SAFINA E BAKHSHISH LYRICS

SAFINA E BAKHSHISH LYRICS

 

Table of Contents

ALLAH, ALLAH, ALLAHU

Allah-Allah Allahu
Maa Li Rab’bun Il’laa-Hu
Allah-Allah Allahu

Yafnal Kul’lu Wa Yabqaa Hu
Laisal Baaqi Il’laa Hu

 

Man Kaana Du’aahu Ay-yaahu
Dhaaka Hameedun Uqbaa-Hu

Man Kaana Li Rab’bi Dunyaahu
‘Aasha Sa’eedan Ukh-Raa-Hu

Man Kunta Ilaahi Mawlaahu
Kul’lun Naasi Tawal’laa-Hu

Mam-Maata Yaqoolu Allahu
Dhaakal Khaalidu Mahyaa-Hu

Ruslul’laahi Talaq’qaahu
Ab-shir Abdu Bi Husnaa-Hu

Ar Ridwaanu Lahu Nuzulun
Jannatu Khuldim Ma-Waa-Hu

Takh-shan-naasa Bilaa Jadwaa
Hal’laa Rab’baka Takh-shaa-Hu

Ib-ghil Amna Ladaa Rab’bi
In’nal Amna Bi Taq-Waa-Hu

Tansaa Rab’baka Yaa Faani
Dum In Shi’ta Bi Zikraa-Hu

 

Tarjun-naasa Li Jad-Waa-Hum
In’nal Jadwaa Jad-Waa-Hu

 

Hal Ghairaka Yakh-shaa Rib’bi-yun
Ghairuka Rab’bi Yakh-Shaa-Hu

Rab’bi Rab’bul Ar-baabi
Laysa Yudaahaa Haa-Shaa-Hu

Fa-Siwaa-Hu Rab’bum Bil Ismi
Wa Ilaahul Haq’qi Yar-‘Aa-Hu

 

Al Waahidu Laysa Bi Dhi-Juz-In
Laa Waahida Haq’qan Il’laa-Hu

 

Al-Khalqu Maraaya Maujoodin
Laa Maujooda Il’laa-Hu

Wal Kul’lu Mazaahiru Mash-Hoodin
Laa Mash-Hooda Il’laa-Hu

Fardun Haq’qa Ilaaha-Tu-Hu
Laa Ma’booda Il’laa-Hu

Wan-Hal’la Salaatul’laahi ‘Alaa
Mal-Laysa Shafi’an Il’laa-Hu

Mam Bid-Deeni Ah-Yaanaa
Hay’y-Allahu Muhay’yaahu-Hu

‘Am-mal Kauna Bi Rahmatihi
Kul’lur Ruhmaa Ruhmaa-Hu

Waz-daana Bilaadul’laahi Bihi
Fal-kul’lu Zalaamun Lawlaa-Hu

Waz-daana Bilaadul’laahi Bihi
Fal-Kawnu Zalaamun Lawlaa-Hu

Jaa’a Jameel ur Rahmaani
Fash-kur Taz-dad Na’maa-Hu

Hal’lal Farhu Bi Mawlidihi
Faf-rah Hat’taa Talqaa-Hu

Qadd-neeta Hayaat ul Kawni Bihi
Fal-Kawnu Adeemul-Lawlaa-Hu

Yaa May Yatlubu Ridwaanaa
Mar-Ridwah Il’laa Iy’yaa-Hu

Kul-Li Nabiy’yil’laahi Ridaa
Tahza Ladayhi Bi Zulfaa-Hu

In’nan Ni’mata Ahmadunaa
Yaa Taaliba Ni’mati Maulaa-Hu

In’nan Ni’mata Ahmadunaa
Allahu Ilaynaa Ahdaa-Hu

Bi Rasoolillahi Fab’-Tahi-Ju
Fa Huwal Fadlu Wa Bushraa-Hu

Bil’laahi Ta-Ay’yada Naasirunaa
Laa Yukh-zalu Man Qad Raj’jaa-Hu

Adrik Abdaka Jilaani
Man Ghairuka Yad-fa’u Balwaa-Hu

Wa Yazooru Salaamur Rahmaani
Khayra Nabiy’yin Nab-baa-Hu

Haadha Akhtaru Adnaakum
Rab’bi Ahsana Mathwaa-Hu

 

TUM SE JO GURAYZAAÑ HE FARZANA WO DIWANA

 

Tum Se Jo Gurayzaañ He Farzana, Wo Diwana
Shaida Jo Huwa Tum Par Diwana, Wo Farzana

Aa Jaa Dil e Weeraañ Me, Tera Ho Ye Kaashana
Lil’llah Karam Farma Ay Jalwa e Jaanana

Aankhoñ Se Pila Wo May, Sarmast Rahuñ Jis Se
Bharde Mera Paimaana Ay Saaqi e Maikhaana

Wo Abr e Bahaar Aaya Har Shay Pe Nikhaar Aaya
Laa Jald Mere Saaqi De Saaghar o Paimaana

Kya Raat Ke Parde Se Chupke Se Sahar Nikli
Ya Jaan e Dil-aara Ne Zulfoñ Me Kiya Shaana

Badkaar Sahi Lekin, Banda Huñ Tere Dar Ka
Mahroom Na Rakh Mujh Ko Ay Shaan e Karimaana

Yuñ Thaam Ke Daaman Ko Machla He Sar e Mahshar
Dekhe Ko-ee Akhtar Ka Ye Naaz e Ghulamaana

 

MUNAWWAR MERI AANKHOÑ KO MERE SHAMSUD-DUHAA KAR DEÑ

 

Munawwar Meri Aankhoñ Ko Mere Shamsud-Duhaa Kar Deñ
Ghamoñ Ki Dhoop Mein Wo Saaya e Zulf e Duta Kar Deñ

Jahaañ Baani ‘Ata Kar Deñ, Bharee Jannat Hiba Kar Deñ
Nabi Mukhtar e Kul Haiñ, Jis Ko Jo Chaaheñ ‘Ata Kar Deñ

Jahaañ Me Un Ki Chalti He, Wo Dum Me Kya Se Kya Kar Deñ
Zameeñ Ko Aasmañ Kar Deñ Suray-ya Ko Sara Kar Deñ

Faza Me Urhne Waale Yuñ Na Itraa-eñ Nida Kar Deñ
Wo Jab Chaaheñ Jisay Chaaheñ Usay Farmaañ Rawa Kar Deñ

Meri Mushkil Ko Yuñ Aasaañ Mere Mushkil Kusha Kar Deñ
Har Ek Mawj e Bala Ko Mere Maula Nakhuda Kar Deñ

‘Ata Ho Be-Khudi Mujh-Ko Khudi Meri Hawa Kar Deñ
Mujhe Yuñ Apni Ulfat Me Mere Maula Fana Kar Deñ

Jahaañ Me Aam Payghaam e Shah e Ahmad Raza Kar Deñ
Palat Kar Peeche Dekheñ Phir Se Tajdeed e Wafa Kar Deñ

Nabi Se Ho Jo Begaana Usay Dil Se Juda Kar Deñ
Pidar, Maadar, Biraadar, Maal o Jaañ, Un Par Fida Kar Deñ

Tabas-sum Se Gumaañ Guzre Shab e Taareek Par Din Ka
Zia e Rukh Se Deewaaroñ Ko Roshan Aa’ina Kar Deñ

Kisi Ko Wo Hansaate Haiñ Kisi Ko Wo Rulaate Haiñ
Wo Yunhi Aazmate Haiñ Wo Ab To Faisla Kar Deñ

Gil e Taibah Me Mil Jaawuñ, Guloñ Me Mil Ke Khil Jaa-un
Hayaat e Jaawedaani Se Mujhe Yuñ Aashna Kar Deñ

Unhe Manzoor He Jab Tak Ye Dawr e Aazma-ish He
Na Chaaheñ To Abhi Wo Khatm Dawr e Ibtila Kar Deñ

Sag e Aawaarah e Sahra Se Ukta Si Ga-ee Duniya
Bacha-o Ab Zamaane Ka Sagaan e Mustafa Kar Deñ

Zamaana Khoogar e May He, Na-ee May Ki Zaroorat He
Pila Kar Apni Nazroñ Se Wo Tajdeed e Nasha Kar Deñ

Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar, Mere Yaawar Haiñ Wo Yaawar
Balaa-oñ Ko Jo Meri Khud Giraftaar e Bala Kar Deñ

 

ZINDAGI YE NAHIÑ HE KISSI KE LIYE

 

Zindagi Ye Nahiñ He Kisi Ke Liye
Zindagi He Nabi Ki Nabi Ke Liye

Na Samajh Mar’te Haiñ Zindagi Ke Liye
Jeena Marna He Sab Kuch Nabi Ke Liye

Chaandni Chaar Din He Sabhi Ke Liye
He Sada Chaand Abdun Nabi Ke Liye

Anta Feehim Ke Daaman Me Munkir Bhi Haiñ
Hum Rahe Ishrat e Daa-imi Ke Liye

Aish Kar Lo Yahaañ Munkiroñ Chaar Din
Mar Ke Tarsoge Is Zindagi Ke Liye

Daagh e Ishq e Nabi Le Chalo Qabr Mein
Hay Charaagh e Lahad Roshni Ke Liye

Naqsh e Paa e Sagaan e Nabi Dekhiye
Ye Pata He Bahot Rehbari Ke Liye

Maslak e Aala Hazrat Salaamat Rahe
Ek Pehchaan Deen e Nabi Ke Liye

Maslak e Aala Hazrat Pe Qaa-im Raho
Zindagi Di Gayi He Isi Ke Liye

Sulhe-kulli Nabi Ka Nahiñ Sunniyo!
Sunni Muslim He Sach-cha Nabi Ke Liye

Woh Bulaate He Ko-ee Ye Aawaaz De
Dum Me Jaa Pahunchun Me Haaziri Ke Liye

Ay Naseem e Saba Un Se Keh De Shaha
Muztarib He Gada Haaziri Key Liye

Jin Ke Dil Me He Ishq e Nabi Ki Chamak
Woh Taraste Nahiñ Chaandni Ke Liye

Jin Ke Dil Me He Jalwe Tere Ishq Ke
Chashma e Noor He Roshni Key Liye

Jin Ke Dil Me He Jalwe Tere Ishq Ke
Woh He Najm e Zamaañ Roshni Ke Liye

Akhtar e Qaadiri Khuld Mein Chal Diya
Khuld Waa He, Har Ek Qaadiri Ke Liye

ABR E KARAM GAISOO E MUHAMMAD صلى الله عليه وسلم

 

Abr e Karam Gaisoo e Muhammad Sall Allahu Alaihi wa Sallam
Donoñ Haram Abroo e Muhammad Sall Allahu Alaihi wa Sallam

Sab Ki Nazar He Soo e Kaa’ba
Kaa’ba Takay He Roo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Kaa’be Ko Kis Ne Banaaya Qibla
Kaa’be Ka Kaa’ba Roo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Sajdah e Sar He Soo e Kaa’ba
Sajdah e Dil He Soo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Saare Chaman Me Kis Ki Khush-boo
Khush-boo He Khush-boo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Kis Ki Chamak He Paikar e Gul Me
Gul Me Khila He Roo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Dhaare Chale Har Ungli Se Un Ki
Dekho Woh Nikli Joo e Muhammadصلى الله عليه وسلم

Sab Se Anowkha Moo e Muhammad صلى الله عليه وسلم
Sab Se Niraali Koo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Kis Ka Moo, Deta He Gawaahi
Moo e Muhammad Moo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Zinda He Wallah Zinda He Wallah
Jaan e Do Aalam Roo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Rashk e Taibah Kya He Dikha-uñ
Dekho Qad e Dil Joo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Bheeni-Bheeni Khush-boo Lehki
Khul Gaye Jab Gaisoo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Ye Rah Mehki Wo Rah Mehki
Khul Gaye Jab Gaisoo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

Akhtar e Khasta Chal De Jinaañ Ko
Baagh e Jinaañ He Koo e Muhammad صلى الله عليه وسلم

 

 

MUSTAFA E ZAATE E YAKTA AAP HAIÑ

 

Mustafa e Zaat e Yakta Aap Haiñ
Yak Ne Jis Ko Yak Banaaya Aap Haiñ

Aap Jaisa Ko-ee Ho Sakta Nahiñ
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap Haiñ

Aab o Gil Me Noor Ki Pehli Kiran
Jaan e Adam Jaan e Haw’wa Aap Haiñ

Husn e Awwal Ki Numood e Aw’waleeñ
Bazm e Aakhir Ka Ujaala Aap Haiñ

Laa Makaañ Tak Jis Ki Phayli Roshni
Woh Charaagh e Aalam Aara Aap Haiñ

He Namak Jis Ka Khameer e Husn Me
Woh Maleeh e Husn e Aara Aap Haiñ

Zayb o Zain e Khaak o Fakhr e Khaakiyañ
Zeenat e Arsh e Mu’alla Aap Haiñ

Naazish e Arsh o Waqaare Arshiyaañ
Saahib e Qausain o Adna Aap Haiñ

Aap Ki Tal’at Khuda Ka Aa-inah
Jis Me Chamke Haq Ka Jalwah Aap Haiñ

Aap Ki Rooyat He Deedar e Khuda
Jalwah Gaah e Haq Ta’aala Aap Haiñ

Aap Ko Rabb Ne Kiya Apna Habeeb
Saari Khalqat Ka Khulasa Aap Haiñ

Aap Ki Khaatir Bana-e Do Jahaañ
Apni Khaatir Jo Banaaya Aap Haiñ

Jaañ Tu-ee Jaanañ Qaraar e Jaañ Tu-ee
Jaan e Jaan, Jaan e Masiha Aap Haiñ

Paikar e Har Shay Me Jaañ Ban Kar Nihaañ
Pardoñ-Pardoñ Me Huwaida Aap Haiñ

Aap Se Khud Aap Ka Saa-il Hooñ Me
Jaan e Jaañ Meri Taman’na Aap Haiñ

 

Aap Ki Tal’at Ko Dekha Jaan Di
Qabr Me Pahuncha To Dekha Aap Haiñ

Bar-darat Aamad Gada Bahr e Salaam
Ho Bhala Akhtar Ka Daata Aap Haiñ

 

WAJH E NASHAAT E ZINDAGI RAAHAT E JAAÑ TUM HEE TO HO

 

Wajh e Nashaat e Zindagi Raahat e Jaañ Tum Hee To Ho
Rooh e Rawaan e Zindagi Jaan e Jahaañ Tum Hee To Ho

Tum Jo Na Thay To Kuch Na Tha Tum Jo Na Ho To Kuch Na Ho
Jaan e Jahaañ Tum Hee To Ho Jaan e Jinaañ Tum Hee To Ho

Taaj e Waqaar e Khaakiyañ Naazish e Arsh o Arshiyaañ
Fakhr e Zameen o Aasmañ, Fakhr e Zamaañ Tum Hee To Ho

Kis Se Karuñ Bayaan e Ghum, Kaun Sunay Fughaan e Ghum
Pa-ooñ Kahaañ Amaan e Ghum, Amn o Amaañ Tum Hee To Ho

Rooh o Rawaan e Zindagi, Taab o Tawaan e Zindagi
Amn o Amaan e Zindagi, Shah e Shahaañ Tum Hee To Ho

Tum Ho Charaagh e Zindagi Tum Ho Jahaañ Ki Roshni
Mahr o Mah o Nujoom Me Jalwah Kunaañ Tum Hee To Ho

Tum Se Jahaan e Rang o Boo, Tum Ho Chaman Ki Aabroo
Jaan e Bahaar e Gulsitaañ, Sarw e Chamaañ Tum Hee To Ho

Tum Ho Qiwaam e Zindagi, Tum Se He Zindagi Bani
Tum Se Kahe He Zindagi Rooh e Rawaañ Tum Hee To Ho

Asl e Shajar Me Ho Tum Hee, Nakhl o Samar Me Ho Tum Hee
In Me Ayaañ Tum Hee To Ho, Un Me Numaañ Tum Hee To Ho

Tum Ho Numood e Aw’waleeñ, Shama’e Abad Bhi Ho Tum Hee
Shah e Zaman Yahaañ Wahaañ Sik’kah Nishaañ Tum Hee To Ho

Akhtar Ki He Majaal Kya, Mahshar Me Sab Haiñ Dum Ba-khud
Sab Ki Nazar Tum Hee Pe He, Sab Ki Zubaañ Tum Hee To Ho

 

KAASH GUMBAD E KHAZRA DEKHNE KO MIL JAATA

 

Daagh e Furqat e Taibah, Qalb Muzmahil Jaata
Kaash Gumbad e Khazra Dekhne Ko Mil Jaata

Dum Mera Nikal Jaata Un Ke Aastaane Par
Un Ke Aastaane Ki Khaak Me Maiñ Mil Jaata

Mere Dil Se Dhul Jaata Daagh e Furqat e Taibah
Taibah Me Fana Ho Kar Taibah Hee Me Mil Jaata

Mawt Le Ke Aa Jati Zindagi Madine Me
Mawt Se Galay Mil Kar Zindagi Me Mil Jaata

Khuld Zaar e Taibah Ka Is Tarah Safar Hota
Peeche-Peeche Sar Jaata Aage-Aage Dil Jaata

Dil Pe Jab Kiran Parti Un Ke Sabz Gumbad Ki
Us Ki Sabz Rangat Se Baagh Ban Ke Khil Jaata

Furqat e Madina Ne Woh Diye Mujhe Sad-me
Koh Par Agar Parte Koh Bhi To Hil Jaata

Dil Mera Bicha Hota Un Ki Rah Guzaaroñ Me
Un Ke Naqsh e Paa Se Yuñ Mil Ke Mustaqil Jaata

Dil Pe Woh Qadam Rakhte Naqsh e Paa Ye Dil Banta
Ya To Khaak e Paa Ban Kar Paa Se Mut-tasil Jaata

Woh Khiraam Farmaate Mere Deedah o Dil Par
Deedah Maiñ Fida Karta Sadqe Mera Dil Jaata

Chashm e Tar Wahaañ Behti Dil Ka Mud-da’a Kehti
Aah Baa Adab Rehti, Munh Mera Sil Jaata

Dar Pe Dil Jhuka Hota Izn Paa Ke Phir Barhta
Har Gunaah Yaad Aata Dil Khajil-Khajil Jaata

Mere Dil Me Bas Jaata Jalwah Zaar e Taibah Ka
Daagh e Furqat e Taibah Phool Ban Ke Khil Jaata

Un Ke Dar Pe Akhtar Ki Hasrateñ Hu-eeñ Poori
Saa-il e Dar e Aqdas Kaise Munfa’il Jaata

 

SAB MADINE CHALEÑ

 

 

Tum Chalo Hum Chaleñ Sab Madine Chaleñ
Jaanib e Taibah Sab Ke Safeene Chaleñ

Mekasho! Aao-Aao Madine Chaleñ
Baada e Khuld Ke Jaam Peene Chaleñ

Jee Gaye Woh Madine Me Jo Mar Gaye
Aao Hum Bhi Wahaañ Mar Ke Jeene Chaleñ

Zindagi Ab Sar e Zindagi Aaga-ee
Aakhri Waqt He Ab Madine Chaleñ

Shawq e Taibah Ne Jis Dum Sahaara Diya
Chal Diye Hum Kaha Bekasi Ne Chaleñ

Taa-ir e Jaañ Madine Ko Jab Urh Chala
Zindagi Se Kaha Zindagi Ne Chaleñ

Jaan e Naw Raah e Jaanaañ Me Yuñ Mil Ga-ee
Aankh Meechi Kaha Bekhudi Ne Chaleñ

Raah e Taibah Me Jab Naatawaañ Rah Gaye
Dil Ko Kheencha, Kaha Bekali Ne Chaleñ

Khaak e Taibah Me Apni Jagah Ho Ga-ee
Khoob Muzdah Sunaya Khushi Ne Chaleñ

Be Takal’luf Shah e Do Jahaañ Chal Diye
Saadgi Se Kaha Jab Kisi Ne Chaleñ

Agle Pichle Sabhi Khuld Me Chal Diye
Roz e Mahshar Kaha Jab Nabi Ne Chaleñ

Un Ki Shaan e Karam Ki Kashish Dekhna
Kaasah Le Kar Kaha Khusrawee Ne Chaleñ

Akhtar e Khasta Bhi Khuld Me Chal Diya
Jab Sada Di Isay Murshidi Ne Chaleñ

 

WOH UBLA CHASHMA SHARBAT KA

 

Lab e Kawsar He Meyla Tishna Kaamaan e Mohabbat Ka
Woh Ubla Dast e Saaqi Se Woh Ubla Chashma Sharbat Ka

Ye Aalam Ambia Par Un Ke Sarwar Ki Inaayat Ka
Jisay Dekho Liye Jaata He Parwaana Shafa’at Ka

Pila De Apni Nazroñ Se Chalakta Jaam Ruyat Ka
Shah e Kawsar Tarah’hum Tishna Jaata He Ziyaarat Ka

Wahi Jo Rahmatul Lil Aalameen Haiñ Jaan e Aalam Haiñ
Bara Bha-ee Kahe Un Ko Ko-ee Andha Baseerat Ka

Mah o Khursheed o Anjum Me Chamak Apni Nahiñ Kuch Bhi
Ujaala Hai Haqeeqat Me Unhiñ Ki Paak Tal’at Ka

Bhatak-ta Yuñ Phiray Kab Tak Tumhara Akhtar e Khasta
Dikha-do Raasta Is Ko Khudara Shahr e Ulfat Ka

 

HUMEÑ AB DEKHNA HE HAWSLA KHURSHEED E MAHSHAR KA

 

 

Woh Barhta Saaya e Rahmat Chala Zulf e Mu’ambar Ka
Humeñ Ab Dekhna He Hawsla Khursheed e Mahshar Ka

 

Jo Be Pardah Nazar Aajaa-e Jalwah Roo e Anwar Ka
Zara Sa Munh Nikal Aa-e Abhi Khursheed e Khaawar Ka

 

Shah e Kawsar Tarah’hum Tishna e Deedar Jaata He
Nazar Ka Jaam De Pardah Rukh e Pur-Noor Se Sar Ka

Adab Gaahest Zer e Aasmaañ Az Arsh Naazuk Tar
Yahaañ Aate Haiñ Yuñ Arshi Ke Aawaazah Nahiñ Par Ka

 

Humaari Sam’t Woh Mehr e Madina Meharbaañ Aaya
Abhi Khul Jaa-ega Sab Hawsla Khursheed e Mahshar Ka

 

Chamak Sakta He To Chamke Maqabil Un Ki Tal’at Ke
Humeñ Bhi Dekhna He Hawsla Khursheed e Mahshar Ka

 

Rawaañ Ho Salsabeel e Ishq e Sarwar Mere Seene Me
Na Ho Phir Naar Ka Kuch Ghum Na Dar Khursheed e Mahshar Ka

 

Tera Zar’ra Wo He Jis Ne Khilaa-e An’ginat Taare
Tera Qatrah Wo He Jis Se Mila Dhaara Samandar Ka

 

Bataana Tha Ke Nature Un Ke Zer e Paa Musakh-khar He
Bana Pat’thar Me Yuñ Naqsh e Kaf e Paa Mere Sarwar Ka

 

Woh Zaahir Ke Bhi Haakim Haiñ Wo Baatin Ke Bhi Sultaañ Haiñ
Niraala Taur e Sultani He Shahoñ Ke Sikandar Ka

 

Ye Sun Leñ Saaya e Jism e Payambar Dhoond’ne Waale
Bashar Ki Shakl Me Deegar He Wo Paikar Payambar Ka

 

Woh Zill e Zaat e Rahmaañ Haiñ Nubuw’wat Ke Mah e Taabaañ
Na Zil Ka Zil Kahiñ Dekha Na Saaya Maah o Akhtar Ka

 

GHUM E HASTI NE HUMEÑ KHOON RULAYA HOGA

 

 

Jab Kabhi Hum Ne Ghum e Jaanañ Ko Bhulaya Hoga
Ghum e Hasti Ne Humeñ Khoon Rulaya Hoga

 

Daaman e Dil Jo Soo e Yaar Khincha Jaata He
Ho Na Ho Us Ne Mujhe Aaj Bulaya Hoga

 

Aankh Ut’ha Kar To Zara Dekh Mere Dil Ki Taraf
Teri Yaadoñ Ka Chaman Dil Me Sajaya Hoga

 

Gardish e Dawr Humeñ Cher’h Na Itna Warna
Apne Naaloñ Se Abhi Hashr Uthaya Hoga

 

Doob Jaa-e Na Kahiñ Ghum Me Humaare Aalam
Hum Jo Ro Deñge To Bahta Huwa Darya Hoga

Sochiye Kitna Haseeñ Hoga Wo Lahza Akhtar
Sar e Baaliñ Pe Dam e Marg Wo Aaya Hoga

 

TERA AAQA SHAHENSHAH E KAUNAIN HE

 

Har Nazar Kaanp Uthegi Mahshar Ke Din
Khawf Se Har Kaleja Dahal Jaa-ega
Par Ye Naaz Unke Bande Ka Dekheñge Sab
Thaam Kar Un Ka Daaman Machal Jaa-ega

Mawj Katra Ke Hum Se Chali Jaa-egi
Rukh Mukhaalif Hawa Ka Badal Jaa-ega
Jab Ishaarah Kareñge Woh Naam e Khuda
Apna Bey’ra Bhañwar Se Nikal Jaa-ega

Yuñ To Jeeta Hooñ Hukm e Khuda Se Magar
Mere Dil Ki He Un Ko Yaqeenan Khabar
Haasil e Zindagi Hoga Woh Din Mera
Un Ke Qadmoñ Pe Jab Dum Nikal Jaa-ega

Rab’b e Sal’lim Woh Farmaane Waale Milay
Kyuñ Sataate Haiñ Ay Dil Tujhe Was-wase
Pul Se Guzreñge Hum Wajd Karte Huwe
Kaun Kehta He Pa-ooñ Phisal Jaa-ega

Akhtar e Khasta Kyuñ Itna Be-chain He
Tera Aaqa Shahanshah e Kaunain He
Lau Laga To Sahi Shah e Lau-Laak Se
Gham Masar’rat Ke Saanche Me Dhal Jaa-ega

 

TUMHARE ZARRE KE PAR TO SITARHAAYE FALAK

 

Jhuke Na Baar e Sad Ehsaan Se Kyuñ Bina-e Falak
Tumhare Zar’re Ke Partaw Sitarhaa-e Falak

Ye Khaak e Koocha e Jaanaañ He Jis Ke Bosay Ko
Na Jaane Kab Se Taraste Haiñ Deed-haa-e Falak

Afw o Azmat e Khaak e Madina Kya Kahiye
Isee Turab Ke Sadqe He E’tedaa-e Falak

Ye Un Ke Jalwe Ki Theeñ Garmiyaañ Shab e Asra
Na Laa-e Taab e Nazar Behke Deed-haa-e Falak

Qadam Se Un Ke Sar e Arsh Bij-liyaañ Chamkeeñ
Kabhi Thay Band Kabhi Waa Thay Deed-haa-e Falak

Me Kam Naseeb Bhi Teri Gali Ka Kut’ta Hun
Nigaah e Lutf Idhar Ho Na Yuñ Sataa-e Falak

Ye Kis Ke Dar Se Phira He Tu Najdi Be Deeñ
Bura Ho Tera Sar Pe Gir Hee Jaa-e Falak

Jo Naam Le Shah e Arsh e Bareeñ Ka Tu Akhtar
Ba-sad Adab Pa-e Tasleem Sar Jhukaa-e Falak

 

 

AAJ KI RAAT ZIYA-OÑ KI HE BARAAT KI RAAT

 

Aaj Ki Raat Ziya-oñ Ki He Baraat Ki Raat
Fazl e Naushaah e Do Aalam Ke Bayanaat Ki Raat

Shab e Me’raj Woh Awhaa Ke Isharaat Ki Raat
Kaun Samjha-e Woh Kaisi Thee Munajaat Ki Raat

Chaa-ee Rehti Haiñ Khayaaloñ Me Tumhari Zul’feñ
Ko-ee Mawsam Ho Yahaañ Rehti He Barsaat Ki Raat

Rind Peete Haiñ Teri Zulf Ke Saaye Me Sada
Koi Mawsam Ho Yahaañ Rehti He Barsaat Ki Raat

Rukh e Taabaan e Nabi Zulf e Mu’ambar Pe Fida
Roz e Taabindah Ye Masti Bhari Barsaat Ki Raat

Dil Ka Har Daagh Chamakta He Qamar Ki Surat
Kitni Roshan He Rukh e Shah Ke Khayalaat Ki Raat

Har Shab e Hijr Lagi Rehti He Ashkoñ Ki Jhar’ee
Ko-ee Mawsam Ho Yahaañ Rehti He Barsaat Ki Raat

Jis Ki Tanha-ee Me Woh Shama’e Shabistaani Ho
Rashk e Sad Bazm He Is Rind Kharabaat Ki Raat

Bulbul e Baagh e Madina Ko Suna De Akhtar
Aaj Ki Shab He Farishtoñ Se Mubahaat Ki Raat

 

KABHI REHTE WOH IS GHAR ME

 

Talaatum He Ye Kaisa Aansu-oñ Ka Deedaah e Tar Me
Ye Kaisi Mawjeñ Aa-ee Haiñ Taman’na Ke Samandar Me

Hujoom e Shawq Kaisa Intizaar e Koo e Dilbar Me
Dil e Shaida Samaata Kyuñ Nahiñ Ab Pehloo o Bar Me

Tajas’sus Karwa’ten Kyuñ Le Raha He Qalb e Muztar Me
Madina Saamne He Bas Abhi Pahuncha Me Dam Bhar Me

 

Ye Behseñ Ho Rahi Haiñ Mere Dil Me Pehloo o Bar Me
Ke Dekheñ Kaun Pahunche Aage-Aage Shahr e Dilbar Me

Madine Tak Pahunch Jaata Kahaañ Taaqat Thee Ye Par Me
Ye Sarwar Ka Karam He, He Jo Bulbul Baagh e Sarwar Me

 

Madine Ki Woh Marg e Jaañ-Fiza Gar He Muqad’dar Me
Amar Ho Jaa-enge Mar Ke Dayaar e Rooh e Parwar Me

Jo Tu Ai Taa-ir e Jaañ Kaam Leta Kuch Bhi Himmat Se
Nazar Ban Kar Pahunch Jaate Tajal’li Gaah e Sarwar Me

Ujaale Me Gumay Hote Tajal’li Gaah e Sarwar Ke
Nazar Se Chup Ke Hum Rehte Tajal’li Gaah e Sarwar Me

Na Rakha Mujh Ko Taibah Ki Qafas Me Us Sitamgar Ne
Sitam Kaisa Huwa Bulbul Pe Ye Qaid e Sitamgar Me

Sitam Se Apne Mit Jaa-oge Tum Khud Ay Sitamgaaro
Suno! Hum Keh Rahe Haiñ Be Khatar Dawr e Sitamgar Me

Guzargaahoñ Me Un Ki Me Bichaata Deedah o Dil Ko
Qadam Se Naqsh Bante Mere Dil Me Deedah e Tar Me

Banaate Jalwah Gaah e Naaz Mere Deedah o Dil Ko
Kabhi Rehte Woh Is Ghar Me, Kabhi Rehte Woh Us Ghar Me

Madine Se Raheñ Khud Door Is Ko Rokne Waale
Madine Me Khud Akhtar He, Madina Chashm e Akhtar Me

 

 

KUCH AISA KAR DE MERE KIRDIGAAR AANKHOÑ

 

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdigaar Aankhoñ Me
Ke Jalwa Gar Rahe Woh Gul Azaar Aankhoñ Me

Woh Laalah Rukh Ho Agar Jalwah Baar Aankhoñ Me
Bahaar e Laalah Ho Phir Paa-idaar Aankhoñ Mei

Nazar Ye Kehti He Be Ikhtiyaar Aankhoñ Me
Unheñ Jo Dekhe Wahi He Hazaar Aankhoñ Me

Unheñ Na Dekha To Kis Kaam Ki He Ye Aankheñ
Ke Dekhne Ki He Saari Bahaar Aankhoñ Me

Abhi Ho Roo Kash e Arsh e Bareeñ Nazar Me
Jo Aa-e Arsh e Nasheeñ Taajedaar Aankhoñ Me

Nazar He Rashk e Nazar, Iftikhaar Aankhoñ Me
Jisay Kare Woh Nazar Ikhtiyaar Aankhoñ Me

Karam Se Jalwah Kareñ Jab Nigaar Aankhoñ Me
Khich Aa-e Saari Chaman Ki Bahaar Aankhoñ Me

Banaa-eñ Dil Ko Woh Ghar Rahguzaar Aankhoñ Me
Nazar Ho Qadmoñ Pe Un Ke Nisaar Aankhoñ Me

Khich Aa-ee Jaan Pa-e Intezaar Aankhoñ Me
Karam Se Lijiye Ab To Qaraar Aankhoñ Me

Basay Haiñ Jab Se Madine Ke Khaar Aankhoñ Me
Huwa He Sehn e Chaman Khaar Zaar Aankhoñ Me

Guzar Ho Un Ka Kabhi Be Qaraar Aankhoñ Me
Gohar Ho Nazr e Qadam Ashk-baar Aankhoñ Me

Phir Aa-e Din Mere Akhtar Shab e Huzoori Me
Karam Se Jalwah Kare Jab Nigaar Aankhoñ Me

Nigaah e Mufti e Azam Ki He Ye Jalwagari
Chamak Raha He Jo Akhtar Hazaar Aankhoñ Me
I

 

 

TERI CHAWKHAT PE JO SAR APNA JHUKA JAATE HAIÑ

 

 

Teri Chawkhat Pe Jo Sar Apna Jhuka Jaate Haiñ
Har Bulandi Ko Wahi Neecha Dikha Jaate Haiñ

Sarfaraazi e Ajal Un Ko Mila Karti He
Nakhwat e Sar Jo Tere Dar Pe Mita Jaate Haiñ

Doobe Rehte Haiñ Teri Yaad Me Jo Sham o Sahar
Doob’toñ Ko Wahi Saahil Se Laga Jaate Haiñ

 

Ay Masiha Tere Bimaar Haiñ Aise Bimaar
Jahaañ Bhar Ka Dukh Dard Mita Jaate Haiñ

Marne Waale Rukh e Zaiba Pe Tere Jaan e Jahaañ
Aish e Jaawed Ke Asraar Bata Jaate Haiñ

Aasmaañ Tujh Se Uthaa-e Na Utheñge Sun Le
Hijr Ke Sadme Jo Ush’shaaq Utha Jaate Haiñ

Zikr e Sarkar Bhi Kya Aag He Jis Se Sunni
Baythe-Baythe Dil e Najdi Ko Jala Jaate Haiñ

Jin Ko Sheerini e Meelad Se Ghin Aati He
Aankh Ke Andhe Unheñ Kaw’wa Khila Jaate Haiñ

Dasht e Taibah Me Nahiñ Keel Ka Khatka Akhtar
Naazuk Andaam Wahaañ Barhana Paa Jaate Haiñ

 

 

UN KE DAR KI BHEEK ACH’CHI
SARWARI ACH’CHI NAHIÑ

 

Bul Hawas Sun Seem o Zar Ki Bandagi Ach’chi Nahiñ
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

Sarwari Kya Cheez He Un Ki Gada-i Ke Huzoor
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

Un Ki Chawkhat Choom Kar Khud Keh Rahi Hay Sarwari
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

Sarwari Khud He Bhikaaran Bandagaan e Shah Ki
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

Sarwari Paa Kar Bhi Kehte Haiñ Gadayaan e Huzoor
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

Taaj Khud Raa Kaasa Kardah Goyad Eeñ Jaa Taajwar
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

Taaj Ko Kaasah Bana Kar Taajwar Kehte Haiñ Yuñ
Un Ke Dar Ki Bheek Ach’chi Sarwari Ach’chi Nahiñ

 

Mufti e Azam Yakay Az Mard’maan e Mustafa
Us Raza e Mustafa Se Dushmani Ach’chi Nahiñ

Hujjat ul Islam Ay Haamid Raza Baba e Man
Tum Ko Bin Dekhe Humaari Zindagi Ach’chi Nahiñ

Khaak e Taibah Ki Talab Me Khaak Ho Ye Zindagi
Khaak e Taibah Ach’chi Apni Zindagi Ach’chi Nahiñ

Aarzu-Mandaan e Gul Kaantoñ Se Bachte Haiñ Kahin
Khaar e Taibah Se Teri Pehlu Tahi Ach’chi Nahiñ

Dasht e Taibah Ke Fida-ee Se Jinaañ Ka Tazkirah
Jo Rula De Khoon Aisi Dil Lagi Ach’chi Nahiñ

Dasht e Taibah Chor’ Kar Me Seyr e Jannat Ko Chaluñ
Rehne Deeje Shaykh Ji Diwaangi Ach’chi Nahiñ

Jo Junoon e Khuld Me Kaw’woñ Ko De Baythe Dharam
Aise Andhe Shaykh Ji Ki Perwi Ach’chi Nahiñ

Aql Chawpayoñ Ko De Baythe Hakeem e Thanvi
Me Na Kehta Tha Ke Sohbat Deo Ki Ach’chi Nahiñ

Yaad e Jaanañ Me Ma’az-Allah Hasti Ki Khabar
Yaad e Jaanañ Me Kisi Se Aagahi Ach’chi Nahiñ

Shaam e Hijrañ Me Humeñ He Jus-tuju Us Mahr Ki
Chawdh’weeñ Ke Chaand Teri Chaandni Ach’chi Nahiñ

Tawq e Tahzeeb e Farangi Torh Daalo Momino!
Teergi Anjaam He, Ye Roshni Ach’chi Nahiñ

Shaakh e Gul Par Hi Bana-enge ‘Anaadil Aashiyaañ
Barq Se Keh Do Ke Hum Se Zidd Teri Ach’chi Nahiñ

Jo Piya Ko Bhaa-e Akhtar Woh Suhaana Raag He
Jis Se Na Khush Hoñ Piya Woh Raagni Ach’chi Nahiñ

 

 

 

KUCH KAREÑ APNE
YAAR KI BAATEÑ

 

Kuch Kareñ Apne Yaar Ki Baateñ
Kuch Dil e Daagh-daar Ki Baateñ

Hum To Dil Apna De Hee Baythe Haiñ
Ab Ye Kya Ikhtiyaar Ki Baateñ

 

Maiñ Bhi Guzra Hooñ Dawr e Ulfat Se
Mat Suna Mujh Ko Pyaar Ki Baateñ

 

Ahl e Dil Hee Yahaañ Nahiñ Ko-ee
Kya Kareñ Haal e Zaar Ki Baateñ

Pee Ke Jaam e Muhabbat e Jaanañ
Allah-Allah Khumaar Ki Baateñ

Mar Na Jaana Mat`a e Dunya Par
Sun Ke Tu Maaldar Ki Baateñ

Yuñ Na Hote Aseer e Zil’lat Tum
Sunte Gar Hoshiyaar Ki Baateñ

Har Ghar’ee Wajd Me Rahe Akhtar
Kijiye Us Dayaar Ki Baateñ

 

CHASHM ILTEFAAT

 

 

Jo Un Ki Taraf Meri Chashm e Iltefaat Nahiñ
Ko-ee Ye Un Se Kahe Chain Saari Raat Nahiñ

Ba-juz Nigaah e Karam Ke To Kuch Nahiñ Maanga
Bigarte Kyuñ Ho Bigarne Ki Ko-ee Baat Nahiñ

Bahut Haiñ Jeene Ke Andaaz Par Mere Humdum
Mazaah Na Ho Jo Khudi Ka To Kuch Hayaat Nahiñ

Bawaqt e Naz’a Yaañ Lalcha Ke Dekhta Kya He
Ye Daar e Faani He Raahi Issay Sabaat Nahiñ

Utha Jo Akhtar e Khasta Jahaañ Se Kya Ghum He
Mujhe Bata-o Azeezoñ! Kisay Mamaat Nahiñ

 

 

QASAM KHUDA KI SHAHA
KAMIYAAB HO JAA-UÑ

Tumhare Dar Pe Jo Me Baariyaab Ho Jaa-uñ
Qasam Khuda Ki Shaha Kamiyaab Ho Jaa-uñ

Jo Paa-uñ Bosa e Paa e Huzoor Kya Kehna
Me Zar’rah Shams o Qamar Ka Jawaab Ho Jaa-uñ

Meri Haqeeqat e Faani Bhi Kuch Haqeeqat He
Maruñ To Aaj Khayaal Awr Khwaab Ho Jaa-uñ

Jahaañ Ke Qaws e Quzaah Se Fareb Khaa-e Kyuñ
Me Apne Qalb o Nazar Ka Hijaab Ho Jaa-uñ

Jahaan Ki Bigri Isee Aastaañ Pe Banti He
Me Kyuñ Na Waqf e Dar Aañ-Janaab Ho Jaa-uñ

 

Tumhara Naam Liya He Talaatum e Gham Me
Me Ab To Paar Risaalat Ma’aab Ho Jaa-uñ

Ye Meri Doori Badal Jaa-e Qurb Se Akhtar
Agar Woh Chaaheñ To Me Baariyaab Ho Jaa-uñ

 

CHAAND SE UN KE CHEHRE PAR

 

Chaand Se Un Ke Chehre Par Gaisoo e Mushk Faam Do
Ek Anowkhi He Sahar Jis Se Baham He Shaam Do

Un Ki Jabeen e Naaz Par Zulf e Siyaah Bikhar Gayi
Shab Ke Haseen Parde Me Chamke Mah e Tamaam Do

Donoñ Taraf Haiñ Chehre Par Gaisoo e Mushk Faam Do
Jama’ He Ek Aan Me Zid-daiñ Sabaah o Shaam Do

Talwoñ Se Un Ke He Bandhi Shams o Qamar Ki Roshni
Ye Haiñ Unhiñ Ki Taabisheñ Haiñ Ye Unhi Ke Naam Do

Pee Ke Pila Ke Maikashoñ Tal-chat Daroon e Jaam Do
Qatrah Do Qatrah Yuñhi Sahi Kuch To Baraa-e Naam Do

Un Ki Amaan Me Raheñ Jin Ke Karam Se Mil Ga-e
Un Ke Chaman Ke Paasbaañ, Hussaam Awr Humaam Do

Ye Donoñ Be Khatar Raheñ Islam Ki Sipar Raheñ
‘Adaa e Deen Par Raheñ Shamsheer e Be Niyaam Do

Kashti e Zindagi Meri Ab To Kinaare Aa Lagi
Kehti He Tum Se Zindagi Ab To Ma-e Dawaam Do

Maidaan e Na’at e Shaah e Deen Akhtar He Pur Khatar Zameeñ
Ye Majlis e Ghazal Nahiñ Munh Ko Zara Lagaam Do

LAB-E-JAAÑ BAKHSH

Lab e Jaañ Bakhsh Ka Sadqa De Do
Muzdah e Aish e Abad Jaan e Maseeha De Do

Gham e Hasti Ka Madaawa Mere Maula De Do
Baadah e Khaas Ka Ek Jaam Chalakta De Do

Garq Hoti Huwi Naa-o Ko Sahara De Do
Mawj Tham Jaa-e Khudara Ye Ishaarah De Do

Hum Gunahgaar Sahi Hazrat e Rizwaañ Lekin
Un Ke Bande Haiñ Jinaañ Haq He Humaara De Do

Tapish e Mahr e Qiyaamat Ko Saheñ Hum Kaise
Apne Damaan e Karam Ka Hameñ Saaya De Do

Bhool Jaa-e Jisay Pee Kar Gham e Dawraañ Akhtar
Saaqi e Kawsar o Tasneem Woh Sahba De Do

 

APNE DAR PE JO BULAA-O TO BAHOT ACH’CHA HO

 

Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Meri Bigri Jo Banaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Qaid e Shaitaañ Se Churha-o To Bahot Ach’cha Ho
Mujh Ko Apna Jo Banaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Gardish e Dawr Ne Paamaal Kiya Mujh Ko Huzoor
Apne Qadmoñ Me Sulaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Yuñ To Kehlaata Hun Banda Me Tumhara Lekin
Apna Keh Ke Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Gham e Payham Se Ye Basti Meri Weeran Huwi
Dil Me Ab Khud Ko Basaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Kaif Us Baadah e Gulnaar Se Milta Hi Nahiñ
Apni Aankhoñ Se Pilaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Tum To Murdoñ Ko Jila Dete Ho Mere Aaqa
Mere Dil Ko Bhi Jila-o To Bahot Ach’cha Ho

Jis Ne Sharminda Kiya Mahr o Mah o Anjum Ko
Ek Jhalak Phir Woh Dikhaa-o To Bahot Ach’cha Ho

Ro Chuka Yuñ To Me Awroñ Ke Liye Khoob Magar
Apni Ulfat Me Rula-o To Bahot Ach’cha Ho

Yuñ Na Akhtar Ko Phira-o Mere Maula Dar-Dar
Apni Chawkhat Pe Bitha-o To Bahot Ach’cha Ho

 

DAR E JAANAÑ PE FIDA-EE KO AJAL AA-EE HO

Dar e Jaanañ Pe Fidaa-ee Ko Ajal Aa-ee Ho
Zindagi Aa Ke Janaaze Pe Tamaasha-ee Ho

Teri Surat Jo Tasawwur Me Utar Aa-ee Ho
Phir To Khalwat Me Ajab Anjuman Aara-ee Ho

Neyk Saa’at Se Ajal Aish e Abad Laa-ee Ho
Dar e Jaanañ Pe Ko-ee Mahw e Jabeen Saa-ee Ho

Sang e Dar Par Tere Yuñ Naasiyah Farsa-ee Ho
Khud Ko Bhoola Huwa Jaana Tera Shaida-ee Ho

Khud Ba-Khud Khuld Wahaañ Khinch Ke Chali Aa-ee Ho
Dasht e Taibah Me Jahaañ Baadiyah e Paima-ee Ho

Mawsam e May Ho Woh Gaisoo Ki Ghata Chaa-ee Ho
Chashm e Maygooñ Se Piyeñ Jalsa e Sahba-ee Ho

Chaandni Raat Me Phir May Ka Woh Ek Dawr Chale
Bazm e Aflaak Ko Bhi Hasrat e May Aa-ee Ho

Un Ke Deewaane Khuli Baat Kahaañ Karte Haiñ
Baat Samjhe Wahi Jo Saahib e Daana-ee Ho

Mahr e Khaawar Pe Jama-e Nahiñ Jamti Nazreñ
Woh Agar Jalwah Kareñ Kaun Tamaasha-ee Ho

Dasht e Taibah Me Chaluñ Chal Ke Girooñ Gir Ke Chaluñ
Naatawaani Meri Sad Rashk e Tawaana-ee Ho

Gul Ho Jab Akhtar e Khasta Ka Charaagh e Hasti
Is Ki Aankhoñ Me Tera Jalwah e Zaiba-ee Ho

 

ZAHE AZMAT O IFTIKHAAR E MADINA

 

Woh Chaa-ee Ghata Baadah Baar e Madina
Piye Jhoom Kar Jaañ Nisaar e Madina

Woh Chamka Woh Chamka Minaar e Madina
Qareeb Aa Gaya He Dayaar e Madina

Naha Leñ Gunahgaar Abr e Karam Me
Utha Dekhiye Woh Ghubaar e Madina

Khuda Yaad Farma-e Sawgand e Taibah
Zahe Azmat o Iftikhaar e Madina

Agar Dekhe Rizwaañ Chaman Zaar e Taibah
Kahe Dekh Kar Yuñ Woh Khaar e Madina

Madine Ke Kaante Bhi Sad Rashk e Gul He
Ajab Rang Par He Bahaar e Madina

Nahiñ Jach’ti Jannat Bhi Nazroñ Me Un Ki
Jinheñ Bha Gaya Khaar-Zaar e Madina

Meri Jaan Se Bhi Woh Nazdeek Tar Haiñ
Woh Maula e Har Be Qaraar e Madina

Karuñ Kya Fikr Me Gham e Zindagi Ki
Me Huñ Banda e Gham Gusaar e Madina

Chala Dawr e Saaghar Ma-e Naab Chal’ki
Rahe Tishna Kyuñ Baadah Khwaar e Madina

Chala Kaun Khushboo Lutaata Ke Ab Tak
He Mahki Huwi Rah Guzaar e Madina

Sahar Din He Awr Shaam e Taibah Sahar He
Anowkhe Haiñ Layl o Nahaar e Madina

 

Bula Akhtar e Khasta Haal Ko Bhi Dar Par
Me Sadqe Tere Shahr e Yaar e Madina

 

 

NAA’RA E RISAALAT

 

 

Sadr e Bazm e Kasrat Ya Rasool’Allah
Raazdaar e Wahdat Ya Rasool’Allah
Har Jahaañ Ki Rahmat Ya Rasool’Allah
Bahtareen Khilqat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Mahw e Khwaab e Ghaflat Ya Rasool’Allah
Hoga-ee He Ummat Ya Rasool’Allah
Soya Bakht e Millat Ya Rasool’Allah
Kijiye Inaayat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Saahib e Hidaayat Ya Rasool’Allah
Chaaya Abr e Zulmat Ya Rasool’Allah
Naatawaañ He Ummat Ya Rasool’Allah
Kijiye Himaayat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Dar Pa-e Sharaarat Ya Rasool’Allah
Kufr Ki Jama’at Ya Rasool’Allah
Naatawaañ He Ummat Ya Rasool’Allah
Kijiye Himaayat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Maalik e Shafa’at Ya Rasool’Allah
Bekasoñ Ki Taaqat Ya Rasool’Allah
Mezbaan e Ummat Ya Rasool’Allah
Ek Jaam e Sharbat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Aap Ki Itaa’at Ya Rasool’Allah
Woh Khuda Ki Taa’at Ya Rasool’Allah
Jis Ko Ho Baseerat Ya Rasool’Allah
Dekho Shaan e Qurbat Ya Rasool Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Deed Ke Hoñ Taalib Jab Khuda Se Moosa
Un Se Lan Taraani Keh De Rab Tumhaara
Par Tumhaare Rab Se Tum Ko Mere Maula
He Payaam e Waslat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Karna Tha Khuda Ko Hum Pe Aashkaara
Aakhri Nabi He Usko Sab Se Pyaara
Ko-ee Bhi Nabi Ho Pichli Ummatoñ Ka
Tum Ko Sab Pe Sabqat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Tum Ko Jo Bata-e Apne Jaisa Insaañ
Kaur e Chashm He Woh, Do Jahaañ Ke Sultaan
Deo Ka He Banda Woh Adoo e Rahmaañ
Jis Ko Tum Se Nafrat Ya Rasool ‘Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

Tum Ho Noor e Yazdaañ Shama’ e Bazm e Imkaañ
Tum Ho Wajh e Har Shay, Dahar Ki Rag e Jaañ
Tum Se Koh o Sahra Tum Se Ye Gulistaañ
Tum Baqa-e Khilqat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم
Y

Dahar Me He Kya Shay Tum Se Jo Nihaañ He
Tum Par Haal e Akhtar Bil-Yaqeeñ Ayaañ He
Bas Meri Khamushi Hee Meri Zubaañ He
Kya Karuñ Shikaayat Ya Rasool’Allah
NAA’RA E RISAALAT YA RASOOL’ALLAH صلى الله عليه وسلم

 

 

DOOR AY DIL RAHEÑ MADINE SE

 

 

Door Ay Dil Raheñ Madine Se
Mawt Bahtar He Aise Jeene Se

Un Se Mera Salaam Keh Dena
Jaa Ke Tu Ay Saba Qareene Se

 

Har Gul e Gulsitaañ Mua’ttar He
Jaan e Gulzaar Ke Paseene Se

Yun Chamakte Haiñ Zar’re Taibah Ke
Jaise Bikh’re Huwe Nageene Se

Zikr e Sarkaar Karte Haiñ Momin
Ko-ee Mar Jaa-e Jal Ke Keene Se

Bargaah e Khuda Me Kya Pahunche
Gir Gaya Jo Nabi Ke Zeene Se

Pee Jiye Chashm e Naaz Se Un Ki
Maikashoñ Ka Bhala He Peene Se

Us Tajal’li Ke Saamne Akhtar
Gul Ko Aane Lage Paseene Se

 

SABA YE KAISI CHALI AAJ DASHT E BAT’HA SE

 

Saba Ye Kaisi Chali Aaj Dasht e Bat’ha Se
Umang e Shawq Ki Uth’tee He Qalb e Murda Se

Na Baat Mujh Se Gul e Khuld Ki Kar Ay Zaahid
Ke Mera Dil He Nigaar Khaar e Zaar e Taibah Se

Ye Baat Mujh Se Mere Dil Ki Keh Gaya Zaahid
Bahaar e Khuld e Bareeñ He Bahaar e Taibah Se

Ye Kis Ke Dum Se Mili He Jahaañ Ko Taabaani
Mah o Nujoom Haiñ Roshan Minaar e Taibah Se

Fida-ee-yoñ Ko Ye Zidd Kya Ke Pardah Uth Jaa-e
Hazaar Jalwe Numayaañ Hijaab e Aaqa Se

Jo He Mareez e Muhab’bat Yahaañ Chale Aa-eñ
Sada Ye Aati He Sun Lo Mazaar e Maula Se

Kinaara Ho Gaya Paida Usee Jagah Fawran
Kabhi Jo Ham Ne Pukaara Miyaan e Darya Se

Na Faiz e Raah e Muhab’bat Me Tu Ne Kuch Paaya
Kinaara Kyuñ Nahiñ Karta Too Ahl e Dunya Se

Pas e Mamaat Na Badnaam Ho Tera Akhtar
Ilaahi Is Ko Bacha Lena Ta’an e A’daa Se

 

 

SADQE JAA-UÑ ME ANEES E SHAB E TANHA-EE KE

 

Meri Khalwat Me Mazay Anjuman Aara-ee Ke
Sadqe Jaa-uñ Me Anees e Shab e Tanha-ee Ke

Un Ke Sadqe Me Mila Mol Anowkha Mujh Ko
Ho Gaye Dono Jahaañ Aap Ke Shaida-ee Ke

Sar He Sajde Me Khayaal e Rukh e Jaanañ Dil Me
Hum Ko Aate Haiñ Mazay Naasiyah Farsa-ee Ke

Sajdah Be Ulfat e Sarkaar ‘Abas Ay Najdi
Mohr e La’anat Haiñ Ye Sab Daagh Jabeeñ Saa-ee Ke

Dasht e Taibah Me Guma De Mujhe Ay Josh e Junooñ
Khoob Lene De Mazay Baadiyah Paima-ee Ke

Woh Rag e Jaañ e Do Aalam Haiñ Bar’re Bha-ee Nahiñ
Haiñ Ye Sab Phan’de Buray Tere, Bar’re Bha-ee Ke

Me To Hun Bulbul e Bustaan e Madina Akhtar
Hawsle Mujh Ko Nahiñ Qaafiya Aara-ee Ke

 

MADINA AANE WAALA HE

Sambhal Jaa Ay Dil e Muztar Madina Aane Waala He
Luta Ay Chashm e Tar Gauhar Madina Aane Waala He

Qadam Ban Jaa-e Mera Sar Madina Aane Waala He
Bichuñ Rah Me Nazar Ban Kar Madina Aane Waala He

Jo Dekhe Un Ka Naqsh e Paa Khuda Se Woh Nazar Maanguñ
Charaagh e Dil Chaluñ Le Kar Madina Aane Waala He

Karam Un Ka Chala Yuñ Dil Se Kehta Raah e Taibah Me
Dil e Muztar Tasal’li Kar Madina Aane Waala He

Nichaawar Haiñ Madine Ki Ye Mera Dil Meri Aankheñ
Nichaawar Huñ Madine Par Madina Aane Waala He

Ilaahi Me Talabgaar e Fana Huñ Khaak e Taibah Me
Ilaahi Kar Nisaar e Dar Madina Aane Waala He

Madine Ko Chala Me Be Niyaz e Rahbar e Manzil
Rah e Taibah He Khud Rahbar Madina Aane Waala He

Mujhe Khinche Liye Jaata He Shawq e Koocha e Jaanañ
Khincha Jaata Huñ Me Yaksar Madina Aane Waala He

Woh Chamka Gumbad e Khazra Woh Shahr e Pur Ziya Aaya
Dhalay Ab Noor Me Paikar Madina Aane Waala He

Jahaañ Se Be Khabar Ho Kar Chalo Khuld e Madina Me
Chalo Ab Hosh Ki Pee Kar Madina Aane Waala He

Madine Me Khule Baab e Hayaat e Naw Ba Tarz e Naw
Badal Daalo Kohan Daftar, Madina Aane Waala He

Zara Ay Markab e Umr e Rawaañ Chal Barq Ki Surat
Dikha Parwaaz Ke Jauhar Madina Aane Waala He

Talab Gaar e Madina Tak Madina Khud Hi Aa Jaa-e
Tu Dunya Se Kinaara Kar Madina Aane Waala He

Madina Aa Gaya Ab Deyr Kya He Sirf Itni Si
Tu Khaali Kar Ye Dil Ka Ghar Madina Aane Waala He

Falak Shayad Zameeñ Par Rah Gaya Khaak e Guzar Ban Kar
Biche Haiñ Raah Me Akhtar Madina Aane Waala He

Fiza-eñ Mehki-Mehki Haiñ Hawa-eñ Bheeni-Bheeni Haiñ
Basi He Kaisi Mushk e Tar Madina Aane Waala He

Qamar Aaya He Shayad Un Ke Talwoñ Ki Zia Lene
Bicha He Chaand Ka Bistar Madina Aane Waala He

Muhammad Ke Gada Kuch Farsh Waale Hee Nahiñ; Dekho!
Woh Aata He Shah e Khaawar Madina Aane Waala He

Ghubaar e Raah e Anwar Kis Qadar Pur Noor He Akhtar,
Tanee He Noor Ki Chaadar Madina Aane Waala He

 

BAADAH E ISHQ E MUSTAFA

Pee Ke Jo Mast Ho Gaya Baada e Ishq e Mustafa
Us Ki Khuda-ee Ho Gayi Awr Woh Khuda Ka Ho Gaya

Keh Diya Qaasimun Ana Donoñ Jahaañ Ke Shah Ne
Ya’ani Dar e Huzoor Pe Bat’ti He Ne’mat e Khuda

Arsa e Hashr Me Khuli Un Ki Woh Zulf e Ambareeñ
Meena Woh Jhoom Kar Gira Cha-ee Woh Dekhiye Ghata

Gardish e Chashm e Naaz Me Sadqe Tere Ye Keh To De
Le Chalo Is Ko Khuld Me Ye To Humaara Ho Gaya

 

SARKAR E DO AALAM
KI MUHABBAT

Nihaañ Jis Dil Me Sarkar e Do Aalam Ki Muhabbat He
Woh Khalwat Khaana e Maula He Woh Dil Rashk e Jannat He

Khala-iq Par Huwi Roshan Azal Se Ye Haqeeqat He
Do Aalam Me Tumhari Saltanat He Baadshaahat He

Khuda Ne Yaad Farma-ee Qasam Khaak e Kaf e Paa Ki
Huwa M’aloom Taibah Ki Do Aalam Par Fazilat He

Siwa e Mere Aaqa Ke Sabhi Ke Rishte He Faani
Woh Qismat Ka Sikandar He Jisay Aaqa Se Nisbat He

Yahi Kehti He Rindoñ Se Nigaah e Mast Saaqi Ki
Dar e Maikhaana Waa He Maikashoñ Ki ‘Aam Da’wat He

Gham e Shah e Dana Me Marne Waale Tera Kya Kehna
Tujhe ‘Laa Tahzanoo’ Ki Tere Maula Se Bashaarat He

Uthay Shawr e Mubaarakbaad Un Se Ja Mila Akhtar
Gham e Jaanañ Me Kis Darja Haseeñ Anjaam e Furqat He

MAST MA-E ALAST

Mast Ma-e Alast He Woh Badshah e Waqt He
Banda e Dar Jo He Tera Woh Be Niyaz e Bakht He
Salle ‘Ala Muhammadin Salle ‘Ala Muhammadin

Un Ki Gada-ee Ke Tufail Hum Ko Mili Sikandari
Rang Ye Laa-ee Bandagi Awj Pe Apna Bakht He
Salle ‘Ala Muhammadin Salle ‘Ala Muhammadin

Gardish e Dawr Ya Nabi Weeran Dil Ko Kar Gayi
Taab Na Mujh Me Ab Rahi Dil Mera Lakht-Lakht He
Salle ‘Ala Muhammadin Salle ‘Ala Muhammadin

 

Ghuncha e Dil Khila-iye Jalwah e Rukh Dikha-iye
Jaam e Nazar Pilaa-iye Tishnagi Mujh Ko Sakht He
Salle ‘Ala Muhammadin Salle ‘Ala Muhammadin

Akhtar e Khasta Taibah Ko Sab Chale Tum Bhi Ab Chalo
Jazb Se Dil Ke Kaam Lo Ut’tho Ke Waqt e Raft He
Salle ‘Ala Muhammadin Salle ‘Ala Muhammadin

 

JAAN E BAHAARAÑ

 

Shahanshah e Do ‘Aalam Ka Karam He
Mere Dil Ko Mayas’sar Un Ka Gham He

Yaheeñ Rehte Haiñ Woh Jaan e Bahaaraañ
Ye Dunya Dil Ki Rashk e Sad Iram He

Bhala Da’awe Haiñ Un Se Humsari Ke
Sar e Arsh e Bareeñ Jin Ka Qadam He

Ye Darbaar e Nabi He Jiske Aage
Na Jaane Arsh e Azam Kab Se Kham He

Taras Khaa-o Meri Tishnah Labi Par
Meri Pyaas Awr Ek Jaam! Kam He

Dil e Betaab Ko Behlaa-uñ Kaise
Bar’hegi Awr Betaabi Sitam He

Yahaañ Qaabu Me Rakh Dil Ko Akhtar
Ye Darbaar e Shaah e Umam He

 

TAAROÑ KI ANJUMAN ME YE BAAT HO RAHI HE

Taaroñ Ki Anjuman Me Ye Baat Ho Rahi He
Markaz Tajal’liyoñ Ka Khaak e Dar e Nabi He

Zar’re Ye Keh Rahe Haiñ Us Noor Ke Qadam Se
Ye Aab o Taab Le Kar Hum Ne Jahaañ Ko Di He

Yakta Haiñ Jis Tarah Woh, He Un Ka Gham Bhi Yakta
Khush Huñ Ke Mujh Ko Dawlat Anmol Mil Gayi He

Phir Kyuñ Kahuñ Pareshaañ Ho Kar Ba Qawl Shakhsay
Yakta Ke Gham Me Ab Bhi Be Kaif Zindagi He

 

 

EK BIJLI CHAMAK RAHI HE

 

 

Wohi Tabas’sum Wohi Taran’num Wahi Nazaakat Wohi Lataafat
Wohi Haiñ Duz-deedah See Nigaaheñ Ke Jis Se Shawkhi Tapak Rahi He

 

Guloñ Ki Khushboo Mahak Rahi He Diloñ Ki Kaliyaañ Chatak Rahi Haiñ
Nigaaheñ Uth-Uth Ke Jhuk Rahi Haiñ Ke Ek Bijli Chamak Rahi He

Ye Mujh Se Kehti He Dil Ki Dharhkan Ke Dast e Saaqi Se Jaam Le-Le
Woh Dawr Saaghar Ka Chal Raha He Sharaab e Rangeeñ Chalak Rahi He

Ye Me Ne Maana Haseen o Dilkash Samaañ Ye Masti Bhara He Lekin
Khushi Me Haa-il He Fikr e Farda Mujhe Ye Masti Khatak Rahi He

Na Jaane Kitne Fareb Khaa-e Raah e Ulfat Me Hum Ne Akhtar
Par Apni Mat Ko Bhi Kya Karen Hum Fareb Khaa Kar Bahak Rahi He

 

AY NASEEM E KOO E JAANAÑ

 

Tere Daaman e Karam Me Jisay Neend Aaga-ee He
Jo Fana Na Hogi Aisi Usay Zindagi Mili He

Mujhe Kya Pari Kisi Se Karuñ Arz Mud-da’a Me
Meri Lau To Bas Unhiñ Ke Dar e Jood Se Lagi He

Woh Jahaañ Bhar Ke Daata Mujhe Pheyr Deñge Khaali
Meri Tauba Ay Khuda! Ye Mere Nafs Ki Badee He

Jo Pa-e Sawaal Aa-e Mujhe Dekh Kar Ye Bole
Isay Chain Se Sulaa-o Ke Ye Banda e Nabi He

Me Maruñ To Mere Maula Ye Mala’ika Se Keh Deñ
Ko-ee Is Ko Mat Jagaana Abhi Aankh Lag Ga-ee He

Me Gunahgaar Huñ Awr Bar’re Martaboñ Ki Khwaahish
Tu Magar Kareem He Khoo Teri Banda Parwari He

Teri Yaad Thapki De Kar Mujhe Ab Shaha Sula De
Mujhe Jaagte Huwe Yuñ Bar’ri Deyr Hoga-ee He

Ay Naseem e Koo e Jaanaañ Zara Soo e Bad Naseebaañ
Chali Aa Khuli He Tujh Pe Jo Humaari Bekasi He

Tera Dil Shikasta Akhtar Isee Intezaar Me He
Ke Abhi Naweed e Waslat Tere Dar Se Aa Rahi He

 

FURQAT E TAIBAH KI WAHSHAT DIL SE JAAYE KHAIR SE

 

 

Furqat e Taibah Ki Wahshat Dil Se Jaa-e Khayr Se
Me Madine Ko Chaluñ Woh Din Phir Aa-e Khayr Se

Dil Me Hasrat Ko-ee Baaqi Reh Na Jaa-e Khayr Se
Raah e Taibah Me Mujhe Yuñ Maut Aa-e Khayr Se

Mere Din Phir Jaa-en Ya Rabb, Shab Woh Aa-e Khayr Se
Dil Me Jab Maah e Madina Ghar Banaa-e Khayr Se

Raat Meri Din Bane Un Ki Liqa e Khayr Se
Qabr Me Jab Un Ki Tal’at Jagmagaa-e Khayr Se

Haiñ Ghani Ke Dar Pe Hum Bistar Jama-e Khayr Se
Khayr Ke Taalib Kahaañ Jaa-eñge Jaa e Khayr Se

Woh Khiraam e Naaz Farmaa-eñ Jo Paa-e Khayr Se
Kya Bayaañ Woh Zindagi Ho Dil Jo Paa-e Khayr Se

 

Mar Ke Bhi Dil Se Na Jaa-e Ulfat e Baagh e Nabi
Khuld Me Bhi Baagh e Jaanaañ Yaad Aa-e Khayr Se

Ranj o Gham Huñ Be Nishaañ Aa-e Bahaar e Be Khizaañ
Mere Dil Me Baagh e Jaanañ Ki Hawa-e Khayr Se

Is Taraf Bhi Do Qadam Jalwe Khiraam e Naaz Ke
Rah Guzar Me Hum Bhi Haiñ Aankheñ Bicha-e Khayr Se

Intezaar Un Se Kahe He Ba Zubaan e Chashm e Nam
Kab Madina Me Chaluñ Kab Tu Bulaa-e Khayr Se

Shaam e Tanha-ee Bane Rashk e Hazaaraañ Anjuman
Yaad e Jaanañ Dil Me Yuñ Dhoomeñ Macha-e Khayr Se

Furqat e Taibah Ke Haathoñ Jeete Ji Murda Huwe
Maut Ya Rab Hum Ko Taibah Me Jilaa-e Khayr Se

Ho Mujhe Seyr e Gulistaan e Madinah Yuñ Naseeb
Me Bahaaroñ Me Chaluñ Khud Ko Guma-e Khayr Se

Zinda Baad Ay Aarzoo e Baagh e Taibah Zinda Baad
Tere Dam Se Haiñ Zamaane Ke Sataa-e Khayr Se

Najdiyoñ Ki Cheera Dasti Ya Ilaahi, Taa Bakay
Ye Bala e Najdiya Taibah Se Jaa-e Khayr Se

Jhaank Lo Aankhoñ Me Un Ki Hasrat e Taibah Liye
Zaa-ir e Taibah Zia e Taibah Laa-e Khayr Se

He Ye Taibah Ka Payaam Taalib e Aish e Dawaam
Jannat e Taibah Me Aa Hasti Mitaa-e Khayr Se

Sang e Dar Se Aa Milay Taibah Me Ab To Jaa Milay
Aaga-e Dar Pe Tere, Tere Bulaa-e Khayr Se

Gosh Bar Aawaaz Hoñ Qudsi Bhi Us Ke Geet Par
Baagh e Taibah Me Jab Akhtar Gunguna-e Khayr Se

 

MAR KE JEENE KA PAA-O MAZA KHAYR SE

 

Mar Ke Jeene Ka Paa-o Maza Khayr Se
Raah e Taibah Me Aa-e Qaza Khayr Se

Kijiye Mere Haq Me Dua Khayr Se
Khaak e Taibah Ho Meri Jaa Khayr Se

Mujh Ko Unka Ishaara Mila Khayr Se
Me Madine Ki Jaanib Chala Khayr Se

Khoob Guzreñge Subh o Masa Khayr Se
Un Ke Dar Pe Jo Bistar Jama Khayr Se

Aam He Un Ka Jood o Sakha Khayr Se
Un Ke Dar Pe Haiñ Shah o Gada Khayr Se

Woh Uth’ee Mawj e Behr e Ata Khayr Se
Ya Woh Dast e Karam Uth’ Gaya Khayr Se

Shaam Se Hum Ko Taibah Me Neend Aaga-ee
Zindagi Ka Saweyra Huwa Khayr Se

Khaak e Taibah Ko Paa Kar Huñ Me Shaadmaañ
Mera Akhtar Darakhshaañ Huwa Khayr Se

SAAMAAN E ISHRAT KIJIYE

 

Apne Rindoñ Ki Ziyaafat Kijiye
Jaam e Nazaara Inaayat Kijiye

Saaqi e Kawsar Duha-ee Aap Ki
Sokhta Jaanoñ Pe Rahmat Kijiye

Dijiye Meri Muhabbat Ko Hawa
Is Taraf Chashm e Muhabbat Kijiye

Qaid e Gham Me Khush Rahuñ Me Umr Bhar
Yuñ Giraftaar e Muhabbat Kijiye

Khud Ko Bhooluñ Aap Ki Ulfat Me, Mai
Mujh Ko Yuñ Mad-Hosh e Ulfat Kijiye

Kijiye Apna Mahaz Apna Mujhe
Qat’a Meri Sab Se Nisbat Kijiye

Daf’a Ho Taibah Se Ye Najdi Bala
Ya Rasool’Allah صلى الله عليه وسلم Ujlat Kijiye

Maang Lijiye Khaak e Taibah Me Jagah
Khaak Me Saamaan e Ishrat Kijiye

Un Pe Marna He Dawaam e Zindagi
Maut Se Phir Kyun Na Ulfat Kijiye

Jaan Lene Aa-e Woh Jaan e Jahaañ
Maut Se Phir Kaise Nafrat Kijiye

Zindagi He Sad Raah e Dostaañ
Kis Liye Jeene Ki Hasrat Kijiye

Un Pe Mar Jaane Ki Rakhiye Aarazoo
Yuñ Sada Jeene Ki Soorat Kijiye

Zulmatoñ Me Roshni Ke Waaste
Daagh e Seena Ki Hifazat Kijiye

Aatish e Dozakh Bujhaane Ke Liye
Tez Tar Naar e Muhabbat Kijiye

Tez Kijiye Seena e Najdi Ki Aag
Zikr e Aayaat e Wilaadat Kijiye

Kijiye Yaad e Khitaam ul Ambia
Khatm Yuñ Har Ranj o Kulfat Kijiye

Tay Ho Naam e Paak Par Meri Kitaab
Ye Karam Khatm e Risaalat Kijiye

Jud’d Bi Waslin Daa-iman Ya Sayyidi
Khatm Ab Ye Dawr e Furqat Kijiye

Intezaar e Jaan e Jaañ He Jaan Ko
Ya Rasool’Allah Ki Kasrat Kijiye

Denge Woh Khud Hi Muhabbat Ka Sila
Marte Dum Un Ki Ziyaarat Kijiye

Thande-Thande Khushboo-oñ Me Bas Chaleñ
Yaad e Gaisoo Waqt e Rahlat Kijiye

Ghaus e Azam Aap Se Fariyaad He
Dastageeri Mere Hazrat Kijiye

Rahlat e Akhtar Ka Hangaam Aa Gaya
Saaya e Rahmat Me Rukhsat Kijiye

 

BAHAAR E BE KHIZAAÑ

Humaare Baagh e Armaañ Me Bahaar e Be Khizaañ Aa-e
Kabhi Jo Is Taraf Khandaañ Woh Jaan e Gulsitaañ Aa-e

 

Woh Jaan e Yusuf Aa Jaa-e Agar Mere Tasawwur Me
Khuda Rakhe Wahiñ Khinch Kar Bahaar e Do Jahaañ Aa-e

Ko-ee Dekhe Meri Aankhoñ Se Ye E’zaaz Aaqa Ka
Salaami Ko Dar e Hazrat Pe Shaah e Qudsiyaañ Aa-e

Jamaal e Roo e Jaanañ Dekh Luñ Kuch Aisa Saamaañ Ho
Kabhi To Bazm e Dil Me, Ya Khuda! Aaraam e Jaañ Aa-e

Ilaahi! Apni Sat’taari Ka Tujh Ko Waasta, Sun Le
Sar e Mahshar Na Bande Ka Gunaah Ko-ee Ayaañ Aa-e

Karam Se Is Kameene Ki Bhi Maula Laaj Rakh Lena
Tera Akhtar Tere Saaye Me Shaah e Do Jahaañ Aa-e

 

FARISHTE JIS KE ZAA-IR HAIÑ

 

Farishte Jis Ke Zaa-ir Haiñ Madine Me Woh Turbat He
Ye Woh Turbat He Jis Ko Arsh e Azam Par Fazilat He

Bhala Dasht e Madina Se Chaman Ko Ko-ee Nisbat He
Madine Ki Faza Rashk e Bahaar e Baagh e Jannat He

Madina Gar Salaamat He To Phir Sab Kuch Salaamat He
Khuda Rakhe Madine Ko Usi Ka Dam Ghaneemat He

Madina Aisa Gulshan He Jo Har Gulshan Ki Zeenat He
Bahaar e Baagh e Jannat Bhi Madine Ki Ba-Dawlat He

Madina Chorh Kar Seyr e Jinaañ Ki Kya Zaroorat He
Ye Jannat Se Bhi Bahtar He Ye Jeete Jee Ki Jannat He

Humeñ Kya Haq Ta’aala Ko Madine Se Muhabbat He
Madine Se Muhabbat Un Se Ulfat Ki Alaamat He

Gadaagar He Jo Us Ghar Ka Wahi Sultaan e Qismat He
Gadaa-i Us Dar e Waala Ki Rashk e Baadshaahat He

Jo Mustaghni Huwa Un Se Muqad’dar Us Ka Khaibat He
Khaleelullah Ko Hangaam e Mahshar Un Ki Haajat He

Ilaahi! Woh Madina Kaisi Basti He Dikha Dena
Jahaañ Rahmat Barasti He Jahaañ Rahmat Hee Rahmat He

Madinah Chorh Kar Jannat Ki Khushboo Mil Nahiñ Sakti
Madine Se Muhabbat He To Jannat Ki Zamaanat He

Zameen Par Woh Muhammad صلى الله عليه وسلم Haiñ Woh Ahmad صلى الله عليه وسلم Aasmaanoñ Me
Yahaañ Bhi Un Ka Charcha He Wahaañ Bhi Un Ki Mid-hat He

Yahaañ Bhi Un Ki Chalti He Wahaañ Bhi Un Ki Chalti He
Madina Rajdhani He Do Aalam Par Hukoomat He

Ghazab Hi Kardiya Akhtar Madine Se Chale Aa-e
Ye Woh Jannat He Jis Ki Arsh Waaloñ Ko Bhi Hasrat He

Madina Chorh Kar Akhtar Bhala Kyuñ Jaa-eñ Jannat Ko
Ye Jannat Kya Har Ek Ne’mat Madine Ki Ba-Dawlat He

 

 

SHAMEEM E ZULF E NABI Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

 

Shameem e Zulf e Nabi Laa Saba Madine Se
Mareez e Hijr Ko Laa Kar Soongha Madine Se

Ye Aa Rahi He Mere Dil Ki Sada Madine Se
Har Ek Dukh Ki Milegi Dawa Madine Se

Madina Kehta He Ham-Dam Na Jaa Madine Se
Tujhe He Aish e Abad Ki Sala Madine Se

Naseem e Mast Chale Dil Ruba Madine Se
Bahaar e Dil Me Basay Dil Kusha Madine Se

Naseem e Mast Chale Dil Ruba Madine Se
Bahaar o Baagh Banay Dil Mera Madine Se

Uthaa-o Baadah Kasho Saaghar e Sharaab Kuhan
Woh Dekho Jhoom Ke Aa-ee Ghata Madine Se

Madina Jaan o Jinaan e Jahaañ He Woh Sun Leñ
Jinheñ Junoon e Jinaañ Le Chala Madine Se

Fiza e Dahar Ko Ghera He Jis Ki Mawjoñ Ne
Woh Seyl e Noor e Muhammad صلى الله عليه وسلم Chala Madine Se

Jahaañ Bhar Ke Sikhaane Ko Khusrawi Ke Usool
Ghubaar e Khaak e Nasheenaañ Uth’a Madine Se

Basa Woh Khuld Me Jo Bas Gaya Madine Me
Gaya Wo Khuld Se Jo Chal Diya Madine Se

Mareez e Hijr Ko Chain Aa Gaya Madine Me
Dil e Shikasta Ka Darmaañ Huwa Madine Se

Tere Karam Ke Bharose Ye Arz Karta Hu
Na Jaa-ega Tera Akhtar Raza Madine

Tere Karam Ke Me Qurbaañ Ye Hukm Farma Deñ
Na Jaa-ega Mera Akhtar Raza Madine Se

 

 

MERI CHASHM KAAN E GAUHAR HO RAHI HE

 

 

Nazar Pe Kisi Ki Nazar Ho Rahi He
Meri Chashm Kaan e Gauhar Ho Rahi He

Mere Khufya Naaloñ Ko Woh Sun Rahe He
Inaayat Kisi Ki Idhar Ho Rahi He

Woh Taibah Me Mujh Ko Talab Kar Rahe Haiñ
Talab Meri Ab Mu’atabar Ho Rahi He

Huwa Taalib e Taibah Matloob e Taibah
Talab Teri Ay Muntazar Ho Rahi He

Madine Me Huñ Awr Pichla Pehar He
Shab e Zindagi Ki Sahar Ho Rahi He

Nayi Zindagi Ki Woh May De Rahe He
Meri Zindagaani Amar Ho Rahi He

Madine Se Meri Bala Jaa-e Akhtar
Meri Zindagi Waqf e Dar Ho Rahi He

 

EK NAZAR MAHR E DARAKSHAAN E JAMAAL

 

 

Is Taraf Bhi Ek Nazar Mahr e Darakshaan e Jamaal
Hum Bhi Rakhte Haiñ Bahut Mud’dat Se Armaan e Jamaal

Tum Ne Ach’choñ Pe Kiya He Khoob Fayzaan e Jamaal
Hum Badoñ Par Bhi Nigaah e Lutf Sultaan e Jamaal

Ek Ishaare Se Kiya Shaq Maah e Taabaañ Aap Ne
Marhaba Sadd Marhaba Sal’le ‘Ala Shaan e Jamaal

Teri Jaañ Bakhshi Ke Sadqe Ay Maseeha e Zamaañ
Sang-Rezoñ Ne Parha Kal’ma Tera Jaan e Jamaal

Kab Se Baythe Haiñ Laga-e Lau Dar e Jaanaañ Pe Hum
Haa-e Kab Tak Deed Ko Tarseñ Fidayaan e Jamaal

Farsh Aankhoñ Ka Bicha-o Rah Guzar Me Aashiqoñ
Un Ke Naqsh e Paa Se Hoge Mazhar e Shaan e Jamaal

Mar Ke Mit’ti Me Milay Woh Najdiyo; Bilkul Ghalat
Hasb e Saabiq Ab Bhi Haiñ Marqad Me Sultaan e Jamaal

 

Garmi e Mahshar Gunahgaaro; Hai Bas Kuch Deyr Ki
Abr Ban Kar Chaa-enge Gaisoo e Sultaan e Jamaal

Kar Ke Da’wa Hamsari Ka Kaise Munh Ke Bal Gira
Mit’ Gaya Woh Jis Ne Ki Tauheen e Sultaan e Jamaal

Haasidaan e Shaah e Deeñ Ko Dijiye Akhtar Jawaab
Dar Haqeeqat Mustafa Pyaare Haiñ Sultaan e Jamaal

 

MAHR E ANWAR AY’RIYAAÑ

 

 

Arsh Par Haiñ Un Ki Har Soo Jalwa Gustar Ay’riyaañ
Gah Ba Shakl e Badr Haiñ Gah Mahr e Anwar Ay’riyaañ

Me Fida! Kya Khoob Haiñ Taskeen e Muztar Ay’riyaañ
Rowti Surat Ko Hansa Deti Haiñ Aksar Ay’riyaañ

Daafa’e Har Karb o Aafat Haiñ Woh Yaawar Ay’riyaañ
Banda e ‘Aasi Pe Rahmat Banda Parwar Ay’riyaañ

Ghuncha e Um’meed Un Ki Deed Ka Hoga Kabhi
Phool Ke Haiñ Ab Nazar Me Un Ki Khush-tar Ay’riyaañ

Noor Ke Tuk’ron Pe Un Ke Badr o Akhtar Bhi Fida
Marhaba Kitni Haiñ Pyaari Un Ki Dilbar Ay’riyaañ

Ya Khuda Taa Waqt e Rukhsat Jalwa Afgan Hee Raheñ
Aasmaan e Noor Ki Woh Shams e Azhar Ay’riyaañ

Un Ki Rif’at Wah-Wah Kya Baat Akhtar Dekh Lo
Arsh e Azam Par Bhi Pahuncheeñ Un Ki Bartar Ay’riyaañ

 

GAR HAMEÑ ZAUQ E TALAB SA RAHNUMA MILTA NAHIÑ

 

Gar Hameñ Zauq e Talab Sa Rahnuma Milta Nahiñ
Raasta Milta Nahiñ Awr Mud’da’a Milta Nahiñ

 

Jhuk Ke Mahr o Maah Goya De Rahe Haiñ Ye Sada
Do-sara Me Ko-ee Tum Sa Doosra Milta Nahiñ

Ib’taghoo Farma Ke Goya Rab’b Ne Ye Farma Diya
Be Waseela Najdiyo; Har Giz Khuda Milta Nahiñ

Un Se Um’meed e Wafa Ay Dil Mahaz Be-kaar He
Ahl e Dunya Se Muhabbat Ka Sila Milta Nahiñ

Kis Ne Tujh Se Keh Diya Dil Be Gharaz Aate Haiñ Woh
Be Gharaz Naadaan Ko-ee Be Wafa Milta Nahiñ

Dekhte Hi Dekhte Sab Apne Begaane Huwe
Ab To Dhoon’de Se Bhi Ko-ee Aashna Milta Nahiñ

Lau Lagaata Kyuñ Nahiñ Baab e Shah e Kaunain Se
Haath Utha Kar Dekh To Phir Un Se Kya Milta Nahiñ

Tere Maikhaane Me Jo Kheenchi Thi Woh May Kya Hu-ee
Baat Kya He Aaj Peene Ka Maza Milta Nahiñ

Saaqiya Teri Nigaah e Naaz May Ki Jaan Thee
Pheyr Li Tu Ne Nazar To Woh Nasha Milta Nahiñ

Peene Waale Dekh Pee Kar Aaj Un Ki Aankh Se
Phir Ye Aalam Hoga Ke Khud Ka Pata Milta Nahiñ

Akhtar e Khasta ‘Abas Dar-Dar Phira Karta He Tu
Juz Dar e Ahmad Kahiñ Se Mud’da’a Milta Nahiñ

 

DAR E AHMAD PE AB MERI JABEEÑ HE

Dar e Ahmad Pe Ab Meri Jabeeñ He
Mujhe Kuch Fikr e Do Aalam Nahiñ He

Mujhe Kal Apni Bakhshish Ka Yaqeeñ He
Ke Ulfat Un Ki Dil Me Jaa-guzeeñ He

Bahaareñ Yuñ To Jannat Me Haiñ Laakhoñ
Bahaar e Dasht e Taibah Par Kaheeñ He

Me Wasf e Maah e Taibah Kar Raha Huñ
Bala Se Gar Ko-ee Cheeñ Bar Jabeeñ He

‘Abas Jaana He To Ghayroñ Ki Jaanib
Ke Baab e Rahmat e Rahman Yaheeñ He

Gunahgaaro Na Ghabra-o Ke Apni
Shafa’at Ko Shafi’ ul Muznibeeñ He

Fareb e Nafs Me Ham-Dam Na Aana
Bache Rehna Ye Maar e Aasteeñ He

Dil e Betaab Se Akhtar Ye Keh Do
Sambhal Jaa-e Madinah Ab Qareeñ He

 

NOOR HEE NOOR HE ZIA HEE HE

 

Takht e Zar’reeñ He Na Taaj e Shaahi He
Kya Faqeerana Badshahi He

Faqr Par Shaan Ye Ke Zer e Nageeñ
Maah Se Le Ke Taab-Maahi He

Roo e Anwar Ke Saamne Sooraj
Jaise Ek Sham’a e Subh Gaahi He

Saaya e Zaat Kyuñ Nazar Aa-e
Noor Hee Noor He Zia Hee He

Reet Aaqa Ki Chorh Di Hum Ne
Apni Mehmaan Ab Tabaahi He

Ek Nigaah e Karam Se Mi’t Jaa-e
Dil Pe Akhtar Ke Jo Siyaahi He

QIT’AH

Note: A Qit’ah or a Qat’ah is a stanza that is an independent Genre of Poetry

Soya Nahiñ Me Raat Bhar Ishq e Huzoor Me
Kaisa Ye Rat Jaga Raha Kayf o Suroor Me
Pichle Pahar Jo Mar Gaya Un Ka Woh Jaañ Nisaar
Sar-Goshiyaañ Ye Kya Hu-eeñ Ghilmaan o Hoor Me

Jabeen e Wahabi Pe Dil Ki Siyaahi
Numaayaañ Hu-ee Jaise Ho Mohr e Shaahi
Ke Eeñ Sajdah Haa-e Baghayr e Muhabbat
Na Yaaband Har Giz Qubool Az Ilaahi

MUNAWWAR HO
GAYA AALAM

Tumhare Rukh Ke Jalwoñ Se Munawwar Ho Gaya Aalam
Magar Kyuñkar Ghata e Gham Ki Mere Dil Se Nahiñ Chath’ti

Na Ghabraa Haadisaat e Dahar Se Itna Mere Ham-Dam
Ye Dunya He, Kabhi Ye Ek Haalat Par Nahiñ Rehti

Karun Akhtar Shumaari Intizaar e Subh Me Kab Tak
Ilaahi He Ye Kaisi Raat Ke Kaate Nahiñ Kat’ti

 

BAZM E YAAR KA AALAM

 

Nit Na-ee Ek Uljhan He
Uf’f Gham e Rozgaar Ka Aalam

Kayf o Masti Me Gharq Ye Dunya
Jaane Kya Dil Figaar Ka Aalam

Ay Khuda! Tujh Pe Khoob Zaahir He
He Jo Mujh Sogwaar Ka Aalam

Jaan e Gulshan Ne Ham Se Munh Maw’ra
Ab Kahaañ Woh Bahaar Ka Aalam

Ab Kahaañ Woh Chalakte Paimaane
Ab Kahaañ Woh Khumaar Ka Aalam

Haa-e Kya Ho Gaya Gha’ree Bhar Me
Woh Shakeeb e Qaraar Ka Aalam

Daar e Faani Se Kya Gharaz Us Ko
Jis Ka Aalam Qaraar Ka Aalam

Ab Woh Rangeeniyaañ Nahiñ Ya Rab
Kya Huwa Bazm e Yaar Ka Aalam

Yaad Aata He Waqt e Gham Akhtar
Rukhsat e Gham Gusaar Ka Aalam

ZAARI E PAIHAM KYA HE

 

Meri May’yat Pe Ye Ahbaab Ka Maatam Kya He
Shor Kaisa He Ye Awr Zaari e Paiham Kya He

Waa-e Hasrat Dam e Aakhir Bhi Na Aa-Kar Poocha
Mud’da’a Kuch To Bata Deedah e Purnam Kya He

Kuch Bigarta To Nahiñ Mawt Se Apni Yaaro
Hum-Safeeraan e Gulistaañ Na Rahe Hum Kya He

In Khayalaat Me Gum Tha Ke Jhinjhora Mujh Ko
Ek Anjaan Si Aawaaz Ne Ek Dam Kya He

 

 

 

 

 

ZAARI E PAIHAM KYA HE

 

Meri May’yat Pe Ye Ahbaab Ka Maatam Kya He
Shor Kaisa He Ye Awr Zaari e Paiham Kya He

Waa-e Hasrat Dam e Aakhir Bhi Na Aa-Kar Poocha
Mud’da’a Kuch To Bata Deedah e Purnam Kya He

Kuch Bigarta To Nahiñ Mawt Se Apni Yaaro
Hum-Safeeraan e Gulistaañ Na Rahe Hum Kya He

In Khayalaat Me Gum Tha Ke Jhinjhora Mujh Ko
Ek Anjaan Si Aawaaz Ne Ek Dam Kya He

Kaun Hota He Musibat Me Shareek o Ham-dam
Hosh Me Aa Ye Nasha Sa Tujhe Har Dam Kya He

Kayf o Masti Me Ye Mad-hosh Zamaane Waale
Khaak Jaaneñ Gham o Aalaam Ka Aalam Kya He

Un Se Um’meed e Wafa Haa-e Teri Naadaani
Kya Khabar Un Ko Ye Kirdaar e Mu’azzam Kya He

Woh Jo Haiñ Ham Se Gurezaañ To Bala Se Apni
Jab Yahi Tawr e Jahaañ He To Bhala Gham Kya He

Meethi Baatoñ Pe Na Jaa Ahl e Jahaañ Ki Akhtar
Aql Ko Kaam Me Laa Ghaflat e Paiham Kya He

Ghayr Apne Ho Ga-e Jo Hamaare Badal Ga-e
Nazre Badal Ga-eeñ To Nazaare Badal Ga-e

Kis Ko Suna-iyega Yahaañ Gham Ki Daastaan
Jo Gham Me Saath Dete Woh Saare Badal Ga-e

Dhoon’de Se Paa-iyega Na Pehli Si Mastiyaañ
Badli Sharaab Kohna Woh Piyaale Badal Ga-e

Is Dawr e Maslihat Me Wafa Ko-ee Shay Nahiñ
Gaahe Huwe Hamaare To Gaahe Badal Ga-e

Akhtar Laga-iye Lau Nabi e Kareem Se
Kya Fikr Ahl e Dunya Jo Saare Badal Ga-e

Sowz e Nihaañ Ashk e Rawaañ Aah o Fughaan Dete Haiñ
Kyuñ Muhabbat Ka Sila Ahl e Jahaañ Dete Haiñ

Kaun Rakhta Teri Is Khaas Inaayat Ka Bharam
Bas Hameñ Daad e Sitam Girya Kunaañ Dete Haiñ

Ab Pas e Marg Ubharte Haiñ Ye Deyreenah Nuqoosh
Ham Fana Ho Ke Bhi Hasti Ka Nishaañ Dete Haiñ

Kufr He Dekh Ye Khawf Awr Raja Un Se Nadeem
But’t Bhi Kya Tujh Ko Bhala Sood o Ziyaañ Dete Haiñ

Nahiñ Jaati Kisi Soorat Pareshaani Nahiñ Jaati
Ilaahi! Mere Dil Ki Khaana e Weeraani Nahiñ Jaati

Na Jaane Kis Qadar Sadme Uthaa-e Raah e Ulfat Me
Nahiñ Jaati Magar Dil Ki Woh Naadaani Nahiñ Jaati

Piye Bin Hee Yahaañ Masti Ka Ye Aalam Ma’az-Allah
Qareeb e Marg Bhi Woh Chaal e Mastaani Nahiñ Jaati

Hazaaroñ Dard Sehta Huñ Isee Um’meed Me Akhtar
Ke Har Giz Raa-igaañ Faryaad e Roohaani Nahiñ Jaati

 

 

 

MANZAR E ISLAM (1)

 

Mamba’ e Noor e Risaalat Manzar e Islam He

Dars Gaah e Ilm o Sunnat Manzar e Islam He

Qibla Gaah o Deen e Millat Manzar e Islam He

Markaz e Islaah e Khilqat Manzar e Islam He

Yaadgaar e Aala Hazrat Manzar e Islam He

 

 

MANZAR E ISLAM (2)

 

 

Door Se Aata Yahaañ Har Ek Tishna Kaam He

Baada e Hubb e Nabi Ka Us Ko Milta Jaam He

Aap Kat Jaata He Us Se Jo Bhi Naafir Jaam He

Munkiroñ Ke Waaste Ye Taigh e Khooñ Aashaam He

Jaisa Us Ka Naam He Waisa Hi Us Ka Kaam He

 

 

YA RASOOL’ALLAH YA KHAYR AL ANAAM

 

 

Ya Rasool’Allah Ya Khayr Al Anaam
Door e Uftaada Ka Lijiye Salaam

Zayb o Zain e Arsh e Rahmaan As Salaam
Nikhat o Teeb e Gulistaañ As Salaam

Ay Qaraar e Be Qaraaraañ As Salaam
Chaara Saaz e Dilfigaaraañ As Salaam

Ay Shahanshah e Madina As Salaam
Ay Qaraar e Qalb o Seena As Salaam

Jaan e Jaan o Jaan e Imaañ As Salaam
Ay Shafee’ e Ahl e Isyaañ As Salaam

Mahbit e Wahy o Sakeena As Salaam
Ghaib Daan o Ghaib e Beena As Salaam

Ya Rasool’Allah Madina Ki Faza-oñ Ko Salaam
Ya Rasool’Allah Taibah Ki Hawa-oñ Ko Salaam

Ay Khuda Ko Dekhne Waale Nabi
Kaun Si Shay Tujh Se Aalam Me Chupi

Kijiye Apne Karam Se Soorat e Aish e Dawaam
Ya Rasool’Allah Ata Ho Khuld e Taibah Me Maqaam

Be Thikaanoñ Ko Thikaana Dijiye
Bistar e Khaak e Madina Dijiye

Tu To Waaqif He Mere Ahwaal Se
Kya Gharaz Phir Mujh Ko Arz e Haal Se

 

Kaam Bandoñ Ka He Arz e Mud’da’a
Yun Laboñ Par Maqsad e Dil Aa Gaya

Dafa’ Taibah Se Ho Ye Najdi Bala
Ya Rasool’Allah Aj’jil Bil-Jala

Ya Rasool’Allah Behr e Faatima
Apne Akhtar Ko Madinah Me Guma

 

MERE ALLAH KE NIGAAR SALAAM

 

Mere Allah Ke Nigaar Salaam
Dast e Qudrat Ke Shaahkaar Salaam

Donoñ Aalam Ke Taajdaar Salaam
Jaan e Har Jaan o Jaandaar Salaam

 

Nikhat e Har Chaman Hazaar Salaam
Jaan e Har Bulbul e Hazaar Salaam

Khaak e Taibah Banay Meri Hasti
Arz Karta He Khaaksaar Salaam

Shawq e Paiham Ki Iltija Sun Lo
Tum Pe Ho Meri Jaañ Nisaar Salaam

Phir Madine Me Kab Bulaa-o Ge
Tum Se Kehta He Intizaar Salaam

Mujh Ko Zaalim Pe Ikhtiyaar Nahiñ
Tum To Rakhte Ho Ikhtiyaar Salaam

Khuld Kehti He Yuñ Madine Se
Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahaar Salaam

Motiyoñ Ko Saja Ke Palkoñ Par
Kehti He Chashm e Ashk-baar Salaam

Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila
Jis Ka Barhta Rahe Khumaar Salaam

Dard e Ulfat Me De Maza Aisa
Dil Na Paa-e Kabhi Qaraar Salaam

Dil Ki Dhar’kan Tumhari Yaad Bane
Har Nafas Tum Pe Be-Shumaar Salaam

Teri Khaatir Zaleel Hona He
Meri Iz’zat Mere Waqaar Salaam

Apne Akhtar Ka Lo Salaam Shaha
Tum Pe Ay Jaan Ay Qaraar Salaam

 

AY MADINE KE SHEHR E YAAR SALAAM

 

Ay Madine Ke Shehr e Yaar Salaam
Ay Zamaane Ke Taajdaar Salaam

Gham Key Maaroñ Ke Gham Gusaar Salaam
Ay Qaraar e Dil Figaar Salaam

Zeenat e Arsh e Kirdigaar Salaam
Farsh Ke Taaj e Iftikhaar Salaam

Faateh o Khaatim e Payaambari
Gulshan e Dahar Ki Bahaar Salaam

Laz’zat e Aagaah Paa e Bos e Habeeb
Ay Madine Ke Rah Guzaar Salaam

Gumbad e Sabz e Rahmat e Aalam
Tujh Ko Kehte Haiñ Sabza Zaar Salaam

Ay Guzar Gaah e Sarwar e Aalam
Chashm o Sar Hoñ Tere Nisaar Salaam

Naqsh e Yaad e Nabi Khalish Se Jama
Dasht e Taibah Ke Pyaare Khaar Salaam

Yaad He Teri Kitni Kaif Aawar
Gham He Farhat Se Hum-Kinaar Salaam

 

 

AY SABA LE JA MADINE KO PAYAAM

 

Ay Saba Le Ja Madine Ko Payaam
Arz Kar De Un Se Baa-sad Ehteraam

Ay Makeen e Gumbad e Khazra Salaam
Ay Shakeeb e Har Dil e Shaida Salaam

Ab Madine Me Mujhe Bulwa-iye
Apne Be-Kas Par Karam Farma-iye

Bulbul e Be Par Pe Ho Jaa-e Karam
Aashiya-nash Dah Ba Gulzaar e Haram

Hind Ka Jangal Mujhe Bhaata Nahiñ
Bas Ga-ee Aankhoñ Me Taibah Ki Zameeñ

Zindagi Ke Haiñ Madine Me Mazay
Aish Jo Chaahe Madine Ko Chale

Zindagi Ke Haiñ Madine Me Mazay
Aish Jo Chaahe Madine Me Maray

Khuld Ki Khaatir Madina Chor’ Duñ
Eeñ Khayaal Ast o Muhaal Ast o Junoon

Khuld Ke Taalib Se Kehdo Be-Gumaañ
Taalib e Taibah Ki Taalib He Jinaañ

Mujh Se Pehle Mera Dil Haazir Huwa
Ard e Taibah Kis Qadar He Dil-Ruba

Kitni Pyaari He Madine Ki Chamak
Roshni Hee Roshni He Taa Falak

Kitni Bheeni He Madine Ki Mahak
Bas Ga-ee Boo e Madina Arsh Tak

Ya Rasool’Allah Az Rahmat Nigar
Dar Baqi e Paak Khwaaham Mustaqar

Bas Anowkhi He Madine Ki Bahaar
Rashk e Sad Gul Haiñ Isee Gulshan Ke Khaar

Kitni Roshan He Yahaañ Har Ek Shab
Har Taraf He Taabish e Maah e Arab

Kya Madine Ko Zaroorat Chand Ki
Maah e Taibah Ki He Har Soo Chaandni

Noor Waale Saahib e Me’raj He
Mahr o Mah Unke Sabhi Mohtaaj Haiñ

Ay Khusha Bakht e Rasa-e Akhtarat
Baaz Aawardi Gada Raa Bar-darat

 

 

MANQABAT SAYYIDUNA IMAM HUSAIN RADI ALLAHU ANHU (1)

 

Shuja’at Naaz Karti He Jalaalat Naaz Karti He
Woh Sultaan e Zamaañ Haiñ Un Pe Shawkat Naaz Karti He

Sadaaqat Naaz Karti He Amaanat Naaz Karti He
Hamiyat Naaz Karti He Muraw’wat Naaz Karti He

Shah e Khubaañ Pe Har Khoobi o Khaslat Naaz Karti He
Kareem Aise Haiñ Woh Un Par Karaamat Naaz Karti He

Jahaan e Husn Me Bhi Kuch Niraali Shaan He Un Ki
Nabi Ke Gul Pe Gulzaaroñ Ki Zeenat Naaz Karti He

Shahanshah e Shaheedaañ Ho Anowkhi Shaan Waale Ho
Husain Ibn e Ali Tum Par Shahaadat Naaz Karti He

Bitha Kar Shaana e Aqdas Pe Kar Di Shaan Do Baala
Nabi Ke Laadloñ Par Har Fazilat Naaz Karti He

Jabeen e Naaz Un Ki Jalwah Gaah e Husn He Kis Ki
Rukh e Zaiba Pe Hazrat Ki Malaahat Naaz Karti He

Nigaah e Naaz Se Naqsha Badal Dete Haiñ Aalam Ka
Adaa e Sarwar e Khubaañ Pe Nudrat Naaz Karti He

Fida-ee Huñ To Kis Ka Huñ Ko-ee Dekhe Meri Qismat
Qadam Par Jis Haseeñ Ki Jaan e Tal’at Naaz Karti He

Khuda Ke Fazl Se Akhtar Me Un Ka Naam Lewa Huñ
Me Huñ Qismat Pe Naazaañ Mujh Pe Qismat Naaz Karti He

 

 

MANQABAT SAYYIDUNA IMAM HUSAIN RADI ALLAHU ANHU (2)

 

Baagh e Tasleem o Raza Me Gul Khilaate Haiñ Husain
Yaani Hangaam e Musibat Muskuraate Haiñ Husain

Barq e Aalam Sowz Ka Aalam Dikhaate Haiñ Husain
Muskura Kar Qil’a Baatil Ka Giraate Haiñ Husain

Marzi e Maula Ki Khaatir Har Sitam Ko Seh Liya
Kis Khushi Se Baar e Gham Dil Par Ut’haate Haiñ Husain

 

YA GHAUS AL MADAD RADI ALLAHU ANHU

 

 

Peeroñ Ke Aap Peer Haiñ Ya Ghaus Al Madad
Ahl e Safa Key Meer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Ranj o Alam Kaseer Haiñ Ya Ghaus Al Madad
Ham Aajiz o Aseer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Ham Kaise Jee Rahe Haiñ Ye Tum Se Kya Kaheñ
Hum Haiñ Alam Ke Teer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Teer e Nazar Se Pheyr Do Saare Alam Ke Teer
Kya Ye Alam Ke Teer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Tere Hi Haath Laaj He Ya Peer e Dastageer
Hum Tujh Se Dastageer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Idfa’ Sharaara Shar Ya Ghausanal Abar
Shar Ke Sharar Kaseer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Kis Dil Se Ho Bayaan e Bedaad e Zaalimaañ
Zaalim Baray Shareer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Ahl e Safa Ne Pa-ee Tum Se Raah e Safaa
Sab Tum Se Mustaneer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Sadqa Rasool e Paak Ka Jholi Me Daal Do
Hum Qaadiri Faqeer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

Dil Ki Suna-e Akhtar Dil Ki Zubaan Me
Kehte Ye Behte Neer Haiñ Ya Ghaus Al Madad

 

 

 

 

 

 

MANQABAT SULTAN UL HIND KHWAJA GHAREEB NAWAAZ RADI ALLAHU ANHU

 

Khwaja e Hind Woh Darbaar He Aala Tera
Khusru e Dahr Huwa Maangne Waala Tera

Faiz Sultaan e Sakhaawat He Niraala Tera
Kabhi Mahroom Nahiñ Maangne Waala Tera

Teri Chawkhat Pe Jo Aaya Woh Bana Shaah e Zamaañ
Khusrawa Dahr Me Farmaan He Chalta Tera

Sadqa He Khwaja e Ajmer Ka Tujh Pe Akhtar
Burj e Rif’at Me Chamakta He Sitaara Tera

 

 

 

MANQABAT HAZRAT SAYYID SAALAAR MAS’OOD GHAZi RADI ALLAHU ANHU
ٰ

 

 

Hazrat e Mas’ud e Ghazi Akhtar e Burj e Huda
Bekasoñ Ka Hum-nawa Woh Saalikoñ Ka Muqtada

Saaqi e Sahba e Ulfat Raazdaan e Ma’rifat
Badshah Aisa Woh Jis Ki Ek Dunya He Gada

Aasmaan e Noor Ka Aisa Darakhshanda Qamar
Jis Ki Taabish Se Munawwar Saara Aalam Ho Gaya

Naa-ib e Shaah e Shaheedaañ Woh Muhaafiz Noor Ka
Jis Ne Seencha He Lahu Se Gulshan e Deen e Khuda

Istiqaamat Ka Woh Koh e Muhkam o Baala Tareeñ
Jis Ke Aage Koh e Aafaat o Masa-ib Jhuk Gaya

Saadagi Me Bhi He Woh Sardaar e Khubaañ Dekhiye
Kya Muqad’das Zaat He Jis Ki Niraali Har Adaa

Nausha e Bazm e Jinaañ Woh Banda e Rab e Jahaañ
Hoor o Ghilmaañ Jis Ki Khidmat Par Muqar’rar Haiñ Sada

Tere Noor e Faiz Se Khayraat Dunya Ko Mili
Hum Ko Bhi Hadd e Mu’azzam Ka Milay Sadqa Shaha

Ya Ilaahi Tere Bande Ke Dar e Pur Noor Par
Gardish e Ay’yaam Ka Me Tujh Se Karta Huñ Gila

Ya Ilaahi Be Niyaz e Dahar Tu Kar De Mujhe
Door Kar De Mere Dil Se Ulfat e Har Ma-Siwa

Allah-Allah Ye Naseeb e Akhtar e Shireeñ Sukhan
Faiz e Maula Se He Woh Saalaar Ka Mid’hat Saraa

 

 

 

JAMAAL E HAZRAT E AHMAD RAZA KA AA-INA TUM HO

 

Tumheñ Jis Ne Bhi Dekha Keh Utha Ahmad Raza Tum Ho
Jamaal e Hazrat e Ahmad Raza Ka Aa-ina Tum Ho

Nahiñ Haamid Raza Hum Me Magar Wajhe Shakeeba-ee
Khuda Rakhe Tumheñ Zinda Mere Haamid Numa Tum Ho

Tumhaare Naam Me Tum Ko Buzurgi Ki Sanad Haasil
Raza Wajhe Buzurgi He Raza e Mustafa Tum Ho

Tumhaare Naam Me Yuñ Haiñ Raza o Mustafa Do Juz
Raza Waale Yaqeenan Mustafa Ke Mustafa Tum Ho

Tumhari Rif’atoñ Ki Ibtida Bhi Paa Nahiñ Sakta
Key Uftaada Zameeñ Huñ Me Bulandi Ka Samaa Tum Ho

Hayaat o Mawt Waabasta Tumhare Dam Se Haiñ Donoñ
Hamaari Zindagi Ho Awr Dushman Ki Qaza Tum Ho

Ye Noori Chehra Ye Noori Ada-eñ Sab Ye Kehte Haiñ
Shabi e Ghaus Ho Noori Miyañ Ho Awr Raza Tum Ho

Raza Joyaan e Rab Thaamay Huwe Haiñ Is liye Daaman
Raza Se Kaam Par’ta He Raza e Kibriya Tum Ho

Janaab e Mufti e Azam Ke Fayzaan e Tajal’li Se
Shabistaan e Raza Me Khayr Se Akhtar Raza Tum Ho

 

 

 

MANQABAT SAYYIDI HUZOOR MUFTI E AZAM HIND RADI ALLAHU ANHU

 

Mufti e Azam e Deen e Khayr ul Wara
Jalwa e Shaan e Irfaan e Ahmad Raza

Deed e Ahmad Raza He Tumheñ Dekhna
Zaat e Ahmad Raza Ka Ho Tum Aa-ina

Kya Kahuñ Haq Ke Ho Kaise Tum Muqtada
Muqtadayaan e Haq Karte Haiñ Iqtida

Un Ki Mid’hat Ko Me Kis Se Maanguñ Zubaañ
Kya Maqaam e Suray’ya Bata-e Sara

Ahmad e Noori Ke Haiñ Ye Mazhar Tamaam
Ye Haiñ Noori Miyañ Noori Har-Har Adaa

Noor Ki May Pilaate Haiñ Ye Roz o Shab
Jis Ko Peena Ho Aa-e He Maikhaana Waa

Haiñ Buhat Ilm Waale Bhi Awr Peer Bhi
Aankhoñ Dekha Na Un Sa Na Kaanoñ Suna

Un Ka Saaya Saroñ Par Salaamat Rahe
Munh Saraate Rahe Yuñ Hee Dushman Sada

Un Ke Haasid Pe Woh Dekho Bijli Giri
Woh Jala Dekh Kar Woh Jala Woh Jala

Woh Jaleñge Hamesha Jo Tujh Se Jaleñ
Mar Ke Bhi Dil Jaloñ Ko Na Chain Aayega

Aashiqoñ Ke Jigar Un Se Thande Raheñ
Dushmanoñ Par Raheñ Ban Ke Shakl e Qaza

Za Du’a ul Unaasiyyi Ajma’ihim
Istajib Rab’bana Ya Mujeebad Du’a

Awr Honge Jinheñ Tujh Se Laalach Ho Kuch
Tere Akhtar Ko Kaafi He Teri Raza

 

 

 

CHAL DIYE TUM AANKH ME ASHKOÑ KA DARYA CHOR KAR

 

 

 

Chal Diye Tum Aankh Me Ashkoñ Ka Darya Chor’ Kar
Ranj e Furqat Ka Har Ek Seene Me Sho’la Chor’ Kar

Laz’zat e May Le Gaya Woh Jaam o Meena Chor’ Kar
Mera Saaqi Chal Diya Khud May Ko Tishna Chor’ Kar

Har Jigar Me Dard Apna Meetha-Meetha Chor’ Kar
Chal Diye Woh Dil Me Apna Naqsh e Waala Chor’ Kar

Jaama e Mushkeeñ Liye Arsh e Mu’alla Chor’ Kar
Farsh Par Aa-e Farishte Bazm e Baala Chor’ Kar

Aalam e Baala Me Har Soo Marhaba Ki Goonj Thee
Chal Diye Jab Tum Zamaane Bhar Ko Soona Chor’ Kar

Maut e Aalim Se Bandhi He Maut e Aalam Be-Gumaañ
Rooh e Aalam Chal Diya Aalam Ko Murda Chor’ Kar

Mut’taqi Ban Kar Dikhaa-e Is Zamaane Me Ko-ee
Ek Mere Mufti e Azam Ka Taqwa Chor’ Kar

Khwaab Me Aa Kar Dikhaa-o Ham Ko Bhi Ay Jaañ Kabhi
Kaun Si Dunya Basaa-ee Tum Ne Dunya Chor’ Kar

Ek Tum Dunya Me Reh Kar Taarik e Dunya Rahe
Reh Ke Dunya Me Dikhaa-e Ko-ee Dunya Chor’ Kar

Us Ka Ay Shaah e Zaman Saara Zamaana Ho Gaya
Jo Tumhara Ho Gaya Saara Zamaana Chorh Kar

Rahnuma e Raah e Jannat He Tera Naqsh e Qadam
Raah e Jannat Tay Na Hogi Tera Rasta Chor’ Kar

Misl e Garduñ Saaya e Dast e Karam He Aaj Bhi
Kaun Kehta He Ga-e Woh Be Sahara Chor’ Kar

Ho Sakay To Dekh Akhtar Baagh e Jannat Me Usay
Woh Gaya Taaroñ Se Aage Aashiyaana Chor’ Kar

 

LA’L YAKTA E SHAH E AHMAD RAZ MILTA NAHIÑ

 

Zeenat e Sajjadah o Bazm e Qaza Milta Nahiñ
La’al e Yakta e Shah e Ahmad Raza Milta Nahiñ

Woh Jo Apne Dawr Ka Siddique Tha Milta Nahiñ
Mahram e Raaz e Muhammad Mustafa Milta Nahiñ

Ab Charaagh e Dil Jala Kar Ho Sakay To Dhundhiye
Partaw e Ghaus o Raza o Mustafa Milta Nahiñ

Aalam e Sauz e Daruñ Kis Se Kahuñ Kis Se Kahuñ
Chaara Saaz e Dard e Dil Dard e Aashna Milta Nahiñ

Aalimoñ Ka Mu’tabar Woh Peshwa Milta Nahiñ
Jo Mujassam Ilm Tha Woh Kya Huwa Milta Nahiñ

Zaahidoñ Ka Woh Musal’lam Muqtada Milta Nahiñ
Jis Pe Naazaañ Zuhd Tha Woh Paarsa Milta Nahiñ

Fard e Afraad e Zamaañ Woh Shaykh e Ashyaakh e Jahaañ
Kaamilaan e Dahar Ka Woh Muntaha Milta Nahiñ

 

Istiqaamat Ka Woh Koh e Muhkam o Baala Tareeñ
Jis Ke Jaane Se Zamaana Hil Gaya Milta Nahiñ

Chaar Yaaroñ Ki Adaa-eñ Jis Me Theeñ Jalwa Numa
Chaar Yaaroñ Ka Woh Roshan Aa-ina Milta Nahiñ

Ek Shaakh e Gul Nahiñ Saara Chaman Andoh-geeñ
Mustafa Ka Andaleeb e Khush-Nawa Milta Nahiñ

Mufti e Azam Ka Zar’ra Kya Bana Akhtar Raza
Mehfil e Anjum Me Akhtar Doosra Milta Nahiñ

 

 

 

MANQABAT MUFASSIR E AZAM HIND RADI ALLAHU ANHU (1)

 

Haami e Deen e Huda Thay Shaah e Jilani Miyañ
Bil Yaqeeñ Mard e Khuda Thay Shaah e Jilani Miyañ

Misl e Gul Hangaam e Rukhsat Muskuraate Hi Rahe
Paikar e Sabr o Raza Thay Shaah e Jilani Miyañ

Chal Basay Ham Ko Dikha Kar Raah Seedhi Khuld Ki
Deen e Haq Ke Rahnuma Thay Shah Jilani Miyañ

Hijr Ki Laa-e Na Taab Aakhirash Jaa Hee Mile
Aashiq e Khayr ul Wara Thay Shah e Jilani Miyañ

Un Ke Har Irshaad Se Har Dil Ki Hoti Thee Jila
Mazhar e Shaan e Khuda Thay Shah e Jilani Miyañ

Maal o Zar Sab Kuch Nichaawar Raah e Haq Me Kar Ga-e
Kaise Mukhlis Peshwa Thay Shah e Jilani Miyañ

Ham Ko Bin Dekhe Tumheñ Ab Kaise Chain Aa-e Huzoor
Tum Shakeb e Aqraba The Shah e Jilani Miyañ

Sabr o Tasleem o Raza Ki Ab Hameñ Taufeeq De
Tere Bande Ay Khuda! Thay Shah e Jilani Miyañ

Shor Kaisa He Ye Barpa Ghaur Se Akhtar Suno
Partaw e Ahmad Raza The Shah e Jilani Miyañ

 

 

 

MANQABAT MUFASSIR E AZAM HIND RADI ALLAHU ANHU (2)

 

Kis Ke Gham Me Haa-e Tarpaata He Dil
Awr Kuch Zyaada Umand’ Aata He Dil

Dil Tera Har Giz Bahakne Ka Nahiñ
Tu Abas Bimaar Behlaata He Dil

Haa-e Dil Ka Aasra Hi Chal Basaa
Tukde-Tukde Ab Huwa Jaata He Dil

Kaun Jaane Raaz e Mahboob o Muhib
Kyuñ Liya Jaata Diya Jaata He Dil

Jaañ Ba Haq Tasleem Ho Jaana Tera
Yaad Kar Ke Mera Bhar Aata He Dil

Ay Ta’aala-Allah Shaan e Awliyah
Un Ke Istighna Pe Bal Khaata He Dil

Me Bhi Huñ Kuch Din Ka Mehmaan e Jahaañ
Taab e Hijraañ Ab Nahiñ Laata He Dil

Kha Chuka He Baar Ha Kitne Fareb
Phir Bhi Dunya Par Mitaa Jaata He Dil

Tere Peeche Ho Chuka Barbaad Me
Rehne De Ab Awr Kya Bhaata He Dil

Chor’ De Haañ Awr Ghaflat Chor’ De
Kyuñ Soo e Dozakh Liye Jaata He Dil

Apne Maula Ko Mana Le Bad-Naseeb
Thokareñ Dar-Dar Ki Kyuñ Khaata He Dil

Apne Akhtar Par Inaayat Kijiye
Mere Maula Is Ko Behkaata He Dil

 

 

 

URS AMJAD ALI ME CHALE AA-IYE

 

Urs e Amjad Ali Me Chale Aa-iye
Majd e Amjad Ki Sawghaat Le Jaa-iye

Kis Qadar Pur Kashish He Ye Razvi Sama
Jalwa Farma Haiñ Kya Aala Hazrat Yahaañ

Bazm e Sadrush Shariah Ki Ye Dil Kashi
Be Khudi De Ga-ee Awr Khudi Le Ga-ee

Be Khudi Me Huwe Dahar Se Be Khabar
Be Khudi Apni He Deen Me Mu’tabar

Gulsitaan e Raza he Yahaañ Be Gumaañ
He Bahaar e Shariat Yahaañ Be Khizaañ

Nazm Meri Wahaañ Gunguna-ee Ga-ee
Me Bhi Haazir Hun Yuñ Gha’ibana Sahi

Tum Ko Amjad, Raza Se Mila Maikadah
Ek Aalam Huwa Baada Khwaar e Raza

Rind Tere Dua Go Rahenge Sada
Jaam Paimaana Bhar De Mera Saaqiya

Apne Akhtar Pe Bhi Ho Karam Ki Nazar
Us Ke Daaman Me Bhi Daaliye Kuch Gauhar

 

 

 

 

 

MUSTAFA KI ZIA SHAMA’E AMJAD ALI

Mustafa Ki Zia Shama’e Amjad Ali
Pur Zia Ho Sadaa, Shama’e Amjad Ali

Shama’e Amjad Ali Se Ye Mehfil Sajee
Anjuman He Raza Ki Khud Amjad Ali

Shama’e Amjad Se Lau Jab Raza Ki Milee
Anjuman, Anjuman Se Baham Ho Ga-ee

Yak Zubaañ Ho Ke Kehti He Ye Anjuman
Khoob Phoole Phalay Ye Raza Ka Chaman

Maslak e Aala Hazrat Salaamat Rahe
Khayr Se Sunniyoñ Ki Jama’at Rahe

 

 

MANQABAT HUZOOR MUJAAHID E MILLAT RADI ALLAHU ANHU

 

Dil Ne Kaha Mujaahid e Millat Ko Dhundhiye
Le Kar Charaagh e Shaah e Wilaayat Ko Dhundhiye

Me Ne Kaha Ke Sun Ay Dil e Mubtala e Gham
Apni Ye Kab Majaal Ke Paa Jaayeñ Un Ko Ham

Ham Zer e Aasmaañ Unheñ Yuñ Dekhte Rahe
Woh Kab Ke Aasmaañ Ke Paray Khuld Me Gaye

Tum Kya Gaye Mujaahid e Millat Jahaañ Gaya
Aalim Ki Mawt Kya He Aalam Ki He Fana

Me Rehlat e Mujaahid e Millat Ko Kya Kahuñ
Yuñ Samjho Gir Gaya Ko-ee Islam Ka Sutooñ

Har Soo Ye Keh Rahe Haiñ Anaadil Chaman-Chaman
Ay Bulbul e Madina Kahaañ He Tu Khush Dahan

Woh Yaadgaar e Hujjatul Islam Ab Nahiñ
Andoh-geeñ He Aaj Shabistaan e Ilm e Deeñ

Nasreen e Gulsitaan e Sadrush Shari’ah Bu-ad
Boo e Khodash Guzaashita Andar Chaman Ra Bu-ad

Khursheed e Sunniyat Ne Chaadar Jo Or’h Lee
Zulmat Me Qaafile Ki Woh Raftaar Tham Ga-ee

Paik e Nada o Ghufraañ Un Ki Wafaat Thee
Akhtar Khushi Manaa-o Wisaal e Habeeb Ki

 

 

 

 

 

MANQABAT HUZOOR AHSAN UL ULAMA RADI ALLAHU ANHU (1)

Haq Pasand o Haq Nawa o Haq Numa Milta Nahiñ
Mustafa Haidar Hasan Ka Aa-ina Milta Nahiñ

Khoob Surat Khoob Seerat Woh Ameen e Mujtaba
Ashraf o Afzal, Najeeb e Zaahira Milta Nahiñ

Khush Bayaan o Khush Nawa o Khush Ada Milta Nahiñ
Jo Mujassam Husn Tha Woh Kya Huwa Milta Nahiñ

Khush Bayaan o Khush Nawa o Khush Ada Milta Nahiñ
Dil Nawaazi Karne Waala Dil Ruba Milta Nahiñ

 

Paikar e Sidq o Safa Woh Shama’e Raah e Mustafa
Jo Mujassam e Deen Tha Woh Kya Huwa Milta Nahiñ

Mard e Maidaan e Raza Woh Haidar e Deen e Khuda
Sher Seerat Sher e Dil Haidar Numa Milta Nahiñ

Haajateñ Kis Ko Pukaareñ Kis Ki Jaanib Rukh Kareñ
Haajateñ Mushkil Me Haiñ Mushkil Kusha Milta Nahiñ

Woh Haiñ Un Me Jo Kaheñ Ajsaa-muna Arwaa-huna
Soorat e Rooh e Rawaañ He Bar-mala Milta Nahiñ

Doob Too Bahr e Fana Me Phir Baqa Paa-ega Too
Jo Ye Keh Kar De Gaya Apna Pata Milta Nahiñ

Sunniyoñ Ki Jaan Tha Woh Sayyidoñ Ki Shaan Tha
Dushmanoñ Ke Waaste Paik e Raza Milta Nahiñ

Woh Ameen e Ahl e Sunnat Raazdaar e Murtadha
Ashraf o Afzal, Najeeb e Ba Safa Milta Nahiñ

Shibl e Sher e Karbala Woh Daafa’e Karb o Bala
Woh Hamara Ghamzuda Gham Aashna Milta Nahiñ

Ek Shaakh e Gul Hee Kya Ghamgeen He Saari Faza
Mustafa Ka Andaleeb e Khush-Nawa Milta Nahiñ

Yaad Rakhna Ham Se Sun Kar Mid’hat e Haidar Hasan
Phir Kahoge Akhtar e Haidar Numa Milta Nahiñ

 

 

 

 

 

MANQABAT HUZOOR AHSAN UL ULAMA RADI ALLAHU ANHU (2)

 

 

Ay Naqeeb e Aala Hazrat Mustafa Haidar Hasan
Ay Bahaar e Baagh e Zahra Mere Barakaati Chaman

Ay Tamaasha-Gaah e Aalam Chehra e Taabaañ e Too
Tu Kuja Behr e Tamaasha Mee Rawee Qurbaan Too

Istiqaamat Ka Woh Koh e Mohkam o Baala Hasan
Ashraf o Afzal Najeeb e Itrat e Zahra Hasan

Toor e Irfaan o Ulu o Hamd o Husna o Baha
Zindabaad Ay Partaw e Moosa o Aks e Mustafa

Aalam e Sauz e Daruñ Kis Se Kahuñ Kis Se Kahuñ
Dil Shudah Zaar e Chunaañ o Jaañ Shudah Zer e Chunooñ

Tha Jo Apne Dard Ki Hakmi Dawa Milta Nahiñ
Chaara Saaz e Dard e Dil Deed e Aashna Milta Nahiñ

Ek Shama’e Anjuman Thee Jo Bil Aakhir Bujh Ga-ee
Ab Ujaale Ko Tarasti He Ye Bazm e Aagahi

Saugwaaroñ Ko Shakeba-ee Ka Saamaañ Kam Nahiñ
Ab Ameen e Qaadiriyat Ban Gaya Tera Ameen

Ilm o Ahl e Ilm Ki Tauqeer Tha Shewa Tera
Ja-Nasheeñ Me Ho Numaayaañ Jalwa e Zaiba Tera

Ilm Ka Us Aastaane Par Sada Pehra Rahe
Soorat e Khursheed e Taabaañ Mera Marahrah Rahe

Akhtar e Khasta He Bulbul Gulshan e Barakaat Ka
Deyr Tak Mahke Har Ek Gul Gulshan e Barakaat Ka

 

 

 

MANQABAT HAZRAT SIBTAIN RAZA ALAIHIR RAHMA

Chor’ Kar Aap Saara Jahaañ Chal Diye
Ay Ameen e Shari’at Kahaañ Chal Diye

De Ke Hasti Ka Apni Nishaañ Chal Diye
Sab Ki Manzil Jahaañ Hay Wahaañ Chal Diye

Kaise Maah e Mubeeñ Be Gumaañ Chal Diye
Kitne Zer e Zameeñ Aasman Chal Diye

Ishq e Sarwar Me Mar Kar Amar Hoga-e
Aur Fana Ho Ke Soo e Jinaañ Chal Diye

Aage-Aage Ameen e Shari’at Ga-e
Peeche Ashkoñ Ke Seyl e Rawaañ Chal Diye

Daagh e Ishq e Nabi Dil Me Rakhe Rahe
Le Ke Shama’e Lahad Shaadmaañ Chal Diye

Baagh e Ahmad Raza Ke Gul e Khush-Numa
Muskuraate Huwe Gulsitaan Chal Diye

Dekhne Waalo Jee Bhar Ke Dekho Hameñ
Kal Na Rona Ke Akhtar Miyañ Chal Diye

 

 

 

 

 

MANQABAT BAHR UL ULOOM MUFTI ABDUL MANNAN ALAIHIR RAHMA

 

Gulshan e Ilm Ki Bahaar Huwe
Wo Buzurgoñ Ki Yaadgaar Huwe

Ilm Ka Bahr e Be Kinaar Huwe
Aagahi Ke Wa Laalah Zaar Huwe

Wo Qaraar e Dil Figaar Huwe
Awr Hikmat Ka Aabshaar Huwe

Is Gulistaañ Ke Gul e Hazaar Huwe
Gham Ke Maaroñ Ke Ghamgusar Huwe

Mustafa Ke Woh Jaañ Nisaar Huwe
Haq Nigar, Haq Numa, Haq Shi’aar Huwe

Un Ke Khaasoñ Me Yuñ Shumaar Huwe
Haq Shanaasoñ Ke Shahr e Yaar Huwe

Mard e Maidaan e Kaar-Zaar Huwe
Sunniyoñ Ke Wo Shah-Sawaar Huwe

Thay Fatawa e Razviyyah Ke Ameen
Aala Hazrat Pe Woh Nisaar Huwe

Un Ko Rota He Ab Zamaana Yuñ
Jawhar Fard e Rozgaar Huwe

Abd e Mannan Jin Ko Kehte Thay
Wo Bahaaroñ Se Hum-Kinaar Huwe

Akhtar e Khasta Ke Karam Farma
Shaamil Bazm e Kirdigaar Huwe

 

 

 

MANQABAT HAZRAT ALLAMA MUFTI SHU’AIB RAZA ALAIHIR RAHMA

 

 

Chor’ Kar Tum Yaka Yak Jahaañ Chale Basay
Ay Shu’aib e Na’eemi Kahaañ Chal Basay

Tum Nahiñ Ho To Sooni He Bazm e Sukhan
Tum Se Shadaab Thay Aagahi Ke Chaman