Ahle Baite Paak Par Ye Jaan Bhi Qurban Hai Lyrics

Ahle Baite Paak Par Ye Jaan Bhi Qurban Hai Lyrics

 

Ahle Bait E Paak Par Ye Jaan Bhi Qurban Hai
Unki Ulfat Hi Mere Imaan Ki Pehchaan Hai

Naujawaane Ahle Jannat Ka Wahi Sultan Hai
Karbala Mein Aaj Dekho Besaro Samaan Hai

Ye Hai Apne Rab Razi Inse Khush Rehmaan Hai
Mat Kaho Murda Inhe Qur’an Ka Aailaan

Mustafa O Murtaza O Fatima Hasan O Husain
Panjatan Ke Dar Ka To Jebreel Bhi Darbaan Hai

Sabr Jo Tumne Kiya Hai Aur Koi Kya Kare
Sabr E Ahle Bait Par Khud Sabr Bhi Hairaan Hai

Hai Ali Akbar Bhi Qurban Aur Ali Asgar Nisaar
Qasim O Abbas Bhi Tere Liye Qurbaan Hai

Jo Chaman Phoola Phala Tha Shaad Tha Aabaad Tha
Nada haaye Kya Hua Saara Chaman Veeraan Hai

Aakhri Deedar Kar Lo Fatima Ke Laal Ka
Jaa Raha Hai Su E Jannat Kya Anokhi Shaan Hai

Sar Ko Sajde Mein Kata Kar Deen Ko Zinda Kya
Ummat E Aasi Pe Maula Aapka Ehsaan Hai

Shehr E Yaar E Karbala E Mazhar E Sheyr E Khuda
Main Fida Ho Jaau Tum Par Ye Mera Armaan Hai

Kaash Hum Hote Waha Aur Aap Pe Jaan Waarte
Jo Na Tum Par Ho Fida Wo Jaan Hi Kya Jaan Hai

Hai Nujum E Rehnuma Saare Sahaba Ahle Bait
Naau Hai Ahle Sunan Ki Raasta Aasaan Hai

Tu Nawasa Kis Ka Hai Nisbat Husaini Hai Teri
Sayyed E Khasta Teri Nusrat Wo Nana Jaan hai

 

HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ba Misl Hazrat Haroon..✍*“`

🌹●⚬🌹⚬🌹◆🌹⚬🌹⚬●🌹

_*🌷💎🌷”Hazrat Saad رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allah صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Farmaya*_

_*🌷💎🌷 “Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai..?*_

_*🌷💎🌷 “Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye Me Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”*_

_*📘[ Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416 ]📘*_

_*📗[Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404]📗*_

​​■ᆖᆖᆖᆖᆖᆖᆖ◈🔮◈ᆖᆖᆖᆖᆖᆖ◆

_*📘Aur Bukhari Muslim ki Dusri rivayat Me.📕*_

​​■ᆖᆖᆖᆖᆖᆖᆖ◈🔮◈ᆖᆖᆖᆖᆖᆖ◆

_*🌷💎👉🏼“Tum Mere Liye Aise Hi Ho Jaise Moosa K Nazdeek Haroon Ka Makam Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi..✍*_

_*📔[Sahi Muslim, Vol : Pg : Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 2404]📔*_

_*📕[Sahi Bukhari, Vol : Pg : Kitab No 62 Fazail E Ashabun Nabi, Baab : Manakib E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 3706]📕*_

“Hazrat Abdullah Ibn Masood رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivyata Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya ALI KO DEKHNA IBADAT HAI..✍*_

_*​📚 [ IMAM AL MUSTADRAK, Vol : 04, Pg : 118, Hadees : 4737 ] 📚​*_

 

🌃 ” عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم*

‏ *”‏ الْحَسَنُ وَالْحُسَيْنُ سَيِّدَا شَبَابِ أَهْلِ الْجَنَّةِ وَأَبُوهُمَا خَيْرٌ مِنْهُمَا ‏”*‏ ‏

_*🌹💎 “Hazrat Abdullah Ibn Umar Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya*_

_*🌹🇸🇦 “Hasan Aur Hussain Jannati Nawjawano k Sardar Hai Aur Unke walid Unse Afzal Hai”*_

_*📘[ Sunan Ibn Majah Vol :01, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama Hadees : 123 ]📘*_

🌹●⚬🌹⚬🌹◆🌹⚬🌹⚬●🌹

_*“`🌹✊ “HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO DEKHNA IBADAT HAI..✍🏻*_“`

 

”Huzoor E Akram صلى الله عليه وآله Ka FARMAAN ALI MERE BHAI HAI ..✍*

🌹●⚬🌹⚬🌹◆🌹⚬🌹⚬●🌹

_*📜🌹📜 “Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه se rivyata Hai Jab Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Madina Munawara me Muhajireen Aur Ansar k darmiyan Bhai chara kayam farmaya.*_

​​•┈┈┈┈•••••✦◆💠◆✦••••┈┈┈┈•​

_*📜🌹📜 “To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه is haal me Nabi E Karim صلى الله عليه وآله kay pass tashrif laaye k Aapke aankho se aansu jaari the Aapne Farmya YA RASOOL ALLAH aapne Sahaba k Kayam Bhaichara Farmaya Lekin Kisi ne Mujhe Bhai Naa Banaya. Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Farmaya*_

‏ *💎🌹أَنْتَ أَخِي فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ*

_*🌹💎 “Yaani Tum Dunya Aur Aakhirat Me Mere Bhai Ho”*_

_*📘[ Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 401, Kitab No 49 kitabul Manakib, Hadees : 4086 “English Book No : 46, Hadees : 3720 ]📘*_

_*📜🌹📜 “Is Hadees ki Shara Me Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahimullah Likhte Hai*_

_*📜🌹📜“Yaani Tum Rishte Me Bhi Mere CHACHA JAAD BHAI ho Aur Ab is Akde Muaakhat Me Bhi Yani bhai chara Kayam karne me bhi Mere Bhai Ho Magar Khayal Rahe Kabhi Hazrat Ali Ne Huzoor Nabi E Karim Ko APNA BHAI KEH KAR NA PUKARA Jab Bhi Pukara Hai YA RASOOL ALLAH keh ke hi pukara Hai, To phir kisi Aire gaire Ko bhai kahke Pukarne Ka Haq Kaisa Hoga ?..✍*_

_*📚[ Miratul Manajih Shara E Mishkat Ul Masabih, Vol : 08, Pg : 418 ]📚*_

*

”HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO HUZOOR NABI E AKRAM صلى الله عليه و آله وسلم KA AZEEM TABARRUK.*“`

🌹●⚬🌹⚬🌹◆🌹⚬🌹⚬●🌹

_*🛡⚜🛡 “Ye Wakya Hai Jung E Khaibar k kabl ka Jab Jung Fateh nahi horhi thi us wakt Maula E Kaynaat k Aankho Me Bahot Takleef Thi*_

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•​

🌹📜 ⒽⒶⒹⒺⒺⓈ 📜🌹​

​ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•​

_*🛡⚜🛡”Hazrat Sahl Bin Saad Farmate Hai Rasool E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Khaybar k Din Irshad Farmaya Kal Mai Ye Jhanda Aise Shaks Ko Dunga Jiske Haath ALLAH Taala Fateh Dega Woh ALLAH AUR USKE RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم se Muhabbat Rakhta Hai aur ALLAH AUR USKA RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم US Se Mohabbat Karte Hai Agle Roz Subah Har Insaan Ye Ummid Rakhta Tha K Jhanda Us Se Diya Jayga.*_

•┈┈┈┈•••••✦◆💠◆✦••••┈┈┈┈•​

_*📜⚜📜 “Farmaya Ali ibn Abu Talib Kaha Hai ?*_

•┈┈┈┈•••••✦◆💠◆✦••••┈┈┈┈•​

_*🛡⚜🛡”Logon Ne Arz Kiya Yaa Rasool ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم unki Aankhe Dukhti Hai Unhe Bulaya gaya HUZOOR NABI E KARIM ne APNA LUAAB E MUBARAK Nikala Aur Hazrat Ali Ki aankho Me Lagaya wo aise theek hogaye Jaise pahle dard tha hi nahi aur Jhanda unhe de diya gaya Maula E Kaynaat ne Pucha YAA RASOOL ALLAH kya Mai unse us wakt tak ladu jab tak Musalmaan na hojaye ..?*_

•┈┈┈┈•••••✦◆💠◆✦••••┈┈┈┈•​

_*🛡⚜🛡”Farmaya Narmi Ekteyar Kar Jab Tak K Tum Unke Maidan Me Naa Utar Jaao Phir Unhe Islaam Ki Dawat Do Aur ALLAH k Jo Hukook Unpe Hai wo unhe Batao Allah Ki Kasam Koi Ek Shaks Ko Bhi Tumhare Jariye Se Hidayat Mil Jaaye.*_

•┈┈┈┈•••••✦◆💠◆✦••••┈┈┈┈•​

_*🛡⚜🛡”Ye Tumhare Liye Is baat se Accha Hai k Tumhare Paas Surkh Oont Ho”*_

_*📘[Sahi Bukhari Vol : 05 Pg :170 , Kitab No 56 Kitabuz Jihad, Baab : باب فَضْلِ مَنْ أَسْلَمَ عَلَى يَدَيْهِ رَجُلٌ Hadees : 3009]📘*_

_*📕[ Sahi Bukhari, Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Khaibar, Hadees : 4210 ]📕*_

_*📔[ Sahi Muslim Vol : 04, Pg : 210, Kitab No 44 Fazail E Sahaba RadiAllaho Taala Alaihim Azmain, Baab : Manakib E Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2406, “English : Book 44 Hadees : 53]📔*_

_*🛡⚜🛡 “Is Topic Jung E Khaybar ki tareekh k liye deegar kutoob e Seerat aur bhi bahot si kitab padhe to kaafi maloomat hogi*_

•┈┈┈┈•••••✦◆💠◆✦••••┈┈┈┈•​

_*🛡⚜🛡 “Ab Is Hadees E Paak Ko Padhe To Kaafi Cheez Isme Jaahir Hoti Hai..✍*_

*

Leave a Comment