Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz Lyrics

Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz Lyrics

 

ग़रीब आए हैं दर पर तेरे ग़रीब-नवाज़ / Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz

 

ग़रीब आए हैं दर पर तेरे, ग़रीब-नवाज़ !
करो ग़रीब-नवाज़ी, मेरे ग़रीब-नवाज़ !

तुम्हारे दर की करामत ये बारहा देखी
ग़रीब आए हैं और हो गए ग़रीब-नवाज़

लगा के आस बड़ी दूर से मैं आया हूँ
मुसाफ़िरों पे करम कीजिए, ग़रीब-नवाज़ !

तुम्हारी ज़ात से मेरा बड़ा त’अल्लुक़ है
कि मैं ग़रीब बड़ा, तुम बड़े ग़रीब-नवाज़

न मुझ सा कोई गदा है, न तुम सा कोई करीम
न दर से उठूँगा बे कुछ लिए, ग़रीब-नवाज़ !

हुज़ूर अशरफ़-ए-सिमनाँ के नाम का सदक़ा
हमारी झोली को भर दीजिए, ग़रीब-नवाज़

ज़माने भर से मुझे कर दिया ग़नी, सय्यद !
मैं सदक़े जाऊँ तेरी जोग के, ग़रीब-नवाज़ !

शायर:
मुहद्दिस-ए-आ’ज़म-ए-हिन्द

ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद अब्दुल क़ादिर क़ादरी

 

Gareeb Aae Hai.N Dar Par Tere, Gareeb-Nawaaz !
Karo Gareeb-Nawaazi, Mere Gareeb-Nawaaz !

Tumhaare Dar Ki Karaamat Ye Baarha Dekhi
Gareeb Aae Hai.N Aur Ho Gae Gareeb-Nawaaz

Lagaa Ke Aas Ba.Di Door Se Mai.N Aaya Hu.N
Musaafiro.N Pe Karam Kijiye, Gareeb-Nawaaz !

Tumhaari Zaat Se Mera Ba.Da Ta’alluq Hai
Ki Mai.N Gareeb Ba.Da, Tum Ba.De Gareeb-Nawaaz

Na Mujh Sa Koi Gada Hai, Na Tum Sa Koi Kareem
Na Dar Se Uthunga Be Kuchh Liye, Gareeb-Nawaaz !

Huzoor Ashraf-E-Simnaa.N Ke Naam Ka Sadqa
Hamaari Jholi Ko Bhar Dijiye, Gareeb-Nawaaz !

Zamaane Bhar Se Mujhe Kar Diya Gani, Sayyad !
Mai.N Sadqe Jaau.N Teri Jog Ke, Gareeb-Nawaaz !

Poet:
Muhaddis-E-Aa’zam-E-Hind

Naat-Khwaan:
Sayyid Abdul Qadir Qadri

Leave a Comment