Aayi Shabe Baraat Yeh Qismat Ki Bat He Naat Lyrics
Shabe Barat….. Shabe Barat…….. Shabe Barat…….
Shabe Barat….. Shabe Barat…….. Shabe Barat…….
Aayi Shabe Baraat, Yeh Qismat Ki Bat He
Jagun Sari Rat Yeh Ibadat Ki Rat He
Mareze Guahgar Se Tauba Karun Me
Farmane Mustafa He Yeh Shafa’at Ki Rat He
Hogi Qubul Sare Talab Garon Ki Faryad
Bas Dil Se Pukaro Yeh Sama’at Ki Rat He
Sajde Karunga Ashqe Nadamat Bahaunga
Sab Kuch Melyega Mujhe, Yeh Inayat Ki Rat He
Sara Jagan Chhor Kar Masjid Chalo Naadim
Rahmat Hi Rahmat He Yeh Barkat Ki Rat He
पाई शबे बरात ये किस्मत की बात है
Paai Shabe barat ye Kismat Baat Hai Lyrics Hindi And English.
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
पाई शबे बरात ये किस्मत की बात है
जागूँगा सारी रात ये इबादत की रात है
पाई शबे बरात ये क़िस्मत की बात है
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
मर्ज़ ए गुनाह से तौबा करुंगा मैं
फ़रमान ए मुस्तफ़ा है शफ़अ़त की रात है
जागूँगा सारी रात ये इबादत की रात है
पाई शबे बरात ये किस्मत की बात है
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
होगी क़बूल सारे तलबगारों की फ़रियाद
बस दिल से पुकारो ये समाअ़त की रात है
जागूँगा सारी रात ये इबादत की रात है
पाई शबे बरात ये किस्मत की बात है
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
सजदे करुंगा अश्क ए नदामत बहाऊंगा
सब कुछ मिलेगा मुझको इनायत की रात है
जागूँगा सारी रात ये इबादत की रात है
पाई शबे बरात ये किस्मत की बात है
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
सारा जगाना छोड़ के मस्जिद चलो नादिम
रह़मत ही रह़मतें हैं ये बरकत की रात है
जागूँगा सारी रात ये इबादत की रात है
पाई शबे बरात ये किस्मत की बात है
शबे बरात- शबे बरात
शबे बरात- शबे बरात
Voice: Rao Ali Hassnain
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai Lyrics
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai
Jagunga Saari Raat Ye Ibadat Ki Baat Hai
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Marz-e-Gunah Se Tauba Karunga Main
Farman-e-Mustafa Hai Shafa’at Ki Raat Hai
Jagunga Saari Raat Ye Ibadat Ki Baat Hai
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Hogi Qabool Saare Talabgaron Ki Fariyad
Bas Dil Se Pukaro Ye Sama’at Ki Raat Hai
Jagunga Saari Raat Ye Ibadat Ki Baat Hai
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Sajde Karunga Ashk-e-Nadamat Bahaunga
Sab Kuchh Milega Mujhko Inyat Ki Raat Hai
Jagunga Saari Raat Ye Ibadat Ki Baat Hai
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Sara Jagana Chhor Ke Masjid Chalo Nadim
Rahmat He Rahmatein Hain Ye Barkat Ki Raat Hai
Jagunga Saari Raat Ye Ibadat Ki Baat Hai
Paai Shabe Barat Ye Qismat Ki Baat Hai
Shabe Barat- Shabe Barat
Shabe Barat- Shabe Barat
Shab E Baraat
Aajke Is Purfitan Daur Me Wahabi Aur Ahle Khabis Aksar Biddat Biddat Chillate Nazar Aate Hai.
Jab Shabaan Ka Mahina Aata Hai To Ye Log Qaum Ko Gumrah Karne Me Koi Kasar Nahi Chodte
Kehte Hai Ke Shabe Baraat Ki Koi Haqiqat Nahi. Is Raat Qabristan Jana, Isaale Sawab Karna, Roza Rakhna, Ibadate Karna Sab Biddat Hai. Aur Har Bidfat Gumrahi Hai.
Bholi Bhaili Qaum Kam Ilm Hone Ke Wajahse In Makkaro Ki Bato Me Aa Jati Hai.
• Kya Hadees Mein 15wi Shabaan Ki Koi Fazilat Aur Ahmiyat Aayi Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Ko Qabrastan Jana Sunnat Hai?
• Kya Khaas 15wi Shabaan Ki Raat Mein Nawafil Aur Deegar Ibaadaat Karna Sunnat Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ke Din Mein Roza Rakhna Sunnat Hai?
• Kya Shabaan Ke Mahine Mein Pure Saal Ke Aamaal Allah Ki Taraf Uthaye Jaate Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Magfirat Ki Raat Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Rizq Bata Jaata Hai?
• Kya 15wi Shabaan Ki Raat Musibato Se Nijaat Milti Hai Aur Bimariyo Se Shifa Milti Hai?
• Kya Shabe Barat Ko Halwa Banana Jaiz Hai?
In Sare Sawalo Ke Jawab Aapko Yaha Hadees Se Meel Jayge
AYTRAZ
15wi Shabaan Ki Raat Ko Nawafil Ki Kasarat Karna Aur Din Me Roza Rakhna
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor ﷺ Irshad Farmate Hai Jab Shaban Ki 15wi Raat Ho To Raat Ko Qiyaam Karo Din Mein Roza Rakho Kyuki ALLAH ﷻ Iss Raat Meiñ Suraj Guroob Hote Hi Aasmaano Duniya Ki Taraf Mutawajeh Hota Hai Aur Farmata Hai Kaun Mujhse Magfirat Talab Karta Hai Ki Me Use Baksh Doon Kaun Mujhse Rizq e Halaal Talab Karta Hai Ke Me Usey Rozi Doon Kaun Mubtala E Museebat Me Hai Ki Me Use Aafiyat Doon Is Tarah Subah Tak Irshaad Hota Rehta Hai.
(Sunan Ibn Majjah Hadees:-1446)
AIYTRAAZ
Wahabi Ahle Hadees Deobandio Ka Sawal
15wi Shaban Tum Log Jho Kabrstan Par Jaate Ho Wo Hadees Se Sabit Karo? Shirk Hai Biddat Hai
JAWAB
Are Nadaan 15 Vi Shabaan Qabrstan Par Jaan Sunnat Hai Biddat Ya Shirk Nahi*
Hazrat Aaysha Siddiqa رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها Farmati Hai Ek Raat Maine Huzoor ﷺ Ko Na Paaya To Main Aap ﷺ Ki Talaash Mein Nikli Kya Dekhti Hu Ki Aap ﷺ Jannat Ul Baqi (Qabristan) Mein Hai
Aap ﷺ Ne Farmaya Kya Tujhe Dar Huwa Ki ALLAH Aur Uska Rasool Tujh Par Zulm Karega?
Maine Arz Kiya, Yaa Rasool Allah ﷺ Maine Socha Shayad Aap Kisi Dusri Zawja Ke Yaha Tashreef Le Gaye
Aap ﷺ ِNe Farmaya Allah Ta’ala 15 wi Shaban Ki Raat Ko Aasmano Duniya Par (Jaisa Ki Uski Shaan Ke Laayak Hai) Uttarta Hai Aur Banu Kalb Qabile Ki Bakriyo Ke Balo Se Zyada Logi Ko Bakshta Hai
(Tirmizi Sharif, Abwaab ul Sawm, Jild 1, Safa 403, Baab Maaja a fi Lailatin Nisfi min Shabaan, Hadees No 718,)
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi Shabaan Ki Raat Mein ALLAH Ka Bando Par Khaas Fazl Hota Hai Is liye Bando Ko Chahiye Ki Iss Raat Mein Shab Bedaari Kare Aur ALLAH Ka Zikr Kare Aur Gaflat Ki Neend Na Soye Aur 15wi Shabaan Ki Raat Ko Khaas Qabrastaan Jana Bhi Iss Hadees Se Sabit Huwa. Kyuki Huzoor ﷺ Khud Is Raat Ko Jannatul Baqi Tashreef Le Gaye.
Kuch Log Kehte Hain Ke Is Raat Ko Qabrastan Jaane Ka Hukm Nahi Farmaya Aur Har Saal Jaane Ka Bhi Zikr Nahi Ye Biddat Hai Is Zimn Mein Hamara Ye Kehna Hai Ki Huzoorِ ﷺ Ka Koi Bhi Amal Chahe Us Mein Logo Ke Liye Hukm Ho Ya Na Ho Sunnat Hota Hai Hum Is Liye Khaas Qabrastaan Jate Hai Kyuki Khud Huzoor ﷺ Gaye
Ab Kis Shaks Ko Jaana Ho Woh Jaaye Aur Jisse Na Jaana Ho Woh Na Jaaye Kyuki Ye Mehez Sunnat Hai Koi Farz Ya Wajib Amal Nahi. Magar Kisi Ko Jaane Se Rokna Mehez Jahalat Hai Ki Nabi Ki Ek Sunnat Se Rokna Huwa.
NOTE:
Imam Tirmizi رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Aur Aur Isi Tarha Imam Ibne Majah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Bhi Khaas 15wi Shabaan Ki Fazilat Par Baab Kayam Karna Ye Unke Aqeede Par Dalaalat Karta Hai Ki Imam Tirmizi Aur Imam Ibne Majah Ka Bhi Ye Aqeeda Tha Ki 15wi Shabaan Ki Raat Ko Aap Fazilatwali Raat Maante The Agar Is Raat Ki Koi Haqeeqat Na Hoti To Aap Aisa Unwaan Kyu Qayam Farmate? Kyu Wo Khasul Khas Baab Shabaan Ke Namse Qayam Farmate? Unhe Bhi Nahi Maloom Tha Ke Ye Biddat Hai? Aaj 1400 Saal Baad Ek Jahil Giroh Nikal Pada Hai Jinka Dawa Quran Hadees Magar Naa To Talluk Quran Se Hai Naa Hadees Ka Fahem Hai
AIYTRAAZ
Wahabi Ahle Hadees Deobandio Ka Sawal
15wi Shaban Tum Log Jho Raat Me Khaas Ibadat Karte Ho Nafl Namaze Roze Rakhte Ho Hadees Se Sabit Karo
JAWAB
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Farmate Hain Ki Rasool Allah ﷺ Irshad Farmate Hai Jab Shabaan Ki 15wi Raat Ho To Raat Ko Qiyaam Karo Din Mein Roza Rakho Kyuki ALLAH ﷻ Iss Raat Me Suraj Guroob Hote Hi Aasmaano Duniya Ki Taraf Mutawajeh Hota Hai Aur Farmata Hai Kaun Mujhse Magfirat Talab Karta Hai Ki Me Use Baksh Dun Kaun Mujhse Rizq E Halaal Talab Karta Hai Ke Me Use Rozi Dun Kaun Mubtala E Museebat Me Hai Ki Me Use Aafiyat Dun Is Tarah Subah Tak Irshaad Hota Rehta Hai.
(Sunan Ibne Majah, Jild 1, Baab Maaja fi Lailatin Nisfi Min Shabaan, Safah 398,Hadees No.1446)
Is Hadees Se Pata Chala Ki 15wi Shabaan Ki Raat Ko Nawafil Padhna Aur Ibadaat Karna Sunnat Hai Aur Din Mein Roza Rakhna Bhi Is Hadees Se Sabit Huwa.
AIYTRAAZ
Wahabi Deobandi Kehty Hain Ki Shab E Baraat Ka Halwa Khaana Kaha Se Sabit Hai? Ye To Haram Hai Shirk Hai Bidd’at Hai
Hadees Batane Se Pehle Wahabi Deo Ke Bandaro Se Mera Ek Chota Sa Sawal Hai
Dudh Halal Hai Us Dudh Me Agar Chawal Dalo To Kheer Aur Rawwa Dalo To Halwa Wo Dono Bhi Jaiz Usme Shakkar (chini) Daali Tab Bhi Tere Nazdik Wo Sab Jaiyz Kaju Kismis Daal Diya Tab Bhi Khana Halal Hai Last Me Jab Uspar Quran Ki 2 Aayat E Kya Padhdi Wo Khana Tere Nazdik Haram Ho Gaya* Kawwa Kahana Tumare Nazdik Halal Hai Lekin Halwa Haram
Khair Hadees Ki Taraf Aate Hai
Umool Momineen Hazrat Bibi Ayesha Siddiqua Tahira رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها Se Rivayat Hai Ke Huzoor ﷺ Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The.
( Sahih Bukhari Volume : 02, Kitab No 76 Al Tibb, Hadees :5682)
Pata Chala Halwa To Khud Huzoor ﷺ Ko Pasand Tha Isliye Ahle Sunnat Khoob Khate Hai Ab Khud Faisla Karlo Jo Cheez Aaqa ﷺ Ko Pasand Hai Tum Uska Mazaak Udhaao To Tum Kaun Ho? Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho Pe Pyaar Aaya Hai To Hum Kya Kare? Aur Ek Ahem Baat Halwa Khana Haraam Shirk Biddat Bolte Hai Aur Jarur Khane Pehle Aate Hai Isliye Hamare Imam Aalahazrat Azeemul Barkat Rehmatullah Alaihi Kya Khoob Farmate Hai
Tera Khaye Tere Gulamo Se Uljhe Hai Munkeer Ajab Khane Gurranewaale
Khaate Hai Sunni Halwa Sarkar Ke Karam Se Dekho To Najdiyon Ko Kawwo Pe Pyaar Aaye
Hazrat Anas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai Jab Huzoor ﷺ Ne Hazrat Zainab رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها Ne Hais (Sattu, Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq Me Rakha Aur Mujhe Kaha Ise Huzoor ﷺ Ki Khidmat E Aqdas Me Le Jao Main Khidmat E Aqdas ﷺ Me Hazir Huwa To Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jao Aur Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao Mujhe Jo Mila Bula Laaya Aur Huzoor ﷺ Ne Dua Padha Aur Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha Wo Aapne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Aur Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Huzoor ﷺ Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Huzoor ﷺ Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe.
Us Wakt Allah Ta’ala Ne Ye Aayat Nazil Farmayi
Aye Imaan Waalo Huzoor ﷺ Ke Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo Na Khane Ke Wakt Takte Raha Karo Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane Ke Baad Chale Jaya Karo Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Huzoor ﷺ Ko Taklif Deti Hai Magar Wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Aur Allah Ta’ala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta.
(Surah Ahzaab, Para 21, Ayat 53, Tarzuma Kanzul Imaan)
(Sahi Muslim Volume : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh Ke Nikah Ka Bayan Aur Hizab Ke Mutaalik Nuzool-E-Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)