale
Wo Bin Maange Tujhe Haasil Hai Ya Ghaus
Fuyooz e ’Aalam Ummi Se Tujh Par
‘Iyaan Maazi o Mustaqbil Hai Ya Ghaus
Jo Qarnoñ Seyr Me ‘Aarif Na Paa-eñ
Wo Teri Pehli Hee Manzil Hai Ya Ghaus
Malak Mashghool Haiñ Us Ki Thana Me
Jo Tera Zaakir O Shaaghil Hai Ya Ghaus
Na Kyuñ Ho Teri Manzil ‘Arsh e Saani
Ke ‘Arsh e Haq Teri Manzil Hai Ya Ghaus
Wahiñ Se Ublay Haiñ Saatoñ Samandar
Jo Teri Nahr Ka Saahil Hai Ya Ghaus
Malaa’ik Ke Bashar Ke Jinn Ke Halqe
Teri Zau Maah e Har Manzil Hai Ya Ghaus
Bukhara O Iraq O Chisht O Ajmer
Teri Lau Sham’e Har Mehfil Hai Ya Ghaus
Jo Tera Naam Le Zaakir Hai Pyaare
Tasawwur Jo Kare Shaaghil Hai Ya Ghaus
Jo Sar De Kar Tera Sauda Khareeday
Khuda De Aql Wo Aaqil Hai Ya Ghaus
Kaha Tu Ne Ke Jo Maango Milega
RAZA Tujh Se Tera Saa-il Hai Ya Ghaus
Jo Tera Tifl Hai Kaamil Hai Ya Ghaus
Jo Tera Tifl Hai Kaamil Hai Ya Ghaus
Tufaili Ka Laqab Waasil Hai Ya Ghaus
Tasawwuf Tere Maktab Ka Sabaq Hai
Tasar’ruf Par Tera Aamil Hai Ya Ghaus
Teri Seyr Ilaa-Allah Hee Hai Fil’laah
Ke Ghar Se Chalte Hee Moosil Hai Ya Ghaus
Tu Noor e Awwal o Aakhir Hai Mawla
Tu Khayr e ‘Aajil o Aajil Hai Ya Ghaus
Malak Ke Kuch, Bashar Kuch, Jinn Ke Haiñ Peer
Tu Shaykh e ‘Aali o Saafil Hai Ya Ghaus
Kitaab e Har Dil Aasaar e Ta’ar’ruf
Tere Daftar Hee Se Naaqil Hai Ya Ghaus
Futooh ul Ghaib Agar Roshan Na Farmaaye
Futoohaat o Fusoos Aafil Hai Ya Ghaus
Tera Mansoob Hai Marfu’ Is Jaa
Izaafat Rafa’ Ki ‘Aamil Hai Ya Ghaus
Tere Kaami Mashaq’qat Se Bari Haiñ
Ke Bar-Tar Nasab Se Faa’il Hai Ya Ghaus
Ahad Se Ahmad Awr Ahmad Se Tujh Ko
Kun Awr Sab Kun Makun Haasil Hai Ya Ghaus
Teri Izzat Teri Rif’at Tera Fadhl
Bi-Fadh-Lihi Afzal o Faazil Hai Ya Ghaus
Tere Jalwe Ke Aage Mintaqah Se
Mah o Khur Par Khat e Baatil Hai Ya Ghaus
Siyaahi Maa-il Us Ki Chaandni Aayi
Qamar Ka Yuñ Falak Maa-il Hai Ya Ghaus
Tilaa-e Mahr Hai ‘Taksaal Baahar
Ke Khaarij Markaz Haamil Hai Ya Ghaus
Tu Barzakh Hai Ba-rang e Noon e Minnat
Do Jaanib Mut’tasil Waasil Hai Ya Ghaus
Nabi Se Aakhiz Awr Ummat Pe Faa-iz
Udhar Qaabil Idhar Faa’il Hai Ya Ghaus
Nateeja Had’d e Awsat Gir Ke De Awr
Yahaañ Jab Tak Ke Tu Shaamil Hai Ya Ghaus
‘Alaa Tooba Lakum’ Hai Wo Ke Jin Ka
Shabaana Roz Wird e Dil Hai Ya Ghaus
‘Ajam Kaisa ‘Arab Hil Kya Haram Me
Jami Har Jaa Teri Mehfil Hai Ya Ghaus
Hai Sharh e Ism e Al Qaadir Tera Naam
Ye Sharha Is Matan Ki Haamil Hai Ya Ghaus
Jabeen e Jubbah Farsa-ee Ka Sandal
Teri Deewaar Ki Kah-gil Hai Ya Ghaus
Baja Laaya Wo Amr e Saari’oo Ko
Teri Jaanib Jo Musta’jil Hai Ya Ghaus
Teri Qudrat To Fitriyaat Se Hai
Ke Qaadir Naam Me Daakhil Hai Ya Ghaus
Tasar’ruf Waale Sab Mazhar Haiñ Tere
Tu Hee Is Parde Me Faa’il Hai Ya Ghaus
RAZA Ke Kaam Awr Ruk Jaa-eñ Haa-shaa
Tera Saa-il Hai Tu Baazil Hai Ya Ghaus
Badal Ya Fard Jo Kaamil Hai Ya Ghaus
Badal Ya Fard Jo Kaamil Hai Ya Ghaus
Tere Hee Dar Se Mustakmil Hai Ya Ghaus
Jo Teri Yaad Se Zaahil Hai Ya Ghaus
Wo Zikrullah Se Ghaafil Hai Ya Ghaus
‘Anas-Sayyaaf’ Se Jaahil Hai Ya Ghaus
Jo Tere Fazl Par Saa-il Hai Ya Ghaus
Sukhan Haiñ Asfiyah Tu Maghz e Ma’ani
Badan Haiñ Awliya Tu Dil Hai Ya Ghaus
Agar Wo Jism e ’Irfaan Haiñ To Tu Aankh
Agar Wo Aankh Haiñ Tu Til Hai Ya Ghaus
Uluhiy’yat, Nubuw’wat Ke Siwa Tu
Tamaam Afzaal Ka Qaabil Hai Ya Ghaus
Nabi Ke Qadmoñ Par Hai Juz e Nubuw’wat
Ke Khatm Is Raah Me Haa-il Hai Ya Ghaus
Uluhiy’yat Hee Ahmad Ne Na Paayi
Nubuw’wat Hee Se Tu ‘Aatil Hai Ya Ghaus
Sahabiyat Huwi Phir Taabe’iy’yat
Bas Aage Qaadiri Manzil Hai Ya Ghaus
Hazaaroñ Taabi’ee Se Tu Fuzooñ Hai
Wo Tabqa Mujmalan Faadhil Hai Ya Ghaus
Raha Maidaan o Shahristaan e ’Irfaan
Tera Ramna Teri Mehfil Hai Ya Ghaus
Ye Chishti Suharwardi Naqshbandi
Har Ek Teri Taraf Maa-il Hai Ya Ghaus
Teri Chiryañ Haiñ Tera Daana Paani
Tera Mela Teri Mehfil Hai Ya Ghaus
Unheñ To Qaadiri Bay’at Hai Tajdeed
Wo Haañ Khaati Jo Mustabdil Hai Ya Ghaus
Qamar Par Jaise Khur Ka Yuñ Tera Qarz
Sab Ahl e Noor Par Faazil Hai Ya Ghaus
Ghalat Kar Dam Tu Waahib Hai Na Muqriz
Teri Bakhshish Tera Naa-il Hai Ya Ghaus
Ko-ee Kya Jaane Tere Sar Ka Rutba
Ke Talwa Taaj e Ahl e Dil Hai Ya Ghaus
Masha’ikh Me Kisi Ko Tujh Pe Tafzeel
Ba Hukm e Awliya Baatil Hai Ya Ghaus
Jahaañ Dushwaar Ho Wahm e Musaawaat
Ye Jur’at Kis Qadar Haa-il Hai Ya Ghaus
Tere Khud’daam Ke Aage Hai Ek Baat
Jo Awr Aqtaab Ko Mushkil Hai Ya Ghaus
Usay Idbaar Jo Mudbir Hai Tujh Se
Wo Zee Iqbaal Jo Muqbil Hai Ya Ghaus
Khuda Ke Dar Se Hai Matrood o Makhzool
Jo Tera Taarik o Khaazil Hai Ya Ghaus
Sitam Kowri Wahabi Raafdhi Ki
Ke Hindu Tak Tera Qaa-il Hai Ya Ghaus
Wo Kya Jaanega Fazl e Murtaza Ko
Jo Tere Fazl Ka Jaahil Hai Ya Ghaus
RAZA Ke Saamne Ki Taab Kis Me
Falak Waar Us Pe Tera Zil’l Hai Ya Ghaus
Talab Ka Munh To Kis Qaabil Hai Ya Ghaus
Talab Ka Munh To Kis Qaabil Hai Ya Ghaus
Magar Tera Karam Kaamil Hai Ya Ghaus
Duha-ee Ya Muhiyud’deen Duha-ee
Bala Islam Par Naazil Hai Ya Ghaus
Wo Sangeeñ Bid’ateñ Wo Teyzi e Kufr
Ke Sar Pe Taigh, Dil Pe Sil Hai Ya Ghaus
Azooman Qaatilan ‘Indal Qitaali
Madad Ko Aa, Dam e Bismil Hai Ya Ghaus
Tere Sonay Se Soya Bakht De Jaag
Jagaa! Ch’hupne Pe Din Maa-il Hai Ya Ghaus
Khudara, Nakhuda Aa De Sahaara
Hawa Bigri, Bhañwar Haa-il Hai Ya Ghaus
Jila De Deeñ, Jala De Kufr o Ilhaad
Ke Tu Muhy Hai, Tu Qaatil Hai Ya Ghaus
Tera Waqt Awr Paray Yuñ Deen Par Waqt
Na Tu Aajiz Na Tu Ghaafil Hai Ya Ghaus
Rahi Haañ Shaamat e A’maal Ye Bhi
Jo Tu Chaahe Abhi Zaa-il Hai Ya Ghaus
Ghayoora! Apni Ghayrat Ka Tasad’duq
Wahi Kar Jo Tere Qaabil Hai Ya Ghaus
Khudara Marham e Khaak e Qadam De
Jigar Zakhmi He Dil Ghaa-il Hai Ya Ghaus
Na Dekhuñ Shakl e Mushkil Tere Aage
Ko-ee Mushkil Si Ye Mushkil Hai Ya Ghaus
Wo Ghera Rishta e Shirk e Khafi Ne
Phansa Zun-naar Me Ye Dil Hai Ya Ghaus
Kiye Tarsa-o Gabr Aqtaab o Abdaal
Ye Mahaz Islam Ka Saa-il Hai Ya Ghaus
Tu Quw’wat De, Me Tanha Kaam Bisyaar
Badan Kamzor, Dil Kaahil Hai Ya Ghaus
‘Adu Bad-Deen Mazhab Waale Haasid
Tu Hee Tanha Ka Zawr e Dil Hai Ya Ghaus
Hasad Se Un Ke Seene Paak Kar De
Ke Bud-tar Diq Se Ye Sil Hai Ya Ghaus
Ghiza e Diq Yahi Khooñ, Ustukh-waañ, Gosht
Ye Aatish Deen Ki Aakil Hai Ya Ghaus
Diya Mujh Ko, Unheñ Mahroom Chora
Mera Kya Jurm, Haq Faasil Hai Ya Ghaus
Khuda Se Leñ Lara-ee, Wo He Mu’tee
Nabi صلى الله عليه وسلم Qaasim He, Tu Moosil Hai Ya Ghaus
‘Ata-eñ Muqtadir Ghaf’faar Ki Haiñ
‘Abas Bandoñ Ke Dil Me Ghil Hai Ya Ghaus
Tere Baba Ka Phir Tera Karam Hai
Ye Munh Warna Kisi Qaabil Hai Ya Ghaus
Bharan Waale Tera Jhaala To Jhaala
Tera Cheenta Mera Ghaasil Hai Ya Ghaus
Thana Maqsood He, Arz e Gharaz Kya
Gharaz Ka Aap To Kaafil Hai Ya Ghaus
RAZA Ka Khaatima Bil Khayr Hoga
Teri Rahmat Agar Shaamil Hai Ya Ghaus
Kaa’be Ke Badrud-Duja
Kaa’be Ke Badrud-Duja Tum Pe Karoroñ Durood
Taiba Ke Shamsud-Duha Tum Pe Karoroñ Durood
Shaafa’ e Roz e Jazaa Tum Pe Karoroñ Durood
Daafa’e Jumla Balaa Tum Pe Karoroñ Durood
Jaan o Dil e Asfiyah Tum Pe Karoroñ Durood
Aab o Gil e Ambia Tum Pe Karoroñ Durood
Laa-eñ To Ye Doosra Do Sara Jis Ko Mila
Koshak e ’Arsh o Dana Tum Pe Karoroñ Durood
Awr Ko-ee Ghaib Kya Tum Se Nihaañ Ho Bhala
Jab Na Khuda Hee Chupa Tum Pe Karoroñ Durood
Toor Pe Jo Sham’a Tha Chaand Tha Saa’eer Ka
Nay’yar e Faaraañ Huwa Tum Pe Karoroñ Durood
Dil Karo Thanda Mera Wo Kaf e Paa Chaand Sa
Seene Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karoroñ Durood
Zaat Huwi Intikhaab Wasf Huwe Laa Jawaab
Naam Huwa Mustafa Tum Pe Karoroñ Durood
Ghaayat o ’Illat Sabab, Behr e Jahaañ Tum Ho Sab
Tum Se Bana Tum Binaa Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Se Jahaañ Ki Hayaat Tum Se Jahaañ Ka Thabaat
Asl Se Hai Zil Bandha Tum Pe Karoroñ Durood
Maghz Ho Tum Awr Wo Post Awr Hain Baahir Ke Dost
Tum Ho Daroon e Sara Tum Pe Karoroñ Durood
Kya Haiñ Jo Be-Had Haiñ Laus Tum To Ho Ghays Awr Ghaus
Ch’heen’te Me Hoga Bhala Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Ho Hafeez o Mughees Kya Hai Wo Dushman Khabees
Tum Ho To Phir Khauf Kya Tum Pe Karoroñ Durood
Wo Shab e Me’raj Raaj Wo Saf e Mahshar Ka Taaj
Ko-ee Bhi Aisa Huwa Tum Pe Karoroñ Durood
Luhta Falaahal Falaah Ruhta Faraahal-Maraah
‘Ud Liya’udal-Hanaa Tum Pe Karoroñ Durood
Jaan o Jahaan e Maseeh Daad Ke Dil Hai Jareeh
Nabzeñ Chuteeñ Dam Chala Tum Pe Karoroñ Durood
Uf Wo Rah e Sang-Laakh, Aah! Ye Paa Shaakh-Shaakh
Ay Mere Mushkil Kusha Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Se Khula Baab e Jood Tum Se Hai Sab Ka Wujood
Tum Se Hai Sab Ki Baqa Tum Pe Karoroñ Durood
Khasta Huñ Awr Tum Ma’aaz Basta Huñ Awr Tum Malaaz
Aage Jo Shah Ki Raza Tum Pe Karoroñ Durood
Gar Che Haiñ Be-had Qusoor Tum Ho ‘Afu o Ghafoor
Bakhsh Do Jurm o Khata Tum Pe Karoroñ Durood
Mahr e Khuda Noor-Noor Dil Hai Siyaah Din Hai Door
Shab Me Karo Chaandna Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Ho Shaheed o Baseer Awr Maiñ Gunah Par Dileer
Khol Do Chashm e Haya Tum Pe Karoroñ Durood
Ch’heent Tumhaari Sahar Ch’hoot Tumhaari Qamar
Dil Me Racha Do Zia Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Se Khuda Ka Zuhoor Us Se Tumhaara Zuhoor
‘Lim’ Hai Ye Wo ‘In’ Huwa Tum Pe Karoroñ Durood
Be Hunar o Be Tameez Kis Ko Huwe Haiñ ‘Azeez
Aik Tumhaare Siwa Tum Pe Karoroñ Durood
Aas Hai Ko-ee Na Paas Aik Tumhaari Hai Aas
Bas Hai Yahi Aasra Tum Pe Karoroñ Durood
Taarim e Aa’la Ka Arsh Jis Kaf e Paa Ka Hai Farsh
Aankhoñ Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karoroñ Durood
Kehne Ko Hain ‘Aam o Khaas Aik Tumheeñ Ho Khalaas
Band Se Kar Do Riha Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Ho Shifa e Maraz Khalq e Khuda Khud-Gharaz
Khalq Ki Haajat Bhi Kya Tum Pe Karoroñ Durood
Aah! Wo Raah e Siraat Bandoñ Ki Kitni Bisaat
Al Madad Ay Rahnuma! Tum Pe Karoroñ Durood
Be Adab o Bad-Lihaaz Kar Na Saka Kuch Hifaaz
‘Afw Pe Bhoola Raha Tum Pe Karoroñ Durood
Lo Tahe Daaman Ke Sham’a, Jhonkoñ Me Hai Roz Jam’a
Aandhiyoñ Se Hashr Ut’tha Tum Pe Karoroñ Durood
Seena Ke Hai Daagh-Daagh, Keh Do Kare Baagh-Baagh
Taiba Se Aa Kar Saba Tum Pe Karoroñ Durood
Gaisoo o Qad ‘Laam-Alif’ Kar Do Bala Munsarif
‘Laa’ Ke Teh e Taigh e Laa Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Ne Ba Rang e Falaq Jayb e Jahaañ Kar Ke Shaq
Noor Ka Tar’ka Kiya Tum Pe Karoroñ Durood
Nawbat e Dar Haiñ Falak Khaadim e Dar Haiñ Malak
Tum Ho Jahaañ Baadsha Tum Pe Karoroñ Durood
Khalq Tumhaari Jameel Khulq Tumhaara Jaleel
Khalq Tumhaari Gada Tum Pe Karoroñ Durood
Taiba Ke Maah e Tamaam Jumla Rusul Ke Imaam
Naushah e Milk e Khuda Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Se Jahaañ Ka Nizaam Tum Pe Karoroñ Salaam
Tum Pe Karoroñ Thana Tum Pe Karoroñ Durood
Tum Ho Jawaad o Kareem Tum Ho Rauf o Raheem
Bheek Ho Daata ‘Ata Tum Pe Karoroñ Durood
Khalq Ke Haakim Ho Tum Rizq Ke Qaasim Ho Tum
Tum Se Mila Jo Mila Tum Pe Karoroñ Durood
Naafe’ o Daafe’ Ho Tum Shaafe’ o Raafe’ Ho Tum
Tum Se Bas Afzooñ Khuda Tum Pe Karoroñ Durood
Shaafi o Naafi Ho Tum Kaafi o Waafi Ho Tum
Dard Ko Kardo Dawa Tum Pe Karoroñ Durood
Jaayeñ Na Jab Tak Ghulaam Khuld Hai Sab Par Haraam
Milk To Hai Aap Ka Tum Pe Karoroñ Durood
Mazhar e Haq Ho Tumheeñ Muzhir e Haq Ho Tumheeñ
Tum Me Hai Zaahir Khuda Tum Pe Karoroñ Durood
Zor Dehe Naarsaañ Takiya Gahe Be-Kasaañ
Baadsha e Maa-Wara Tum Pe Karoroñ Durood
Barse Karam Ki Bharan Phooleñ Ni’am Ke Chaman
Aisi Chalaa Do Hawa Tum Pe Karoroñ Durood
Ek Taraf A’daa e Deeñ Aik Taraf Haasideeñ
Banda Hai Tanha Shaha Tum Pe Karoroñ Durood
Kyuñ Kahuñ Be-Kas Huñ Maiñ Kyuñ Kahuñ Be-Bas Huñ Maiñ
Tum Ho Maiñ Tum Par Fida Tum Pe Karoroñ Durood
Gande Nikam’me Kameen Mehnge Hoñ Kowri Ke Teen
Kaun Hameñ Paalta Tum Pe Karoroñ Durood
Baat’ Na Dar Ke Kaheeñ Ghaat Na Ghar Ke Kaheeñ
Aise Tumheñ Paalna Tum Pe Karoroñ Durood
Aisoñ Ko Ne’mat Khilaawo Doodh Ke Sharbat Pilaawo
Aisoñ Ko Aisi Ghiza Tum Pe Karoroñ Durood
Girne Ko Huñ Rok Lo Ghota Lage Haath Do
Aisoñ Par Aisi ‘Ataa Tum Pe Karoroñ Durood
Apne Khata-waaron Ko Apne Hee Daaman Me Lo
Kaun Kare Ye Bhala Tum Pe Karoroñ Durood
Kar Ke Tumhaare Gunaah Maangeñ Tumhaari Panaah
Tum Kaho Daaman Me Aa Tum Pe Karoroñ Durood
Kar Do ‘Adu Ko Tabaah Haasidoñ Ko Roo-Baraah
Ahl e Wilaa Ka Bhala Tum Pe Karoroñ Durood
Hum Ne Khata Me Na Ki Tum Ne ‘Ataa Me Na Ki
Ko-ee Kami Sarwara Tum Pe Karoroñ Durood
Kaam Ghazab Ke Kiye Us Pe Hai Sarkaar Se
Bandoñ Ko Chashm e Raza Tum Pe Karoroñ Durood
Aankh ‘Ataa Kijiye Us Me Zia Dijiye
Jalwa Qareeb Aa Gaya Tum Pe Karoroñ Durood
Kaam Wo Le Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare
Theek Ho Naam e RAZA Tum Pe Karoroñ Durood
Mustafa Jaan e Rahmat Pe Laakhoñ Salaam
Mustafa Jaan e Rahmat Pe Laakhoñ Salaam
Sham’e Bazm e Hidaayat Pe Laakhoñ Salaam
Mehr e Charkh e Nubuw’wat Pe Roshan Durood
Gul e Baagh e Risaalat Pe Laakhoñ Salaam
Shahr-yaar e Iram Taajedaar e Haram
Nau Bahaar e Shafa’at Pe Laakhoñ Salaam
Shab e Asra Ke Dulha Pe Daa-im Durood
Nausha e Bazm e Jannat Pe Laakhoñ Salaam
‘Arsh Ki Zayb o Zeenat Pe ‘Arshi Durood
Farsh Ki Teeb o Nuzhat Pe Laakhoñ Salaam
Noor e Ain e Lataafat Pe Altaf Durood
Zayb o Zain e Nazaafat Pe Laakhoñ Salaam
Sarw e Naaz e Qidam Maghz e Raaz e Hikam
Yak’kah Taaz e Fazilat Pe Laakhoñ Salaam
Nuqta e Sirr e Wahdat Pe Yakta Durood
Markaz e Daur e Kasrat Pe Laakhoñ Salaam
Saahib e Raj’at e Shams o Shaq’q ul Qamar
Naa’ib e Dast e Qudrat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Zer e Liwa Aadam o Man Siwa
Us Sazaa e Siyaadat Pe Laakhoñ Salaam
‘Arsh Taa Farsh Hai Jis Ke Zer e Nageeñ
Us Ki Qaahir Riyaasat Pe Laakhoñ Salaam
Asl e Har Bood o Bahbood Takhm e Wujood
Qaasim e Kanz e Ne’mat Pe Laakhoñ Salaam
Fath e Baab e Nubuw’wat Pe Be-Had Durood
Khatm e Daur e Risaalat Pe Laakhoñ Salaam
Sharq e Anwaar e Qudrat Pe Noori Durood
Fatq e Azhaar e Qurbat Pe Laakhoñ Salaam
Be Saheem o Qaseem o ‘Adeel o Maseel
Jauhar e Fard e Izzat Pe Laakhoñ Salaam
Sirr e Ghaib e Hidaayat Pe Ghaibi Durood
‘Itr e Jayb e Nihaayat Pe Laakhoñ Salaam
Maah e Laahoot e Khalwat Pe Laakhoñ Durood
Shaah e Naasoot e Jalwat Pe Laakhoñ Salaam
Kanz e Har Be-Kas o Be-Nawa Par Durood
Hirz e Har Rafta Taaqat Pe Laakhoñ Salaam
Partaw e Ism e Zaat e Ahad Par Durood
Nuskha e Jaame’iyyat Pe Laakhoñ Salaam
Matla’ e Har Sa’adat Pe As’ad Durood
Maqta’ e Har Siyaadat Pe Laakhoñ Salaam
Khalq Ke Daad-ras Sab Ke Faryaad Ras
Kahf e Roz e Musibat Pe Laakhoñ Salaam
Mujh Se Be-Kas Ki Daulat Pe Laakhoñ Durood
Mujh Se Be-Bas Ki Quw’wat Pe Laakhoñ Salaam
Sham’ e Bazm e ‘Dana Hoo’ Me Gum Kun ‘Anaa’
Sharh e Matn e Huwiy’yat Pe Laakhoñ Salaam
Intiha e Do-ee Ibtida e Yakee
Jam’ e Tafreeq o Kasrat Pe Laakhoñ Salaam
Kasrat e Ba’ad e Qillat Pe Aksar Durood
Izzat e Ba’ad e Zil’lat Pe Laakhoñ Salaam
Rabb e A’laa Ki Ne’mat Pe A’laa Durood,
Haq Ta’aala Ki Minnat Pe Laakhoñ Salaam
Hum Ghareeboñ Ke Aaqa Pe Be-Had Durood
Hum Faqeeroñ Ki Sarwat Pe Laakhoñ Salaam
Farhat e Jaan e Momin Pe Be-Had Durood
Ghaiz e Qalb e Zalaalat Pe Laakhoñ Salaam
Sabab e Har Sabab Muntaha e Talab
‘Il’lat e Jumlah ‘Il’lat Pe Laakhoñ Salaam
Masdar e Mazhariy’yat Pe Azhar Durood,
Mazhar e Masdariy’yat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Jalwe Se Murjha-ee Kaliyañ Khileeñ
Us Gul e Paak Mambat Pe Laakhoñ Salaam
Qad e Be-Saaya Ke Saaya e Marhamat
Zil’l e Mamdood e Raafat Pe Laakhoñ Salaam
Taa-iraan e Qudus Jis Ki Haiñ Qumriyaañ
Us Sahi Sarw e Qaamat Pe Laakhoñ Salaam
Wasf Jis Ka Hai Aa-ina e Haq Numa
Us Khuda Saaz Tal’at Pe Laakhoñ Salaam
Jis ke Aage Sar e Sarwaraañ Kham Raheñ
Us Sar e Taaj e Rif’at Pe Laakhoñ Salaam
Wo Karam Ki Ghata Gaisoo e Mushk Sa
Lak’kah e Abr e Raafat Pe Laakhoñ Salaam
Laylat ul Qadr Me Matla’il Fajr e Haq
Maang Ki Istiqaamat Pe Laakhoñ Salaam
Lakht-Lakht e Dil e Har Jigar Chaak Se
Shaana Karne Ki Haalat Pe Laakhoñ Salaam
Door o Nazdeek Ke Sun’ne Waale Wo Kaan
Kaan e La’al e Karaamat Pe Laakhoñ Salaam
Chashma e Mehr Me Mawj e Noor e Jalaal
Us Rag e Haashimiy’yat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Maathe Shafa’at Ka Sehra Raha
Us Jabeen e Sa’adat Pe Laakhoñ Salaam
Jin Ke Sajde Ko Mehraab e Kaa’ba Jhuki
Un Bhawoñ Ki Lataafat Pe Laakhoñ Salaam
Un Ki Aankhoñ Pe Wo Saaya Afgan Mizha
Zul’lah e Qasr e Rahmat Pe Laakhoñ Salaam
Ashk-Baari e Mizhgaañ Pe Barse Durood
Silk e Durr e Shafa’at Pe Laakhoñ Salaam
Ma’ani e ‘Qad Ra-Aa’ Maqsad e Maa Taghaa
Nargis e Baagh e Qudrat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Taraf Ut’th Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigaah e ‘Inaayat Pe Laakhoñ Salaam
Neechi Aankhoñ Ki Sharm o Haya Par Durood
Oonchi Beeni Ki Rif’at Pe Laakhoñ Salaam
Jin Ke Aage Charaagh e Qamar Jhilmilaa-e
Un ‘Izaaroñ Ki Tal’at Pe Laakhoñ Salaam
Un Ke Khad Ki Suhoolat Pe Be-Had Durood
Un Ke Qad Ki Rashaaqat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Se Taareek Dil Jagmagaane Lage
Us Chamak Waali Rangat Pe Laakhoñ Salaam
Chaand Se Munh Pe Taabaañ Darakhshaañ Durood
Namak Aageeñ Sabaahat Pe Laakhoñ Salaam
Shabnam e Baagh e Haq Ya’ani Rukh Ka ‘Araq
Us Ki Sach’chi Baraaqat Pe Laakhoñ Salaam
Khat Ki Gird e Dahan Wo Dil Aara Phaban
Sabza e Nahr e Rahmat Pe Laakhoñ Salaam
Reesh e Khush Mu’tadil Marham e Resh e Dil
Haala e Maah e Nudrat Pe Laakhoñ Salaam
Patli-Patli Gul e Quds Ki Pat’tiyaañ
Un Laboñ Ki Nazaakat Pe Laakhoñ Salaam
Wo Dahan Jis Ki Har Baat Wahi e Khuda
Chashma e ‘Ilm o Hikmat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Paani Se Shaadaab Jaan o Jinaañ
Us Dahan Ki Taraawat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Se Khaari Kunweñ Sheera e Jaañ Banay
Us Zulaal e Halaawat Pe Laakhoñ Salaam
Wo Zabaañ Jis Ko Sab ‘Kun’ Ki Kunji Kaheñ
Us Ki Naafiz Hukoomat Pe Laakhoñ Salaam
Us Ki Pyaari Fasaahat Pe Be-Had Durood
Us Ki Dilkash Balaaghat Pe Laakhoñ Salaam
Us Ki Baatoñ Ki Laz’zat Pe Laakhoñ Durood
Us Ke Khutbe Ki Haybat Pe Laakhoñ Salaam
Wo Dua Jis Ka Joban Bahaar e Qubool
Us Naseem e Ijaabat Pe Laakhoñ Salaam
Jin Ke Guchche Se Lachche Jhareñ Noor Ke
Un Sitaaroñ Ki Nuzhat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ki Taskeeñ Se Rote Huwe Hans Par’eñ
Us Tabas’sum Ki ‘Aadat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Me Nahreñ Haiñ Sheer o Shakar Ki Rawaañ
Us Galay Ki Nazaarat Pe Laakhoñ Salaam
Dosh Bar Dosh Hai Jin Se Shaan e Sharaf
Aise Shaanoñ Ki Shaukat Pe Laakhoñ Salaam
Hajr e Aswad, Kaa’ba e Jaan o Dil
Ya’ani Mohr e Nubuw’wat Pe Laakhoñ Salaam
Roo e Aai-na e ‘Ilm, Pusht e Huzoor
Pushti e Qasr e Millat Pe Laakhoñ Salaam
Haath Jis Samt Ut’tha Ghani Kar Diya
Mauj e Bahr e Samaahat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ko Baare Do ‘Aalam Ki Parwa Nahiñ
Aise Baazu Ki Quw’wat Pe Laakhoñ Salaam
Kaa’ba e Deen o Imaañ Ke Donoñ Sutooñ
Saa’idain e Risaalat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Har Khat Me Hai Mauj e Noor e Karam
Us Kaf e Bahr e Himmat Pe Laakhoñ Salaam
Noor Ke Chashme Lehra-eñ, Darya Baheñ
Ungliyoñ Ki Karaamat Pe Laakhoñ Salaam
Eid e Mushkil Kusha-ee Ke Chamke Hilaal
Naakhunoñ Ki Bishaarat Pe Laakhoñ Salaam
Raf’ e Zikr e Jalaalat Pe Arfa’ Durood
Sharh e Sadr e Sadaarat Pe Laakhoñ Salaam
Dil Samajh Se Waraa Hai Magar Yuñ Kahuñ
Ghuncha e Raaz e Wahdat Pe Laakhoñ Salaam
Kul Jahaañ Milk Awr Jau Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qana’at Pe Laakhoñ Salaam
Jo Ke ‘Azm e Shafa’at Pe Khinch Kar Bandhi
Us Kamar Ki Himaayat Pe Laakhoñ Salaam
Ambia Teh Kare Zaanu Un Ke Huzoor
Zaanu-oñ Ki Wajaahat Pe Laakhoñ Salaam
Saaq e Asl e Qadam Shaakh e Nakhl e Karam
Sham’e Raah e Isaabat Pe Laakhoñ Salaam
Kha-ee Qur’aañ Ne Khaak e Guzar Ki Qasam
Us Kaf e Paa Ki Hurmat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Suhaani Ghari Chamka Taiba Ka Chaand
Us Dil Afroz Saa’at Pe Laakhoñ Salaam
Pehle Sajde Pe Rauz e Azal Se Durood
Yaadgaari e Ummat Pe Laakhoñ Salaam
Zar’e Shaadaab o Har Zar’e Pur Sheer Se
Barakaat e Raza’at Pe Laakhoñ Salaam
Bhaiyoñ Ke Liye Tark Pistaañ Kareñ
Doodh Peetoñ Ki Nisfat Pe Laakhoñ Salaam
Mahd e Waala Ki Qismat Pe Sad-ha Durood
Burj e Maah e Risaalat Pe Laakhoñ Salaam
Allah-Allah Wo Bachpan e Ki Phaban!
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakhoñ Salaam
Uth’te Bootoñ Ki Nash o Numa Par Durood
Khilte Ghunchoñ Ki Nikhat Pe Laakhoñ Salaam
Fazl e Paidaaishi Par Hamesha Durood
Khelne Se Karaahat Pe Laakhoñ Salaam
I’tila e Jibil’lat Pe ‘Aali Durood
I’tidaal e Tawiy’yat Pe Laakhoñ Salaam
Be-Banaawat’ Ada Par Hazaaroñ Durood
Be-Takal’luf Malaahat Pe Laakhoñ Salaam
Bheeni-Bheeni Mahak Par Mahakti Durood
Pyaari-Pyaari Nafaasat Pe Laakhoñ Salaam
Meethi-Meethi ‘Ibaarat Pe Shireeñ Durood
Ach’chi-Ach’chi Ishaarat Pe Laakhoñ Salaam
Seedhi-Seedhi Rawish Par Karoroñ Durood
Saadi-Saadi Tabi’at Pe Laakhoñ Salaam
Roz e Garm o Shab e Teerah o Taar Me
Koh o Sahra Ki Khalwat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Gheray Me Haiñ Ambia o Malak
Us Jahangir e Bi’sat Pe Laakhoñ Salaam
Andhe Sheeshe Jhalaajhal Damakne Lagay
Jalwa Rezi e Da’wat Pe Laakhoñ Salaam
Lutf e Be-Daari e Shab Pe Be-Had Durood
‘Aalam e Khwaab e Raahat Pe Laakhoñ Salaam
Khandah e Subh e ’Ishrat Pe Noori Durood
Girya e Abr e Rahmat Pe Laakhoñ Salaam
Narmi e Khoo e Leenat Pe Daa-im Durood
Garmi e Shaan e Satwat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ke Aage Khinchi Gardaneñ Jhuk Ga-eeñ
Us Khuda Daad Shaukat Pe Laakhoñ Salaam
Kis Ko Dekha Ye Moosa Se Pooche Ko-ee
Aankhoñ Waaloñ Ki Himmat Pe Laakhoñ Salaam
Gird e Mah Dast e Anjum Me Rakhshaañ Hilaal
Badr Ki Daf’e Zulmat Pe Laakhoñ Salaam
Shor e Takbeer Se Thar-Tharaati Zameeñ
Jumbish e Jaish e Nusrat Pe Laakhoñ Salaam
Na’rahaa e Dileraañ Se Ban Goonjte
Gur’rish e Kos e Jur’at Pe Laakhoñ Salaam
Wo Chaqaa Chaaq Khanjar Se Aati Sada
Mustafa Teri Sawlat Pe Laakhoñ Salaam
Un Ke Aage Wo Hamzah Ki Jaan-Baaziyañ
Sher e Ghur’raan e Satwat Pe Laakhoñ Salaam
Al Gharaz Un Ke Har Moo Pe Laakhoñ Durood
Un Ki Har Khoo o Khaslat Pe Laakhoñ Salaam
Un Ke Har Naam o Nisbat Pe Naami Durood
Un Ke Har Waqt o Haalat Pe Laakhoñ Salaam
Un Ke Maula Ki Un Par Karoroñ Durood
Un Ke Ashaab o ‘Itrat Pe Laakhoñ Salaam
Paaraha-e Suhuf Ghunchaha-e Qudus
Ahl e Bayt e Nubuw’wat Pe Laakhoñ Salaam
Aab e Tatheer Se Jis Me Pawde Jamay
Us Riaz e Najaabat Pe Laakhoñ Salaam
Khoon e Khair ur Rusul Se Hai Jin Ka Khameer
Un Ki Be-Laus Teenat Pe Laakhoñ Salaam
Us Batool e Jigar Paarah e Mustafa
Hajala Aara e ‘If’fat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ka Aañchal Na Dekha Mah o Mahr Ne
Us Rida e Nazaahat Pe Laakhoñ Salaam
Sayyida Zaahira Tayyibah Taahira
Jaan e Ahmad Ki Raahat Pe Laakhoñ Salaam
Hasan e Mujtaba Sayyid ul Askhiya
Raakib e Dosh e ‘Izzat Pe Laakhoñ Salaam
Awj e Mehr e Huda Mawj e Bahr e Nada
Rauh Rooh e Sakhaawat Pe Laakhoñ Salaam
Shahd Khwaar e Lu’aab e Zabaan e Nabi
Chaashni Geer e ‘Ismat Pe Laakhoñ Salaam
Us Shaheed e Balaa Shaah e Gulgoñ Qabaa
Be-Kas e Dasht e Ghurbat Pe Laakhoñ Salaam
Durr e Durj e Najaf Mehr e Burj e Sharaf
Rang e Roo e Shahaadat Pe Laakhoñ Salaam
Ahl e Islam Ki Maadaraan e Shafeeq
Baanuwaan e Tahaarat Pe Laakhoñ Salaam
Jilwagiy’yaan e Bayt ush Sharaf Par Durood
Pardagiy’yaan e ‘If’fat Pe Laakhoñ Salaam
Siy’yima Pehli Maañ Kahf e Amn o Amaañ
Haq Guzaar e Rafaaqat Pe Laakhoñ Salaam
‘Arsh Se Jis Pe Tasleem Naazil Huwi
Us Sara e Salaamat Pe Laakhoñ Salaam
Manzilun Min Qasab Laa Nasab Laa Sakhab
Aise Koshak Ki Zeenat Pe Laakhoñ Salaam
Bint e Siddique Aaraam e Jaan e Nabi
Us Hareem e Bara’at Pe Laakhoñ Salaam
Ya’ani Hai Surah e Noor Jin Ki Gawaah
Un Ki Pur-Noor Soorat Pe Laakhoñ Salaam
Jin Me Rooh ul Qudus Be-Ijaazat Na Jaaye
Un Suraadiq Ki ‘Ismat Pe Laakhoñ Salaam
Sham’e Taabaan Kaashana e Ijtihaad
Mufti e Chaar Mil’lat Pe Laakhoñ Salaam
Jaañ Nisaaraan e Badr o Uhud Par Durood
Haq Guzaaraan e Bay’at Pe Laakhoñ Salaam
Wo Dasoñ Jin Ko Jannat Ka Muzhda Mila
Us Mubaarak Jama’at Pe Laakhoñ Salaam
Khaas Us Saabiq e Seyr e Qurb e Khuda
Awhad e Kaamiliy’yat Pe Laakhoñ Salaam
Saaya e Mustafa Maaya e Istafa
‘Izz o Naaz e Khilaafat Pe Laakhoñ Salaam
Ya’ani Us Afzal ul Khalq Ba’ad Ar-Rusul
Thaani-Yathnain e Hijrat Pe Laakhoñ Salaam
Asdaq us Saadiqeeñ Sayyid ul Mut’taqeeñ
Chashm o Gosh e Wizaarat Pe Laakhoñ Salaam
Wo Umar Jis Ke A’da Pe Shaida Saqar
Us Khuda Dost Hazrat Pe Laakhoñ Salaam
Faariq e Haq o Baatil Imaam ul Huda
Taigh e Maslool e Shiddat Pe Laakhoñ Salaam
Tarjamaan e Nabi Ham-Zabaan e Nabi
Jaan e Shaan e ‘Adaalat Pe Laakhoñ Salaam
Zaahid e Masjid e Ahmadi Par Durood
Daulat e Jaish e ‘Usrat Pe Laakhoñ Salaam
Durr e Manthur Qur’aañ Ki Silk e Bahi
Zauj e Do Noor e ‘If’fat Pe Laakhoñ Salaam
Ya’ani Uthman Saahib e Kamees e Huda
Hul’lah Posh e Shahaadat Pe Laakhoñ Salaam
Murtadha Sher e Haq Ashja’ul Ashja’eeñ
Saaqi e Sheer o Sharbat Pe Laakhoñ Salaam
Asl e Nasl e Safa Wajh e Wasl e Khuda
Baab e Fasl e Wilaayat Pe Laakhoñ Salaam
Aw’waleeñ Daafa’e Ahl e Rafdh o Khurooj
Chaarumi Rukn e Mil’lat Pe Laakhoñ Salaam
Sher e Shamsheer Zan Shaah e Khaibar Shikan
Partaw e Dast e Qudrat Pe Laakhoñ Salaam
Maahi e Rafdh o Tafdheel o Nasb o Khurooj
Haami e Deen o Sunnat Pe Laakhoñ Salaam
Mo’mineeñ Pesh e Fath o Pas e Fath Sab
Ahl e Khair o ‘Adaalat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Musalmaañ Ne Dekha Unheñ Ek Nazar
Us Nazar Ki Basaarat Pe Laakhoñ Salaam
Jin Ke Dushman Pe Laa’nat Hai Allah Ki
Un Sab Ahl e Muhabbat Pe Laakhoñ Salaam
Baaqi e Saaqiyaan e Sharaab e Tahoor
Zain e Ahl e ’Ibaadat Pe Laakhoñ Salaam
Awr Jitne Haiñ Shehzaade Us Shaah Ke
Un Sab Ahl e Makaanat Pe Laakhoñ Salaam
Un Ki Baala Sharaafat Pe Aa’la Durood
Un Ki Waala Siyaadat Pe Laakhoñ Salaam
Shafi’i Maalik Ahmad Imaam e Haneef
Chaar Baagh e Imaamat Pe Laakhoñ Salaam
Kaamilaan e Tariqat Pe Kaamil Durood
Haamilaan e Shari’at Pe Laakhoñ Salaam
Ghaus e Aazam Imaamut-Tuqa Wan-Nuqa
Jalwa e Shaan e Qudrat Pe Laakhoñ Salaam
Qutb e Abdaal o Irshaad o Rushdur Rashaad
Muhyi e Deen o Millat Pe Laakhoñ Salaam
Mard e Khayl e Tariqat Pe Be-Had Durood
Fard e Ahl e Haqeeqat Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ki Mimbar Bani Gardan e Awliya
Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakhoñ Salaam
Shaah e Barkaat o Barkaat e Peshiniyaañ
Nau Bahaar e Tariqat Pe Laakhoñ Salaam
Sayyid Aal e Muhammad Imaamur Rasheed
Gul e Rauz e Riyaazat Pe Laakhoñ Salaam
Hazrat e Hamza Sher e Khuda Wa Rasool
Zeenat e Qaadiriyat Pe Laakhoñ Salaam
Naam o Kaam o Tan o Jaan o Haal o Maqaal
Sab Me Ach’che Ki Soorat Pe Laakhoñ Salaam
In Name, Actions, Body & Soul, And In Condition & Conversation,
Upon The Features Of The Best, Millions Of Salutations
Noor e Jaañ ‘Itr e Majmua Aale Rasool
Mere Aaqa e Ne’mat Pe Laakhoñ Salaam
Zayb e Sajjadah Saj’jaad e Noori Nihaad
Ahmad e Noor Teenat Pe Laakhoñ Salaam
Be Azaab o ’Itaab o Hisaab o Kitaab
Ta Abad Ahl e Sunnat Pe Laakhoñ Salaam
Tere Un Dostoñ Ke Tufail Ay Khuda
Banda e Nang e Khalqat Pe Laakhoñ Salaam
Mere Ustaad Maañ Baap Bhai Bahan
Ahl e Wuld o Ashirat Pe Laakhoñ Salaam
Aik Mera Hee Rahmat Me Da’wa Nahiñ
Shaah Ki Saari Ummat Pe Laakhoñ Salaam
Kaash Mahshar Me Jab Un Ki Aamad Ho Awr
Bhejeñ Sab Un Ki Shawkat Pe Laakhoñ Salaam
Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kaheñ Haañ RAZA
Mustafa Jaan e Rahmat Pe Laakhoñ Salaam
Ghaus o Khwaja, Raza, Haamid o Mustafa
Panj Ganj e Wilaayat Pe Laakhoñ Salaam
Hind Ke Baadsha Deen Ke Wo Mu’een
Khwaja e Deen o Millat Pe Laakhoñ Salaam
‘Daal Di Qalb Me ‘Azamat e Mustafa
Sayyidi Aala Hazrat, Pe Laakhoñ Salaam
Shaykh Najdi Ka Sar Kaat’ Kar Rakh Diya
Khanjar e Aala Hazrat Pe Laakhoñ Salaam
Mere Haamid Raza Aashiq e Mustafa
Naa-ib e Aala Hazrat Pe Laakhoñ Salaam
Mere Mufti e Aazam Imam-ut Tuqa
Un Ki Paakiza Turbat Pe Laakhoñ Salaam
Mere Amjad Ali Meer e Bazm e Sunan,
Yaani Sadrush Shariah Pe Laakhoñ Salaam
Jis Ne Paida Kiye Kitne La’al o Gohar
Haafiz e Deen o Millat Pe Laakhoñ Salaam
Waqf Thee Zindagi Jis Ke Haq Ke Liye
Us Mujaahid e Millat Pe Laakhoñ Salaam
Ja-Nasheen e Raza Shah Akhtar Raza
Mere Taaj e Shariat Pe Laakhoñ Salaam
Ja-Nasheen e Raza Shah Akhtar Raza
Fakhr e Ahle Sunan Shah Akhtar Raza
Hai Meri Zindagi Shah Akhtar Raza
In Ka Saaya Saaroñ Par Rahe Daa’ima
In Ki Noorani Soorat Pe Laakhoñ Salaam
In Ki Paakiza Turbat Pe Laakhoñ Salaam
Ja-Nasheen Aap Ke Shah Asjad Raza
Qaa’id e Ahle Sunnat Pe Laakhoñ Salaam
Wo Zia Ilm Ki, Wo Muhad’dith Kabeer
La’al e Sadrush Shariah, Pe Laakhoñ Salaam
Mustafa Khayr ul Waraa Ho
Mustafa Khayr ul Wara Ho
Sarwar e Har Do Sara Ho
Apne Ach’choñ Ka Tasad’duq
Hum Badoñ Ko Bhi Nibaaho
Kis Ke Phir Ho Kar Raheñ Ham
Gar Tumheeñ Ham Ko Na Chaaho
Bad Hanseñ Tum Un Ki Khaatir
Raat Bhar Ro’wo Karaa-ho
Bad Kareñ Har Dam Bura-ee
Tum Kaho Un Ka Bhala Ho
Ham Wohi Naashusta Roo Haiñ
Tum Wohi Behr e ’Ataa Ho
Ham Wohi Shaayaan e Rad Haiñ
Tum Wohi Shaan e Sakha Ho
Ham Wohi Be Sharm o Bad Haiñ
Tum Wohi Kaan e Haya Ho
Ham Wohi Nang e Jafa Haiñ
Tum Wohi Jaan e Wafa Ho
Ham Wohi Qaabil Saza Ke
Tum Wohi Rahm e Khuda Ho
Charkh Badle Dahr Badle
Tum Badalne Se Waraa Ho
Ab Humeñ Hoñ Sahw Haasha
Aisi Bhooloñ Se Juda Ho
Umr Bhar To Yaad Rakha
Waqt Par Kya Bhoolna Ho
Waqt e Paidaaish Na Bhoole
‘Kaifa Yansaa’ Kyuñ Qaza Ho
Ye Bhi Maula ‘Arz Karduñ
Bhool Agar Jaawo To Kya Ho
Wo Ho Jo Tum Par Giraañ Hai
Wo Ho Jo Hargiz Na Chaaho
Wo Ho Jis Ka Naam Lete
Dushmanoñ Ka Dil Bura Ho
Wo Ho Jis Ke Rad’d Ki Khaatir
Raat Din Waqf e Du’a Ho
Mar Mit’eñ Barbaad Bande
Khaana Aabaad Aag Ka Ho
Shaad Ho Iblees Mal’ooñ
Gham Kise Is Qahr Ka Ho
Tum Ko Ho Wallah Tum Ko
Jaan o Dil Tum Par Fida Ho
Tum Ko Gham Se Haq Bachaaye
Gham ‘Adu Ko Jaañ Gaza Ho
Tum Se Gham Ko Kya Ta’aluq
Be-Kasoñ Ke Gham-Zudah Ho
Haq Duroodeñ Tum Pe Bheje
Tum Mudaam Us Ko Sara Ho
Wo ‘Ataa De Tum ‘Ataa Lo
Wo Wohi Chaahe Jo Chaaho
Bar To Aw Paashad To Bar Maa
Taa Abad Ye Silsilah Ho
Kyuñ RAZA Mushkil Se Dariye
Jab Nabi Mushkil Kusha Ho
Milk e Khaas e Kibriya Ho
Milk e Khaas e Kibriya Ho
Maalik e Har Ma-Siwa Ho
Ko-ee Kya Jaane Ke Kya Ho
‘Aql e ‘Aalam Se Wara Ho
Kanz e Maktoom e Azal Me
Durr e Maknoon e Khuda Ho
Sab Se Aw’wal Sab Se Aakhir
Ibtida Ho Intiha Ho
Thay Waseele Sab Nabi Tum
Asl e Maqsood e Huda Ho
Paak Karne Ko Wudhu Thay
Tum Namaaz e Jaañ-Fiza Ho
Sab Bishaarat Ki Azaañ Thay
Tum Azaañ Ka Mud’da’a Ho
Sab Tumhaari Hee Khabar Thay
Tum Mu-akh’khar Mubtada Ho
Qurb e Haq Ki Manzileñ Thay
Tum Safar Ka Muntaha Ho
Qabl e Zikr Idhmaar Kya Jab
Rutbah Saabiq Aap Ka Ho
Toor e Moosa Charkh e Esa
Kya Musaawi e Dana Ho
Sab Jihat Ke Daa’ire Me
Shash Jihat Se Tum Wara Ho
Sab Makaañ Tum Laa Makaañ Me
Tan Haiñ Tum Jaan e Safa Ho
Sab Tumhaare Dar Ke Raste
Aik Tum Raah e Khuda Ho
Sab Tumhaare Aage Shaaf’e
Tum Huzoor e Kibriya Ho
Sab Ki Hai Tum Tak Rasa-ee
Baargaah Tak Tum Rasa Ho
Wo Kalas Raudhe Ka Chamka
Sar Jhukaawo Kaj Kula Ho
Wo Dar e Daulat Pe Aaye
Jholiyaañ Phaylaawo Shaaho
Zameen o Zamaañ Tumhaare Liye
Zameen o Zamaañ Tumhaare Liye, Makeen o Makaañ Tumhaare Liye
Chuneen o Chunaañ Tumhaare Liye, Bane Do Jahaañ Tumhaare Liye
Dahan Me Zabaañ Tumhaare Liye, Badan Me Hai Jaañ Tumhaare Liye
Ham Aaye Yahaañ Tumhaare Liye, Ut’theñ Bhi Wahaañ Tumhaare Liye
Farishte Khadam Rasool Hasham Tamaam e Umam Ghulaam e Karam
Wujood o ’Adam Hudoos o Qidam Jahaañ Me ‘Ayaan Tumhaare Liye
Kaleem o Najeeh, Maseeh o Safi, Khaleel o Razi, Rasool o Nabi
Ateeq o Wasi Ghani o Ali Sana Ki Zabaañ Tumhaare Liye
Asaalat e Kul Imaamat e Kul Siyaadat e Kul Imaarat e Kul
Hukoomat e Kul Wilaayat e Kul Khuda Ke Yahaañ Tumhaare Liye
Tumhaari Chamak Tumhaari Dhamak Tumhari Jhalak Tumhaari Mahak
Zameen o Falak Simaak o Samak Me Sik’kah Nishaañ Tumhaare Liye
Ye Shams o Qamar Ye Shaam o Sahar Ye Barg o Shajar Ye Baagh o Samar
Ye Taigh o Sipar Ye Taaj o Kamar Ye Hukm e Rawaañ Tumhaare Liye
Ye Faiz Diye Wo Jood Kiye Ke Naam Liye Zamaana Jiye
Jahaañ Ne Liye Tumhaare Diye Ye Ikramiyaañ Tumhaare Liye
Sahaab e Karam Rawaana Kiye Ke Aab e Ni’am Zamaana Piye
Jo Rakhte Thay Ham Wo Chaak Siye Ye Satr e Badaañ Tumhaare Liye
Sana Ka Nishaañ Wo Noor Fishaañ Ke Mehr Washaañ Ba Aañ-Hamah Shaañ
Ba-Saaya Kashaañ Mawaakib Shaañ Ye Naam o Nishaañ Tumhaare Liye
‘Ataa e Arab Jala e Karab Fuyooz e ’Ajab Baghair e Talab
Ye Rahmat e Rab’b Hai Kis Ke Sabab Ba-Rab’b e Jahaañ Tumhaare Liye
Zunoob e Fanaa ‘Uyoob e Haba Quloob e Safa Khutoob e Rawa
Ye Khoob e ’Ata Kuroob e Zuda Pa-e Dil o Jaañ Tumhaare Liye
Na Jinn o Bashar Ke Aathoñ Pahar Mala’ika Dar Pe Basta Kamar
Na Jabha o Sar Ke Qalb o Jigar Haiñ Sajda Kunaañ Tumhaare Liye
Na Rooh e Ameeñ Na ‘Arsh e Bareeñ Na Lauh e Mubeeñ Ko-ee Bhi Kaheeñ
Khabar Hee Nahiñ Jo Ramzeñ Khuleeñ Azal Ki Nihaañ Tumhaare Liye
Jinaañ Me Chaman, Chaman Me Saman, Saman Me Phaban, Phaban Me Dulhan
Saza e Mihan Pe Aise Minan Ye Amn o Amaañ Tumhaare Liye
Kamaal e Mihaañ Jalaal e Shahaañ Jamaal e Hisaañ Me Tum Ho ‘Iyaañ
Ke Saare Jahaañ Me Roz e Fakaañ Zil’l e Aa-ina Saañ Tumhaare Liye
Ye Toor Kuja Siphar To Kya Ke ‘Arsh e Ulaa Bhi Door Raha
Jihat Se Wara Wisaal Mila Ye Rif’at e Shaañ Tumhaare Liye
Khaleel o Naji, Maseeh o Safi, Sabhi Se Kahi, Kaheeñ Bhi Bani
Ye Be-Khabari Ke Khalq Phiri Kahaañ Se Kahaañ Tumhaare Liye
Ba-Fawr e Sada Samaañ Ye Bandha Ye Sidra Ut’tha Wo ‘Arsh Jhuka
Sufoof e Sama Ne Sajda Kiya Huwi Jo Azaañ Tumhaare Liye
Ye Marhamateñ Ke Kach’chi Mateñ Na Ch’horeñ Lateñ Na Apni Gateñ
Qusoor Kareñ Awr Un Se Bhareñ Qusoor e Jinaañ Tumhaare Liye
Fanaa Ba-Darat Baqa Ba-Barat Ze Har Do Jihat Ba-Gird e Sarat
Hai Markaziy’yat Tumhaari Sifat Ke Donoñ Kamaañ Tumhaare Liye
Ishaare Se Chaand Cheer Diya Ch’hupe Huwe Khur Ko Pheyr Liya
Gaye Huwe Din Ko ‘Asr Kiya Ye Taab o Tawaañ Tumhaare Liye
Saba Wo Chale Ke Baagh Phale Wo Phool Khile Ke Din Hoñ Bhale
Liwa Ke Talay Sana Me Khule RAZA Ki Zabaañ Tumhaare Liye
Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai
Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai Na Chaman-Chaman Bhi Nisaar Hai
‘Ajab Us Ke Gul Ki Bahaar Hai Ke Bahaar Bulbul e Zaar Hai
Na Dil e Bashar Hee Figaar Hai Ke Malak Bhi Us Ka Shikaar Hai
Ye Jahaañ Ke Hazhdah Hazaar Hai Jisay Dekho Us Ka Hazaar Hai
Nahiñ Sar Ke Sajda Kunaañ Na Ho Na Zubaañ Ke Zamzamah Khwaañ Na Ho
Na Wo Dil Ke Us Pe Tapaañ Na Ho Na Wo Seena Jis Ko Qaraar Hai
Wo Hai Bheeni-Bheeni Wahaañ Mahak Ke Basa Hai ‘Arsh Se Farsh Tak
Wo Hai Pyaari-Pyaari Wahaañ Chamak Ke Wahaañ Ki Shab Bhi Nahaar Hai
Ko-ee Awr Phool Kahaañ Khile Na Jagah Hai Joshish e Husn Se
Na Bahaar Awr Pe Rukh Kare Ke Jhapak Palak Ki To Khaar Hai
Ye Saman Ye Sosan o Yaasman Ye Banafsha Sumbul o Nastaran
Gul o Sarw o Laalah Bhara Chaman Wohi Aik Jalwa Hazaar Hai
Ye Saba Sanak Wo Kali Chatak Ye Zabaañ Chehak Lab e Joo Jhalak
Ye Mahak Jhalak Ye Chamak Damak Sab Usi Ke Dam Ki Bahaar Hai
Wohi Jalwa Shehr Ba-Shehr Hai Wohi Asl e ‘Aalam o Dahr Hai
Wohi Bahr Hai Wohi Lahr Hai Wohi Paat Hai Wohi Dhaar Hai
Wo Na Tha To Baagh Me Kuch Na Tha Wo Na Ho To Baagh Ho Sab Fana
Wo Hai Jaan, Jaan Se Hai Baqa, Wohi Bun Hai Bun Se Hee Baar Hai
Ye Adab, Ke Bulbul e Be-Nawa Kabhi Khul Ke Kar Na Sakay Nawa
Na Saba Ko Tez Rawish Rawa Na Ch’halakti Nahroñ Ki Dhaar Hai
Ba-Adab Jhuka Lo Sar e Wila, Ke Maiñ Naam Luñ Gul o Baagh Ka
Gul e Tar Muhammad e Mustafa Chaman Un Ka Paak Diyaar Hai
Wohi Aankh Un Ka Jo Munh Takay Wohi Lab Ke Mahw Hoñ Na’at Ke
Wohi Sar Jo Un Ke Liye Jhuke Wohi Dil Jo Un Pe Nisaar Hai
Ye Kisi Ka Husn Hai Jalwagar Ke Tapaañ Haiñ Khooboñ Ke Dil Jigar
Nahiñ Chaak Jayb e Gul e Sahar Ke Qamar Bhi Seena Fagaar Hai
Wohi Nazr e Shah Me Zar e Neyko Jo Ho Un Ke ‘Ishq Me Zard Roo
Gul e Khuld Us Se Ho Rang Joo Ye Khazaañ Wo Taaza Bahaar Hai
Jisay Teri Saff e Ni’aal Se Milay Do Niwaal e Nawaal Se
Wo Bana Ke Us Ke Ugaal Se Bhari Saltanat Ka Udhaar Hai
Wo Ut’theñ Chamak Ke Tajal’liyaañ Ke Mit’a Deñ Sab Ki Ta’alliyaan
Dil o Jaan Ko Bakhsheñ Tasal’liyaañ Tera Noor Baarid o Haar Hai
Rusul o Malak Pe Durood Ho Wohi Jaane Un Ke Shumaar Ko
Magar Aik Aisa Dikha To Do Jo Shafee’ e Roz e Shumaar Hai
Na Hijaab Charkh o Maseeh Par Na Kaleem o Toor Nihaañ Magar
Jo Gaya Hai ‘Arsh Se Bhi Udhar Wo ‘Arab Ka Naaqah Sawaar Hai
Wo Teri Tajalli e Dil Nasheeñ Ke Jhalak Rahe Haiñ Falak Zameeñ
Tere Sadqe Mere Mah e Mubeeñ Meri Raat Kyuñ Abhi Taar Hai
Meri Zulmateñ Haiñ Sitam Magar Tera Mah Na Mahr Ke Mahr Gar
Agar Aik Cheent Pare Idhar Shab e Daaj Abhi To Nahaar Hai
Gunah e RAZA Ka Hisaab Kya Wo Agar Che Laakhoñ Se Haiñ Siwa
Magar Ay ‘Afu Tere ‘Afw Ka Na Hisaab Hai Na Shumaar Hai
Tere Deen e Paak Ki Wo Zia Ke Chamak Ut’thi Rah e Istafa
Jo Na Maane Aap Saqar Gaya Kahiñ Noor Hai Kahiñ Naar Hai
Ko-ee Jaan Bas Ke Mahak Rahi Kisi Dil Me Us Se Khatak Rahi
Nahiñ Us Ke Jalwe Me Yak Rahi Kahiñ Phool Hai Kahiñ Khaar Hai
Wo Jisay Wahabiya Ne Diya Hai Laqab Shaheed o Zabeeh Ka
Wo Shaheed Laila e Najd Tha Wo Zabeeh e Taigh e Khiyaar Hai
Ye Hai Deeñ Ki Taqwiyat Us Ke Ghar Ye Hai Mustaqeem Siraat e Shar
Jo Shaqi Ke Dil Me Hai Gaaw-Khar To Zabaañ Pe Choorha Chamaar Hai
Wo Habeeb Pyaara To Umr Bhar Kare Faiz o Jood Hee Sar Basar
Aray Tujh Ko Khaaye Tap e Saqar Tere Dil Me Kis Se Bukhaar Hai
Wo RAZA Ke Neze Ki Maar Hai Ke ‘Adu Ke Seena Me Ghaar Hai
Kisay Chaarah Jo-ee Ka Waar Hai Ke Ye Waar-Waar Se Paar Hai
Imaan Hai Qaal e Mustafa-ee
Imaan Hai Qaal e Mustafa-ee
Qur’aan Hai Haal e Mustafa-ee
Allah Ki Saltanat Ka Dulha
Naqsh e Timsaal e Mustafa-ee
Kul Se Baala Rusul Se A’laa
Ijlaal o Jalaal e Mustafa-ee
Ashaab Nujoom e Rahnuma Haiñ
Kashti Hai Aal e Mustafa-ee
Idbaar Se To Mujhe Bacha Le
Pyaare Iqbaal e Mustafa-ee
Mursal Mushtaaq e Haq Haiñ Awr Haq
Mushtaaq Wasaal e Mustafa-ee
Khwahaan e Wisaal e Kibriya Haiñ
Jooyaan e Jamaal e Mustafa-ee
Mahboob o Muhib Ki Milk Hai Aik
Kaunain Haiñ Maal e Mustafa-ee
Allah! Na Choote Dast e Dil Se
Daamaan e Khayaal e Mustafa-ee
Haiñ Tere Supurd Sab Ummeedeñ
Ay Jood o Nawaal e Mustafa-ee
Roshan Kar Qabr Be-Kasoñ Ki
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Andheyr Hai Be Tere Mera Ghar
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Mujh Ko Shab e Gham Dara Rahi Hai
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Aankhoñ Me Chamak Ke Dil Me Aa Jaa
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Meri Shab e Taar Din Banaa De
Ay Sham’ e Jamaal e Mustafa-ee
Chamka De Naseeb e Bad-Naseebaañ
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Qaz’zaaq Haiñ Sar Pe Raah Gum Hai
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Chaaya Aankhoñ Talay Andhera
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Dil Sard Hai Apni Lau Lagaa De
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Ghanghoor Ghata-eñ Gham Ki Cha-eeñ
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Bhat’ka Huñ Tu Raasta Bata Jaa,
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Faryaad Dabaati Hai Siyaahi
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Mere Dil e Murda Ko Jila De
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Aankheñ Teri Raah Tak Rahi Haiñ
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Dukh Me Haiñ Andheri Raat Waale,
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Taareek Hai Raat Ghamzadoñ Ki
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Ho Dono Jahaañ Me Munh Ujaala
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Taareeki e Gor Se Bachaana
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Purnoor Hai Tujh Se Bazm e ’Aalam
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Ham Teerah Diloñ Pe Bhi Karam Kar
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Lil’laah Idhar Bhi Ko-ee Phera
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Taqdeer Chamak Ut’the RAZA Ki
Ay Sham’e Jamaal e Mustafa-ee
Zar’re Jhar Kar Teri Pezaaroñ Ke
Zar’re Jhar Kar Teri Pezaaroñ Ke
Taaj e Sar Bante Haiñ Sayyaroñ Ke
Hum Se Choroñ Pe Jo Farma-eñ Karam
Khil’at e Zar Baneñ Pushtaaroñ Ke
Mere Aaqa Ka Wo Dar Hai Jis Par
Maathe Ghis Jaate Haiñ Sardaaroñ Ke
Mere Esa Tere Sadqe Jaawuñ
Taur Be-Taur Haiñ Bimaaroñ Ke
Mujrimo! Chashm e Tabas’sum Rakho
Phool Ban Jaate Haiñ Angaaroñ Ke
Tere Abru Ke Tasad’duq Pyaare
Band Kar’re Haiñ Giriftaaroñ Ke
Jaan o Dil Tere Qadam Par Waare
Kya Naseebe Haiñ Tere Yaaroñ Ke
Sidq o Adl o Karam o Himmat Me
Chaar Soo Shohre Haiñ In Chaaroñ Ke
Behr e Tasleem e Ali Maidaañ Me
Sar Jhuke Rehte Haiñ Talwaaroñ Ke
Kaise Aaqa-oñ Ka Banda Huñ RAZA
Bol Baale Meri Sarkaaroñ Ke
Sar Soo e Rauza Jhuka Phir Tujh Ko Kya
Sar Soo e Rauza Jhuka Phir Tujh Ko Kya
Dil Tha Saajid Najdiya Phir Tujh Ko Kya
Bait’the Uth’te Madad Ke Waaste
Ya Rasool’Allah Kaha Phir Tujh Ko Kya
Ya Gharaz Se Chat’ke Mahz Zikr Ko
Naam e Paak Un Ka Japa Phir Tujh Ko Kya
Be-Khudi Me Sajda e Dar Ya Tawaaf
Jo Kiya Ach’cha Kiya Phir Tujh Ko Kya
Un Ko Tamleek e Maleek Ul Mulk Se
Maalik e ’Aalam Kaha Phir Tujh Ko Kya
Un Ke Naam e Paak Par Dil Jaan o Maal
Najdiya Sab Taj Diya Phir Tujh Ko Kya
Ya ’Ibaadi Keh Ke Ham Ko Shaah Ne
Apna Banda Kar Liya Phir Tujh Ko Kya
Deo Ke Bandoñ Se Kab Hai Ye Khitaab
Tu Na Un Ka Hai Na Tha Phir Tujh Ko Kya
Laa Ya’oodoon Aage Hoga Bhi Nahiñ
Tu Alag Hai Daa-ima Phir Tujh Ko Kya
Dasht e Gird o Pesh e Taiba Ka Adab
Makkah Sa Tha Ya Siwa Phir Tujh Ko Kya
Najdi Marta Hai Ke Kyuñ Ta’zeem Ki
Ye Hamaara Deen Tha Phir Tujh Ko Kya
Deo Tujh Se Khush Hai Phir Ham Kya Kareñ
Ham Se Raazi Hai Khuda Phir Tujh Ko Kya
Deo Ke Bandoñ Se Ham Ko Kya Gharaz
Ham Haiñ ‘Abd e Mustafa Phir Tujh Ko Kya
Teri Dozakh Se To Kuch Cheena Nahiñ
Khuld Me Pahuncha RAZA Phir Tujh Ko Kya
Wohi Rab’b Hai Jis Ne Tujh Ko Hama-Tan Karam Banaaya
Wohi Rab’b Hai Jis Ne Tujh Ko Hama-Tan Karam Banaaya
Hameñ Bheek Maangne Ko Tera Aastaañ Bataaya
Tujhe Hamd Hai Khudaaya
Tumheeñ Haakim e Baraaya Tumheeñ Qaasim e ’Ataaya
Tumheeñ Daaf’e Balaaya Tumheeñ Shaaf’e Khataaya
Ko-ee Tum Sa Kaun Aaya
Wo Kuñwari Paak Maryam Wo ہـِْ
ـَ ـَ� ْفـَ خ ـُتف ـِي
و Ka Dam
Hai ‘Ajab Nishaan e Aa’zam Magar Aamina Ka Jaaya
Wohi Sab Se Afzal Aaya
Yahi Bole Sidra Waale Chaman e Jahaañ Ke Thaalay
Sabhi Maiñ Ne Chaan Daale Tere Paaye Ka Na Paaya
Tujhe Yak Ne Yak Banaaya
Ye Mila Hai Tum Ko Mansab
Jo Gada Bana Chuke, Ab Ut’tho Waqt e Bakhshish Aaya
Karo Qismat e ’Ataaya
و Karo ‘Arz Sab Ke Matlab,
Ke Tumheeñ Ko Takte Haiñ Sab Karo Un Par Apna Saaya
Bano Shaaf’e Khataaya
Aray Ay Khuda Ke Bando! Ko-ee Mere Dil Ko Dhoondo
Mere Paas Tha Abhi To, Abhi Kya Huwa Khudaaya
Na Ko-ee Gaya Na Aaya
Hameñ Ay RAZA Tere Dil Ka Pata Chala Ba-Mushkil
Dar e Rauza Ke Muqaabil Wo Hameñ Nazar To Aaya
Ye Na Pooch Kaisa Paaya
Kabhi Khandah Zer Lab Hai Kabhi Girya Saari Shab Hai
Kabhi Gham Kabhi Tarab Hai Na Sabab Samajh Me Aaya
Na Usi Ne Kuch Bataaya
Kabhi Khaak Par Para Hai Sar e Charkh Zer e Paa Hai
Kabhi Pesh e Dar Khara Hai Sar e Bandagi Jhukaaya
To Qadam Me ‘Arsh Paaya
Kabhi Wo Tapak Ke Aatish Kabhi Wo Tapak Ke Baarish
Kabhi Wo Hujoom e Naalish Ko-ee Jaane Abr Chaaya
Bari Joshishoñ Se Aaya
Kabhi Wo Chehak Ke Bulbul Kabhi Wo Mahak Ke Khud Gul
Kabhi Wo Lehak Ke Bilkul Chaman e Jinaañ Khilaaya
Gul e Quds Lehlahaaya
Kabhi Zindagi Ke Armaañ Kabhi Margh e Nau Ka Khwahaañ
Wo Jiya Ke Marg Qurbaañ Wo Mawa Ke Zeest Laaya
Kahe Rooh, Haañ Jilaaya
Kabhi Gum Kabhi ‘Iyaañ Hai Kabhi Sard Gah Tapaañ Hai
Kabhi Zer e Lab Faghaañ Hai Kabhi Chup Ke Dam Na Thaaya
Rukh e Kaam Jaañ Dikhaaya
Ye Tasaw’wuraat e Baatil Tere Aage Kya Haiñ Mushkil
Teri Qudrateñ Haiñ Kaamil Unheñ Raast Kar Khudaaya
Maiñ Unheñ Shafee’ Laaya
Lahad Me Ishq e Rukh e Shah Ka Daagh Le Ke Chale
Lahad Me Ishq e Rukh e Shah Ka Daagh Le Ke Chale
Andheri Raat Suni Thee Charaagh Le Ke Chale
Tere Ghulaamoñ Ka Naqsh e Qadam Hai Raah e Khuda
Wo Kya Bahak Sakay Jo Ye Suraagh Le Ke Chale
Jinaañ Banegi Muhib’baan e Chaar Yaar Ki Qabr
Jo Apne Seene Me Ye Chaar Baagh Le Ke Chale
Gaye, Ziyaarat e Dar Ki, Sad Aah Waapas Aaye
Nazar Ke Ashk Pich’che Dil Ka Daagh Le Ke Chale
Madina Jaan e Jinaan o Jahaañ Hai Wo Sun Leñ
Jinheñ Junoon e Jinaañ Soo e Zaagh Le Ke Chale
Tere Sahaab e Sukhan Se Na Nam Ke Nam Se Bhi Kam
Baleegh Bahr e Balaaghat Balaagh Le Ke Chale
Huzoor e Taiba Se Bhi Ko-ee Kaam Bar’h Kar Hai
Ke Jhoote Heele Makr o Faraagh Le Ke Chale
Tumhaare Wasf e Jamaal o Kamaal Me Jibreel
Muhaal Hai Ke Majaal o Masaagh Le Ke Chale
Gilaah Nahiñ Hai Mureed Rasheed e Shaitaañ Se
Ke Us Ke Wus’at e Ilmi Ka Laagh Le Ke Chale
Har Aik Apne Baray Ki Bara-ee Karta Hai
Har Aik Mugbachah Mugh Ka Ayaagh Le Ke Chale
Magar Khuda Pe Jo Dhab’ba Darogh Ka Thopa
Ye Kis La’eeñ Ki Ghulaami Ka Daagh Le Ke Chale
Wuqu’ e Kizb Ke Ma’ni Durust Awr Qud’doos
Hiye Ki Phoote ‘Ajab Sabz Baagh Le Ke Chale
Jahaañ Me Ko-ee Bhi Kaafir Sa Kaafir Aisa Hai
Ke Apne Rab’b Pe Safaahat Ka Daagh Le Ke Chale
Pari Hai Andhe Ko ‘Aadat Ke Shorbe Hee Se Khaaye
Bat’eyr Haath Na Aayi To Zaagh Le Ke Chale
Khabees Behr e Khabeesa, Khabeesa Behr e Khabees
Ke Saath Jins Ko Baaz o Kulaagh Le Ke Chale
Jo Deen Kaw’woñ Ko De Baithe Unko Yaksaañ Hai
Kulaagh Le Ke Chale Ya Ulaagh Le Ke Chale
RAZA Kisi Sag e Taiba Ke Paa-oñ Bhi Choome
Tum Awr, Aah! Ke Itna Dimaagh Le Ke Chale
Ambia Ko Bhi Ajal Aani Hai
Ambia Ko Bhi Ajal Aani Hai
Magar Aisi Ke Faqat Aani Hai
Phir Usi Aan Ke Baad Un Ki Hayaat
Misl e Saabiq Wahee Jismaani Hai
Rooh To Sab Ki Hai Zinda, Un Ka
Jism Pur Noor Bhi Ruhaani Hai
Awroñ Ki Rooh Ho Kitni Hee Lateef
Un Ke Ajsaam Ke Kab Saani Hai
Paa-oñ Jis Khaak Pe Rakh Deñ Wo Bhi
Rooh Hai Paak Hai, Noorani Hai
Us Ke Azwaaj Ko Jaa-iz Hai Nikah
Us Ke Tirka Bat’ay Jo Faani Hai
Ye Haiñ Hayy e Abadi Un Ko Raza
Sidq e Wa’da Ki Qaza Maani Hai