Khak Mujh Me Kamal Rakha Hai Naat Lyrics | Barkate Raza

Khak Mujh Me Kamal Rakha Hai Naat Lyrics

 

खाक मुझमें कमाल रक्खा है Naat Lyrics

 

Khaak mujh me kamaal rakha hai
Mustafa ne sambhal rakha hai
खाक मुझमें कमाल रक्खा है
मुस्तफ़ा ने सम्भाल रक्खा है

 

Mere aibon pe daal kar parda
Apne acchon me daal rakha hai
मेरे ऐबों पे डाल कर पर्दा
अपने अच्छों में डाल रक्खा है

 

Sab ne thukra diya toh kya parwah
Aap ne to khayaal rakha hai
सबने ठुकरा दिया तो क्या परवाह
आप ने तो ख्याल रक्खा है

 

Unki rehmat nahi fakat hum par
Gair ka bhi khayaal rakha hai
उनकी रह़मत नहीं फ़कत हम पर
गैर का भी ख्याल रक्खा है

 

Usko koi gira nahi sakta
Jisko tum ne sambhal rakha hai
उसको कोई गिरा नहीं सकता
जिसको तुमने सम्भाल रक्खा है

 

Jo tumhara nahi usey humne
Apne dil se nikaal rakha hai
जो तुम्हारा नहीं उसे हमने
अपने दिल से निकाल रक्खा है

 

Unke qadmo me maut aa jaye
Bas yahi ek sawal rakha hai
उनके क़दमों में मौत आ जाये
बस यही एक सवाल रक्खा है

 

Tera Ejaaz kab ka mar jata
Tere tukdo ne paal rakha hai
तेरा एजाज़ कब का मर जाता
तेरे टुकड़ों ने पाल रक्खा है

Naat Khwan: Owais Raza Qadri

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,713 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...884 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...576 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment