मुस्तफ़ा आप के जैसा कोई आया ही नहीं / Mustafa Aap Ke Jaisa Koi Aaya Hi Nahin
मुस्तफ़ा आप के जैसा कोई आया ही नहीं
आता भी कैसे, जब अल्लाह ने बनाया ही नहीं
कोई सानी न है रब का, न मेरे आक़ा का
एक का जिस्म नहीं, एक का साया ही नहीं
क़ब्र में जब कहा सरकार ने, ये मेरा है
फिर फ़रिश्तों ने मुझे हाथ लगाया ही नहीं
ज़ुल्फ़ वल्लैल है, रुख़ वद्दुहा, मा-ज़ाग़ आँखें
इस तरह रब ने किसी को भी सजाया ही नहीं
आप ने जब से नवाज़ा है, या रसूलल्लाह !
मैं ने दामन किसी चौखट पे बिछाया ही नहीं
जिस ने सरकार के चेहरे की ज़ियारत की है
उस की नज़रों में कोई और समाया ही नहीं
लौट कर आ गया मक्के से, मदीने न गया
कैसे जाता, तुझे आक़ा ने बुलाया ही नहीं
जब से दरवाज़े पे लिखा मैं ने आ’ला हज़रत
कोई गुस्ताख़-ए-नबी घर मेरे आया ही नहीं
जब से दरवाज़े पे लिखा है या रसूलल्लाह
कोई गुस्ताख़-ए-नबी घर मेरे आया ही नहीं
जब तलक पुश्त पे शब्बीर रहे, ऐ फ़ैज़ी !
सर को सज्दे से पयम्बर ने उठाया ही नहीं
शायर:
शमीम फ़ैज़ी
ना’त-ख़्वाँ:
शमीम फ़ैज़ी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
Mustafa Aap Ke Jaisa Koi Aaya Hi Nahi.N
Aata Bhi Kaise, Jab Allah Ne Banaaya Hi Nahi.N
Koi Saani Na Hai Rab Ka, Na Mere Aaqa Ka
Ek Ka Jism Nahi.N, Ek Ka Saaya Hi Nahi.N
Qabr Me.N Jab Kaha Sarkaar Ne, Ye Mera Hai
Phir Farishto.N Ne Mujhe Haath Lagaaya Hi Nahi.N
Zulf Wallail Hai, Rukh Wadduha, Maa-Zaag Aankhe.N
Is Tarah Rab Ne Kisi Ko Bhi Sajaaya Hi Nahi.N
Aap Ne Jab Se Nawaaza Hai, Ya Rasoolallah !
Mai.N Ne Daaman Kisi Chaukhat Pe Bichhaaya Hi Nahi.N
Jis Ne Sarkaar Ke Chehre Ki Ziyaarat Ki Hai
Us Ki Nazro.N Me.N Koi Aur Samaaya Hi Nahi.N
Laut Kar Aa Gaya Makke Se, Madine Na Gaya
Kaise Jaata, Tujhe Aaqa Ne Bulaaya Hi Nahi.N
Jab Se Darwaaze Pe Likha Mai.N Ne Aa’la Hazrat
Koi Gustaakh-E-Nabi Ghar Mere Aaya Hi Nahi.N
Jab Se Darwaaze Pe Likha Hai Ya Rasoolallah
Koi Gustaakh-E-Nabi Ghar Mere Aaya Hi Nahi.N
Jab Talak Pusht Pe Shabbir Rahe, Ai Faizi !
Sar Ko Sajde Se Payambar Ne Uthaaya Hi Nahi.N
Poet:
Shamim Faizi
Naat-Khwaan:
Shamim Faizi
Hafiz Tahir Qadri
Ghulam Mustafa Qadri