Bulalo Phir Mujhe Aye Shah E Behrobar Madine

Bulaalo phir Mujhe Aye Shaahe Bahrobar Madine mein
Mein Phir Rota hua aaun Tere Dar par Madine mein

Mein Pahunchun Koo-e-Jaanan mein girebaan chaak Seena chaak
Giraa de kaash Mujhko shoq Tadpa kar Madine mein

Bulaalo phir Mujhe Aye Shaahe Bahrobar Madine mein
Mein Phir Rota hua aaun Tere Dar par Madine mein

Madine jaane walon jaao jaao FI-AMAANILLAH
Kabhi toh Apna bhi lag jaayega Bistar Madine mein

Bulaalo phir Mujhe Aye Shaahe Bahrobar Madine mein
Mein Phir Rota hua aaun Tere Dar par Madine mein

Salaame Shouq kehna Hajiyon Mera bhi Ro Ro kar
Tumhein Aaye nazar jab Rozaa-e-Anwar Madine mein

Bulaalo phir Mujhe Aye Shaahe Bahrobar Madine mein
Mein Phir Rota hua aaun Tere Dar par Madine mein

Payaame Shouq lete jaao Meraa Qaafile waalo
Sunaana Daastane Gham Meri Ro kar Madine mein

Bulaalo phir Mujhe Aye Shaahe Bahrobar Madine mein
Mein Phir Rota hua aaun Tere Dar par Madine mein

Paye Tableeghe Sunnat Tu Jahan rakhe magar Aye Kash
Mein Khwabon mein Pahunchtaa hi rahun aksar Madine mein

Bulaalo phir Mujhe Aye Shaahe Bahrobar Madine mein
Mein Phir Rota hua aaun Tere Dar par Madine mein

Madina Is liye ATTAR Jaano Dil se hai Pyaara
Ke rehte hein Mere Aaqa Mere Dilbar Madine mein

हिंदी :

बुलालो फिर मुझे अये शाहे बहरोबार मदीने में
में फिर रोटा हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में

में पहुंचूं कू-इ-जाना में , गिरेबां चाक सीना चाक
गिरा दे काश मुझको शोक तड़पा कर मदीने में

बुलालो फिर मुझे अये शाहे बहरोबार मदीने में
में फिर रोटा हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में

मदीने जाने वालों जाओ जाओ फि अमानिल्लाह
कभी तो अपना भी लग जाएगा बिस्तर मदीने में

बुलालो फिर मुझे अये शाहे बहरोबार मदीने में
में फिर रोटा हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में

सलामे शोक कहना हाजियों मेरा भी रो रो कर
तुम्हें आये नज़र जब रोज़ा-इ-अनवर मदीने में

बुलालो फिर मुझे अये शाहे बहरोबार मदीने में
में फिर रोटा हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में

पयामे शोक लेते जाओ मेरा काफिले वालों
सुनाना दास्ताने ग़म मेरी रो कर मदीने में

बुलालो फिर मुझे अये शाहे बहरोबार मदीने में
में फिर रोटा हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में

पए तबलीग़े सुन्नत तू जहाँ रखे मगर अये काश
में ख्वाबों में पहुँचता ही रहूं अक्सर मदीने में

बुलालो फिर मुझे अये शाहे बहरोबार मदीने में
में फिर रोटा हुआ आऊं तेरे दर पर मदीने में

मदीना इस लिए अत्तार जानो दिल से है प्यारा
के रहते हैं मेरे आक़ा मेरे दिलबर मदीने में

Leave a Comment